Jump to content

Iman E Abu Talib

mzeeshanimtiaz

تجویز کردہ جواب

Abu Talib k iman k mutaliq ulama ki mukhtalif qol hei

Aala Hazrat(رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ) ne ye aik kitab likhi jis mein unho ne ye sabit kiya k Abu Talib baghair Iman k hi dunya se gaye thy

Aaala Hazrat(رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ) k ustad ne aik kitab likhi jis mein ye sabit kiya k Abu Talib Iman k sath dunya se gaye thy

hamei iss muamlay mein apni kia raye rakhni chahiye ???

zara tafseel se jawab dijiye ga

Aala Hazrat ki kitab

Title.jpg

Link to comment
Share on other sites

Abu Talib k iman k mutaliq ulama ki mukhtalif qol hei

Aala Hazrat(رحتہ اللہ علیہ) ne ye aik kitab likhi jis mein unho ne ye sabit kiya k Abu Talib baghair Iman k hi dunya se gaye thy

Aaala Hazrat(رحتہ اللہ علیہ) k ustad ne aik kitab likhi jis mein ye sabit kiya k Abu Talib Iman k sath dunya se gaye thy

hamei iss muamlay mein apni kia raye rakhni chahiye ???

zara tafseel se jawab dijiye ga

Aala Hazrat ki kitab

Sayyidi Ala Hadhrat Imam Ahmad Raza Khan alayhi rehma kee tehqeeq behtreen aur darust heh.  Ham sunniyoon ka qibla e ilm Ala Hazrat hen aur har Sunni ka honay be chahyeh. Khadam pehlay yahi opinion rakhta thah kay Janab e Abu Talib musalman faut huway magar Ala Hazrat kee yeh kitab kay chand saffat pernay thay aur meh nay apnay opinion say ruju ker leeya.

ye kitab thi jis kitab ki mei baat kr raha tha :-

1000427_541630422570545_1612594461_n.jpg

iss kitab k mutalik ap ki kia raye ha ?

kia ye zayada bahter nahi k iss masslay pr khamoshi hi ikhteyar ki jaye ?

kyu k iss mein Ulama ka ikhtelaf ha....

Edited by mzeeshanimtiaz
Link to comment
Share on other sites

ye kitab thi jis kitab ki mei baat kr raha tha :-

...

iss kitab k mutalik ap ki kia raye ha ?

kia ye zayada bahter nahi k iss masslay pr khamoshi hi ikhteyar ki jaye ?

kyu k iss mein Ulama ka ikhtelaf ha....

As salamu alayqum wr wb

Agar khamoshi behtr hoti to Sayyidi Ala Hazrat khamoshi ikhtiyaar kertay aur imaan e janab e Abu Talib kee tardeed nah kertay. Yeh ikhtilaaf aaj ka nahin pehlay say chala a raha heh magar phir be Ala Hazrat alayhi rehma nay iman e janab e Abu Talib kee tardeed kee aur kitaab likhi. Jee khamoshi us'see waqt taq behtr thee jab taq aap khamosh thay. Ham nay toh khamoshi ikhtiyaar kee huwi thee jis khamoshi ko aap nay torwaya aur abhi be khamoshi ikhtiyar keeyeh huway thay magar aap nay jawab per majboor keeya.

Khamoshi mofeed us'see waqt thee jab aap nay sawal nahin keeya thah. Aap ko be pata hee thah kay yeh ikhtilafi masla heh toh aap ko chehr'na nahin chahyeh thah aur abh chehr deeya heh toh mera jawab be bardasht ker lenh. Yaqeenan aap ko hee nahin auroon ko be tardeed e imaan e Janab Abu Talib per dukh huwa hoga magar woh khamosh rahay aur behtr heh aap bee chup ker jahen. Allama Ahmad bin Zayni Dahlan rahimullah alayhi ta'ala martba e ilm meh Sayyidi Ala Hazrat Imam e Ahle Sunnat kay madd e muqabil nahin ustaad hen. Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin. Is leyeh aap kissi ko be daleel bana lenh Khadam Ala Hazrat kay mowaqif ko hee sahih aur haqiqat samajta heh aur meh is'see ko biyaan keroon ga.

Khadam ko achi tera maloom heh kay kon say ikhtilafi masail hen is leyeh meh apnay dostoon aur Sunniyoon ko yahi advice deta hoon kay  Ahle Sunnat meh agar kohi masla ikhtilafi ho jahay toh Ulamah aur awaam ko total silence ikhtiyar ker lena chahyeh. Keun kay jitnay logh is maslay meh peren gay utna masla bara hoga. Aur har banday kee zabt ek jesi nahin hoti is leyeh ek side ka banda jazbat meh kuch sakht kalamat kahay toh phir dosri party kay josheelay hazrat bee bardasht nahin kertay aur phir joh un kay saath ziyadti hoti heh us kee wazahat meh mimbar, TV per char jatay hen aur phir mukhalif party kay logh apna TV channel bana ker ya apnay bandon kay samnay sara issue biyan kertay hen aur Videos YOUTUBE per ana shoroon ho jati hen.

Abhi kuch arsa pehlay hamaray Ahle Sunnat kay doh Mufti dari bilqul safed thee donoon kee. Ek nay ek maslay per Wahhabi mowaqif ko apnaya us per dosra joh traditional Ahle Sunnat aur Hanafi mowaqif ka representative thah, donoon kay darmiyan munazra huwa. Waja kia bani kay Ahle Sunnat kay representative nay dosray Mufti joh ghalti per thah us kee tanqeed kee munazra challengoon taq baat gahi, munazra huwa, aur joh baat do Muftiyoon kay darmiyan thee saray Ahle Sunnat meh pehal gaee. Aur nateeja yeh nikla kay abh is chotay say issue per do jamateh ban chuki hen joh apnay apnay mowaqif ko pehla rahi hen aur saath hee ikhtilaf ko be. Behtr yeh hota kay Ahle Sunnat Hanafi madhab ka Mufti khamosh rehta aur fatwah ussee tera deta joh Hanafi mowaqif heh aur us ko munazra waghera ka challenge taq nah leh ker jata. Nateeja kia hota, doh teen saal bad donoon buzurg faut ho jatay aur Ahle Sunnat micro sectarianism say bach jaati. Magar abh joh woh fasad chor ker jahen gay us ka nateeja Allah behtr janta heh kia nikla heh aur mazeed ki niklay ga.

Joh Aalim Sunni ho aur us ka tareeq Ahle Sunnat kay mutabiq ho aur us ka asool Ahle Sunnat wala ho agar kissi ek maslay meh kohi ghalti kerta heh toh dar guzr ker deni chahyeh. Aur agar kohi Sunni Aalim esa rawaiya ikhtiyar keray kay sirf ek, do, masail nahin balkay bot say masail meh gumrahoon kay mowaqif ko apnahay aur phir difa keray toh us kay khilaaf zeroor bolna chahyeh. Aur essee doh shakhsiyaat Tahir Ul Qadir, dosra Rafzi Shia Abdul Qadir Tenchbatwi hen. Abdul Qadir ka qibla e ilm Shiat aur Tahir Ul Qadri ka qibla e fikr western ideals kay mutabiq Islam ko banana, Shiat.

Khadam nay kafi arsa pehlay ek janab Aamir Ibrahim sahib thay joh apnay aap ko Sunni kehta thah magar Tahzir Un Naas kee ibarat ka difa aur Qasim Nanotavi, Ashraf Ali Thanvi, kay Islam kay leyeh taweelat kerta thah,  khadam nay ussay samjaya aur hujjat kay baad us kee takfir kee jis kee zubani taeed Sayyidi Irfan Shah Sahib Mashadi nay gawa kee mojoodgi meh kee. Kafi maghz mari huwi, muj per bot say ilzaam lagay, hatta kay janab Aamir sahib nay apni likhi huwi ibarat say inqaar keeya. Aur kuch nah ban pera Aamir Sahib say toh ulta mujjay kazzab, dajjal, forgerer, gustakh e Sahabah o awliyah kay ilqaab say nawaz deeya, aur nateeja kia nikla joh Sunni pehlay mutafiq thay aur Wahhabiyoon kay khilaaf qamar band ker kharay thay abh un meh ittehad toot gaya. Sufi type logh joh Tariqat, Marifat, Haqiqat, Tasawwuf, peace, tolerance, roses, choclates, cute teddy bear, kee soch waloon nay us ka saath deeya aur joh thoray maulvi type thay unoon nay mera. Nateeja kia nikla ek ittehad toota aur Wahhabiyoon ko is ka faida huwa. Ham joh pehlay un kay khilaf thay ek dosray kay khilaf ho gahay. Joh meri thori ilmi credibility thee woh gahi, joh pehlay ihtibar kertay thay abh kazzab samaj ker door ho gahay. Aur joh thori izzat reh gahi thee woh jhootay ilzamat yehni gustakh e Sahabah o Awliyah kee waja say jaati rahi. Nateeja kia nikla  joh thoray Sunni saath thay, ek, ek, kertay door ho gahay. Chalees pachas bandoon meh say sirf ek, do banday hen jinoon nay Aamir kay tactics ko samj kay saath deeya yeh Aamir sirf is leyeh MsAli per ilzaam laga raha heh kay is kee apni jaan pansi heh, magar majority door ho gai. Muj per personally is ka yeh effect huwa kay meh nay deeni mamulat say kinara kashi ker leeh aur orkut ko chor deeya. Wesay bee chor hee dena thah keun kay meray uncomprimising, unflinching attitude say saray tang thay, kohi community esi nahin thee jis say banned nah hoon aur kohi internet forum esa nahin jahan say banned nah huwa hoon apnay sakht rawaiyeh kee waja say. Hatta kay is forum say doh daffa banned ho chuka hoon pehlay. :) Magar tanhahi aur roz kee maghz mari behas say doori ka joh mujjay faida huwa. Ek dil meh narmi, aur dosra constructive kaam Ahle Sunnat kay nazriyat ko pesh kernay ka moqa milla. Aur apnay ek baee kay advice kee waja say yahan per ek dafa phir aya.

Aap kay leyeh sabak yeh heh kay ikhtilafi masail meh bila zeroorat nah peren warna eman be kho bethen gay aur dost be. Ahle Sunnat kay wastay kaam keren kissi jammat ya maulvi ko faida kay leyeh nahin. Woh rawaiya, tareeka apna-hen jis say Ahle Sunnat ko faida ho aur koshish keren kay Ahle Sunnat meh ikhtilafi masail ko forums per nah laya keren, joh Sunni bat chukay hen un ko milahen.

Link to comment
Share on other sites

وعلیکم السلام و رحمتہ اللہ و بارکاتہ

ان شاءاللہ آپ کے مشورے پر عمل کرنے کی کوشش کروں گا

جزاک اللہ

As salamu alayqum wr wb

Shukria meray baee Allah ta'ala aap ko jaza e khair deh.

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

And why should we be concerned with Shia not believing what is authentically establishd? Is your belief in Islam dependent upon their acceptance of it or on Quran and Ahadith? If Abu Talib's Iman issue was so destructive to Islam of a Muslim rest assured scholars wouldn't have disagreed with each other and agreed that it is disputed and valid difference of opinion. To believe Abu Talib died upon Kufr and Shirk and will be in hell on basis of authentic Ahadith is far better to believe he became Muslim and will enter paradise on basis of weak and fabricated Ahadith.

Link to comment
Share on other sites

Quote

Agar khamoshi behtr hoti to Sayyidi Ala Hazrat khamoshi ikhtiyaar kertay aur imaan e janab e Abu Talib kee tardeed nah kertay. 

Quote

Imam Ahmad Raza Khan alayhi rehma kee tehqeeq behtreen aur darust heh. Ham sunniyoon ka qibla e ilm Ala Hazrat hen aur har Sunni ka honay be chahyeh. Khadam pehlay yahi opinion rakhta thah kay Janab e Abu Talib musalman faut huway magar Ala Hazrat kee yeh kitab kay chand saffat pernay thay aur meh nay apnay opinion say ruju ker leeya.

Link to comment
Share on other sites

Bukhari aur Muslim ki rawayat say sachi aur suchi aur sahih aur behtreen rawayat abh Tareekh Ibn woh aur Tareekh Ibn falan mein hen. Ayn Islam aur sahih aqeedah hi tareekh ki kutub mein heh ... Bukhari shareef mein toh esi wesi har kism ki ehri gehri batenh hen. Allah kay Quran kay baad darja thiqahat Tareekhi kutub ka hee heh ... Bukhari Shareef toh un kay darjay mein bi nahin rahi. Aur Sayyidi Ala Hadhrat (rahimullah) say Mufti Hanif Qureshi behtr ho gaya. Mujtahid aur Mujadid say chawani ka Mufti afzal qubul aur daleel mein maqbool heh.

Bandoon ki aqal ka haal yeh heh kay maan-neh par aahen toh parlay darjay say bi parlay darjay ki kutub ki kahaniyoon ko ayn Islam bana lenh aur nam maneh par aahen toh Quran ki wazia ayaat ka inqaar kar denh. Aaj kay dawr mein Deen Quran Hadith ki bunyad nahin aur nah sabat hota heh aaj toh tabiat Deen heh ... joh Tabiat ko pasand aahi agar parlay darjay ki kitab mein milli baghayr sochay samjay wahi e illahi samaj kar ilmaan leh ahay. Bukhari shareef ki rawayat kay muqabileh mein abhi kahani baazi ki kitaben maqbool hen jin mein har kism ki chavlen aur khurafat darj hen.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...
As salamu alayqum wr wb
 
Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin.

کیا اس پر مزید کچھ مستند علماء اہلسنت کی رائے مل سکتی ہے ؟
Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

Assalamualaikum Bhayan,  Samajtha Hun Sab Khairiyath Se Honge, 

Bath Pe Atha Hun logo Koyi Pehele A Bathaawo Asal Mey Aala Hazrath AwLiya Allah Hai Ya Aalim Ya Khatiban(kithaab likne Wale) Hai, Agar AwLiya Allah ho Tho Ahale Bait Se Awr Abu Talib A S Sarkaar k Gharaane Se Bugz Nahi Rakhenge Kisi Haal Mey,  Magar Ala Hazrath ne kaha Hai Abu Talib A S Sarkaar Emaan Na lake Dunya Se Ruksath Huwe Teh,  Ala Hazrath ki A bath Se A Zahir Hotha Hai ki o Sarkaar Abu talib A S k Shaan Mey Ghustaki ki Hai,  Awr Rahe Aalim Tho Aalim Sirf Awr Sirf Dunya Ki Sunkar kisi Haal Mey Haqq Jane Bina Kisi Tarha ki Kithaab Lik Nahi Saktha, q ki Dushmane Ali Awr Dushmane Ahale Baith Kuch Wultha seeda Awr Najayaz Hi Bolega , Awr Dushman ki Bath Sunkar Koyi Kaise Kithaab Lik Saktha Hai  , Awr Ek Main Bath Koyi Aalim Awr Khathiban Raha Tho O  Sabse Awwal Haqq Ko Jaan Na Hai Awr Haqq Likna Hai,  Wo Jo Haqq Ko Samje Bina Likha Tho Wohi Asal Mey Jhuut Hai.. 

Link to comment
Share on other sites

On 10/15/2018 at 10:16 AM, Mohammad Ajju Airaawatha Qaadri said:

Assalamualaikum Bhayan,  Samajtha Hun Sab Khairiyath Se Honge,

.... 

Sayyidi Ala Hadrat rahimullah alayhi ta'ala nah sirf Wali thay woh apnay zamana mein Ghawth bi thay, sirf Aalim nahin thay, woh Mujtahid aur Mujadid, Mufassir aur Muhaddith bi thay. Idhar hammen nay lecture deh jah sheeshay mein apna moonh dekh aur Allah ki lannat jis par bars rahi heh dekh kar pechan leh. Rafzi khabeesa ko Taqqiyah mein Qadri honay ka makr bi aa gaya.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

Bhaiyon.. mere kuch simple sawaal hai is topic mein... jinse jawaab khud ba khud ayaan hojayega ahle aql ko.

1. Aala hazrath ne Hazrath Abu taalib ko kaafir maana aur likha bhi.

2. Aala hazrath ke ustaad Hz Abu Taalib ko musalmaan maane

3. Ahle sunnah ke nazdeek ek maqbool fatwa (shayad Fatawa Alamgir me ya Fatawa Razviyya me hai) hai ke jo kaafir ko kaafir na maane, wo khud bhi kaafir hojaata hai

In ilmi nuqton se ye mere neeche sawaal hain..

a. To kya Aala hazrat ke ustaad jinhone Abu Talib ko kaafir nahin maana wo khud kaafir hogaye (mazallah..)?

b. To phir kya Alaa hazrat ne kaafir se ilm haasil kiya?

c. Aur Alaa hazrat ka un deegar ulema e ahle sunnah aur auliya ke baare me kya fatwa hai jinhone Abu Talib ko ahle imaan maana?

d. Kya kaafir se ahadith ki riwayath li jasktri hai? To phir ahadith ke kitaabom me Abu Talib se riwayath ahadith kyun hain?

e. Hz Abdul Mutallib imaanwale the ya nahin? Hz Abu Talib agar Hz Abdul Mutallib ke hi deen pe hain to ahle imaan kyun na huye.. jabke imaan ke liye qubooliyat e nubuwat ko hz Abu Talib pehle hi qubool kar chuke the.. ye kehkar ke Aaqa kareem s.a.w.s ne kabhi jhoot nahi kahe aur aaqa pe naat shareef bhi to Abu Taalib hi ne padhi thi...

f. Imaan ka connection dil se hai ya zubaan se?

g. Kya imaan ke liye zubaan se iqraar zaroori hai? To phir kya har goonge insaan ko kaafir hi maana jayega?

Edited by Elma Ggs
additional points added
Link to comment
Share on other sites

On 7/22/2013 at 1:22 AM, MuhammedAli said:

As salamu alayqum wr wb

Agar khamoshi behtr hoti to Sayyidi Ala Hazrat khamoshi ikhtiyaar kertay aur imaan e janab e Abu Talib kee tardeed nah kertay. Yeh ikhtilaaf aaj ka nahin pehlay say chala a raha heh magar phir be Ala Hazrat alayhi rehma nay iman e janab e Abu Talib kee tardeed kee aur kitaab likhi. Jee khamoshi us'see waqt taq behtr thee jab taq aap khamosh thay. Ham nay toh khamoshi ikhtiyaar kee huwi thee jis khamoshi ko aap nay torwaya aur abhi be khamoshi ikhtiyar keeyeh huway thay magar aap nay jawab per majboor keeya.

Khamoshi mofeed us'see waqt thee jab aap nay sawal nahin keeya thah. Aap ko be pata hee thah kay yeh ikhtilafi masla heh toh aap ko chehr'na nahin chahyeh thah aur abh chehr deeya heh toh mera jawab be bardasht ker lenh. Yaqeenan aap ko hee nahin auroon ko be tardeed e imaan e Janab Abu Talib per dukh huwa hoga magar woh khamosh rahay aur behtr heh aap bee chup ker jahen. Allama Ahmad bin Zayni Dahlan rahimullah alayhi ta'ala martba e ilm meh Sayyidi Ala Hazrat Imam e Ahle Sunnat kay madd e muqabil nahin ustaad hen. Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin. Is leyeh aap kissi ko be daleel bana lenh Khadam Ala Hazrat kay mowaqif ko hee sahih aur haqiqat samajta heh aur meh is'see ko biyaan keroon ga.

Khadam ko achi tera maloom heh kay kon say ikhtilafi masail hen is leyeh meh apnay dostoon aur Sunniyoon ko yahi advice deta hoon kay  Ahle Sunnat meh agar kohi masla ikhtilafi ho jahay toh Ulamah aur awaam ko total silence ikhtiyar ker lena chahyeh. Keun kay jitnay logh is maslay meh peren gay utna masla bara hoga. Aur har banday kee zabt ek jesi nahin hoti is leyeh ek side ka banda jazbat meh kuch sakht kalamat kahay toh phir dosri party kay josheelay hazrat bee bardasht nahin kertay aur phir joh un kay saath ziyadti hoti heh us kee wazahat meh mimbar, TV per char jatay hen aur phir mukhalif party kay logh apna TV channel bana ker ya apnay bandon kay samnay sara issue biyan kertay hen aur Videos YOUTUBE per ana shoroon ho jati hen.

Abhi kuch arsa pehlay hamaray Ahle Sunnat kay doh Mufti dari bilqul safed thee donoon kee. Ek nay ek maslay per Wahhabi mowaqif ko apnaya us per dosra joh traditional Ahle Sunnat aur Hanafi mowaqif ka representative thah, donoon kay darmiyan munazra huwa. Waja kia bani kay Ahle Sunnat kay representative nay dosray Mufti joh ghalti per thah us kee tanqeed kee munazra challengoon taq baat gahi, munazra huwa, aur joh baat do Muftiyoon kay darmiyan thee saray Ahle Sunnat meh pehal gaee. Aur nateeja yeh nikla kay abh is chotay say issue per do jamateh ban chuki hen joh apnay apnay mowaqif ko pehla rahi hen aur saath hee ikhtilaf ko be. Behtr yeh hota kay Ahle Sunnat Hanafi madhab ka Mufti khamosh rehta aur fatwah ussee tera deta joh Hanafi mowaqif heh aur us ko munazra waghera ka challenge taq nah leh ker jata. Nateeja kia hota, doh teen saal bad donoon buzurg faut ho jatay aur Ahle Sunnat micro sectarianism say bach jaati. Magar abh joh woh fasad chor ker jahen gay us ka nateeja Allah behtr janta heh kia nikla heh aur mazeed ki niklay ga.

Joh Aalim Sunni ho aur us ka tareeq Ahle Sunnat kay mutabiq ho aur us ka asool Ahle Sunnat wala ho agar kissi ek maslay meh kohi ghalti kerta heh toh dar guzr ker deni chahyeh. Aur agar kohi Sunni Aalim esa rawaiya ikhtiyar keray kay sirf ek, do, masail nahin balkay bot say masail meh gumrahoon kay mowaqif ko apnahay aur phir difa keray toh us kay khilaaf zeroor bolna chahyeh. Aur essee doh shakhsiyaat Tahir Ul Qadir, dosra Rafzi Shia Abdul Qadir Tenchbatwi hen. Abdul Qadir ka qibla e ilm Shiat aur Tahir Ul Qadri ka qibla e fikr western ideals kay mutabiq Islam ko banana, Shiat.

Khadam nay kafi arsa pehlay ek janab Aamir Ibrahim sahib thay joh apnay aap ko Sunni kehta thah magar Tahzir Un Naas kee ibarat ka difa aur Qasim Nanotavi, Ashraf Ali Thanvi, kay Islam kay leyeh taweelat kerta thah,  khadam nay ussay samjaya aur hujjat kay baad us kee takfir kee jis kee zubani taeed Sayyidi Irfan Shah Sahib Mashadi nay gawa kee mojoodgi meh kee. Kafi maghz mari huwi, muj per bot say ilzaam lagay, hatta kay janab Aamir sahib nay apni likhi huwi ibarat say inqaar keeya. Aur kuch nah ban pera Aamir Sahib say toh ulta mujjay kazzab, dajjal, forgerer, gustakh e Sahabah o awliyah kay ilqaab say nawaz deeya, aur nateeja kia nikla joh Sunni pehlay mutafiq thay aur Wahhabiyoon kay khilaaf qamar band ker kharay thay abh un meh ittehad toot gaya. Sufi type logh joh Tariqat, Marifat, Haqiqat, Tasawwuf, peace, tolerance, roses, choclates, cute teddy bear, kee soch waloon nay us ka saath deeya aur joh thoray maulvi type thay unoon nay mera. Nateeja kia nikla ek ittehad toota aur Wahhabiyoon ko is ka faida huwa. Ham joh pehlay un kay khilaf thay ek dosray kay khilaf ho gahay. Joh meri thori ilmi credibility thee woh gahi, joh pehlay ihtibar kertay thay abh kazzab samaj ker door ho gahay. Aur joh thori izzat reh gahi thee woh jhootay ilzamat yehni gustakh e Sahabah o Awliyah kee waja say jaati rahi. Nateeja kia nikla  joh thoray Sunni saath thay, ek, ek, kertay door ho gahay. Chalees pachas bandoon meh say sirf ek, do banday hen jinoon nay Aamir kay tactics ko samj kay saath deeya yeh Aamir sirf is leyeh MsAli per ilzaam laga raha heh kay is kee apni jaan pansi heh, magar majority door ho gai. Muj per personally is ka yeh effect huwa kay meh nay deeni mamulat say kinara kashi ker leeh aur orkut ko chor deeya. Wesay bee chor hee dena thah keun kay meray uncomprimising, unflinching attitude say saray tang thay, kohi community esi nahin thee jis say banned nah hoon aur kohi internet forum esa nahin jahan say banned nah huwa hoon apnay sakht rawaiyeh kee waja say. Hatta kay is forum say doh daffa banned ho chuka hoon pehlay. :) Magar tanhahi aur roz kee maghz mari behas say doori ka joh mujjay faida huwa. Ek dil meh narmi, aur dosra constructive kaam Ahle Sunnat kay nazriyat ko pesh kernay ka moqa milla. Aur apnay ek baee kay advice kee waja say yahan per ek dafa phir aya.

Aap kay leyeh sabak yeh heh kay ikhtilafi masail meh bila zeroorat nah peren warna eman be kho bethen gay aur dost be. Ahle Sunnat kay wastay kaam keren kissi jammat ya maulvi ko faida kay leyeh nahin. Woh rawaiya, tareeka apna-hen jis say Ahle Sunnat ko faida ho aur koshish keren kay Ahle Sunnat meh ikhtilafi masail ko forums per nah laya keren, joh Sunni bat chukay hen un ko milahen.

"Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin."

Lahaula wa laquwwat... aisi jaahilaaana aqeedat se Allah hum sabko bachaye. Taba tabayeen (jinka zamaana mushkil se 250 hijri tak gaya hoga)... aur chaaron imamom ko chor kar ye neeche diye gaye naam hain... kya inse bhi badhkar Aala hazrath ko maante ho??
Ye aise azeem o shaan hastiyaan hain Aala hazrath khud jinke qadmon ki dhool maante honge apne aapko..
1. Ghaus e azam Shaikh Sayyid Abdul Qaadir Jilaani r.a (470 -561 AH) jinke nazar e karam se hue auliya ke ilm ki shuruwaat hi wahan se hoti hai jahan pe faazil e bareily ya aur moulviyon ka ilm jahan khatam hota hai. Sarkaar ghaus e paak ko nabi kareem s.a.w.s aur Moula Ali a.s ne apna apna luaab e dahan se nawaaza hai.. aur aap kehte ho ke Ahmed Raza Khan ka ilm inse aala hai. Lahaula wa laquawwat.
2. Imam Ghazali (450 - 505H).
3. Imam al-Bayhaqi (384 - 458H)
4. sayyid-ut taifa Hazrath Junayd al-Baghdadi (d. 298H)
5. Imam Ibn Hajar al-Asqalani (773 - 852 H)
6. Shah Bahauddin Naqshband (717 - 791H)
7. Fakhr al-Din al-Razi (543 - 606H)
8. Khwaja Ghareeb nawaz Moinuddin chisti r.a (536 H)
9. Baba Fariduddin Ganjshakar r.a. (584H)

Aala Hazrath ek aalim e deen, faazil aur aashiq e rasool the.. inka hum tahe dil se adab karte hain.. lekin inko is mansab pe nahin pahunchaate ke inko wali samajh baithe.. kyunke wali Allah k zubaan se galat baat nahi nikalsakti kyunke wali Allah ke hifz o amaan me hote hain.. jabke aalim e deen se tahqeeq me galati hosakti hai jiske liye unhe gunahgaar nahi kaha jasakta. Aisi hi ek galati Aala Hazrath ne zameen ko saakin aur suraj chaand ko iske atraaf ghoomta hua likh ke ki hai.. Aur iske liye hum Ahmed Raza Khan Faazil e bareili ki hi kitaabon mein jo hawaale diye hain unhi ko lete hain.

Ahmed Raza Khan Faazil e bareili ne in aayaat(jinka tarjuma neeche diya hai reference ke saath) pe apna falsafa qayam kiya hai:
    The movement of the sun and moon is according to a course (Surah Rahman, verse 5).
    The sun and the moon are sailing within a circle (Surah Yasin, verse 40).
    The moon and the sun were besieged for you, which are constantly moving (Surah Ibrahim, verse 33).
(For details please refer to "Nuzool-e-Ayat-e-Furqaan Besukoon-e-Zameen-o-Asman" of Alahazrat written in 1339 A.H., published from Raza Academy, Bombay).

Ab in aayaat se kahin bhi ye saabit "nahi" hota ke suraj aur chand zameen ke atraaf ghoomte hain. Lekin faazil e bareili ne inka matlab ye nikaala ke zameen saakin hai aur suraj aur chand uske atraaf ghoomte hain. Jadeed science, space exploration, satellite images se aaj ye saabit ho chuka hai ke faazil e bareili galat the is tehqeek mein... jaisa ke moulviyon se galati hosakti hai kyunke na hi inki zubaan aur na hi inke haath aur qalam Allah azzawajall ki hifaazat me hote hain.. ye aijaaz to sirf auliya allah ko haasil hota hai ke wo jo bhi kehte hain ya likhte hain Allah ki taraf se hota hai aur wo kabhi galat nahi hota.

Faazil e bareili hi ki ek aur kitaab - "Fauz-e-Mubin Dar Radd-e-Harkat-e-Zamin" hai jisme deegar logical examples ke zariye unhone zameen ko saakin prove karni ki koshish ki hai.  Inke examples se ye saaf taur pe saabit hota hai ke unhe relative motion, physics aur logical conclusion etc. ka ilm nahi tha. Aur jo examples unhone diye hain wo bade asaani se radd kiye jaasakte hain ek school ya college student se bhi. Inhone relative motion ko bina samjhe 4-5 examples likhe daale daleel ke taur pe jo ke asal me ek hi concept pe 4-5 examples hain. Aaj isi relative motion ke basis pe satellite bheje gaye hain aasmaan me jinke zariye phone calls etc horahe hain.
Ye examples aap yahan pe padhsakte - http://sunnirazvi.net/library/booklets/scientist.htm

Link to comment
Share on other sites

Martba mujadid aur mujtahid say kohi buland heh? Mujtahid ka matlab pata kia heh aur darjoon ka bi kuch pata heh ... wesay sufiyoon ki tara chars peeh kar behosh nah ho. Aur yeh baat mein nay nahin Mufti Ansar ul-Qadri Sahib nay keeh hen mein naqil hoon:
 
Agar Sahib e Ilm hazraat ki qurbat hasil hoti toh mujjay batana nah parta magar chawal Sufiyon ka saath heh is waja say kuch pata nahin. Agar is mein nah millay toh batana mein in ki takreer nikaal doon ga.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Awliyah-Allah khata Ijtihadi aur gunnah sagheera aur la-ilmi mein kabeera say bi masoom nahin magr sazza aur aag say mafooz hen. Wesay mujjay yeh bata Shaykh Abdul Qadir al-Jilani (rahimullah) al-maroof Ghawth al-Azam wali e kamil thay ya nahin? Thay! Kia Khawaja Baha al-Din Naqshband (rahimullah) Wali e kamil thay ya nahin? Thay! Abh bata donoon mein aik Hanafi Madhab aur dosray Hanbali Madhab par thay. Aur agar ziyada kichri banani heh apnay damagh ki toh Shaykh Farid al-Din Attar (rahimullah) al-maroof Ganj-Shakr ko jama kar leh is mein aur apnay is asool kay mutabiq bata kay kon Wali thah aur kon nahin: "...  kyunke wali Allah k zubaan se galat baat nahi nikalsakti kyunke wali Allah ke hifz o amaan me hote hain ..." Ghalat baat nahin nikal sakti ... sirf zuban hee hifz o amaan mein hoti heh ya amal bi? Agar amal bi toh phir bata kay in teenoon mein Hanafi ashab wali e kamil nahin ya Shaykh Abdul Qadir al-Jilani (rahimullah)? Abh agar tooh ghalti say keh deh kay ashab Ahnaf Awliyah-Allah mein nahin keun kay un ki zuban bi hifz o amaan mein nahin thee keun kay unoon nay logoon ko Madhab Ahnaf kay mutabiq fiqh ki taleem deeh aur amal keeya toh tum yeh mantay ho kay fiqha Ahnaf ghalat heh. Phir khud Hanafi keun ko. Aur kia Imam Abu Hanifah (rahimullah) bi wali nahin thay? Sirf Maulvi thay? Jab tooh nay in kay darja walayat ka fesla kar deeya toh Ala Hadhrat (rahimullah) ki walayat ka fesla kar leh ga.

Link to comment
Share on other sites

On 1/16/2019 at 5:49 AM, Elma Ggs said:

Janab kidr Ghayb ho gay hen? Aap kay walayatoon kay faisleh karnay hen. Program: Kon Banay Ga Wali-Allah? kay aap judge hen ... aayeh fesla kar denh. Maqam e Walayat o rutba Ghawthi'at ka taaj pehna denh ya utarwa den ... abh toh aap nay walayat deni aur leni ki kursi par kabza jamaya heh ... aap hi banaen aur utar dalen ... Waliyoon kay maqam o martba ki rassi aap kay haath mein heh ... ham toh majboor hen aap ki ilmi liaqat ki waja say ... joh jissay denh gay hammen toh apko saqi e walayat samaj kar manneh kay paband ho gay hen.

Charsi bhangi Sufiyoon ki mehfiloon mein bethen gay toh yahi kuch hoga. Aayeh aap ko Wali ki Shar'ri definition bata doon. Aap jesay Sufiyoon wali nahin, Shar'i. Wali-Allah woh heh, aur Awliyah-Allah hen, joh khaloos e dill say saum, salat, hajj, zakat, aur kalma shahadat kay paband hen. Aur joh Islam ki khatir aur Islam kay farogh ki khatir dil jaan say lartay, martay, jeetay, likhtay, rupaya pesa waqt aulad jaan kharch kartay hen. Joh dosti Allah ki raza wasteh. Joh dushmani Allah ki raza wasteh. Joh muhabbat e Rasool mein gustakhoon say qatta talluqi kar letay hen cha-hay woh apna, ghayr, beta, beti, maanh, baap, rishtaydar, dost yaar, sab kuch chor detay hen. Yeh Allah kay Wali ki nisha-niyan hen. Jis mein yeh sab hoon woh WALI E KAMIL  heh aur agar sahib e silsila ho toh MURSHID E KAMIL heh.

Aur agar yeh sifaat kissi mein nah hoon; aur hawa mein urta ho, murday zinda karta ho, dilloon kay raaz bata deta ho, jinnat us kay tabeh hoon, pathar ko sona aur sonay ko pathar bana deta ho, us kay kehnay say banj aurat bacha janay, urtay fighter jet ko ungli say pistol ka nishana bana kar moon say fire karay aur fighter jet taba ho jahay, lakh aur kuch kar leh, wali e kamil nahin balkay yeh bi zeroori nahin kay woh Musalman ho. Itna kar kay woh Dajjal ki tara Kafir, Ibn Say'yad, sabiq Yahoodi, ki tara dil ki baat janay wala ho sakta heh Wali e Kamil nahin.

Rahi abh baat Karamat e Awliyah ki. Har kamil wali Sahib e karamat nahin aur har 'karamat type' karnay wala Awliyah-Allah mein say nahin. Awliyah-Allah kay darjay hen. Aik darja joh Sahib e Karamat nahin, dosra Sahib e karamat ka. Joh mein nay upar bayan keenh hen agar kissi mein hoon woh Wali e Kamil heh. Aur jis mein upar wali sab nishaniyan hoon aur Sahib e karamat bi ho toh woh martbay mein buland heh.

Aatay hen Sayyidi Ala Hadhrat, Imam, Mujtahid, Mujadid, Faqih, Muhaddith, Mufassir, kay martba walayat ki taraf. Itna toh tummen bi shak nah hoga kay woh darja ula mein Wali e Kamil thay. Darja thaani'a yehni Sahib e Karamaat thay ya nahin? Is say teri jesi chawal ko kia laga. Magr phir bi Awliyah-Allah aur Ulamah nay Sayyidi Ala Hadhrat (rahimullah) ko zamanay ka GHAWTH mana heh aur un ki karamaat ka bayan teray jesay a'du-allah kay samnay bhansuri bajanay kay mutaradif heh. Ahle Sunnat kay Ulamah karamat e Ala Hadhrat (rahimullah) ka biyaan kartay ahay hen. Teray dill mein sirf bughz Ala Hadhrat (rahimullah) nay jaga bana leeh heh aur woh bi is waja say kay unoon nay Abu Talib ko Kafir aur Kufr par mawt ka likha. Aur janta aur manta tooh bi heh kay Sayyidi Ala Hadhrat (rahimullah) Wali e Kamil aur Sahib e Karamaat Awliyah-Allah mein say thay magr keun kay bad-bakht heh is waja say bughz e wali ko dil mein jaga deh kar likh raha heh. Allah kay aik wali say teri jang, dekh leeh, sab waliyoon kay khilaaf jang ban chuki heh aur tujjay samaj bi nahin kesay aur keun. Meri pichli post ko parh lena samaj ajahay gi kesay.

Link to comment
Share on other sites

On 5/5/2018 at 2:45 PM, mzeeshanimtiaz said:

کیا اس پر مزید کچھ مستند علماء اہلسنت کی رائے مل سکتی ہے ؟

Salam alayqum,

Mein nay yahi baat Mufi Ansar ul-Qadri Sahib say suneeh pasand aahi aur bayan kar deeh. Upar un ki taqreer ka link deeya heh ... agar is mein nah ho toh batayeh ga mein waqt nikal kar woh taqreer talash kar doon ga jis mein yeh baat heh.

Link to comment
Share on other sites

  • 8 months later...
On 18/07/2013 at 11:30 AM, MuhammedAli said:

Sayyidi Ala Hadhrat Imam Ahmad Raza Khan alayhi rehma kee tehqeeq behtreen aur darust heh.  Ham sunniyoon ka qibla e ilm Ala Hazrat hen aur har Sunni ka honay be chahyeh. Khadam pehlay yahi opinion rakhta thah kay Janab e Abu Talib musalman faut huway magar Ala Hazrat kee yeh kitab kay chand saffat pernay thay aur meh nay apnay opinion say ruju ker leeya.

Mein hoon Abu Talib meri pehchan yehi hai,
Kehte ho Nabuwat jise meri goudi mein pali hai
Paida hua ghar mein mere Payamber-e-Akhir
Bete ki wiladat mere, Kaabay mein hui hai
Ghar mein hai Nabuwat mere ghar mein hai Imamat,
Jo Maalik-e-Jannat hai bahu mujh ko mili hai,
Kya hai mera imaan ab pooch Khuda se,
Bachpan mein Nabuwat mere seenay pe rahi hai,
Jo hum bhi na hote, to yeh Kaaba bhi na hota
Kaabay ki ye bunyaad mere Jad ne rakhi hai,
Quran mein maujood hai mere naam ka Sura
Paala hai Nabuwat ko sana tab ye mili hai,
Ay Khaliq-e-Quran Tere Quran ki Ayat
Aaii na thi dunya mein, magar maine padhi hai,
Talwar ke saaey mein sulaya hai Ali (a.s) ko,
Tab ja ke Muhammad (saws) ki kahin jaan bachi hai
Fatwa to lagate ho, magar yaad ye rakhna
Parday se ek Aulaad (atjf) meri dekh rahi hai.....

PROUD OF BEING SHIAN E ALI IBN ABU TALIB (a.s)

Abe alahazrat kaha se sayyad hai wo raza khuani hai nakhli sayyad jo original sayyad hai tu use kafir bata raha hai hazrat abu talib ki jooti se tere raza kha wali ho jayenge

Link to comment
Share on other sites

Sayyidi Ala Hadhrat (alayhi rahma) kay wasteh Sayyidi ba-mana Shareef ba-mana Ahli Bayt Ali (radiallah ta'ala anhu) say nahin, aur nah hi Sayyidi is mana mein istimal keeya jata heh ... Syed/Sayyid Ala Hadhrat ko un kay buland martba ki waja say kaha jata heh ... yehni laqab heh .. nasab nahin.

Raha Abu Talib us nay jo kuch keeya woh keeya magr mara Kafir aur us nay joh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki khidmat ki us ka sila jahhanum mein yeh pahay ga kay jahannum ki sab say nichli jaga say nikaal kar Abu Talib ko sab say kam darja wali aag mein dala jahay ga ... us ko us ki khidmat ka yeh sila mila heh aur millay ga.

Original Syed Abu Talib kesay huwa? Sayyid toh Imam Hassan (radiallah ta'ala anhu) ko RasoolAllah nay farmaya thah ... yeh mera beta Sayyidi heh jab meri ummat mein khoon bahay ga ... wali Hadith mein ... Hadhrat Ali (radiallah ta'ala anhu) ka baap thah toh Sayyid ho gaya ... phir Abu Jahl bi toh kuch lagta thah nah ... woh bi ... ORIGINAL SYED ... jannatiyoon ka sardar ho gaya ... Islam mein Nasab shasab Kufr par khatam heh ... jistera ORIGINAL SAYYID ABU JAHL CHACHA HO KAR DOZAKHI HEH IS'SEE TERA TUMARA ORIGINAL SAYYID ABU TALIB KAFIR/MUSHRIK AUR DA'IMI DOZAKHI JANNANUMI HEH ... keun kay Nasab Kufr say munqata ho jata heh ... Hazrat Ali nay Abu Talib say kuch bi warseh mein hasil nahin keeya keun kay woh Musalman thay aur Abu Talib Kafir mara ... Musalman Kaffir say warsa nahin leh sakta ... sirf Aqeel/Jafr nay hasil keeya thah joh us waqt Mushrik thay apnay baap Abu Talib ki tara ... Is kay ilawah Abu Talib ko dawat e Islam khud RasoolAllah nay deeh magr us nay qubul nah ki aur mardood Mushrik mar gaya ...

Wesay Syed honay ka business mein bi khol loon agar Allah ka khauf nah hota ... kafi pesay hen Syed buisiness mein ... beth kar khoob kehta Syed hoon ... phir kia thah nazranoon ki line hoti ... sab pesoon ki khatir Syed naam ki neelami hoti heh ... Syed laga loh, aur Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu) kay baap, baap kay peshab kay fazail ... us payshab ki bad-boo ko jannat ki kushboo say mila doh, us peshab ko jannat kay heeroon kay mila doh ... Ali (radiallah ta'ala anhu) ka kuch bi ho ... bas ulti seedhi bak jaho ... logh hubb e Ahle Bayt aur fazail e ahle bayt naam deh kar khoob nazranay denh gay ... tum idhar larro nahin ... jaho Hazrat Ali (radiallahta'ala anhu) kay peshab kay fazail bayan karo ... aur apnay aap ko sab say bara muhib e ahle bayt mashoor karo ... aur kasmeh doh kay peshab ka taste jannat kay honey say ziyada lazeez heh ... phir ahahaha kia tum muhab e ahle bayt mashoor hogay ... market mein ho chawal baazi laho joh shiyoon nay pehlay nah mari ho ... MARKET RESEARCH BI KARNA ... jaho ...

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...