Jump to content

Ta'zeem E Anbiaa


Ashiqa Barelvi

تجویز کردہ جواب

1a-Ta'zeem e Anbiaa hi toh Islam ki hai jad

1b-Jo is se phir gaya toh woh jad se gaya ukhad

2a-Iblees e na bakar ko mardood kar gai

2b-Main naar woh hai khaak ki magroor si woh bad

3a-Jadoogaron ne 'ijz kiya paa gaye najaat

3b-Garqaab kar gayi use fir'aun ki akad

4a-Tabbat yada abi lahabin se sabaq pakad

4b-Biwi ko uski moonj ki rassi gayi jakad

5a-Shaatim hua na ghar ka, raha na hi ghaat ka

5b-Duniya mein bhi woh khwar toh uqbaa gayi bigad

6a-Zaalim ki rassiyan hain jo dheeli toh gham nahi

6b-Qahhar ke qahar ki bhi mazboot hai pakad

7a-Ishq e nabi na ho toh hai mardood har 'amal

7b-Sajde karo karod hi maatha ragad ragad

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

786

1a-Dil mein agar ho ishq to sab kuchh qubool hai

1b-Ishq e nabi na ho to amal sab fuzool hai

2a-Momin muhibb e Mustafa, kafir hai be adab

2b-Iemaan ka yeh qaieda, seedha usool hai

3a-Allaama, mufti, qaari, muhaddis na maulvi

3b-Jo ek lafz e ishq na samjhe jahool hai

4a-Najdi ko sangdil jo kaha sang ro pada

4b-Bola nabi ke ishq mein patthar bhi phool hai

5a-Din raat choom choom unhe jhoomti thi jo

5b-Kitni to khush naseeb woh qadmon ki dhool hai

6a-Deewaar hai Umar, to Abu bakr hai bina

6b-Usman chhat, Ali dar e shehr e Rasool hai

7a-Pesh e nazar thi aamad e Mehboob e Kibriyaa

7b-Bhaari karod neki pe Aadam ki bhool hai

Azzawajall, salaat o salaam ho un par, Allah paak raazi ho un sab se

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...