Ashiqa Barelvi مراسلہ: 16 جولائی 2013 Report Share مراسلہ: 16 جولائی 2013 7 8 6 "Urdu mein shaie shuda mashhoor malfoozaat ko dekh kar yeh andaaza hota hai ke chaudhween sadi ke malfoozati adab mein bohot aham haisiyat Alahazrat Rahmatullahi ta'ala alaih ki hai jinhen Mufti e a'azam Mustafa Raza alaihi rahmat ne 1338.h mein murattab farmaya Ye malfoozat us jaleelul qadr aalim ke hain jo tafseer, hadees, fiqh, aqaid, kalam, sarf, nahv, ma'ani, bayaan, bade'e, muntiq, falsafaa, takseer, haiyat, tauqeet, hisab, hindisa, tasawwuf, suluk, adab, siyar, jabr o muqabila, zeejaat wa murabba,aat wa gairuhu...mein mahir the! (DR. Mukhtaruddin Ahmed Arzoo) 1-Ho khwahish jab teri mehfil mein jaaoon 2-To Al Malfooz ki majlis mein aaoon 3-To furqat mein maze qurbat ke paoon 4-To dil mein ishq ki sham'en jalaaoon 5-Hai Al Malfooz ki hub kya bataaoon 6-Main choomoon lab se, aankhon se lagaaoon 7-Bithaaoon dil mein, palkon par sajaaoon 8-Main ilm o deed ki pyasen bujhaaoon 9-Ye hain alfaaz ya moti sunehre 10-Mu'attar phool rangee gehre gehre 11-Kaha kisne nahin ho paas mere 12-Fataawa mein ho apne pyare pyare 13-Yeh asfaar o siyar, taareekh daani 14-Yeh tahqeeq o faqahat ki rawaani 15-Yeh tableeg aur hadeeson ki bayaani 16-Yeh ilm o fan, hunar ki zoofashaani 17-Hai ehsaa mufti e a'azam ka ham par 18-Bithaya aap ki majlis mein laa kar 19-Khuda un par kare rehmat saraasar 20-Mere Aaqa Raza par bhi baraabar Azzawajal اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔