shahzad6058811 مراسلہ: 10 نومبر 2013 Report Share مراسلہ: 10 نومبر 2013 jang e yammamma main musailma kazzaab k sath jang main us kee fauj ke taadaad 60,000 thee . aik mouqa par muslalmaanoon kay paoon ukharnay lagay to sipa saalaar hazrat khalid bin waleed raziallah ho anho nay muslamaanoon ke allamat kay sath nida kee, YA MUHAMMADAH. (HAFIZ IB NAY KASEER albadya wanay haaya maktaba al muaaraf bairut jild 7,page 91 halb city (country syria) main jang kay douraan youqna hamla aawar hu aa. us kay sath 5000 jangju thay. achanak 5000 aur jangju nay peechay say hamla kar dia.(hazrat kaab bin zamrah raziallah ho anho k sath 1000 sathee thay)to muslmaan paraishan ho gay. to sipa saalar nay jhanda tham kar oonchi awaz say pukaara. YA MUHAMMAD, YA MUHAMMAD (2 time)ay Allah ke imdad nazool farma. (Muhammad bib umar alwaqdee, fatoohushaam(mustafa albaabi egypt,1934,jild 1,page 196. fatha bahinsa k mauqa par rraat bhar jang hoti rahi,muslamanoon ka alamtee nishaan tha, YA MUHAMMADAH,,YA MUHAMMADAH, ay ALLAH kee imdad nazool farma. (ref ooper wala jild 2,page218. karbala main hazrat zainab raziallah ho an ha jab harasat main maidaan jang say guzreen to ba sakhta faryaad kee, YA MUHAMMADAH,YA MUHAMMADAH,ibnay kaseer,,albadayata wanayata, maktaba almuaaraf bairut(LEBNON) jild 8,page 193. to be continued اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 11 نومبر 2013 Author Report Share مراسلہ: 11 نومبر 2013 teen mukhtalif jaghoon par aik he nid kee ja rahee hay. is ka saaf matlab hay us zamaanay main tamam loogoon ka maamool tha k wo paraishanee aur museebat main HAZOOR sallala ho alahay wasalam ko pukara kartay thay k imdaad farmaaain. ALLAMA IBNE HAJAR ASQALLANI mairay aaqaa,ay Allah kay Rasool aap kee madah main kahay hu ay mairay qaseeday sharafat waalay ho gay. (yousaf bin ismail an nibhaani al majmooaa tun nibhaania dar ul maaraaftta, bairut lebnon jild 2,page 291 NAWAB SIDDIK HASSAN BHOPAALI ghair muqalad ay mairay aaqaa, ay mairay waseelay,mairay sahaaray,sakhti aur narmi main mairay kaam aanay walay aap kay siwa maira ko e naheen jis sday madad maangi ja ay. ay REHMAT TALIL AALAMEEN mairi aaho baqa par reham farmayyeeay. (waheeduz zaman,nawab, hashia hadeeatul mehdi islami kutab khana sialkot,page 20 MOLVI ASHRAF ALI THANVEE AY ALLAH kay mehboob mairi dastgeeree farmain, mairay ijaz ka app k siwa ko e thikaana naheen ashraf ali thanvee zaman al takmeel fee zaman ul taajeel, matbaa mujtabaaee dehli page 172 MUHAMMAD BIB ISMAEEL BUKHARI KITAB ALADAB AL MUFRAD page 250 hazrat abdullah bin umar raziallah ho anho ka paoon so gia,kissi nay kaha unhain yaad kee jee ay jo aap ko sub say ziada mehboob hain.un hoon nay baa awaz e buland kaha YA MUHAMMADAH,fauran paoon khul gia. yaanee theek ho gia. ALLAH TAALA ham sub ko sahee aqaid par amal aur samjhnay kee taufeeq atta farmaya aameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Usman.Hussaini مراسلہ: 22 نومبر 2013 Report Share مراسلہ: 22 نومبر 2013 Is topic ka sulah e Kulliat se kya taluq hay? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 22 نومبر 2013 Author Report Share مراسلہ: 22 نومبر 2013 mujhey net/system ka itna pata naheen. baitay nay is system main aanay kay liee a sullah kulliat main Adjust kar dia. mujhey to aqaid ahle sunnat kay baaray main jo topic milta hay ya jo sunni barailveeoon ke books parh chuka us main say ko e cheez post kar daita hoon. Nida k topic par jo mawaad milla post kar dia. ham to nida k qail hain. deobandi/wahabee kay old alam is k qail thay main nay post kar diee ay. main free lancer hoon jo achi cheez miltee rahay gee post kar dia karoon ga. Main Allah ka shukar hay Sunni brailvee maslak ka hoon. jo kuch ho ga sullah kuliaat foroum main post ho ga. hope position cleared. haan said topic main ko e ghalti hay to guide karain .thank you. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔