MuhammedAli مراسلہ: 23 اگست 2013 Author Report Share مراسلہ: 23 اگست 2013 (ترمیم شدہ) Ek Wahhabi maulvi joh Derby kee Hasting Street ka Imam heh muj say thori dehr kay leyeh baat huwi. Bicharay nay kaha kay Hadith meh Ummat kay ilfaaz Musalmanoon kay leyeh hen aur puri Ummat kay leyeh. Khadam nay jawaban Arabian peninsula meh Shirk nah honay wali hadith pesh kee aur wazahat kee kay us waqt taq shrik nahin hoga jab taq musalman mar nah jahen [is ka saboot kitabut tawheed walay article meh heh] aur hadith say min ummati kee takhsees aur tafseel farman e RasoolAllah say kee jis say sabat huwa kay yeh hadith Araboon kay baray meh heh. Dosra hadith say sabat keeya kay yeh us waqt hoga jab musalman mar jahen gay. [is ka saboot ooper walay article meh mojood heh] Janab ko jawab meh kuch nah aya sirf damagh istimal kernay kee hujjatoon kay saath ... [lol he got bit upset with being put on tight spot so he resorted to ... damagh istimal kerna chahyeh, his tactic; pretend to be correct and give advice to opponent and ur falowers will think ur winning, lol] ... hadith kay ilfaaz mutlaq hen muqayyid kesay ker saktay ho aur us kay saath maulvi nay kaha kay Ulamah nay is hadith ko istera nahin samja jistera tum nay samja heh .... tesra point yeh thah kay yeh aakhuruz zama kee ahadith hen jin say meh yehni Muhammad Ali Razavi nay takhsees kee heh aur yeh hadith akhuruz zama kay leyeh nahin is leyeh takhsees darust nahin. Janab ko jawab deta magar us nay chup nah kee aur mujjay bolnay ka moqa nah deeya. Jab meh nay kaha kay janab ko meri baat kee samaj nahin aahi chela bol pera aur maulvi kee wazahateh kernay laga kay maulvi kia keh raha heh. Meh nay bataya kay mujjay pata heh maulvi kia keh raha heh is ko maulvi ko meray dalail kee samaj aur line of argument kee samaj nahin aahi. Meh is'see chelay kay saath maghz mari meh thah kay Wahhabi maulvi chalta bana. Khadam nay be roka nah keun kay chelay kee dokaan thee is leyeh munasab nah samja kay rokoon aur mazeed khabr loon.Yeh article us kee pehli argument yehni meri Ummat kay ilfaaz mualmanoon kay wastay hen per heh: Study Of The Word Ummah To Understand; “… The Last Hour Will Not Come Until … Tribes Of My Ummah Worship Idols.” Baqi teen points kee wazahat ek hee article meh ker doon ga, agar kohi chahay toh. Warna khadam ka samajta heh kay is kee zeroorat nahin. Edited 23 اگست 2013 by MuhammedAli اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔