Jump to content

Zaeef Hadees.


wasim raza

تجویز کردہ جواب

ZAEEF HADEES BHI

FAZEELAT KE AMAL ME

QAWI MAANI JATI HAI:

.

Fazail a’maal aur Baab

Manaqib me amuman Ahadeesa kaetbar kiya

jata

hai, Isliye munasib

malum hota hai ki yahan

par un baaz qarain ka

zikr kar diya jaye jinke bina

par Zaeef Hadees Qawi

ho jati hai aur uska zof

jata rehta hai.

Pehli surat ye hai ki jab

. 1: Hadees Zaeef mu’tad

isaaniyad se marwi ho

to wo Hasan Leghairihi

ho

jati hai, chunanche

tamam mustanad Usool- e-Hadees ki kitabo me ye

masla

marqum hai, Mohaqqiq

ala Itlaq Imam Ibne

Hammam ne bhi (Fateh-

ul-Qadee r J-1, S-248, Matbua Misr)

me isko wazahat se

bayan kiya hai.

Aur Allama Sho’rani

likhte hain:

. 2: ‘Jab Hadees zaeef

Mu’tad isnaadiyat se

marwi ho to jamhur

Muhaddesin

isse istedlal karte hain

aur isko gaah-e-Saheeh ke sath aurGaah-e-Hasan

ke sath La-Haq karte

hain.’

(Meezanunsh Shariatul

Kubra, J-1,S-68)

By: Imam Abdul Wahhab Sho’rani.

.

Dusri surat ye hai ki jab

kisi Hadees Zaeef ke

mawafiq, Mujtahdeen

me se kisi ka qaul mil jaye, to

usse bhi Hadees Zaeef ki

taqwiyyat hojati

hai, yani wo Mazbut ho

jati hai.

ChunancheAllama Shaami likhte hain:

.

3: Mujtahid jab kisi

Hadees se istedlal kare

to uska istedlal bhi

Hadees ke Saheeh hone ki dalil

hai, Jis tarah Tehrir me

Imam Ibne Hammam ne

tehqiq farmayi hai.

(Raddul Muhtar, J-4,S-1)

By: Allama Ibne Aabedin Shaami Matoofi 1252.

.

Teesri surat ye hai ki

agar kisi Zaeef Hadees ke

mawafiq Ahle Ilm me se

kisi ka Qaul ho to ussebhi Hadees qawi ho

jati hai, chunanche

Imam

Tirmizi Hadees ‘Iza ti

Ahadokumus salaata wal

Imam Ali Haalal Hadees’ ke

tehet likhte hain.

‘Haaza Hadees Ghareeb

La Nu’refo Ahadus Sanad

Al-imarawi min Haazal

wajah wal amal ala Haaza Inda Ahlal Ilm’

Mulla Ali Qari iski Sharah

me likhte hai.,

.

4: Allama Nawawi

farmate hain ki ye Hadees Zaeef hai aur

Imam Tirmizi

Ahle Ilm ke amal seis

Hadees ki taqwiyat ka

irada farma rahe hain.

(Mirqaat J-3,S-98) By: Mulla Ali Qari Matoofi

1014 Hijri.

.

Chauthi surat ye hai

kibaaz Auqat Saalehin ke

amal se bhi Hadeeski taqwiyat ho jati hai.

Chunanche Salaatut

Tasbeeh jis riwayat se

sabit

hai, wo Hadees zaeef hai

aur haakim aurBaihqi ne iski taqwiyat ki waja

ye batai hai ki Abdullah

Bin Mubarak ke amal ki

waja se ye Hadees

taqwiyat paa gayi.

Chunanche Maulana Abdul Khi likhte hain,

.

5: Allam Baihaqi likhte

hain ki Abdullah bin

Mubarak, Sallatut

Tasbeeh padha karte the aurBaad

ke tamam Ulama isko ek

dusre se naqal karke

padhte rahe, is Waja se

is Hadees marfuko

taqwiyat mil gayi. Ye qawi ho

gayi.

(Al Asaarul Marfooa,

S-23)

By: Maaulana Abdul Khi

Matoofi 1304 Hijri. .

6: Muslim Sharif ki

Sharah likhne wale

Allama Nawawi likhte

hain.

‘Hazraat muhaddesin,fuqh a, aur deegar ulama-e-kiram

farmate hain ki

Fazail A’maal, Targheeb

aur Tarheebme Hadees

zaeef par amal karna

mustahab(Behtar ) hai,jabki wo mauzu na

holekin halal aur haram

ke

ehkaammaslan, bai’e

nikah, aur talaq

wagairah me Hadees Saheeh ya Hasan

ke siwa aur kisi par amal

durust nahi illa ye ki

isme ehtiyat ho, maslan

bai’ ya nikah ki karahat

me koi Hadeeszaeef waarid ho.’

(Sharah Muslim Nawawi

alal Muslim, J-1, S-21)

By: Abu Zakariya Yahya

bin Sharaf Nawawi

Matoofi 676 Hijri. .

.

.

In Tamam Usool-E-

Ahadees se saaf zahir hota hai ki Zaeef

Hadeese bhi ye

Shartein maujud

honepar Qawi ho jati

hain aur Ehkaam me

nahi lekin Fazeelat ke maslo

parZaeef Hadees ko bhi

shumar kiya jata hai aur

use

qawi maana jata hai.

. Fazeelat me wo amal

shumar hote hain, jinko

karne se sawab milta

hai, lekin chhodne per

gunah nahi milta,

jaise- Salat-o-Salam padhna, Azan se

pehleDarud-o-Sa lam padhna, Fateha

Dilana, Urs manana, Nabi

alaihesalam ke naam par

anguthe chumna,

Buzurgo

ke hath paaon chumna, etc.

Lehaza in fazeelat wale

a’maalo ke liye Zaeef

Hadees ko bhi Qawi

maana jata hai.

Yehi Hadeeso ka Usool hai, jo ki

tamamMuhaddesin ne bayan kiya hai.

Ab agar koi Wahabi apni

marzi se hi koi

Usoolbana le aur fazeelat

ke

amal me bhi Hadees koZaeef kehkar inkar

karta rahe to ye uski

jehalat

hai, aur kuch nahi.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...