Jump to content

Request/suggestion Peer Karam Shah Bhairwee


shahzad6058811

تجویز کردہ جواب

aslamoalakum,   toheedi bhaee nay islami mefil ka batya, main kaffi dinon say different topics parh raha hoon.  mujhey bara afsoos hua k  bahut saaray  islami bhaee (mujhey naheen pata k in main main say kitnay farighul tahseel hain, in ke kia education hay aur in hoon nay peer sahib ke zindgee main main kion fatwa naheen liee aa k wo KAFIR hain.

 

maktaba almadina par DR.tahir ul qadri kee books banned hain magar peer sahib kee tafseer aur seerat par books aur baqi bhee books mil jaateen theen. ab ka patta naheen.

 

jamat islami nay moulana moudoodi ke tafseer 7 jildoon main chaapi to pooray pakistan main ail tehlka m,ach gia kion k wo new get up k saath thee. ahlesunat kay paas aala hazrat ka tarjma,us par moulana naeem ud din muradabadi ka hashia,phir tafseeray naeemee  jis ka sunnioon ko bhee pata naheen that. 1972 tak loogoon ko aala hazrat ka bhee ziada pata naheen that. haan ya that k ham barelvi hain. ya to majlisay raza lahore nay un k naam ko roshan kia.

 

kaafi dair baad kazmi sahib ka tarjama al biaan nazar aa ay aa. isi douraan peer karam shah sb ke tafseer manzar aam par 7 jildoon main aa ee.seerat zia un nabi [par un ko pride of performance of milla.  ham is position par aa gay k logoon ko is tafseer zia ul quraan kay baaray bata sakain.  ab in ko KAFAR declare kar dia gia hay.  in hee page par main nay fatwa parah.

 

kafar declare karnay say pehlay us sakhas ko kehna parta hay k tum nay ya likha hay ya kaha hay jo kufar hay.wo agar rajoo kar lay k maira matlab ya tha agar aap is ko kufar samjhtay hain to main tauba karta hoon.ya wo kehta hay k naheen main sahee hoon aur tum ghalat kehtay ho aur wo apni baat par ar ja ay to phir us ke book,ya alfaaz par fatwa liee aa ja a ga.

 

kia un ko kafar declare karwanay par ya sara amal kia gia agar naheen to us sakhas nay peer sb say bhee aur ham sunnion say bhee ziadtee kee hay.  ab kia ham apnay gharoon say peer karam shah (kafar,kissi ka fatway kee rooh say likh rahs hoon,apni taraf say naheen) kee taman books nikal dain.

 

pl guide me and other muslims.thank you,

Sh. Muhammad shahzad qamar naqashbandi(nisbat mian jameel sb sharaqpuri)

ex asstt vice president,habib bank.multan........

 

aik wazahat kar doon,dawat islami ka ammama sharif green colour  main mairi request/suggestion par jo main nay hazrat ilyaas sb ko 1989 aug main haj k douraan makkha haramsharif main bilmushafa namaz maghrab say 15 minute pehlay kee thee aur sep 1989 main colour green ho gia tha.

Edited by Mughal...
Do not use ur personal numbers
Link to comment
Share on other sites

dear mughal sb,aslamoalakum,mairay topic k jawab main aap nay poocha k mairi request aur suggestion kia hay.

 

suggestion

 

kufar kay irtikaab karnay walay say pehlay pooch lain kay us kee tehreer say us ka kia matlab hay aur us ka is tahreer par kia mo akaaf hay .us k baad fatwa lia ja ay aur phir us ko kaha ja ay k aap k khilaf kufar ka faytwa aa chuksa hay. ab aap kia kehna cahtay hain .agar wo na manay to phir kufar walay fatwa ke tasheer kee ja ay.

 

request

 

ab choon kay peer karam shah ko kafar karaar dia ja chuka hay to kia ghar say tafseer ZIAUL QURAAN aur seerat,ZIA UN NABI ya doosri books uthwa dain aur bachoon ko mana kar dain k na parahain.

 

ya poochna tha ab kia karain.

 

thank you

 

shahzad6058811

Link to comment
Share on other sites

salam to all readers

 

main nay aik guzarish kee thee k main zia ul quraan tafseer/zia un nabi seerar book and all other books jo peer karam shah nain likhheen hain un ka kia karoon kion k un ko fatwa ke rooh say KAFAR karaar dia ja chuka hay. instead ko e mujhey guide karta ,mairee two e mails he delete kar dee gee hain. 

 

ab main paraishan baitha hoon k bachoon ko books aur tafseer parhnay doon ya nahee. kia darya buarad kar doon kia karoon.

 

ko e bhaee please mujhey guide karay.

 

jazaakALLAH

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...