Jump to content

Manqabat E Alliyul Murtaza (Karram Allahu Wajhul Kareem)


Ashiqa Barelvi

تجویز کردہ جواب

786

Kaha na jaaye, likha na jaaye, maqaam aisa hai ik wali ka

Buzurg o bartar, laqab hai Haidar, ye zikr e aali hai us Ali ka

Woh jiska Maulid hai khaana ka'ba, hai pehla manzar bhi roo e ka'ba

Abul Hasan aur Husain hai jo, suhaag hai fatima kali ka

Mah e walaayat, rah e sharee'at, woh Gaus o Khwaja ke pyare Baba

Woh jiski naslen wali hain aur khud woh baadshaah hai har ik wali ka

Woh fath e khaibar, Umar ka rehbar, woh 'ilm ke shehr ka jo hai dar

Usi ki nisbat, buland himmat wahi to bal hai har ik bali ka

Ali hain mujh se, main hun Ali se har ek momin ke woh wali hain

Yeh qaul pyaara hai Mustafa ka, ye martaba hai mere Ali ka

Sallallahu alaihi wasallam wa Raziyallahu anhum ajma'een

Ya Ali mushkil kusha al madad!

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...