Jump to content

Azan-E-Khutba


Mansor

تجویز کردہ جواب

Quran e Karim mai Allah azzawajal nay Nabi e Kareem Aleh salato wasalam par jahan Durood o Salam parhne ka Hukum Irshad farmaya hai woh Mutlaq hai yani kisi Khass waqt mai parhnay ka Amr nahi farmaya. Aur Mutlaq ka qaida yeh hota hai kay bagair daleel kay us ko Muqayyad karna Jaiz nahi. Lehaza un Auqat o Maqam kay elawa jahan Durood o Salam parhna mana kia jata hai maslan Maqam-e-Najasat wagerah, har Waqt o Maqam mai Durood o Salam parhna jaiz hai. Lehaza Azan-e-Khutba ho ya aur koi dosri Azan, is kay qabl aur baad Durood o Salam parhna  jaiz hai. Lakin is baat ko Yaqeeni banaaya jaye kay Azan aur Durood o Salam kay darmayan Faasla kia jaye ta kay koi is ko Azan ka Hissa na samjhay. Neez is ko lazmi o Zarori na samjha jaye bal kay Ihyanan is ko tark bhi kia jaye aur jahan Khutba ki azan se pehlay Durood o Salam na parha jata ho aur is ka urf na ho wahan shroo karne mai Hikmat e amli ko malhooz rakha jaye, Jazbat kay talatum mai na baha jaye.
 
Allah knows the best

Imam Bukhari Institute
C-200 block J, North Nazimabad
Karachi, Pakistan
Edited by Mustafaye
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...