Jump to content

Islam Ki 500 Taqatwar Shakhsiaat Mein Ameer E Ahlesunnat Ka Naam - News Report


shahzad6058811

تجویز کردہ جواب

  • 1 month later...
  • 3 weeks later...
  • 2 weeks later...

SUBHAN ALLAH ....AHLE  SUNNAT  KI   KAYI  BADI  SHAKSIYAT 500 TAQATWAR  MUSALMAN MEIN.....JAISE ALLMA AKHTAR  RAZA KHAN  AZHARI(22 POSITION) ...ALLAMA  ZIA  UL  MUSTAFA.........MAULANA ILYAS QADRI........ALLAMA QAMRUZZAMAN KHAN AZMI....OWAIS RAZA  QADRI.....ALLAMA  AMEEN  MIYAN  BARKAATI

Link to comment
Share on other sites

Amir ahle sunnath mujaddid hain. Wo sahi ashiq hai

 

Salam alayqum,

 

bai mujadid honay kee joh sharahit hen woh Maulana ilyas Qadri damat barakatuhum meh nahin. Wesay bila waja bar bar kay mushaykh ko title nah denh. Jin alqabat say joh sakhsiyat mashoor heh ussee taq ikhtisar keren aur agar ulamah ki jammat kohi title deti heh aur ittifaq hota heh toh phir us ko istimal keren.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Tajushriyah 22 no. pr hai :)

 

 

Muhammad Ali bhai mujaddid hone k liye kya sharte hai??

Tafseel meh ilm nahin, sirf yeh heh kay Mujadid deen kay mur-jahay huway baagh ko talimat o tehqeeqat say dobara sar sabz o shadab kerta heh. Dawat e Islami, ba hasiyat e jammat yeh ker rahi heh magar Amir e Dawat e Islami Ilyas Qadri sahib meh yeh khaas sift nahin pahi jaati joh mujadid kay leyeh zeroori heh. Jahan taq mujjay ilm heh Amir e Dawat e Islami ilyas Qadri Sahib Aalim nahin hen aur agar huway be toh ilm meh Mawlvi aur Khateeb kay mansub say ziyada nahin hoon gay. Aur yeh mansub Mufti kay maqam say be kam heh. Mujadid apnay tajdeedi karnamoon say pechana jata heh aur sahib e Ijtihad hota heh aurTafsir, ahadith, Arabi, Fiqha per mahir hota heh. Amir e Dawat e Islami ki joh tasaneef hen woh is martbay kee nahin kay un say Amir e Dawt Islami kay mansub ko mujadid samja ja sakkay. Joh tasaneef hen sirf fazail, kahani, aur tarbiyati [wudu ka tareeka waghera]. Sayyidi Ala Hazrat kay baray meh mashoor heh kay woh 50 say zahid uloom meh mahir thay aur un kee tasaneef saboot hen. Joon zamana guzrta heh ilm kam ho raha heh ... agar is ko mad e nazr rakh ker kaha jahay kay Ala Hazrat 100 saal pehlay 50 say zahid kay expert thay toh chalo aaj aky dawr meh deen ka ilm kam huwa is leyeh aaj kay dawr ka mujadid kam say kam 20 uloom meh toh mahir ho nah. Aap maloom ker lenh kay Amr e Dawat Islami kitnay uloom ko jantay hen aur phir qiyas ker lenh kay mujadid kee khoobi pahi jaati heh ya nahin.

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...