Jump to content

Jashna Eid Milad Un Nabi Salalla Ho Alahay Waa Aalayhe Wasalam


shahzad6058811

تجویز کردہ جواب

quran e majeed main Allah Taala nay farmaya(sura younas) tum farmao k Allah kay fazal say aur us ke rehmat k sabab jo un par huaa us par khushi mana ain ya to in cheezoon say jo wo jama kar rahay hain kaheen behtar hay.

 

dynya k hawalay say jama karain todaulat/maal asbab etc hain. (2)akhrat k hawalay sayjama karna namaz,roza,haj,khairaat etc ho saktay hain.

 

is ayat ka amoomi mafhoom ya banta hay k  logo tum dunya k lie a mall ikatha kar lo aur akhrat k hawala say naikiaan ikathee kar lo  laiken is NAIMAT par shukraanay k iee jashan manaana aur is par apna maal o daulat kharach karna ya tumhaaray liee ay saaray deenvee aur dunayaawee aamaal k zakeeray say ziaada behtar hay.

 

is kee wazahat main k sura younas ke ayyat main Allah Taala k fazal aur rehnat say muraad  HAZOOR salalla ho alahay wa aalayhee wasalam hain, to doosri ayyat quraani say bhee is kee taaeed miltee hay,

 

(sura nissa) ay musalmaano agar Allah ka fazal aur us kee rehmat tum par na hoti to tum main say siwaaya chand aik k sub shaitaan k peechaay lag jaatay.

 

is ayyat ke tafseer main aksar aimaa tafseer nay ya bian farmaya hay k yahan Allah kay fazal aur rehmat ka ikathaay zikar ayaa hay,is say haqeeqat  main HAZOOR salalla ho alaha wa aalayhee wasalam he muraad hain.

 

(sura anbiyya)aur ham nay (ay mehboob)aap ko tamam jahanoon k liee rehmat bana kar bhaija hay

 

 

syed Ahmad Muhammad deedaar Ali apnee kitab, Rasoolul kalaamman kalaamsayyad ulanaam fee biaan ul maulood wal qayyam aik riwayat biaan farmaatay hain

 

 

 

"HazratAbu darda raziallah ho anho farmaatay hain Hazoor salalla ho alahee wa aalayhe wasalm  k hamrah aik din maira guzar hazrat amir ansaari (R A) k makaan kee taraf huaa ham nay daikha k wo (Hazrat Amir) apnay kunba waloon aur apnay baitoon ko wilaadat babvi salalla ho alahay wa aalay he wasalam k waaqiaat sunna rahay thay.aur keh rahay bthat yahee din (peer ka din).  AAP salalla ho  alahay wa aalay he wasalam nay farmaya "Bay shak Allah Taala nay tumhaaray liee rehmat k darwaazay khol diee ay hain aur sub farishtay tumhaaray liee ay bakhsish kee dua maangtay ain JO shakash bhee tumhaaray jaisa(zikray wilaadat)karay ga usaay tumharay jaisa ajro sawab milay ga.

 

TO BE CONTINUED

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Muhadasibne jozi,imamnov k shaikh imam abu shama,imamalhafiz sakhawi,imamjalal uddin sayyoti(Imam sa

 

yyoti nay zindgi main kamo baish 72/75 baar baidari kee halat main HAZOOR salalla ho alahay waa aalayhee wasalam ke ziarat kee)sharahay bukhari imam qastalaani,ibne taymiaa,alhafiz abu zar aa al iraaqi, imam ibne hajar makki,mulla ali qaari,imam naseeruddin al maaroof babibaltabaakh,imam jamal uddin al kitaani,sh abdul haq muhadas dehlvi,shah wali ullah muhadas dehlvi,moulana abfdul hai likhnvee,haji imdad ullah mahajar makki,mufti mazhrullah,allah siddik hassan khan bhopaali(Ahle hadees) sheikh qutabuddin al hanfi,jamal udddin Muhammad bin jar ullah bin taheera,moulanaMuhammad abdul haq dehlvi,mufti inyat ullah kaakorvi,moulana rehmat ullah kairaanvee ya tamam muhadaseen,ulma karam eid miladunnabi k jawaz k qail thay aur unhoon nay apni kitaboon main is k mananay ko jaiz qaraar dia.

Link to comment
Share on other sites

usually it is said that meladunnabi la ehtamaam,jalsay jaloos ka intizaam sirf  india/pak/bangladesh main kia jaata hay. aisa naheen, is jashan ka aaghaaz harmain shareefain say huaa tha.

 

imaam abulhussain Muhammad bin Ahmad al maaroof babib jabeer undalsee almatwaffi 614 hijri apnay safar naamay main likhtay hain mah rabiu awwal khasoosan AAP ke wiladat k din is makan ko ziarat k liee ay khol dia jaata hay.( rehlata ibne jabeer)

 

imaam jamal uddin Muhammad bin jaarullah al jamiaul lateef main likhtay hain har saal  bara rabiul awal kee raat ahle makkha ka maamool hay k qazi makkha jo k shaafi hain ke sarparastee maghrab kee namaz k baad qafla dar qafla moladay pak kee ziarat k liee ay hazir hotay hain.

 

sheikh Muhammad bib alvi al hassni  fee rahabbaitul haraam main likhtay hain ah le makkha kee hamaisha say aadat hay k mashikh/akabar ulema/ aur moaziz shakhshiaat  hathoon main fanoos aur charagh lay kar moulad e pak ke ziarat karnay jaatay hain. log duor draz daihatoon say,hatta k log jeddah say   aatay.is main baaz logoon k haath main fanoos aur baaz k hathoon main jhanday hotay;

ya jaloos haram makkha say shuru ho kar mohalla bani hashim jaata aur moulday rasool par jaata aur wahan jalsa hota.    to be continued

Link to comment
Share on other sites

ya ehtamaam aaj say 500 years pehlay huaa karta tha.  moulana jamaluddin Muhammadbin jarullah bin zaheeah apni kitab al jamiaa al lateef fee fazal makkha wa ahlohaa wa nabaaul bait alshareef bahawaala alfasal main likhtay hain k ahley makkha ka ya maamool hay k 12 rabiulawal  ko tamam mazahabay fiqah  k aksar aimaa apnay haathoon main fanoos lay kar  moulad sharif par jaatay hain.

 

mashoor sayyah ibne batoota apnay safar naama (728 hijree) rehlata ibne batoota main zikar qazi makkha wa khateebaha k tehat likhtay hain  makkha k qazi najamuddin Muhammad bin alimaam mohyyuddin altibree HAZOOR salalla ho alahe waa aalayhee wasalam ke wilaadat k mouqa wo makkha k shurfaa aur fuqra aur haram shareef k khudaam aur mujaawreen ko khana khilaatay hain

 

(Taqreeban 750 saal pehlay ya qazi makkha ka maamool tha)

 

to be continued

Link to comment
Share on other sites

96 saal  pehlay bhee makkha mukarma main 12 rabi ul awwal k mouqa par ahle makkha ka jashan manaana,jaloos nikaalna aur mahafil munaqid karna sabit hay. 1917  k youm e milad ka ahwaal makkha muazma kay akhbaar alqibla nay yoon bian kia.

 

11th rabi ul awwal ko makkha mukarma k darodeewaar ain us waqat topoon ke sada ay baaz ghast say goonj uthay jab haram kay moazan nay namaz asar k liee ALLAH HO AKBAR   ALLAH HO AKBAR ke sada buland kee. maghrab k waqat moulad unnabi apni rang brang roshnee say raskay janat bana huaa tha.  (aaj kal is makan sharif main jahan ab libraree ban chuki hay. hakoomat k muqarar karda mulazim aik phamphlet baantay hain, is jagah HAZOOR salalla ho alahe waa aalahee wasalam ke paidaash naheen hu e thee)yahan zaereen ka majmaa pohnch kar mo addab khara ho gia. aik shakash nay seerat beeaan kee. is kay baad naib wazeer kharja shaikh fawwad nay nay akreer kee. akhar main naatia qaseeda parah gia.12 th rabiul awwal ko tamamoffices band kar dee ay gay.

 

 

isee khaba ko monthly tareeqat lahore january 1917 nay bhee inhee alfaaz main biaan kia.

 

to be continued

Link to comment
Share on other sites

shaikhul muhadseen mulla ali qari almutwafi 1014 hijri  apnee tasneef (al moradarwee) main youmay milad  ehley madina ka maamool youn likhtay hain, k wo is mouqa par khoob mahafal sajaatay hain. aur in main zoke shouq  k sath shirkat kartay hain.

 

mufti inyat ahmad kaakorwee ahlay harmain  ka zikar kartay hain milad ke mehfil mutbarak masjid nabvi sharif main 12 rabi ul awwal ko hoti hay.(tareekhay habib)

 

1287 hijri main masjid nabvi sharif main munaqada mehfil ke rudaad moulana abdul haq allah abadi apni kitab alduralmutam k un kau murshad shah abdul ali naqashbandi ko mehfil 12 rabiulawwal ko masjid nabi  nabvi sharif main daikha. ya mehfil sehan main munaqid hu e. wilat kay zikar kay waqat qayyam bhee huaa.

 

HAZOOR salalla ho alahay wa aalaheey waslm nay farmya jis kaam ko aksar muslmaan acha samjhain wo Allah k haan bhee achaa hota hay.aur jis ko ksar muslimaan bura khial karain wo indallah bhee bura aur naajaiz hota hay. doosri hadees main farmaya sawad e azam  (baray grouh kee pairvee karo.

 

Imam jalaluddin sayooti R.A) nay sawad e azam say muraad tabqa ahley sunnat lia hay.

 

is mubarak mouqa kay fayyoz o barkaat samaitnay k liee zaroori hay k jaloos main ba wazu shamil hoon. daroodu salam parahian.shariat ahkaam ke maamooliee see bhee khilaf warzi na ho. dhol dhamakay ,mardo zan kay ikhtalat say bachain.

 

aik bari qabeeh rasam PAHARIOON kee har jaga chali hu e hay.  wahan  plastic k khilonay rakhay hotay hain aur khawateen khas tour par dakhnain jaati hain.  kaee dafa in paharioon ke jaga par filmi gaanay bhee chala daitay hain.  in say perhaiz kia ja ay.

 

Malysia main jaloos nikla jata hay 12 rabi ul awwal  ko.

 

marakash(MAGHRAB) main pooray saal ka sub say bara event

 

Eid milad dun nabi manana hay. pooray country ko sajaatay hain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...