Jump to content

Digital Camera Se Aalimo Ki Tasveer Khichna Aur Mobile Ya Computer Me Rakhna Kaisa?


MunAAm

تجویز کردہ جواب

HAM APNE BUZRUGO KI TASVEERE APNE MOBIL YA PC ME RAKH SAKTE HAI FACE BOOK WAGERA PAR BHI ULMA KI TASVEERE UPLOAD HOTI HAI KYA AISI TASVEERE JAIZ HAI


LAST EID DUHA KO MADANI CHANNEL PAR BAPA JAAN NE KAHA TASVEER NA LO VIDEO LO YE JAIZ HAI

Edited by MunAAm Attari
Link to comment
Share on other sites

As salamu alayqum wr wb

Janab mujjay pata nahin aap kon hen. Aur aap ka maqsid kia heh sawal kernay ka magar jawab hazar heh agar aap kee niyat fasad o fitna heh toh Allah ta'ala aap kay gar meh fitna dalay joh aap ahle sunnat meh dalna chahtay hen. Aur agar aap kee niyat hasool e ilm shariat e mutahira per amal kerna heh toh phir Allah aap ko aur tofeeq deh, ameen.

Janwar o insaan kee tasweer mutliqan haram heh, pencil say bani ho, ya paint brush say, ya photo cameray say, ya digital photo cameray say, ya video cameray say ya digital video cameray say. Meh ek anparh aadmi hoon is leyeh maulviyana zubaan aur istilah meh nuqta samja nahin sakta is leyeh basic zuban meh wazahat ker raha hoon. Agar kohi kahay walden ko uff nah kero toh matlab yeh hoga kay uff say joh ziyada heh yehni gali galoch, marna, qatal kerna, waghera nah kero sirf uff kee rok nahin balkay joh uff say ziayda heh us say be roka ja raha heh. Ek aur misaal kohi kahay thori sharab mat peeyo toh matlab yeh hoga kay thori say joh ziyada heh woh be nah peeyo yeh matlab nahin hoga kay thori mat peeya magar pooray gallon pee jaho. Is'see tera jin ahadith meh tasaweeroon ko mana farmaya gaya heh us meh ek aap tasweer say leh ker joh be ata heh digital camera ho ya kohi aur sab say roka gaya heh.

Baqi yeh masla Ahle Sunnat kay Ulamah meh ikhtilafi heh aur esay fiqhi masail meh agar ikkhtilaf ho toh jin Ulamah kee tehqeeq aap ko sahih lagay us per amal keren, aur jin say aap kay ulamah ka ikhtilaf ho un ka adab malhooz e khatir rakhen. Aur esay masail ko public forums per discuss nahin keeya kertay. Allah kay nabi sallalahu alayhi was'sallam ka farman heh kay jis maslay per ikhtilaf ho jahay us ko chor doh. Yeh matlab nahin amal kerna chor doh balkay baat kerna, discuss kerna chor doh. Aur agar esa nah keeya jahay toh phir fitna phelta heh. Aur aaj kal kay Peer aur Mureed, aur Maulvi aur un kay talamiza esay hen kay foran jazbati ho jatay hen Peer ya Ustad kee tarafdari meh aur us kay mukhalifeen ko gali galoch aur lan taan per utar atay hen. Is leyeh meray baee advice heh kay esay masail ko boards per discuss nahin kertay. Balkay agar aap zeroorat samjen toh private meh mukhtalaf rayi rakhnay walay ulamah say contact kren aur discuss ker lenh aur phir joh behtr lagay ussay qabool keren. Ahle Sunnat Wal Jammat kee yaqjehti ko qaym rakhnay kee koshish keren. Ham sunni bilqul chotay chotay groupoon meh bat'tay ja rahay hen aur yeh hamaray leyeh nuqsaan deh heh.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...