Jump to content

Ilm E Gaib Pr Itraz


Hanfi-Barelvi

تجویز کردہ جواب

(salam) 

smilies se murad yeh thi ke aap smilies par click kar ke  (salam)  aur  (wasalam)  likh liya karen...........................

aur jo aap sakhti ki baat kar rahe hain to ham zaati taur par apne sunni bhaiyon ki talkh baaten bhi bardasht karne ki koshish karte hain aur bad mazhabo se kisi qadr sakhti.......................

 

نرمی اچھی چیز ہے اور گرمی غلط باتوں میں غیرت کی نشانی 

smilies se aap apna mood jata diya karen na.....show them you are COOL... :P ........use smilies... :)  :) ..........be happy and keep happy...................... :)  :) 

Link to comment
Share on other sites

Poster ka Jawab Matloob hai .....

 

attachicon.gifitraz.jpg

 

اسی صحیح البخاری حصّہ سوم میں علم غیب جاننے والے نبی صل اللہ علیہ و سلم نے قیامت کی نشانیاں بتایں وہ علم غیب کا ثبوت نہیں ہے ؟

بخاری سے انہیں بخار آتا ہے 

Link to comment
Share on other sites

janab rizvi,qadri,akhtari sb, maira jawab yahee hay k main ko e jawab naheen daina cahta. main aik student hon aap shaid alam hain.  siraf itna kehna cahta hoon k main apnay father,grand father say sunni brailvee hoon. aala hazrat r.a kee bahut saari books parh chuka hoon,bahut sari books ghar par rakhee hain.  ham to shadi bhee brailvee kay ilaava kissi say naheen kartay. aap ko shaid ghalat fehmi hay hay k main brailvee nahee./ so ilam e ghaib topic  par no sawal jawab. thank you again

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat,

 

Moteram Shahid baee, meh kohi aalim nahin hoon. 15 saal say Ilm ghayb, Hadhir Nadhir, Noor Bashr, Gustakhana Ibarat, Fiqhi ikhtilafat, Qasim Nanotavi kee ibarat, Tawheed, Shirk, Biddat kay mozwoon ko per raha hoon. Ginti kay das bara subject hen joh study keeyeh hen. Rozana kam say kam 8/10 gantay bas is'see kaam meh guzrtay hen. Agar in ko 365 ko 8 say zarb deeya jahay toh = 2920 aur is ko 15 say deeya jahay toh phir 43800 gantay bantay hen. Aur agar is ko 24 say taqseem keeya jahay toh 1825 din bantay hen. Yaqeen keren agar kohi aur hota toh Mufti ka Mufti ban gaya hota magar meh abhi taq in'nee masail meh pansa hoon. Jis say aap ko meri aqal ka andaza ho gaya hoga kay meh kitna zaheen banda hoon.

 

Baee mujjay pata heh kay aap Sunni hen meh nay aap ki chand posts Pir Karam Shah Sahib kay mozoo meh pereen theen aur ilm thah. Magar jis behas meh aap peray thay yeh mofeed nahin. Yeh sunni kay leyeh mofeed nahin aur kissi ghair kay leyeh be mofeed nahin. Keun kay agar magar qiyaas say insaan kuch bee behas ker sakta heh. Jis ka meh nay aap ko namoona pesh keeya thah kay agar magar aur qiyaas e shaytaani kay saath insaan ilm e ghayb e illahi per be nuqs ker sakta heh. Qiyas e shaytaani is leyeh kaha keun kay Shaytaan nay Allah kay wazia hokam kay khilaaf qiyaas keeya, meh aag say bana hoon aur yeh matti say is leyeh meh behtr hoon aur hokam e illahi kee atahat say inqaar keeya. Ilm e Ghayb jab Quran say sabat heh aur woh be lawh aur qalam wala toh phir qiyaas kee bunyaad per us meh nuqs kerna kay  agar hota toh esa hota, agar hota wesa nah hota ... qiyaas e shaytaani heh, keun kay wazia dalahil e Quran yehni farman e illahi kay khilaaf apni qiyas shaytaan kay qiyaas jesi heh. Is leyeh itna lamba likha kay aap ko samjaya jahay kay yeh agar magar qiyas joh Quran aur hadith kay khilaf ho us ko chor denh aur Quran aur hadith wali baat keren joh wazia likhi heh. Dosri baat meray baee agar aap ko ilm nahin toh kissi ghair firqa kee kissi kitab, forum, casset, video ko nah suna keren. Meh apna tareeka batata hoon shahid aap ittifaq nah keren. Wahhabiyoon ka agar kohi Qari Quran kee tilawat keray toh meh kaan band ker leta hoon, is leyeh nahin kay Quran meh nuqs heh, balkay is leyeh kay meh is mardood kay moon say tilawat sun-na nahin chahta.Mera imaan ijazat nahin deta kay meh bila waja in kay kissi biyan ko sunoon, sirf hasb e zeroorat sunta hoon wesay kabi be nahin.

 

Allah ta'ala ham sab kay imaan ko salamat rakhay, ameen.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

bhaee Muhammad Ali  me joind this fourumm just one month before.  Bahut saari new things came to my knowledge. i was surprised to know about peer karam shah.  we used to read zia ul quraan and zia un nabi (tafseer/seerat). I had quoted Aalaa hazrat !s statement that Allah Taala kay ilam k sath HAZOOR  (saw)  k ilam kee ko e nisbat naheen ho sakti. yahan tak k agar summandroon say aik paani ka qatra  ka karoorwaan hissa lay kar nisbat qaim karain to wo bhee naheen karsaktay.  ya un ka farmaan main nay likha tha.     I have joined this foroum to learn  something.

 

please do not mind  mairay dil main ko e  khiaal naheen aap k baaray main.  Allah Taala aap ko kush rakhay aur sunniat(barailveeat )par qaim rakhay. ameen. thank you

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

Hanfi-

Barelvi 04 Nov 2013 Poster ka Jawab...

Matloob hai ..... aapke poster me jo hadees e paak hai uska jawab muhtram saeedi saab ne pahle hi diya hai. (← Alahazrat wa

AhleSunnat Per

Aetarazat Ke Jawabat Islami Mehfil » Ek Deobandi Ne Sarkar

Alaihissalaato Wassa...).

Link to comment
Share on other sites

muja is page pa audio uplod karni ha manazra ki IlmeGhaib pa jo howa tha deobundi vs barelvi kasa karo mara pass options nai a raha 

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat,

 

Baee aap yahan per video upload nahin ker saktya, aap youtube ya dailymotion per upload ker saktay hen. Jab aap nay upload keeya toh yahan per aap link paste keren gay toh woh display hoga.

 

Bata saktay hen kay munazir kon kon thay?

Link to comment
Share on other sites

  • 6 years later...
On 11/3/2013 at 7:45 AM, shahzad6058811 said:

janab rizvi sb,agar aap brailee shareef akhtar raza khan sb k mureed hain to aap nay bhee aala hazrat ko parah hee naheen jo kuch main  ilam e ghaib kay baray likha wo aala hazarat ahmad raza khan sb ka he kaha huaa hay k ALLAH TAALA say HAZOOR SAWW kay ilam e ghaib ke ko e nisbat naheen ho sakti.  jo kuch likha tha us par kisi brailvee  alam say fatwa lay lain.  agar de o bandi hain to phir jo kuch aap nay likha hay sahee likha ho ga.       

 

 

janab ali rizvi sb

 

On 11/3/2013 at 11:59 AM, Hanfi-Barelvi said:

Poster ka Jawab Matloob hai .....

 

post-13191-0-94947900-1383508742_thumb.jpg

»»► Huzur Ne Farmaya Khuda Ki Qasam Tumhara Ruku Or Khushu Mujh Se Chhupa Nahi,Mai Peeth K Piche B Dekhta Hu.

 

>BUKHARI Vol-1,Page-99

 

=============== =============== ======

 

»»► HADEES:

 

Huzur Ne Ek Martaba MAKHLUQ Ki Paidaish Se Jannatiyon Ki Manzil Or Jahannamiyon Ka Thikana Tak Bata Diya

 

>BUKHARI Vol-1,Page-453

»»► Huzur Ne Farmaya Khuda Ki Qasam Tumhara Ruku Or Khushu Mujh Se Chhupa Nahi,Mai Peeth K Piche B Dekhta Hu.

 

>BUKHARI Vol-1,Page-99

 

=============== =============== ======

 

»»► HADEES:

 

Huzur Ne Ek Martaba MAKHLUQ Ki Paidaish Se Jannatiyon Ki Manzil Or Jahannamiyon Ka Thikana Tak Bata Diya

 

>BUKHARI Vol-1,Page-453
 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...