Jump to content

Ihtiraz Ka Jawab: Ala Hazrat Ka Deobandiat Kee Taraf Teen Firkoon Ka Mansoob Kerna.


MuhammedAli

تجویز کردہ جواب

Asslamualaikum

HASSAMUL HARMAIN PAR 1 AITRAZ HAI

MOLVI AHMAD RAZA SB KA 3 ULAMA E DEOBAND KI TARAF 3 FIRQON KA MANSOOB KARNA JHOOT HAI KIUN KI YEH TEENO HAZRAAT EK HI JAMA'AT KE AKABIR ULAMA HAIN. AUR AAP KE RADD KA HASIL MAI NE YEH BATAYA THA KI AAP KAH RAHE HAIN KI 3NO ULAMA KI TARAF 3 FIRQE NAHI MANSOOB KIYE HAIN BALKI 3NO KE LIYE EK MUSHTARAK LAFZ ISTEMAL KAR KE 3NO KO 1 HI FIRQE KI 3 SHAKHAIN BATAYI HAIN AAP KE RADD PAR MAI NE ITIRAZ KIYA THA KI AAP KA YEH RADD GALAT HAI KIUN KI AGAR AISA HOTA TO 2SRA, 3SRA AUR 4THA FIRQA KA LAFZ ISTEMAL NA KARTE KIUN KI MUSTAQIL FIRQA ZIKR KARNE KI TA'BEER ALAG HAI AUR SHAKHAIN ZIKR KARNE KI TA'BEER ALAGA HAI AUR YEH FARAQ KHUD MOVI AHMAD RAZA SB KI IBARAT ME HI MAUJOOD HAI JIS KI TARAF MAI NE ISHARA BHI KIYA THA WAZEH RAHE KI "HUSAMULHARAMAIN" ME "PAHLA FIRQA, DUSRA FIRQA, TEESRA FIRQA AUR CHAUTHA FIRQA" KA LAFZ ISTEMAL KAR KE 4 FIRQE ZIKR KIYE GAYE HAIN, JIS ME DUSRE FIRQE KI 3 SHAKHAIN (ameeriya, nazeeriya,qasmiya) BHI ZIKR KI GAYI HAIN MAGAR UN SHAKHON KO ZIKR KARTE WAQT "FIRQA" KA LAFZ ISTEMAL NAHI KIYA HAI, GAR TEENO ULAMA KI TARAF MANSOOB KIYE FIRQE SIRF DUSRE FIRQE (wahabiya,amsaliya aur khawatimiya) KI 3 SHAKHAIN (qasmiya, kazzabiya, shaitaniya) HOTI TO IS KE LIYE FIRQE KA LAFZ ISTEMAL NA KARTE, AUR KITAB ME 4 FIRQON KE BAJAYE SIRF 2 FIRQON KA ZIKR HOTA AUR DUSRE FIRQE KI 3 SHAKHAIN HOTI MAGAR AISA NAHI HAI BALKI SAF SAF 4 FIRQON KA ZIKR HAI AUR HAN FIRQA KE MA'NA "QAUM", "JAMA'AT" AUR "GIROH" HAIN (firozullugaat page 930) KISI EK SHAKHS KA NAM FIRQA NAHI HOTA LIHAZA 3 ULAMA E DEOBAND KI TARAF MOLVI AHMAD RAZA SB NE JO FIRQE MANSOOB KIYA HAIN HAR EK ME SE KAM SE KAM ITNE LOGO KA NAM BHI BATAIYE JIS PAR FIRQE KA ITLAQ HO SAKE TAKI UN FIRQON KA WUJOOD MA'LOOM HO SAKE WARNA YEH FARZI FIRQE QARAR PAYENGE

 

 

Meh Wahhabi'at kee wazahat kerta hoon:

 

- Wahhabi Muqallid: Saudi Hanbali Wahhabi's and Wahhabi Deobandi's

 

- Wahhabi Ghair muqallid: Ahle Hadith.

 

Aur Wahhabi Deobandiyyah kee shakhen:

 

- Deobandi ismailiyyah - woh logh joh Ismaeel Dehalvi aur us kee kitab; taqwiyatul emaan per imaan lahay.

 

- Deobandi Qasimiyyah (Khatamiyyah) - woh firqa jinoon nay Qasim Nanotavi ko mana aur Tadhir Un Naas per imaan lahay.

 

- Deobandi Kazzabiyyah - Those who believed it is possible for Allah to lie and Allah has lied. Allah can do all the evil which creation can do.

 

- Deobandi Shaytaniyyah - Those who attributed knowledge of  ghayb to shaytaan but refused to beleive in ilm ghayb of Prophet sallalahu alayhi was'sallam.

 

Sayyidi Ala Hazrat nay yeh naam is leyeh istimal keeyeh keun kay jis zamanay meh Ala Hazrat nay kitab hassam ul haramain likhi us waqt ek mutfiqqa Deobandi firqa mojood nahin thah.  Balkay Deobandi firqa majomoi tor per baad meh namudar huwa. Misaal kay tor per Qasim Nanotavi kee Tadhir un Naas ka kissi nay be saath nah deeya, balkay Thanvi, Rasheed Ahmed Gangohi waghera nay be kuch saath nah deeya. Us zamanay meh Qasim Nanotavi akela apnay mureedoon kay saath chupta phirta thah aur jistera aaj kay dowr meh har deobandi Qasim Nanotavi ko apna peshwa aur muqtada aur bani manta heh us dawr meh esa nahin thah. Balkay joh us dawr meh madrassa Deoband say mansoob thay woh unoon nay bee Qasim Nanotavi ka kohi saath nah deeya. Magar baad meh Qasim Nanotavi kee takfir ka masla barta raha aur 1930's meh Tadhir Un Naas aur Qasim Nanotavi kay kuffr ka difa kerna aam huwa.

 

Yeh jitnay bee logh thay ek uniform FIRQAY kay saath mashoor nahin thay balkay individuals thay. Yeh 1950s SAY LEH ker 1980'S KAY munazra dawr meh yeh panch banday Deobandiyoon kee jammat kee nishani banay aur issee dawr meh in logoon kay aqahid ko aam keeya gaya aur har deobandi bacha bacha in kay nazriyat say waqif huwa aur is waja say firqa Deobandiat ki bunyaad bani. Is say pehlay sirf Ahle Sunnat Wal Jammat ka ek firqa thah. Aur haqiqat  yeh heh kay yeh logh Muhammad bin Abdul Wahhab kee talimat say mutasir huway aur Ahle Sunnat kay aqahid o nazriyat say door huway.

 

Wahhabiyat say mutasir honay kay baad Deobandi uqabireen nay apni new aqahid banahay. Jis zamanay meh Ala Hazrat nay in kay khilaaf likha thah us waqt Deobandi jammat joh mashoor thee us ka aqeedah Qasim Nanotavi wali Tadhir Un Naas per nahin thah balkay sab khatam un nabiyeen ba mana aakhiri nabi mantay thay magar Qasim Nanotavi nay Khatam ba mana itsaaf zaati ba wasf e nabuwat baad meh likha. Aur yeh baad meh Deobandi Jammat ka aqeedah bana. Qasim Nanotavi sahib bee Deobandi'at meh ek new concept peda keeya yehni khatam ba mana itsaaf zaati ba wasf e nabuwat aur yeh new concept joh baad meh ahay un meh mashoor huwa aur un ka aqeedah bana. Issee tera Ismailiyyah, Kazzabiyyah, Shaytaniyyah, Qasimiyyah [Khatamiyyah] yeh sab firqay mainstream Deobandi nahin thay magar yeh baad meh mojmo'ee tor per ek firqa kay nazriyat banay jissay aaj ham Deobandiat say jantay hen. Jis ka saboot agar aap nay dekhna ho toh Kitab Zalzala per lenh. Is kitaab meh us zamanay kay mainstream Deobandi firqay kay aqahid aur us kay saath hee joh aqahid o nazriyat Qasim nanotavi, Rasheed Ahmad Gangohi, Ashraf Ali Thanvi,  Ismail Dehalvi, Khalil Ambethvi kay aqahid ek side per aur dosri side par puranay zamanay kay Deobandiyoon kay aqahid dosri side per. Jis say sabat hota heh kay Ismail Dehalvi say pehlay walay Deobandiyoon kay aqahid aur thay aur joh aaj kay Deobandi hen in kay aqahid aur hen.

 

Alhasil asal waja Sayyidi Ala Hazrat nay in ko ilada firqeh likha yeh thee kay us zamanay meh jistera aaj yeh sab firqeh combine ho ker ek firqay kay naam say mashoor huway hen esa firqa Sayyidi Ala Hazrat kay zamanay meh nahin thah. Is leyeh Sayyidi Ala Hazrat nay Ahle Sunnat say baghawat balkay apnay haqiqi deobandi nazriyat say baghawat kee waja say in ko ilada ilada firqa likha. Jistera aaj Deobandi Hayati mainstream Deobandi ginnay jatay hen aur Mamati Deobandi biddati zindeeq. Sirf doh masail per in ko ilada firqa tehraya gaya heh. Aur Qasim Nanotavi sahib aur in panch hazrat nay toh beesiyoon esa nazirayat pesh keeyeh hen joh Ahle Sunnat aur Deoband kee asal kay khilaaf hen toh is ko ilada firqa likha kesay jaiz nahin? Yeh aur baat heh kay yeh saray nazriyat jin ko Ala Hazrat nay ilada ilada firqa likha zamana baad meh ek hee firka meh aa ker jama huway jissay aaj ham Deobandiat kehtay hen.

 

Deobandi Hayati aur Deobandi Mamati ek ee firqa kee doh branchen hen. Hayati firqa Mamatiyoon ko Deobandi nahin manta aur Mamati firqa hayatiyoon ko Deobandi tasleem nahin krta. Masla sama e mauta aur hayat bad az wafat kay doh masloon per ek dosray ko firqa Deobandiyya say kharaj ker detay hen balkay new firqa tehratay hen. Sayyidi Ala Hazrat nay is'see bunyaad per, yehni chand ikhtilafat kee bunyaad per Deobandiyoon meh mukhtalaf firqoon ka zikr keeya. Aur un ko Deobandi Ismailiyyah, Deobandi Qasimiyyah, Deobandi Kazzabiyyah, Deobandi Shaytaniyyah aur Ghair muqalideen kay firqay ko Wahhabi Nazeeriyyah tehraya.

Jab yeh waziya ho gaya kay Ala Hazrat nay keun in ko ilada firqeh tehraya aur yeh ek firqa kesay banay. Abh agar kohi sayyidi Ala Hazrat kee shaan meh bakwas keray toh us kay maan kay kirdaar aur us kay haml per shak hona chahyeh. Keun kay halal asal wala kabi bughz e Ala Hazrat meh mubtila nahin ho sakta.

 

[Editing: Is Paragraph: "Deobandi Hayati aur Deobandi Mamati ek ee ... aur Ghair muqalideen kay firqay ko Wahhabi Nazeeriyyah tehraya." ko aakhar meh laya. Aur ibarat wazia nahin thee is leyeh us meh in ilfaaz ka izafa keeya: "... balkay new firqa tehratay hen." aur "... yehni chand ikhtilafat kee bunyaad per ..."]

Muhammed Ali Razavi

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

ahmad raza sahab ne 4 Firqe kyu kiye?

 

Ye sarasar jhoot hua ya nahi?

 

al muhannad se sabit hota hai ye 1 hi firqa hai agr alag alg hote to har 4 firqo 4 alg books likhi jati

Al Muhannad say ek firqa sabat nahin hota balkay Deobandi firqa kay andar aur firqeh peda huway sabat hota heh. Joh aqaid al muhannad meh hen kia woh sab aqahid saray Deobandiyoon kay thay? Al Muhannad meh Qasim Nanotavi, Rashid Ahmad Gangohi, Khalil Ambethvi, Ashraf Ali Thanvi, Ismail Dehalvi kay aqahid ko nahin likha gaya balkay joh in kay khilaf thah likha gaya.

 

Al Muhannad meh Qasim Nanotavi ka aqeedah kay khatam ba mana itsaaf zaati ba wasft e nabuwat nahin likha gaya. Yeh aqeedah be nahin likha gaya; Khatamiat e Muhammadi kay baad nabi peda ho jahay toh phir bi khatamiat e muhammadi meh farq nahin peray ga [keun kay (baqaul Qasim nanotavi ki philosophy) Hazoor Khatam ba mana Zaati Nabuwat aur Zaati Nabi hen joh auroon kee Nabuwat jari kerta heh aur us kee nubawat kissi aur makhlooq nay jari nahin kee.][1] Baz ilm e ghayb jannay meh pagaloon, bachoon, janwaroon, keeray makoroon,per RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko kohi takhsees nahin, yeh Ashraf Ali Thanvi ka aqeedah nahin likha gaya. Ismail Dehalvi ka aqeedah kay Hazoor mar ker matti meh mil gahay yeh aqeedah nahin likha gaya, waghera ... wagehera...

 

Meri post per ghor o fikr keren joh meh nay pehlay likhi heh. Us ka alhasal yeh thah; Ala Hazrat kay zamanay meh Deobandi mainstream kay aqahid aur nazriat aur thay. Thanvi, Dehalvi, Nanotavi, Ambethvi, Gangohi, panchoon hazrat kay nazriyat Deobandi mainstream kay aqahid nahin thay balkay us waqt yeh new concepts thay jin ko aam Deobandi aur majority of Deobandi firqa kay maulvi be nahin mantay thay. In panchoon kay aqahid o nazriat baad meh modern Deobandi firqa kay nazriat banay aur is meh Al Muhannad ka khasa kirdar heh. Keun kay pehaly wala firqa aur thah aur yeh panchoon offshoot thay mainstream Deobandi firqay kee is leyeh Sayyidi Ala Hazrat nay in kay nazriyat ko ilada firkoon kay nazriat likha. Jistera aaj kay mojooda dawr meh Mamati firqa Deobandi mainstream say sirf ginti kay do masail per ikhtilaaf kerta heh magar us ko firqa Mamatiyyah ka title deeya gaya heh. Is'see tera in panchoon kay nazriyat us zamanay kay Deobandiyoon say mukhtalaf thay aur is ka saboot Al muhannad meh hee aap ko milay ga kay asal meh Deobandiyoon kay aqahid kia hen aur in panchoon nay joh likhay woh us kay khilaf hen. Is waja say Sayyidi Ala Hazrat nay in panchoon kay nazriyat ko ilada ilada firqa likha. Magar is ka matlab yeh nahin kay woh main branch say ilada huway. Meh aap ko ek asaan misaal deh ker samjata hoon.

 

Khawarij is main sect and its branches magar us kay subsects: 1- Al muhakkimah 2- Al Azariqa 3- al najadat 4- al bayhassiya 5-al thalibah 6-al sufriyyah hen. Yeh ilada firqay be ginnay jatay hen aur Khawarij kay subsects be ginnay jatay hen. Ala Hazrat nay is'see tera in panchoon kay nazriat ko ilada firqa ginna keun kay in kay nazriat Deobandi mainstream say different thay magar baad meh in panchoon kay nazriat mainstream Deobandi firqa kay aqahid banay jissay ham aaj Deobandiat kehtay hen. Keun kay zamanay kay mutabiq aqahid o nazriat badlay is leyeh ham aaj apnay zamanay kay lehaz say in panchoon kay aqahid o nazriat ko Deobandiat kay naam say pehchantay hen aur us zamanay meh keun kay in logoon kay nazriat mainstream Deobandi aqeeda nahin thay is leyeh ki kay aqahid ko subsect kay tor per firqa likha.

 

Is say ziyada wazahat kee tawaqoh nah rakhyeh ga.

 

Footnotes:

 

[1] Is ka matlab yeh huwa kay Khatamiat meh farq pernay kay leyeh jab taq kohi nabi itsaaf zaati ba wasf e nabuwat nah peda ho khatamiat meh farq nahin per sakta joh kay kufr sarri heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

muhammad ali sahab mujhe jawab kuch thik nahi laga

 

Nazariya alg bat hai aur kisiko firqe ki tarf mansoob krna alg bat hai jbke thanvi ki kitabo aur dusri kitabo se sabit hota hai ye 1 hi firqa tha inke aqaid me koi farq nahi tha aur al muhannad to khaleel ambethavi ki likhi hai jo khud hassam ke fatwe me hai to agr alg the to usne 4 ka jawab likha hai

 

Matlb ek hi firqa hua

Link to comment
Share on other sites

muhammad ali sahab mujhe jawab kuch thik nahi laga

 

Nazariya alg bat hai aur kisiko firqe ki tarf mansoob krna alg bat hai jbke thanvi ki kitabo aur dusri kitabo se sabit hota hai ye 1 hi firqa tha inke aqaid me koi farq nahi tha aur al muhannad to khaleel ambethavi ki likhi hai jo khud hassam ke fatwe me hai to agr alg the to usne 4 ka jawab likha hai

 

Matlb ek hi firqa hua

 

As salamu alaqyum wr wb

 

Ya aap samajnay say qasir hen ya samajna chahtay nahin hen. Wazahat bari simple aur straight forward heh agar banda sirf qiyaas say andaza laga sakta heh kay joh meh nay likha heh jaiz aur darust heh. Tareekh ka ilm hona zeroori nahin. Baqi joh meh likha heh woh kafi heh. Jis kay leyeh Allah kee taraf say hidayat hoti heh woh ek do linoon say haq ka rasta talash ker leta heh, aur jin ka muqaddar gumrahi heh un kay leyeh char lenoon walay motorways be kafi nahin hen.Meray baee jahan taq meri aqal paunchi aur jahan taq mujjay ilm heh meh nay likh deeya agar aap motmin nahin toh samaj lenh kay is maslay kaymutaliq khadam nay apna sara ilm aur feham sirf ker deeya heh aur meh apni qaballiyat say ziyada kuch nahin ker sakta.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...