Secret مراسلہ: 11 اگست 2013 Report Share مراسلہ: 11 اگست 2013 (ترمیم شدہ) " Umaat kabi gumrahi pe jama nhi hogi" iss se mutaliq Hadees e Mubaraka ka Reference chahie..... ya Hadees e Pak mil jae tou bahawala send krden + Or ye Hadees b k "log Kuffar ke hwaley wali Ayaat ko Muslmano pr Chaspaan krain ge" .. Shukria! English me Chahie....! Edited 13 اگست 2013 by Secret اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
wasim raza مراسلہ: 24 اگست 2013 Report Share مراسلہ: 24 اگست 2013 (ترمیم شدہ) Ummat-e-Muhammadi Shirk Nahin karegi: ALHADEES: BAHAWALA: Sahi Muslim, Kitaab-Ul- Fazail,Hadees 30, Matbuwa Istambol Turkey TARJUMA: Hazrat Uqba bin Aamir (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat hai k, SARKAR-E-AAZAM (ALEH SALAAM) ne Shohda-e- Uhad k Pass tashreef le kar NAMAZ-E-JANAZA parhi, phir Mimbar par tashreef farma huwe, aur farmaya, "MAIN tumhara SAHARA aur tum par GAWAH hun. ALLAH TA'ALA ki Kasam main apne Hoz-E-Qausar ko is waqt bhi dekh raha hun, aur beshak mujhe Zameen k khazanon ki Kunjiyyaan ata ki gai hain, aur Beshak mujhe yeh khatra nahin k tum mere baad SHIRK karne Lago ge, mujhe is baat ka dar hai k tum Dunya k JAAL main Phans jao ge". NATEEJAH (RESULT): SARKAR-E-AZAM (ALEH SALAAM) ne apni Zaat par ALLAH TA'ALA k diye huwe INAAMAAT aur INAAYAAT ka Zikar karte huwe, ALLAH TA'ALA ki Ata kardah ILM k Zariye sadiyon ka NAQAAB ulat diya, k MAIN dekh raha hun k tum SHIRK se mehfooz raho ge. Jab SARKAAR (ALEH SALAAM) mutmaeen hain, K UMMAT, SHIRK se mehfooz rahe gi, magar MUSALMAANON par SHIRK k fatway lagane waale BECHAIN hain, In ZAALIMON ko har dusra MUSALMAAN MUSHRIK nazar ata hai, ALLAH TA'ALA aese logon ko Hidayat naseeb kare.. Aameen Edited 24 اگست 2013 by wasim raza اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
wasim raza مراسلہ: 24 اگست 2013 Report Share مراسلہ: 24 اگست 2013 (ترمیم شدہ) immam bukhari ne apni sahi me baab ke unwaan ke taur par ye Hadith Riwayath ki hai:Allah talah ka farman:Aur Allah ki shaan nahi ke woh kisi quam ko gumrah karde-is ke baad ke isne inhe hidayath se nawaz diya ho yaha takke wo inke liye wo chizen waze farmade jinse inhe parhez karna chahiye-Aur ibne Omer (raziAllahu talah anhuma) (Khawarij) Ko Allah ki Badtareen maqlook samajhty the- (kiyoun ki) inho ne Allah talah ki in ayat ko liya jo kuffar ke haq me nazil howi thi aur in ka itlaq momin par karna shuroo kardiya HADITH REF:BUKHARI FI SAHI 6/2539 and sahi bukhari 2/1024. immam bukhari ne apni sahi me baab ke unwaan ke taur par ye Hadith Riwayath ki hai:Allah talah ka farman:Aur Allah ki shaan nahi ke woh kisi quam ko gumrah karde-is ke baad ke isne inhe hidayath se nawaz diya ho yaha takke wo inke liye wo chizen waze farmade jinse inhe parhez karna chahiye-Aur ibne Omer (raziAllahu talah anhuma) (Khawarij) Ko Allah ki Badtareen maqlook samajhty the- (kiyoun ki) inho ne Allah talah ki in ayat ko liya jo kuffar ke haq me nazil howi thi aur in ka itlaq momin par karna shuroo kardiya HADITH REF:BUKHARI FI SAHI 6/2539 and sahi bukhari 2/1024. Edited 24 اگست 2013 by wasim raza اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔