wasim raza مراسلہ: 18 اگست 2013 Report Share مراسلہ: 18 اگست 2013 ABDUL MUSTAFA AALA HAZRAT Faziley Barelvi Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Se Muhabbat Ki Vajah- Shayar Galib Likhta Hain: Haan Wo Nahi Khuda Parast Jao Wo BeWafa Sahi, Jisko Ho Jaan-o-Dil Azeez Uski Gali Me Jaaye Kyu… Uski Gali Chhod Kar Jaane Waale Kahi Ka Nahi Rehta HAIN, Duniya O Aakhirat Dono Jagah Jaleel-o-Khwaar Hota Hain, Dar Ba-Dar Bhatkta Rehta Hain Thokar Khata Rehta Hain.. Aur Wo Farmate Hain: Phir Ke Gali-Gali Tabaah Thokrein Sab Ki Khaaye Kyu, Dil Ko Jo Aql De KHUDA Teri Gali Se Jaaye Kyu…. Aashiq-e-RASOOL To WO Hain Jo Ye Farmaye : Dozakh Ki Aag Ko Bujhaane Ka EK Hi Tarika Hain, Aaqa-e-Do Jahaan SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ki Muhabbat Ki Aag Apne Dil Me Jalaye Rakhiye… Ishq e Mustafa Ki Aag Dil Mein Jala Lijiye Kyu Ki Ye Hi Aag Lagaoge To Isi Aag Ko Bujhaoge.. Yu Farmaya: Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Chhute Saste, Jo Aag Bujha Degi Wo Aag Laga Li Hain….. Aur Aashiq-e-MUSTAF A To Wo Hain Jo Farmaye: Jiski Dosti Aur Dushmani Sirf Sarkar SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ki Jaat Par Ho… Shaah e RAZA Ko Usi Se Se tlluq Hain Jisko Sarkar SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Se Talluq Hain, Jo Unka Pyara Hain SARKAR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ka Pyara Hain…. Log AALA HAZRAT ABDUL MUSTAFA IMAAM AHMED RAZA KHAN FAZILEY BARELVI Ki Shiddat Ki Shikayat Karte Hain Lekin UnhoneKabhi Ishq Kiya Ho To Unhe Pata Chale Ki Muhabbat Me Mehboob Ki Shaan Me Koi Gustakhi Kare To Aashiq Ke Jazbaat Ki Shiddat Kya Hoti Hain….. Isliye Imaam RAZA Farmate Hain: Dushman-e-AHMAD Pe Shiddat Kijiye, Mulheedo Ki Kya Murawwat Kijiye… Gaiz Me Jal Jaaye Be- Deeno Ke Dil, Ya RasoolALLAH Ki Kasrat Kijiye…. Shirk Thehre Jisme Ta’azim-e-Habee b, Us Bure Mazhab Pe Laanat Kijiye…. Aage Farmate Hain: Momin Wo Hain Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se, Ta’azim Bhi Karta Hain Najdi To Mare Dil Se…. AALA HAZRAT Ki Tarif Kyu Karte Hain Unhe Mujaddid Kyu Kahte Hain Ham Isiliye Unhe Mujaddid Kahte HAIN Kyu Ki AAPNE Ye Bataya : “Hamara Aqeeda Hamara Mazhab o Maslak Agar Milta Hain To Wo Aqeeda-e-Risala t Se Milta Hain Sirf Aqeeda-e-Tauhee d Se Nahi Milta Kyu Ki Tauheed Ko Maan Ne Wale Bahut Se Hain, Gair Muslim Me Bhi Sikh, Yahoodi, Nasrani Aur Esaayi Tauheed Ko Maante Hain… Lekin Aapne Ye Bataya Ki Islam Us Waqt Tak Kisi Ko Nahi Apnata JabTak Wo Aqeeda-e-Risaal at Par Dil Se Imaan Na Le Aaye, Jab Tak Sarkar Ki Risalat Ko Na Maan Le….. ALHAMDOLILLAH Hame AALA HAZRAT Ki Seerat Me Shaan-e-Farooqi Nazar Aati Hain, Kyu Ki AALA HAZRAT ABDUL MUSTAFA IMAAM AHMED RAZA KHAN FAZILEY BAREILVI RADI ALLAHU TA’ALA ANHU Hamesha Shariat-e- MUSTA FA Ke Mutabiq Har Baat Quran o Hadees Se Batayi Hain…….. Aashiq –e- Rasool Kahlane Waale Bahut Hain Lekin Sadion Me Agar Kisi Ko Hamne Sachha Aashiq Paya Hain To Unka Naam SARKAR AALA HAZRAT ABDUL MUSTAFA IMAAM AHMED RAZA KHAN FAZILEY BARELVI Hain… Jab Koi Shaqhs Kahta Hain Ki Tum RAZA Ko Itna Q Maante Ho To MainTo YE Hi Kahta Hun Ki Ham Aashiq-e-Rasool Apne Aap KO Nahi Maante Ham To Itne Bade Gunahgaar Hain Ki Aashiq-e-Rasool Kahlaane Ke Layek Bhi Nahi Hain Ham To EK Aashiq-e-Rasool Ke Aashiq Hai, EK Aashiq-e- NABI Se Sachhi Muhabbat Rakhte Hain…….Hamare Liye ye Hi Bahut Badi BAAT Hain Ki Ham Ishq-e-RASOOL Rakhne Waale Se Muhababt Rakhte Hain…….. Hamare Liye MADEENE SHAREEF Tak Pahunchne Ke Liye BAREILLY SHAREEF Ki Rasaai Kafi Hain ALLAH Hame Naik Toufeeq De Aur MASLAKE AALA HAZRAT Pe Maut Naseeb Farmaye….. (Amee n) Aye RAZA Meri Iltija Kubul Kijiye- Is Nishaani Ke Jo Sag Hain Nahi Maare Jaate, Mere Galey Me Bhi Rahein Hashr Tak Patta Tera… Sag-e-RAZA- wasim raza. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Islami World مراسلہ: 28 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 28 اکتوبر 2014 Nice Post. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mubahsir مراسلہ: 29 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 29 اکتوبر 2014 Subhallah baohut hi achi post hai. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔