Ashiqa Barelvi مراسلہ: 14 جولائی 2013 Report Share مراسلہ: 14 جولائی 2013 786 1a-Tujhe hai meri Muhammad se gulaami ka gam 1b-Are gulaam to hain un ke gulaamon ke bhi ham 2a-Tera yeh fatwa adab mere nabi ka ho kam 2b-Mera yeh jazba ke jitna bhi karo utna kam 3a-Khuli jo gathri meri us mein faqat itna tha 3b-Nabi ka ishq, ye kuchh sh'er, adab, chashm e nam 4a-Jo daal de tu jahannam mein yeh insaaf tera 4b-Jo bakhsh de to meherbaani teri, tera karam 5a-Muhabbaton ne meri mujh ko bachaya varna 5b-Mere gunaahon se wajib tha yeh dozakh ka shikam Un par Allah Azzawajal ka salam ho aur... Un ke sadqa ham par dozakh haraam ho AMEEN! 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ashiqa Barelvi مراسلہ: 15 جولائی 2013 Author Report Share مراسلہ: 15 جولائی 2013 786 1a-Mustafa,Mustafa,Mustafa,Mustafa 1b-Kehta ja, kehta ja, Mustafa,Mustafa 2a-Sunte hi kaan mein shehd sa ghul gaya 2b-Jisne bhi jab kaha Mustafa,Mustafa 3a-Kitna meetha hai, pyaara hai naam e safa 3b-Murtaza, Mujtaba,Mustafa,Mustafa 4a-Sunte hi jal gaya, mar gaya najdiya 4b-Har dafa jab kaha Mustafa, Mustafa 5a-Jalta hai toh jale, marta hai toh mare 5b-Ham ko parwaah kya Mustafa, Mustafa 6a-Ishq se aap ke mil gaya hai khuda 6b-Shukriya, shukriya, Mustafa, Mustafa 7a-Vird tera karen, karte karte maren 7b-Maut bhi ho maza Mustafa, Mustafa 8a-Sar ki aankhon se Attar ne aur Raza 8b-Dekh tum ko liya Mustafa, Mustafa 9a-Dil ki aankhon se ham ne bhi dekha Huzoor 9b-Aap hain har jagah Mustafa, Mustafa 10a-Ab na najdi kahe shirk hai kardiya 10b-Rab ki bhi hai jagah? Mustafa, Mustafa 11a-Door o nazdeek ke sunte hain bakhuda 11b-Behra hai najdiya Mustafa, Mustafa 12a-Jab Raza hain chale, kar rahe the wahan 12b-Intazar aap ka Mustafa,Mustafa 13a-Mll gaye mitti mein munkireen e hayat 13b-Naam zinda raha Mustafa, Mustafa 14a-Ashiqa ko Bareli se, Bagdad se 14b-Taiba se ishq sa Mustafa, Mustafa Azzawajal aur salat o salam ho un par. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ashiqa Barelvi مراسلہ: 27 جولائی 2013 Author Report Share مراسلہ: 27 جولائی 2013 786 1a-Tha woh kaisa naam e Raza Raza, mujhe Mustafa se milaa gaya 1b-Mera gulsitaa tha khizaa khizaa, sabhi phool uske khilaa gaya 2a-Mujhe dhoka hota tha aab ka, woh to silsila tha saraab ka 2b-Meri saari pyaas bujha gaya, woh sharaab e ishq pilaa gaya 3a-Meri zindagi jo udaas thi, na umang thi, na hi aas thi 3b-Rag e khoo woh ishq se bhar gaya, mera murda dil woh jilaa gaya 4a-Mujhe na'at aisi suna gaya, mujhe Ashiqa woh bana gaya 4b-Meri dhadkanen woh badha gaya, sabhi taar dil ke hilaa gaya 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
wasim raza مراسلہ: 4 اگست 2013 Report Share مراسلہ: 4 اگست 2013 jazakallah. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔