Jump to content

Mutafarriq Masail


Iqra

تجویز کردہ جواب

  • جوابات 139
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

(salam)

 

i want to ask a question to all sisters that ACCORDING TO ISLAM CAN WE WASH OUR NAJIS CLOTHES IN WASHING MACHINE ?

 

i m asking about that washing machine which we use in foriegn countries fi-aman:

(wasalam)

sis ye masala parhain ap ko yaqeenan jawab mil jaye ga apnay sawal ka:

 

 

WashingMachineMeinKaprayPaa.gif

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

maine roman urdu main convert kar dia hai

 

agar phir bhi kisi sister ko problem hoti hai

 

to woh khushi sai bata dai

 

 

WASHING MACHINE MAIN KAPRON KA PAAK KARNA

 

Q: kia napaak kapray washing machine main daalnay sai paak ho jatay hain ? is main kapray dhonay ka tareeka kaar yah hota hai kah

tamaam kapray ( paak o napaak) machine kay paani sai bharay tub main daal diye jatay hain aur kuch dair kay liye machine chalnay

kay baad in tamaam kapron ko saaf paani kai bartan main daal dia jata hai jahan kapron sai jhaag nikaal kar inhain sukha dia jata hai .

kia napaak kapray paak ho gaye ? aur agar nahin hoye to kia tamaam kapray napaak ho gaye ?in kapron main namaz hogi ya nahin ?

jitna arsa namazain parheen kia lotaani parain gee ? kia napaak kapron ko dhoonay kai liye waisa paani chaiye jaisa wadu aur ghussal

kay liye zaroori hai ?

 

 

 

A: agar sitution aisi hai jaisa kah sawal main bian ki gaye hai kah paak o napaak kapray aik saath machine main daal diye jatay hain

to zahir hai woh paani napaak hota hai . aur agar isi main sai dho (mail) kar kapron ko chamka kar dry kar kai iron kar dia jaye to

sharaan yah kapray paak nahin hongay aur inhain pahan kar namaz parhi jaye to ada nahin ho gi kionkah taharat labaas namaz kay

liye sharat hai but agar machine main yah arrangement hai kah woh istamaal shuda paani ko bahir nikaal daiti hai ya paani is sai bahir

nikaal dia jata hai aur is kay baad taza paak paani daal kar kapron ko paak kar lia jata hai jaisa kah aaj kal gharon main normally

automatic machines main yah facility mojood hai to kapray sharaan paak ho jatay hain . machine automatic na bhi ho to pahlay istmaal

kiye hoye paani ko nikal kar again paani dala ja sakta hai ya kapron ko bahir nikal kar pani main aik do baar bhigoo kar nachora(wring)

ja sakta hai-

masalay ki yah tafseel hum nai un logon kay liye daraj ki hai jo mumkinah hadd tak shari ahtiat par amal karna chahtay hain aur

duniawi (wordly) muamlaat ki tarah deeni muamlaat main bhi apnay qalbi itminaan ki had tak tahkeek kar kay is par amal kartay hain

otherwise khaalis fiqhi (according to fiqh) jawab yah hai kah agar kisi shakhs ko dry clean kay saaray tareekay ka yakeeni ilam (not

to be sure) na ho to sirf shakk ki base pai kapray ka hukam change na hoga balkah apni sabika (last) condition par barkaraar(as it is)

raya ga yaani agar dry clean kiye jaanay sai pahlay sharaan paak tha to ab bhi paak samjha jaye ga aur agar pahlay napaak tha

to dry clean kay baad bhi wohi hukam rahay ga .wazah ( clearly) rahay kah kapray mailay aur ujla (clean) hona aur baat hai ,aur

sharaan paak o napaak hona aur baat hai

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

(salam)

 

pyari islami behnon yahan ham islami masail disscuss keraingay or hawalon k sath un k jawabat disscuss keraingay ager kisi islami behan k pas general problems k baray mein material hay koi fatwa ya kisi mufti sahib ka jawab ya ameereahlesunnat k madani muzakray ka hawala to wo zaroor share karain (ja)

 

 

 

c925faa772.jpg

Edited by IQRA
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

meethi meethi islami behnon kia orat naqli palkain(eye lashes) or naqli baal(wig) laga sakti hay ya nahi

is baray mein allama mufti abbas razawi damat barkatuhum ul aila ka ye jawab sunye:

orat ka naqli baal or palkain lagana

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

pyari islami behnon kia orat apnay shoher k liye eye brows banwasakti hay ya nahi is baray mein ameereahlesunnat damat barkatuhum ul aliya ki zabani sunain:

kia orat apnay shoher k liye singhar kersakti hay

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

pyari islami behnon kia khawateen loud speeker per naten parh sati hain ya nahin,Allama shah turab ul haq qadri madda zillu hul ali is k baray mein hamari rehnumai farmatay hain:

loud speeker per naat

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...