Jump to content

Ala Hazrath Aur Bidat Ka Khatma.


wasim raza

تجویز کردہ جواب

»»»► (1) Sajda ALLAH ke

siwa kisi ke liye nahi. Gairullah ko Sajda e

Ibadat Shirk Aur Sajda e

Ta’azimi Haraam hai. (Azzubdatuz Zakiyya,

Safa -5) »»»► (2) Roza e Anwar

ka na Tawaf karo, na

Sajda, na itna jhuko ke

Rooku ke barabar Ho. Huzoor sallallahu alaihi

wasallam ki ta’azeem

unki Ita'at me hai. (Fatawa Razawiya,

10 /769) »»»► (3) Mazar ka

Tawaf ba-niyyat

Ta’azeem najaiz hai. Tawaf sirf ka’abe ke liye

makhsus hai. (Fatawa Razawiya,

4/08) »»»► (4) Khabardar

(Huzoor sallallahu alaihi

wasallam ke Roza ki)

jaali ko bosa dene ya

haath lagane se bacho ke

ye Khilafe adab hai, Balke 4 haath ke faasle

se zyada qareeb na jaao. Ye un ki rehmat kya kam

hai ke apne huzur

bulwaya. (Fatawa Razawiya,

10 /765) »»»► (5) Farzi mazaar

banana aur us ke saath

asl ka sa muamla karna

najaiz Aur Bid'at hai. (Fatawa Razawiya,

9/425) »»»► (6) Jis waqt

•Aurat• (Mazar parjaane

ke liye) ghar se irada

karti hai la'anat shuru ho

jaati hai aur jab tak

wapis aati hai, mala’ika la'anat karte rehte hain. Siwaye Roza e Rasool ke

kisi mazaar par jaane ki

ijazat nahi, Ke wo Zarya

e Magfirat hai. (Malfuzat, Safa -240) »»»► (7) Mazaamir ya’ni

Aalat e lahwo la'ab

(Musical instruments)

bila shuba haraam hain.

Jin ki hurmat Auliya aur

Ulema ke kalimaat me wazeh hai. Unke sunne sunane ke

Gunah hone me shak

nahi. Aur Saadaat e Chisht ki

taraf unki nisbat iftera

hai. (Fatawa Razawiya,

10/54) »»»► (8) Randiyo ka

Naach be-shak Haraam

hai. Be-qaid jaahilo ne ye

ma’asiyat phelayi hai. (Fatawa Razawiya,

29/92) »»»► (9) Aatish baazi

israaf hai aur Israaf

haraam hai, Khane ka aise lutana be-

adabi Aur Be-adabi

mehroomi hai, Maal ka

israf hai. Roshni agar

masaliha e shariya

Sekhali ho to wo bhi israaf hai. (Fatawa Razawiya,

24/112) »»»► (10) Qabro ki taraf

Shama le jaana ye Bid'at

aur Maal ko zaaya karna

hai. (Al Bareequl Manaar,

Safa -9) »»»► (13) Mazar par jab

chadar majood ho,

Kharab na hui ho,

Badalneki haajat nahi to

chaadar chadhana

Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf

karen, wo ALLAH ke wali

ko isaale sawab karne ke

liye kisi mohtaj ko den. (Ahkaam e Shariyat, Jild

-1/42) »»»► (14) Kisi ne agar

►'Taaziye'par Mannat

maani to ye Nazar baatil

aur najaiz hai. (Fatawa Razawiya,

24/501) »»»► (15) (Mazaar par

Dua ka tareeqa) : Fatiha ke baad Sahibe

mazaar ke Waseele se

Allah se Dua karen Aur

apni jaaiz murad pesh

karen. Phir Salam karte hue

wapis aayen. Mazaar ko na haath

lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na-

jaaiz hai Aur Sajda

Haraam hai. (Fatawa Razawiya,

9/522)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...