Jump to content

Mutafarriq Masail


Iqra

تجویز کردہ جواب

  • جوابات 139
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

very nice sharing laikan eman sister meray pass filhal speakers ki problem hai tu mein sun nahin sakhti mujh ko zara yee batain eye beows kay baray mein kay husband kay laey bana sakhti hai kay nahin aur make up kay baray mein bhi coz mein nay dono kaam chor diya hai baray-e- madina

 

 

(salam)

pyari sana aik shoher hi k liye to zaib o zeenat jaiz hay mager jaiz zaib o zeenat

eye brows banwanay ko ulama is liye najaiz qarar detay hain k aik hadees e mubarak mein ata hay

Allah (azw) ki la nat goodnay walion or gudwanay waliyon or baal nochnay walion or nuchwanay waliyon per

is hadees e mubarak k tehet eye brows banwana najaiz hay chahay shoher hi kion na kahay nahi banwani chahiyen

ap ne bohat acha kia jo chor diya ye (ma)

or jahan tak baat makeup ki hay to sister shoher k liye zaib o zeenat na sirf jaiz bal k mustahab(shariat e mutahhara k nazdeek pasandeeda )hay

is k ilawa ager makeup kiya jaye or sirf maharim hi dekhaingay kisi namahram se bepardagi ka andesha nahi or sirf khawateen hi mein rehna hay tab bhi makeup kernay mein koi haraj nahin

mazeed is silsilay mein ap ameereahle sunnat ki zabani sunain:

orat ka banao singhar kerna

ummeed hay ap ko samajh agaya hoga

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein tamam musalman behnon ko shariat ki hudood k ander rehtay hoay jaiz kaam kernay ki madani sa'adat ata farmaye

aaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam) piayree or shad say methi isslami bahnow 1sawal hai wo ye kay 1 larki nay ye kha kay ya ALLAH agar may achay numberow may pass hoe to ye madreesay may jo soorat MARYAM ka koors hona hai wo karow ge or us kay kanow(ears)ko sun gia or wo 3 din mussalsal gai halnaka corrs 6 dinow ka tha.lakin us nay apna dakla karwana tha college or wo na ja saki to ab wo gar may he tarjama tafseer karay kay kia karay?plz is ka jawab dain (wasalam)
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

pyari behan!!

ap k suwal k jawab k liye main ne darulifta suwal bhaij diya hay jaisay hi wahan se jawab ata hay main yahan share kerdoongi inshaAllah (azw)

asal mein sister hamain yahan khud swalat k jawabat nahi denay is liye k swalat k sharai rehnumai k liye ulama e kiram mojood hain Allah (jallah) un ka saya salamat rakhay aameen bijahin nabiyyil ameen (saw)

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

(sa)

iqra behan bohat achay masail share kiye ap ne

(ja)

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein hamain tamam masail samajh ker un per amal kernay ki or doosron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye

aaameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(azw)(ma)

tamam members ko mah e shaban mubarak

 

bohat ache mozooat pe guftugo chal rahi he

Allah (azw) ham sab k ilm o amal me izafa farmay aameen

me bhi yahan per ik fatwa shamil kerna chahta hoon umeed he ye bhi net use kernay walon or walion ki kafi rehnumai ka bais banay ga inshaa,ALLAH (azw)

 

post-1061-1187108009.gif

wassalam o alaikum warahmatullah

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

(sa) kafi achi baat ki taraf tawajju dilai ap ne ,

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein,huzoor ghous e azam (ra) k waseela e jaleela se ,murshid damat barkatuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se ham sab ko net k ghalat istimal se bachaye or her qisam ki fitnay se mahfooz rakhay aaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Masha Allah (azw), Waqa'ee buhat hee achhi baat ki taraf tawajuh dilayee hay aap nay Bhai.

Hamary haan aksar ye ra'ij hay ke "Fulan meri munh boli bahin hay, Fulan mera munh bola bhai hay, wagherah wagherah" Lakin ye aaj patta chala hay ke ye b Naja'iz hay.

(azw)(ja) Brother.

Wasslam

Link to comment
Share on other sites

(salam)

orat k qabristan janay k baray mein ameere ahl e sunnat aik madani muzakray mein rehnumai farmatay hain:

orat ka qabristan jana

 

 

or mazar e wali per janay k baray mein bhi hamari rehnumai kuch yon farmatay hain:

mazar e waliyya per jana

or aik or swal sunain:

shah aqeeq rahmatullah alaih k mazar per ilaj k liye jana

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein ham sab ko shariat e mutahhara k tamam ahkamat per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye

aaameeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

orat_ka_qabristan_jana.GIF

orat_ka_qabristan_jana2.GIF

Link to comment
Share on other sites

(salam) itnay pyaray pyaray maloomatee maslay share ho rahay hain Allah pak ajir azeem dain ameen aap sab ki mashaAllah itnee zaber dast malomat hain aik masla meray bhai ka hai kay wo rehtay usa ki state florida mein hai aur un ka kehna hai kay agur mein florida mein saray rozay rakhoon kyun kay job florida mein hai aur akhri ashrah aatikaf mein baithnay kay laey columbus ,usa (jo kay dosri state hai aur 10 hours ka car ka safer hai ) ajaon kyun kay columbus mein ammi bhai bahan sab hain tu kya aisa ho sakhta hai ?? aur akhir mein itnay achay achay maslay pay fatway share kurnay pay aap sab ko Allah pak aap sab ki dainee aur dunwavee tamam jayaz muradon ko pori karay ameen
Link to comment
Share on other sites

(salam)

pyari islami behnon orat ko sonay chandi k ilawa deegar her qisam ki dhat pehenna mamnoo hay main ne is baray mein fatwa liya k ajkal hamaray yahan artificial jewellery pehennay ka bara riwaj hay jo k kisi metal ki hoti or is k ilawa metal k glasses,clips etc jo k usually ham use kerlaitay hain to in sab cheezon ka kia hukum hay,is baray mein mujhay ye fatwa mila hay jo main ap sab se share kerna chahti hoon:

metak_ka_hukum.GIF

 

 

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam) madina

masjid e haram ko haram kion kaha jata hay or ager bacha gir raha ho to maan namaz tor sakti hay ya nahin is baray mein mufti abbas razawi sahib damat baraktuhum ul aliya hamari rehnumai farmatay hain:

masjid e haram k naam mein hikmat/bachay k girnay per namaz tor dena

wassalam ma'al ikram

(main ne 2bara upload kerdia hay ager ab bhi na chalay to bataiye ga)

metak_ka_hukum.GIF

Link to comment
Share on other sites

(salam)

madina

mujhay artificial jewellery k baray mein mazeed fataway milay hain:

 

jewlerry.GIF

 

zaiwar.GIF

 

loha.GIF

 

(ja) iqra ap ne mujhay itnay achay fatway send kiye

wassalam ma'al ikram

Edited by Ubaid-e-Raza
attachments edited
Link to comment
Share on other sites

(salam)

Qibla Syed Shah Turab-ul-Haq Qadiri Razavi Noori Madzil-h-ul-Aali ne Artificial Jewellery pahniny ko sakht naja'iz kaha hay. Mazed is clip ko sun len.

0771.mp3

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

mele wala bhai

mujhay maloom hay artificial jewellery orat k liye najaiz o mamnoo thi mager ab umoom e balwa ki waja se ulama ne jawaz ka fatwa diya hay may be shah sahib ka ye fatwa pehlay ka ho ap in fatawa ko parhain is mein yehi bayan kiya gaya hay k umoom e balwa ki waja se jawaz ki soorat nikali gai hay jaisa k alcohol k baray mein (sirf khariji istimal k liye) ab ulama umoome balwa ki waja se jawaz ka fatwa detay hain ye mas ala bhi isi tarah hay.

ummeed hay ap ko samajh agaya hoga ,

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...