Jump to content

aap ki madad ki zaroorat hai


SanaAli

تجویز کردہ جواب

(salam) Allah pak kay karam aur Allah pak kay hukum say aaj mein nay teesri hastee ko ilyas qadri attari sahab ka mureed banaya hai meri yahan pay rehtay huay yahee koshish hai kay ziyada say ziyada sab ko dawat-e- islami ki taraf raaghib kur sakon laikin aik cheez ka bohut afsos hai kay meray pass koi material nahin jo kisi ko bhi dain sakon logon ko is site kay baray mein tu 10 say ziyada ko site dai chuki hon laikan mujh ko qaida cassete aur books ki zaroorat hain koi bhi meri itnee madad karay kay mujh ko yee bata sakay kay kis tarah yee sab mujh ko mil sakhtay hain takay meray pass sab material mojood hoo aur jo bhi mujh say mulaqat karay aur jab mein us ko qiyal kurlon tu us ko dai sakon kyun kay bohut say aisay log hain jo kay pc use kurna nahin jantay un ki kis tarah help karoo koi meri madad karay gaa kyunkay canada mein jo fazzan-e- madina hai us mein abhi shipment aee nahin hai
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

(sa) sana bohat khushi hoi parh ker Allah (azw) ap ki koshishon ko qubool farmaye

ap aik kaam karen ajkal computer kis ghar mein nahi hay ap jis ko bhi dawat-e-islami k baray mein batana chahain usay DI ki site ka address dain or is forum ka bhi ap ka jab bhi net ka use ho us waqt thora sa time nikal ker un logon ko kabhi kisi bayan ka link send kerdain kabhi madani muzakray ka isi tarah help ki jasakti hay

or jahan tak meri naqis maloomat hain canada mein faizan - e - madina bhi hay ager wahan se ap tarkeeb banain to madina madina ,mera khayal hay wahan yaqeenan maktaba tul madina ka stall lagta hoga (yani jahan Dawateislami se related books cassettes waghaira sab hi kuch mil jata hay)

jin sisters per ap koshish ker rahi hain un per infiradi koshish kertay hoay jahan islami behnon k ijtima ki tarkeeb hay wahan lay ker jain inshaAllah (azw) is se kafi faida hoga.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein ap ki koshishon ko qubool farmaye or ikhlas k sath madani kaam kernay ki madani sa'adat ata farmaye

aaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(azw)(ja) Sister. Masha Allah Aap buhat hee achha kaam kar rahi hain. Allah (azw) Aap ko donoin Jahan men is achhy kaam ki jaza-e-Khair Atta farmaaye. Aameen Aameen.

Sister kiya aap ye batayen gi ke aap kahan rahti hain.?

 

Baaqi aap ka problem men yahan (Bab-ul-Islam) Hyderabad kay faizan-e-Madina ky aik Islami bhai ko mail kar raha hoon

Insha Allah (azw) jaisy hee jawaab aaya, aap ko inform kar doonga.

(salam)

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

(ma) Aap Buhut Hi Acha Kam Sir Anjaam Dey Rahi Hai.. (ja) Insha Allah (azw) Is Sey Aapko Dono Jahan Ki Bhaliyan Milein Gi.. Key Momin Apney Sath Apney Doston Ka Bhi Bhala Chahta Hai.. Aur Aap Dosron Key Bhaley Ki Khatir Unhein Aik Wali-e-Kamil, Mohsin-e-Ahle Sunnat, Paiker-e-Ilm-o-Hikmat, Mujadid-e-Deen-o-Milat, Ameer-e-Ahle Sunnat (damat barkathum aaliya) Key Daman-e-Karam Sey Wabsata Ker Rahi Hain.. Aur Sath Ameer-e-Ahle Sunnat (damaat barkathum) ka Litrature aur Speeches bhi Aam Kerney Ki Khuwahish Mand Hain.. Aap Is Key Liye Ager Maktaba-tul-Madinah Karachi Sey Rabita Ferma Lein.. Tu Umeed Hai Ya Tu Woh Canada Faizan-e-Madinah Mein Jaldi Samaan Bhej Dein Gey.. Ya Phir Woh Aapko Tareqa Bata Dein Gey Key Aap Payment Is Tareqay Sey Ker Dein.. Aapko Books Aur Cassetes Is Tareeqey Sey Send Ker Di Jayein Gi..

 

Phone Sey Pehlay Email Per Try Ker Lein.. Aur Un Sey Rates Bhi Poch Lein.. Main Bhi Koshish Keron Ga.. Ket Maktaba-tul-Madinah Karachi Sey Malomat Mil Jayein...

 

Phone No's: 009221 2314045

009221 2203311

 

Email: maktaba[at] dawateislami.net

Link to comment
Share on other sites

(salam)

pyari sana ap aik kaam karen k apnay mahram k zariye faizan e madina canada k zimmedar islami bhai tak apni baat baat pohanchwain bajaye faizan e madina babul madina rabta kernay k ager ap k canada k zimmedar islami bhai ager tarkeeb banain to ziada munasib hoga ye majlis e bain al aqwami umoor ka muamla hay jis ki faizan e madina k zimmedar islami bhai k zariye hi tarkeeb banai jasakti hay.

yahan ham faizan e madina mein isi tarah maktabay ka saman mangwanay ki tarkeeb banatay hain.

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

piari bahan sana aap ki post parh kar bohat khushi hoye (ma) aap bohat acha kaam kar rahi hain ALLAH (azw) is main barkat aur ikhlaas dai ameen

sister aap canada main rahti hain jahan faizane madina hai aap ko to koi problem nahin honi chaiye islami material haasil karnay main aur agar aap faizane madinah nahin bhi ja sakti to aap kai paas printer to ho ga aap us main sai copies nikalain aur dain logon ko FISABEELILLAH aur bayanat ko pc main sai download kar kai us ki Cd dain sab ko aap MASHAALLAH (azw) buisness karti hain aur canada main rahti hain aap k liye yah sab cheezain hasil karna mushkil nahin .. main jahan rahti hoon yahan pai faizane madinah nahin hai magar main phir bhi logon tak AMEER AHLE SUNNAT kai risaalay pohancha daiti hoon printer main sai nikal kar yah to koi mushkil kaam nahin agar insaan main jazba ho to ALLAH (azw) koi na koi raah zaroor nikal daita hai fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Sister mein ne jis Islami Bhai ko mail ki thee, to us nay mujhy Bab-ul-Madina Karachi ka aik fone number diya aur saath men kaha ke yahaan par phone karen, Operator phone uthaye ga aap un ko bolen ke

Bain-ul-Aqiwami umoor walon se baat kariwayen, aur bain-al-aqiwami umoor walon aap apna Address (City, Country) waghirah batayen. Phir wo aap ko qareebi Faizan-e-Madina ka pata bata den gy ya nahin to aur ko'ee tarkeeb bataden gy.

 

Sister agar aap apny kissi rishtedar wagherah kay zareeye yahan neechy diye gaye number par phone karen, aur apna problem batayen.

Agar aisaa nahin kar sakteen to mujh ko address wagherah PM men bhej deejiye ga. Insha Allah (azw) mein kal zaroor ba zaroor ma'aloomat haasil karke aap ko batadoon ga.

 

Phone number hay : 0092-21-4921389

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(sa) jis kay itnay saray humdarad bahan aur bhai hon wo bahan kaisay parishan ho sakti hai.

 

Sister Allah (azw) aap ko har pareshani say bachaye .Aameen

Lakin filhaal hum sab pareshani men hain. :lol: :lol: :lol: . Aap kam iz kam ye to batayen ke aap ka problem solve huwa yaa nahin.? Agar haan to kaise huwaa.?

Umeed hay aap hamari pareshani ko bhee jaldi door karen ge.

Wasslam.

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

brother hua kuch aisa hai kay mein nay apnay shouer-e- namdaar ko tayyar kya hai kay wo meray sath fazzan-e- madina chalain aur Allah pak ka ahsaan hai wo maann tu gaey hain ab deekhain kya hota hai aur jahan tak quran pak kanzul eman ka masla hai wo kaha hua hai fazaan-e- madina mein tu wo ramzan say pehlay aajain gain inshallah tu bas jaisay hi milain gay mein taqseem kurdongi bas un sahiba say hi 3 din say contect kur rahi hoon jo kay aurton ki nigrah hain dua karain kay kuch ho sakay still wating condition mein hoon mujh ko darasal aisa chahey tha kay meray pass shipmint aajati aur mein free of charge logon ko taqseem kur daiti jo kay lag raha hai kay thora sa namumkin hai tu monday kay baad inshaAllah umeed hai kay mera jana hogaya fazaan-e- madina tu kurti hon yee inteezam warna aap sab ko again takleef dongi sirf masla yee hai kay bohut si buzurgh khawateen pc use kurna nahin janti un ko cd yaa books durkaar hain aur jo jo net use krtay hain un ko tu net kay zarey hi kur rahi hoon

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(sa) sana khushi hoi parh ker k wo maan gaye hain Alhamdulillah Allah (azw) unhain jazaye khair ata farmaye aameen

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay mein ap ki tamam mushkilat ko door farmaye or deen ka kaam kernay mein asanian paida farmaday or ikhlas k sath madani kamon ki dhoomain machanay ki madani sa'adat ata farmaye

aaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

(wesay sana hamaray madani mahole mein orat ki jaga islami behan ki istilah istimal hoti hay or nigran k bajaye zimmedar )

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
(salam) chalo sab log jaldi say mujh ko mubarak baad doo kay meri yahan apnay madani bhai shafeeq sat baat hui unhoo nay foran hi ramzan say pelay aik madani qafla calgery jaraha hai un say meray laey kanjul eman ka keh diya hai jo kay inshaAllah mujh ko 5 sep tak mil jain gay aur madani bhai nay meray adress lya hai kay wo mujh ko cds qaiday sab post kur dain kay tu aap sab log madani bhai kay laey dua -e- khair karain ameen
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

(sa)

Rah e talab mein jazba e kamil ho jin k sath

khud un ko dhoond laiti hay manzil kabhi kabhi

(ma) khushi hoi sana parh ker k ap ka kaam ab takmeeli marahil mein hay

barakAllah aameen

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein ham sab ko ikhlas k sath deen ki khidmat kernay ki tofeeq ata farmaye

aaaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(ma) bohot hi khoob koshish hai apki.. Allah (jallah) apko deen ka mazed kam ikhlas o istiqamat ke sath kerne ki tofeq de. ameen suma ameen
Link to comment
Share on other sites

(salam)

Parh kar buhat khushi hu'ee ke aap ka kaam hony wala hay.

Allah (azw) se duaa hay ke aap ko jald se jald "Kanz-ul-Emaan" shareef wagherah mil jaaye. Aue Shafeeq Bhai ko Allah (azw) is kaam ka dhron sawaab atta kary Aameen.

5 sept ya'ane taqreeban Ramdan Shareef se aik hafta pahiuly aap ko mil jaaye ga.

 

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...