Jump to content

Waseem Mughal Ki Awliyahallah Per Chispan Kee Janay Wali Ayaat Ki Qurani Tafsir.


MuhammedAli

تجویز کردہ جواب

As-Salam alayqum wr wb,

Meray piyaray Sunni bahiyo. Khadam Pakistan gaya huwa thah wahan per Waseem Mughal joh khalis khariji thah us say deegir masail per guftgoo huwi magar kohi khatami fesla nah ho sakka. Magar janab nay jab Quran say Mushrikoon aur buttoon wali ayaat Allah kay waliyoon per chispan kerna chaheen toh khadam nay challenge deh ker kaha kay joh tum ayaat pesh kero gay woh sab buttoon kay baray meh nazil huween theen na kay Awliyah Allah kay baray meh. Waseem nay khadam ko jawaban challenge deeya kay agar tum yeh sabat ker doh nay yeh bandoon kay wastay hen toh meh Sunni ho jahoon ga. Khadam nay yeh tehreer likhwa leeh aur saath yeh be likh deeya kay agar meh sabat nah ker sakka toh khadam us ka maslak qabool ker leh ga.

Khadam kitaben aur refference nah honay kee bina per jawab nah deh saka aur mutafika fesla huwa kay khadam England meh ja ker Quran o Hadith kee roshini meh ba-qaida jawab likhay ga. Aur khadam nay jawab maqal ker leeya aur in sha Allah jald print ker kay mera younger brother Waseem Mughal Sahib ko pauncha deh ga.

Aap suneeh bahiyoon say apeal heh kay aap Waseem bahi kee hidayat kay leyeh dua goo hoon. Aur khadam kay leyeh be nek dua'hen keren.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Taruf:

“Al hamdu'lillahi rabbil alameen, was salatu was'sallamu ala sayyidil ambiyah wal mursaleen. Amma bad fa awzu billahi manishayta nir'rajeem. Bismillah ir'rahma nir'raheem.”

Khadam ka asal maqsid, sirf yeh sabat kerna heh kay joh ayaat janab Waseem Sahib nay pesh keenh hen voh mushrikeen aur un kay khudahoon yehni buttoon kay baray meh nazil huween theen. Is leyeh meh koshish keroon ga kay ayaat ka tafseelan mafoom nah bataya jahay balkay sirf us pehloo ko ujagar keeya jahay jis say yeh sabat hota heh ke yeh ayaat mushrikeen aur un kay khudahoon yehni buttoon kay mutaliq hen. Jawab ko samajnay kay leyeh in points ko malhooz e khatr rakha jahay.


Surah A'raf (7) Ayaat 191/192:

Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Kia ussay shareek kertay hen joh kuch nah banahay aur voh khud bana'hay huway hen. Aur nah voh un ko madad puncha saktay hen aur nah apni madad ker saktay hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 191/192]

Is ayaat meh char points hen:

Point 1 - ussay shareek kertay hen joh kuch nah banatay
Point 2 - aur who khud bana'hay huway hen.

Point 3 - nah voh un ko madad puncha saktay hen
Point 4 - aur nah apni madad ker saktay hen.

Abh insha'allah charoon points kee wazahat khadam Quran kee roshini say keray ga ta'kay haq wazia ho aur batal sharminda ho, Islam kee fata ho aur Kuffr ki zillat, Ahle Sunnat kay asool o aqahid sachay sabat hoon aur zurriat e Khariji'at kay asool o aqaid o feham e Quran tafsir bir'ray (yehni apni mangarat tafsir jis ka kohi saboot Quran o Ahadith meh nahin) batal o mardood sabat ho.

Point 1 - ussay shareek kertay hen joh kuch nahin banatay.

Tafsir 1: - Allah (subhanahu wa'tala) Mushrikeen e Makkah kay mutaliq farmata heh: "Sirf tum parastash kertay ho Allah kay siwa buttoon kee, aur tum jhoot gartay (takhluquna) ho, beshak Allah kay siwa jin kee tum parastash kertay ho voh tumaray leyeh rizq kay maliq nahin ...” [Ref: Surah 29 Ayat 17] Makhlooq ko khuda ka shareek banana esa jhoot heh jis kay jhoot honay meh shak o shuba nahin aur is'see waja say Allah (subhanahu wa ta'ala) nay buttoon kay tarashnay kay lafz ko chor ker jhoot garnay, jhoot kee takhleeq kerna farmaya heh. Allah (subhanahu wa ta'ala) nay sab buttoon ko al batil farmaya heh yehni Allah (subhanahu wa ta'ala) nay albatil ko bator e title istimal keeya heh:“Yeh is leyeh heh ke Allah hee Haq heh aur yeh ke voh us kay siwa jis ke ibadat kertay hen sab batil hen, aur yeh ke Allah hee buland martba barahi wala heh.” [Ref: Surah 31 Ayat 30] aur mazeed albatil kay mutaliq farmata heh:“Aap farma denh haq aa gaya aur nah peda keray ga batil [kissi cheez ko] aur nah [dobara] lotahay ga.” [Ref: Surah 34 Ayat 49] Is ayaat meh doh nuqtay hen batil nah peda keray ga aur dosra nuqta kay batil phir nah lotahay ga maut kay bad aur dosray nuqtay yehni: “... aur nah [dobara] lotahay ga.” kay mutaliq Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “... aur nah voh ikhtiyar rakhtay hen maut aur zindgi per aur phir uthahay janay per. [Ref: Surah 25 Ayat 3] Sawal uthta kia hen voh joh ikhtiyar nahin rakhtay phir uthahay janay per; toh jawab hazir heh: “Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh ke voh kuch nahin banatay, magar khud banahay gahay hen; aur voh apnay leyeh ikhtiyar nahin rakhtay nuqsan aur nafa ka aur nah voh ikhtiyar rakhtay hen maut aur zindgi per aur phir uthahay janay per ” [Ref: Surah 25 Ayat 3] Alhasil voh khuda yehni butt hen joh kuch nahin banatay khud banahay gahay hen aur zindgi, maut, aur hisab o kitab kay wastay phir uthahay janay per ikhtiyar nahin rakhtay.

Tafsir 2: - Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay.” [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21] aur Allah (subhanahu wa ta'ala) ek aur ayat meh nishanda'i kerta heh kay voh albatil khuda hen joh kuch nahin banatay: “Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh hen, voh kuch nahin banatay, magar khud banahay gahay hen; aur voh apnay leyeh ikhtiyar nahin rakhtay nuqsan aur nafa ka aur nah voh ikhtiyar rakhtay hen maut aur zindgi per aur phir uthahay janay per ” [Ref: Surah 25 Ayat 3] Allah (subhanahu wa ta'ala) albatil khudahoon kay mutaliq farmata heh:“Be'shak jinnay tum Allah kay siwa pukartay ho voh har giz ek makhi bi peda nah ker saken gay khawa is kay leyeh voh sab jamah ho jahen, aur agar makhi un say kuch cheen leh toh voh is say nah charwa saken gay, kitna kamzor heh talib aur matloob.” [Ref: Surah 22 Ayat 73]

Alhasil, albatil khuda yehni butt jin ko Mushrikeen apna khuda tasleem kertay thay un kay mutaliq Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farmaya kay voh kuch nahin bana saktay hatta ke agar sab mil ker aa jahen toh phir bee makhi peda nahin ker saktay.

Point 2 - aur who khud bana'hay huway hen.

- Allah (subhanahu wa ta'ala) Hazrat Ibrahim (alayhis salam) ka waqia Quran meh biyan kertay hen: “ … phir voh un kay ma'budoon meh chup ker gus gaya, phir kehnay laga; kia tum khatay ho? Tummeh kia huwa tum boltay nahin? phir puri quwat say marta huwa un per ja pera. Phir voh (but parast) mutawajoh huway, dortay huway us kee taraf (ahay), us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay [tanhitoon] ho. Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho? [Ref: Surah 37 Ayat 91/96]Aur Allah kee kasam albatta meh tumaray buttoon (asnamuqum) say zeroor chaal chaloon ga jabke tum peet pher ker chalay jaho gay. Pas us nay un kay baray kay siwa sab ko reza reza ker dala ta'ke voh us kee taraf ruju keren, kehnay lagay kon heh jis nay hamaray khudahoon [bi'alihatinaa] kay saath yeh keeya be'shak voh zalimoon meh say heh. [Ref: Surah 21 Ayat 57/59] Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Hazrat Ibrahim (alayhis salam) ka sawal naqal keeya joh unoon nay apnay zamanay kay Mushrikeen say keeya: Us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay ho? Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho.” [Ref: Surah 37 Ayat 95/96] aur is'see tera ek aur ayaat meh: “Yaad kero jab Ibrahim nay apnay baap say kaha; kia tum buttoon ko khuda mantay ho? [Ref: Surah 6 Ayaat 74] Is say sabat huwa kay joh banahay gahay hen voh but hen jin ko Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay tor dala thah aur yeh but mushrikeen kay khuda thay jinnay unoon nay tarash ker banaya thah.


- Jab Hazrat Musa (alayhis salam) kee qom jab samundar par ker chuki toh joh mutalba unoon nay Hazrat Musa (alayhis salam) say keeya pesh e khidmat heh: “Bani Israeel ko samundar par utara, pas voh ek es'see qom kay pass a'hay joh apnay khudahoon [but'toon] per jamay bethay thay voh bolay heh Musa hamaray leyeh esay khuda [but] bana deh jesay in kay hen (Musa alayhis salam) nay kaha tum log jahl kertay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 138] Is say yeh sabat huwa kay jis qom per Hazrat Musa (alayhis salam) aur un ki ummat gahi thee unoon nay khuda banahay huway thay aur bani Israeel nay be hath say banay huway khudahoon yehni buttoon kee farmaish ki thee joh Musa (alayhis salam) nay puri nah kee aur jis ko unoon nay Musa (alayhis salam) kee ghair hazri meh pura keeya aur ek bachray ka butt banaya aur us ko khuda bana deeya: “Aur albatta Musa tumaray pass wazia nishaniyoon kay saath ahay, phir tum nay us kay bad bachray ko [mabood] bana leeya aur tum zalim ho.” [Ref: Surah 2 Ayaat 92] “... phir unoon nay kaha yeh tumara khuda (Ilahuqum) heh aur Musa ka Khuda heh, voh [Musa] toh bool gaya heh.” [Ref: Surah 20 Ayaat 88]

- Alhasil; Mushrikeen patharoon aur deeghir maadi cheezoon say apnay khuda yehni buttoon ko banaya kertay thay aur agar is bunyadi behas ko mad e nazr rakha jahay toh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay joh Quran e kareem meh farmaya heh: “... ussay shareek kertay hen ... voh khud bana'hay huway hen.” [Ref: Surah 7Ayat 191] Is ka mafoom bilqul wazia ho jata heh kay voh butt kay khuda jin ko Mushrikeen e Makkah Allah (subhanahu wa ta'ala) kay shareek banaya heh voh khud banahay gahay hen patharoon aur deegir cheezoon kay sath. Aur khudahoon kay banahay janay aur un ka kuch nah bananay ka zikr Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh wazia ilfaaz meh keeya heh: “Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh, voh kuch nahin banatay aur khud bana'hay gahay hen, ...” [Ref: Surah 25 Ayat 3]


Point 3 - nah voh un ko madad puncha saktay hen.

- Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farmaya kay jin ko Mushrikeen e Makkah Allah (subhanahu wa ta'ala) kay shareek banatay hen voh nah u: “Kia ussay shareek kertay hen joh kuch nah banahay aur voh khud bana'hay huway hen. Aur nah voh un ko madad puncha saktay hen [mushkil waqt meh] aur nah apni madad ker saktay hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 191/192] Allah (subhanahu wa ta'ala) Mushrikeen say sawal kerta heh: “Kia hamaray siwa un kay aur khuda (Aalihatun) hen joh unneh bachatay hen?” Magar sawal ka jawab ussee ayaat meh ana'hit farmata heh: Voh sak'kat nahin rakhtay apni madad kee aur nah voh ham say [un ko bachanay kay leyeh apna] saathi pahen gay. [Ref: Surah 21 Ayat 43] Ek aur ayaat meh Allah (subhanahu wa ta'ala) waja batata heh kay Mushrikeen nay keun khuda banahay aur keun un kee khuda bananay kee waja batil heh: “Aur unoon nay bana leeyeh Allah kay siwa khuda [is khiyal e batil say ke] shahid voh madad keeyeh jahen. Voh un kee madad nahin ker saktay aur voh un kay leyeh lashkar meh hazir keeyeh jahen gay.” [Ref: Surah 36 Ayat 74/75]

[Jari heh ...]

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Point 4 - aur nah apni madad ker saktay hen.

- Allah (subhanahu wa ta'ala) buttoon kay mutaliq farmata heh: Be'shak jinnay tum Allah kay siwa pukartay ho voh har giz ek makhi bi peda nah ker saken gay khawa is kay leyeh voh sab jamah ho jahen, aur agar makhi un say kuch cheen leh toh voh is say nah charwa saken gay, kitna kamzor heh talib aur matloob.” [Ref: Surah 22 Ayat 73] aur dosri jaga Hazrat Ibrahim (alayhis salam) ka waqia naqal kerta heh: “Aur Allah kee kasam albatta meh tumaray buttoon (asnamuqum) say zeroor chaal chaloon ga jabke tum peet pher ker chalay jaho gay. Pas us nay un kay baray kay siwa sab ko reza reza ker dala ta'ke voh us kee taraf ruju keren, kehnay lagay kon heh jis nay hamaray khudahoon [bi'alihatinaa] kay saath yeh keeya be'shak voh zalimoon meh say heh? [Ref: Surah 21 Ayat 57/59] Aur is in ayaat ka ek maqsood yeh heh ke min dun'illah (Allah kay siwa) Mushrikeen kay khuda hen joh apni madad nahin ker saktay: “Kia hamaray siwa un kay aur khuda (Aalihatun) hen joh unneh bachatay hen? Voh sak'kat nahin rakhtay apni madad kee aur nah voh ham say [un ko bachanay kay leyeh apna] saathi pahen gay.” [Ref: Surah 21 Ayat 43] aur ek aur ayat me Allah (subhanahu wa ta'ala) sawal poochta heh: “Allah kay siwa kia tumari aur apni madad ker saktay hen?” [Ref: Surah 26 Ayaat 23] Aljawab, agar buttoon kay pass ikhtiyar aur qudrat hoti toh voh zeroor apni madad kertay aur apnay aap ko Hazrat Ibrahim (alayhis salam) say bachatay aur makhi say bachatay aur joh makhi cheeze ura ker leh gahi wapis lanay per qadir hotay. Aur jab voh apnay leyeh is per qadir nahin toh phir un kay leyeh kesay ho saktay hen joh un ko poojtay hen!


Tafasir e Ulamah e Sabika O Haal:

Allah (subhanahu wa ta'ala) in buttoon kay shirk say bilqul paak heh. Yeh butt kissi ko bi peda nahin ker saktay. Aur nah yeh butt apnay aap ko kohi faida puncha saktay hen aur nah hi nuqsaan.” [Ref: Tafsir Ibn Abbas, Publishers: Makki Darul Kutub]

“In mushrikeen per izhar e na pasandgi keeya ja raha heh joh Allah (subhanahu wa ta'ala) kay sath esay andad, asnam aur awsaan ko shareek ibadat kertay hen joh ba'zaat khud Allah kee makhlooq aur banahi huwi cheezen hen, kissi mamlay meh unneh kuch be qudrat hasil nahin, nah yeh bi'gar sakhtay henaur nah sawar saktay hen, nah dekh saktay hen aur nah hi apnay pujariyoon kee madad ker saktay hen, balkay yeh be jaan mujasmeh hen joh harqat nahin kertay hen, nah suntay hen aur nah hi dekh saktay hen balkay in kay pujari in say is lehaz say behtr hen ke voh sun saktay hen dekh saktay hen aur pakar saktay hen, ...” [Ref: Tafsir Ibn Kathir, Publisher: Zia Ul Quran]


“Pehlay ek tara kay shirk ka zikr thah us kee munasbat say in ayaat meh butt parasti ka rad farmatay hen. Yehni joh kissi ko peda nah ker sakkay balkay khud tumara banaya huwa ho voh tumara khuda ya mabood kesay ban sakta heh. Jin buttoon ko tum nay mabood tehraya heh aur khuda ka haq deeya heh aur tumaray kaam toh kia atay khud apni hifazat per be qadir nahin aur bavjood makhlooq honay kay kay un kamalat say mehroom hen jin say kissi makhlooq ko dosri purtafooq o imti'az hasil hota heh.” [Ref: Tafsir Shabir Ahmad Usmani, Publishers: Shah Fehad Quran Printing Complex]

“Ayushrikoona, kia Allah kay sath shareek kertay hen. Malaa yakhuluqu, joh kissi cheez ko peda na ker saken, yehni iblis aur butt. Wahum yukhlaquna hum, zameer buttoon kee taraf rajeh heh (agar cha hum kee zameer jama ashaab aqal kee taraf rajeh hona chahyeh aur but jamad cheez heh) lekin buttoon ko mushrik mabood qarar detay thay (is leyeh but bi ashaab aqal kay hokam meh ho gahay). Wala yasta-ti'oona, aur butt taqat nahin rakhtay, lahum nasran, un mushrikoon ki madad kee joh in kay pujari hen. Wala anfusahum yansuruna, aur nah apni madad ker saktay hen ke na'munasab, na'gawaar cheez ko dafa ker saken maslan agar kohi in ko toray toh apnay ko mafooz rakh saken.” [Ref: Tafsir Mazhari, Publishers: Darul Ishaat]

Kissa mukhtasar jitnay bee mufassireen e sabika zamana hen unoon nay is ayaat ka misdaq Mushrikeen aur un kay buttoon ko tehraya heh. Bator e daleel in tafasir ko be dekha ja sakta heh:

- Al Tafsir Al Kabeer, by Imam Tabarani [306 Hijri]
- Tafsir Jawahir Alhasaan fi Tafsir Al Quran
- Tafsir Al Quran by Ferozabadi [817 Hijri]

- Tafsir Ma'lim ul Tanzeel, by Imam Baghvi [546 Hijri]
- Tafsir Rooh Al Biyaan Fi Tafsir Al Quran, by Ismail Haqqi [1127 Hijri]


AlHasil:

Charoon nuqaat Quran kee tafsir Quran kay asool kay mutabiq buttoon per fit atay hen aur yeh Quran say wazia dalahil say sabat ho chuka. Aur yeh be sabat ho chuka kay jinneh Quran meh Mushrikeen ka khuda likha gaya heh voh haqiqatan butt hen. Aur Tafasir e Ulamah sabika zamana aur haal say be yeh sabat huwa kay unoon nay donoon ayaat ka misdaq mushrikoon aur un kay buttoon ko tehraya jesay kay Quran say sabat huwa.

Surah Al A'raf (7) Ayat 194:

Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194]

Ayaat kay nuqaat:

Point 1 - Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen,
Point 2 - phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.”

Aayeh Quran aur Hadith kee roshini say dekhtay hen kay Mushrikeen e Makkah kin ko pukartay thay.

Point 1 - Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen.

- Tafsir 1: Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran e qareem meh zamana e Hazrat Nuh (alayhis salam) kay Mushrikeen kee baat naqal kerta heh: “Aur unoon nay bari bari chalen chaleen. Aur unoon nay kaha tum har giz nah chorna apnay khudahoon ko, aur har giz nah chorna Wadd aur nah Suwa aur nah Yaguth aur nah Ya'uq aur na Nasr ko.” [Ref: Surah 71 Ayat 23] Yeh kia thay is kee tafseel Sahabi e RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) Hadhrat Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) kee zubaan e mubaraka say: “... joh butt Nuh (alayhis salam) ki qom meh poojay jatay thay bad meh wohi Arab meh poojay janay lagay thay. Wadd, Daumat al jandal meh bani Jandal ka butt tha. Suwa bani Hazeel ka thah, Ya'ghuth bani Murad ka thah. Aur Murad kee shaakh bani Ghu'taif ka joh wadi Juff meh qom bani saba kay pass rehtay thay. Ya'uq bani hamdan ka butt thah, Nasr Himyr ka butt thah joh Zhul Al Kala kay aal meh thay.” Yeh butt keun aur kesay Mushrikeen e Arabia kay khuda banay yeh be Hadhrat Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) kee zubani, pesh e khidmat heh: “... yeh panchoon Nuh (alayhis salam) kee qom kay Saleh [yehni muttaqi, prezgar] logoon kay naam thay. Jab in kee wafat ho gaee toh shaytaan nay un kee qom kay dil meh dala ke apni majlisoon meh jahan voh bethtay thay butt nasb ker lenh. Aur un buttoon kay naam apnay saleh afrad kay naam per rakh lenh. Chuna'chay un logoon nay esa hee keeya, us waqt un butoon kee ibadat nahin huwi leken jab voh log be mar gahay jinoon nay butt nasb keeyeh thay aur asal surat haal ka ilm logoon ko nah raha toh un kee ibadat honay lagi.”[$] [Ref: Bukhari, Kitab Tafsir, Surah Nuh, Hadith 2027] Alhasil jab Nuh (alayhis salam) kee qom kay log jinoon nay yeh butt banahay aur rakhay thay voh faut ho gahay aur future zamanay kay logoon ko asal wajuhat ka ilm nah raha toh baad meh unoon nay in buttoon ko khuda bana ker ibadat sheroon ker deeh. Abh is bunyaad ko mad e nazr rakh ker is ayaat ko samja jahay: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Sawal yeh heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ayaat meh keun farmaya kay voh jinnay tum pukartay voh banday hen? Is kee waja yeh heh kay joh zamana e RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay Mushrikeen thay un ko be ilm nahin thah kay Wadd, Ya'guth, Ya'uq, Nasr, haqiqatan banday thay. Mushrikeen bi apnay baap dada kay naqsh e qadam per in buttoon ko khuda mantay ahay thay. Aur is la ilmi ko door kernay kay leyeh aur un kay buttoon ko khuda man'nay kay nazriyat kay radd meh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farma deeya kay jinnay tum pukartay ho haqiqatan voh be banday thay na ke butt kay khuda.


Baqi Tafasiroon Kee Bunyad:

Agar kaha jahay; 'Ali sher heh.' toh mafoom kulli tashbih wala nahin leeya jahay ga; kay Ali zaat o sifaat meh sher heh magar sirf juzzi tashbih tor per kissi ek khoobi ya ek say zahid khoobiyoon meh sher jesa tehraya gaya heh. Aur mahawaratan jis ko sher kaha jahay mafoom taqatwar, bahadur hota heh nah ke char tangoon, dumb wala sher. Aayeh juzzi tashbih kee ek misaal is kee Quran say detay hen. Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya heh kay zameen per chalnay walay aur asmanoon meh urnay walay tum jesi ummateh hen: “Aur nahin kohi zameen meh chalnay wala aur na kohi parinda apnay peroon per urta heh, magar tum jesi ummateh, ham nay is kitab meh say kuch utha'kay nah rakha [yehni har cheez ka zikr kitab meh keeya], phir [log] apnay Rabb kee taraf utha'hay jahen [gay].” [Ref: Surah 6 Ayat 38] Agar is say tashbih qulli murad leeh jahay toh phir mafoom yeh hoga kay charin parind ham jesay insaan hen keun kay in ko ham jesi ummateh farmaya gaya heh. Aur is kay sath, yeh charind parind aur janwar qeeray maqoray shehroon meh rehtay hen, apni family heh, un kay pass be safr kernay kay leyeh goray, gadday, oonth, aur soda salfa khareednay kay leyeh bazaar, aur khanay peenay kay kitchen aur rafa e hajat kay leyeh toilets aur jurm kee rok tham kay leyeh police force heh. Joh ahle aqal samajtay hen kay esa har giz nahin. Jab yeh muhaal heh toh phir yeh sab ham jesi ummateh kesay ho saktay hen? Khuzarish heh kay yahan per tashbih juzzi heh yehni kissi ek sift ya chand siftoon meh sab janwar o charin parind qeeray makoray ham jesay hen aur voh kon si sifteh hen? Un meh say ek sift ka zikr Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ayat meh farma deeya heh: “Aur nahin kohi zameen meh chalnay wala aur na kohi parinda apnay peroon per urta heh, magar tum jesi ummateh, ...” yehni zameen per chalnay walay aur parinday ummateh hen yehni jistera ham agathay rehtay hen is'see tera janwar parindeh waghera be apnay jesoon kay saath ummat ban ker rehtay hen. Misaal kay tor per, tota totoon kay saath, chiryen chiryoon kay saath, chimti chimtiyoon kay saath, yehni har kism ka janwar parinda qeera moqora apni nasl kay saath rehta heh ghair nasal kay saath nahin. Sher bakriyoon kay saath nahin rehta, kutta billiyoon kay saath nahin rehta balkay har janwar apni nasal kay saath rehta heh aur is'see tera insaan be insaanoon kay saath rehta heh. Jistera insaan khata peeta heh, marta aur peda hota heh, sota jagta heh, waghera waghera wohi sifaat janwaroon parindoon meh be hen. Abh jab aap samjay kay Allah (subhanahu wa ta'ala) jab tashbeeh deta heh toh qulli tashbih murad nahin hoti balkay ek ya chand sifaat o khoobiyoon meh tashbih hoti heh toh atay hen ayaat kee taraf jis ko daleel banaya gaya heh Ahle Sunnat kay khilaaf.


- Tafsir 2: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Note keryeh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay pukaray janeh waloon ko tumaray jesay banday kaha heh. Magar joh Quran say sabat huwa voh yeh heh kay voh butt hen joh zamana e maazi meh Nuh (alayhis salam) kee ummat kay saliheen banday thay magar RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay zamanay say pehlay hee butt bana ker un saliheen kay namoon say mansoob keeyeh gahay thay. Khadam arz kerta heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) ka farmana kay voh ham jesay banday hen tashbih qulli nahin magar tashbih juzzi kay mafoom meh farmaya gaya heh. Yehni voh bilqul zaat o sifaat ham jesay nahin magar kissi ek sift meh ya chand siftoon meh ham jesay hen. Note keejeeyeh kay voh butt Nuh (alayhis salam) ki ummatiyoon yehni insaanoon kee shakal o soorat meh banahay gahay thay is leyeh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay un ko tumaray jesay banday farmaya. Magar Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran kee agli ayat meh buttoon kay khuda honay aur Mushrikeen aur un kay khudahoon kee zillat kay wastay un kay butt kay khudahoon ka rad kertay huway sawal poochta heh: Kia un kay pahoon hen jin say chalen ya un kay haath jis say garift keren ya un ki ankhen jin say dekh saken aur qaan jin say suneh? Farmaho; apnay shareekoon ko pukaro aur muj per waar chalo aur mujjay molat nah doh.” [Ref: Surah 7 Ayat 195] Aur sawaloon kay doh kay jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) khud farmata heh: “Aur agar tum un ko pukaro hidayat kee taraf toh kuch nah suneh gay. Aur [butt ka khuda] dekhtay hen jesay tummeh dekh rahay hen aur voh kuch nahin dekhtay.” [Ref: Surah 7 Ayat 198] Ya Allah voh butt bazahir Mushrikoon jesay banday hen magar haqiqat meh insaan har giz nahin. Mushrik teray banahay huway hen aur butt Mushrikoon kay banahay huway hen; teray bananay meh tera kohi muqabil nahin. Voh butt shakal e insaani meh toh hen magar insaan nahin, haath toh rakhtay hen magar pakr nahin saktay, qaan rakhtay hen magar dekh nahin saktay, aankh rakhtay hen sun nahin saktay, pahoon rakhtay hen chalnay kee quwat nahin rakhtay. balkay jin buttoon ko Mushrikeen pukartay hen voh banahay gahay hen aur yeh butt kuch nahin banatay: Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay.[*] [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21]
 

[Jari heh ...]

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

- Tafsir 3: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran e kareem meh farmaya: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh [Mushriko] tumaray jesay banday hen, ...” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Aayeh dekhtay hen kay Mushrik kesay banday thay: “Aur agar tum unneh [sirat e mustaqeem ki] rah kee taraf bulaho toh nah suneh aur tooh unneh dekhay
ke voh teri taraf rahay hen aur unneh kuch be nahin dekhaee deta.
[Ref: Surah 7 Ayat 198] Allah (subhanahu wa ta'ala) nay mushrikeen kay mutaliq mazeed farmaya: Behray, goongay, anday, toh voh lo't anay walay nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 18] “Aur kaffiroon kee misaal is ki see heh, joh pukaray esay ko joh khali cheekh pukar kay siwa kuch nah sunay, behray, goongay, anday, toh unneh kuch samaj nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 171] “Aur ham nay peda keeyeh jahanum kay wastay bot say Jin aur admi. Un kay dil hen un ke un say samajtay nahin, aur ankhen hen magar dekhtay nahin, aur qaan hen un say suntay nahin voh esay hen jesay chopahay hen balkay un say be ziayada be-hidayat, wohi log ghafil hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 179] “Aur kaffiroon kee misaal is ki see heh, joh pukaray esay ko joh sirf cheekh pukar kay siwa kuch nah sunay [yehni chopahay], behray, goongay, anday, toh unneh kuch samaj nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 171] Allah (subhanahu wa ta'ala) Mushrikoon kee sifaat batahi kay voh behray goongay anday banday hen aur jin ko yeh Mushrik pukartay hen yehni butt kay khuda voh bee to Mushrikoon jesay hen toh phir juzzi tashbih kay mutabiq is ka mafoom yeh banta heh kay Mushrikeen kay khuda yehni butt, anday, goongay, behray hen aur jis ka saboot yeh ayaat heh: “... ya un ki ankhen jis say voh dekhen ya qaan hen jis say voh suneh? Farmaho; apnay shareekoon ko pukaro aur muj per waar chalo aur mujjay molat nah doh.” [Ref: Surah 7 Ayat 195] yehni ankhen aur qaan honay kay bavjood dekhtay suntay nahin aur is'see ko wazia tor per ek aur ayaat meh biyaan keeya gaya heh: “[Waqia] mazkoor ker kitab meh Ibrahim ka be'shak voh sacha Nabi thah. Jab kaha apnay baap ko; heh meray baap keun poojtay ho us ko na suneh aur na dekhay aur teray kuch kaam nah ahay.” [Ref: Surah 19 Ayat 41/42]

- Tafsir 4: Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh:Ham nay tummeh peda keeya to keun nahin sach mantay?” [Ref: Surah 56 Ayat 57] aur ek aur ayaat meh Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Heh logo! Apnay Rabb ko poojo jis nay tummeh aur tum say pehloon ko peda keeya yeh umeed kertay huway kay tummeh prezgari millay.” [Ref: Surah 2 Ayat 21] Allah (subhanahu wa ta'ala) aur ayat meh is'see baat ka izhar farmata heh:   Aur Allah nay tummeh peda keeya phir tumari jaan qabz keray ga, aur tum meh kohi sab say naqas umar kee taraf phera jata heh ke jan'nay kay baad kuch nah janay, beshak Allah sab kuch janta heh, sab kuch ker sakta heh.”   [Ref: Surah 16 Ayat 70] Abh agar is siyaaq o sabak ko mad e nazr rakh ker is ayaat ko samja jahay; yehni Mushriko tummeh bananay wala Allah (subhanahu wa ta'ala) heh aur jin ko voh pukartay hen voh Mushrikoon jesay hen:Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh [Mushriko] tumaray jesay banday hen, ...” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Toh phir mafoom yeh nikalta heh kay Mushriko jistera tum ko Allah (subhanahu wa ta'ala) nay tummeh peda keeya us'see tera tum jin buttoon kay khudahoon ko pukartay ho un ko be Allah (subhanahu wa ta'ala) nay banaya heh: “... (butt parast) mutawajoh huway, dortay huway us kee taraf (ahay), us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay [tanhitoon] ho. Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho? [Ref: Surah 37 Ayat 91/96]

Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay har cheez ko peda keeya heh: “Beghair kissi namoona kay asmanoon aur zameen ka bananay wala [Allah heh]. Phir us ka han bacha kahan say ho halan kay us kee aurat nahin? Aur us nay har cheez ko peda keeya heh aur voh sab kuch janta heh. [Ref: Surah 6 Ayat 101] aur yahi mafoom ek aur ayaat meh be heh: “... ho jahen gay anday aur ankhyar? Ya barabar ho jahen gi handeriyan aur ujala? Kia Allah kay leyeh esay shareek tehrahay hen jinoon nay Allah ki tarah kuch nahin banaya? Toh unneh un ka banana aur us ka banana ek sa maloom huwa? Farmaho; Allah har cheeze ka bananay wala heh aur akela sab per ghalib heh.” [Ref: Surah 13 Ayat 16] Aur jab har cheez Allah (subhanahu wa ta'ala) nay peda kee heh toh phir us meh buttoon ka banana be shamil hota heh. Sawal uthaya jahay ga kay kesay ho sakta heh kay insaan kay banahi huwi cheez Allah (subhanahu wa ta'ala) kee banahi huwi cheez tehrahi jahay. Jawab hazir e khidmat heh, dekhyeh Allah (subhanahu wa ta'ala) insaan kee banahi huwi cheez ko apni taraf mansoob kerta heh kay un ko Allah (subhanahu wa ta'ala) nay banaya heh: “Aur Allah nay joh peda keeya us say tumaray leyeh sahay bana-hay, aur tumaray leyeh bana-heen paha-roon meh pana-gahen, aur tumaray leyeh kurtay banahay joh tumaray leyeh garmi say bachaho hen, aur kurtay [Zeeren, armour] joh tumaray leyeh bachaho hen tumari larahi meh, ...” [Ref: Surah 16 Ayat 81] Is'see tera Allah (subhanahu wa ta'ala) kay Nabi Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay buttoon kay bananay ko be Allah (subhanahu wa ta'ala) taraf mansoob keeya heh: “ … phir voh un kay ma'budoon meh chup ker gus gaya, phir kehnay laga; kia tum khatay ho? Tummeh kia huwa tum boltay nahin? phir puri quwat say marta huwa un per ja pera. Phir voh (but parast) mutawajoh huway, dortay huway us kee taraf (ahay), us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay [tanhitoon] ho. Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho? [Ref: Surah 37 Ayat 91/96]

Alhasil:

Tafsir e awal meh khadam nay sabat keeya kay voh banday Hazrat Ibrahim (alayhis salam) kay ummati thay jin kay butt banahay gahay thay aur un buttoon ko khuda bana leeya gaya tha. Phir is'see tafsir e awal kee bunyaad ko malhooz rakh ker is ayaat kee deeghir tafasir pesh keen. Tafsir 2; Mushrikeen kay butt un kay khuda insani shakal o soorat meh banahay gahay thay aur voh un mushrikeen jesay insaan lagtay thay magar haqiqat meh un kay pass voh sifaat mojood nahin theen joh Mushrikeen meh mojood theen yehni butt ankhen, qaan, haath, pahoon, honay kay bavjood dekhnay sunnay, pakrnay aur chalnay kee sifat say mehroom thay. Tafsir 3; Mushrikeen kay butt khuda behray goongay anday hen jistera mushrikeen behray goongay aur anday hen. Tafsir 4; Aur aakhiri tafsir meh sabat keeya gaya kay buttoon ko bananay wala Allah (subhanahu wa ta'ala) kee zaat heh aur ban'neh meh Mushrikeen buttoon jesay banday hen, yehni un ko Allah (subhanahu wa tala) nay banaya heh jistera buttoon ko banaya heh.

Point 2 - phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.

- Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro, chahyeh toh yeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Jawab denay kay leyeh sunna lazmi heh aur jab yeh butt kay khuda sawali kay sawal ko sun nahin saktay: “[Waqia] mazkoor ker kitab meh Ibrahim ka be'shak voh sacha Nabi thah. Jab kaha apnay baap ko; heh meray baap keun poojtay ho us ko na suneh aur na dekhay aur teray kuch kaam nah ahay.” [Ref: Surah 19 Ayat 41/42] Ek aur ayat meh button kay mutalik Ibrahim (alayhis salam) ka farman peryeh: “Jab kaha apnay baap ko aur us kee qom ko tum kiss ko poojtay ho? Woh bolay ham poojtay hen buttoon ko aur sara din in'nee kay pass bethay [sath lagay rehtay] hen. Kaha, kuch suntay hen tumara kaha jab tum pukartay ho ya tumara kuch bala ya bura kertay hen?” [Ref: Surah 26 Ayat 71/73] Ibrahim (alayhis salam) kay is sawal ka jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran me ek aur jaga anahit farmata heh: Agar tum un ko pukaro toh nahin suneh gay tumari dua [yehni pukar] ... [Ref: Surah 35 Ayat 14] Aur Mushrik toh apnay butt kay khudahoon ko madad kay leyeh pukartay thay: “Aur pakrtay hen Allah kay siwa aur khuda (Aalihatan) ke shahid un kee madad keren; …” [Ref: Surah 36 Ayat 74] Awal toh butt kay khuda suntay hee nahin: “... aur agar [bil farz e muhaal] suneh toh pun-chen nahin tumari madad ko aur qayamat kay din munkir hoon gay [khuda kay] shareek honay kay. Aur kohi nah batlahay ga tuj ko jesay batlahay khabr rakhnay wala.” [Ref: Surah 35 Ayat 14] “... na ker saken gay [yeh butt kay khuda] un kee madad aur yeh [butt parast buttoon ki] foj ho ker pakray ahen gay.” [Ref: Surah 36 Ayat 74] “Aur jin ko tum pukartay ho us kay siwa voh nahin kertay tumari madad aur nah apni zaat kee madad ker saktay hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 197] Keun madad nahin ker saktay us ka jawab yeh heh kay buttoon kay qaan toh hen magar suntay nahin, ankhen hen dekhtay nahin, haath hen magar pakr nahin saktay, aur pahoon hen chal nahin saktay is leyeh achay aur buray per kohi qudrat nahin rakhtay is leyeh nah voh apni madad ker saktay hen aur nah auroon kee. Aur is kay saath yeh butt kay khuda apni ya kissi aur kee madad say is leyeh qaasir hen keun kay voh kissi be cheez joh qaynaat e illahi meh mojood heh malik nahin balkay Allah (subhana wa ta'ala) un kee malikiat kee haqiqat biyaan farmata heh: “... yeh Allah heh tumara Rabb ussee kay leyeh mulk [yehni badshahi] aur jin ko tum pukartay ho us kay siwa voh malik nahin khajoor kee gutli kay ek chilka kay.” [Ref: Surah 35 Ayat 13] “... voh malik nahin ek zerra bar kay asmanoon meh aur na zameen meh aur na un [butt kay khudahoon] ka in donoon meh kohi hissa heh aur nah us [yehni Allah] ka kohi madad-gar.” [Ref: Surah 34 Ayat 22] Alhasil buttoon kay pass nah toh zindgi heh jis say voh dekh, sun, chal, pakr saken aur nah voh Allah (subhanahu wa ta'ala) kee qaynaat meh kissi ek zarray kay malik hen kay us per denay per ikhtiyar rakhtay hoon aur nah yeh butt kay khuda Allah kay shareek hen. Allah (subhanahu wa ta'ala) mazeed butt kay khudahoon kay mutaliq aur farmata heh: “Kia tehra-hay hen unoon nay aur khuda (Aalihatan) zameen kay joh dobara utha-hen gay [murdoon ko]?” [Ref: Surah 21 Ayat 21] Is sawal kay jawab kay saath Allah (subhanahu wa ta'ala) butt kay khudahoon kay mutaliq aur be farmata heh:“Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh ke voh kuch nahin banatay, aur khud bana'hay gahay hen, aur voh apnay leyeh achai, burahi aur nah hee voh maut, zindgi aur utha'jay janay per qadir hen.” [Ref: Surah 25 Ayat 3]

Tafasir Ulamah e Sabika Zamana:

Aur joh log buttoon kee ibadat kertay hen toh voh butt bi in hi jesay hen toh tum in buttoon ko pukar ker dekho agar tum apni baat meh sachay ho ke who tummeh nafa puncha'tay hen. Phir dekho ke kia voh tumari suntay hen aur jawab detay saktay hen. Kia in buttoon kay hath hen ke who kissi cheez ko leh saken aur deh saken ya ankhen aur qaan hen ke who tumari ibadat ko dekh saken aur tumari awaaz ko be sun saken? Heh Muhammad (sallalahu alayhi was'sallam) aap Makkah kay mushrikoon say farmaya deejeeyeh; apnay buttoon say madad talab kero aur phir tum aur tumaray butt bi meri zar risani kee tadbeer keren aur mujjay zera mohlat nah doh. [Ref: Tafsir Ibn
Abbas
]

In mushrikeen per izhar e na pasandgi keeya ja raha heh joh Allah (subhanahu wa ta'ala) kay sath esay andad, asnam aur awsaan ko shareek ibadat kertay hen joh ba'zaat khud Allah kee makhlooq aur banahi huwi cheezen hen, kissi mamlay meh unneh kuch be qudrat hasil nahin, nah yeh bi'gar sakhtay henaur nah sawar saktay hen, nah dekh saktay hen aur nah hi apnay pujariyoon kee madad ker saktay hen, balkay yeh be jaan mujasmeh hen joh harqat nahin kertay hen, nah suntay hen aur nah hi dekh saktay hen balkay in kay pujari in say is lehaz say behtr hen ke voh sun saktay hen dekh saktay hen aur pakar saktay hen, ...” [Ref: Tafsir Ibn Kathir, Publisher: Zia Ul Quran]


Truly those on whom you call, [whom] you worship, besides God are servants, owned, like you; call them then and let them answer you, your call, if you are truthful, in [claiming] that they are gods: God then illustrates their utter incapacity and the superiority which their worshippers possess over them, saying: Have they feet wherewith they walk or, indeed, have they hands (aydin is the plural of yad) wherewith they can grasp or, indeed, have they eyes wherewith they can see or, indeed, have they ears wherewith they give ear? (an interrogative of rejection), in other words, they have none of these things, which you have, so why do you worship them when you are more complete in being than they are? Say, to them, O Muhammad (s): ‘Call upon your associates, to destroy me; then scheme against me, and waste no time, [do not] give me any respite, for I am not concerned with you.” [Ref: Tafsir Al Jalalayn]

Mazeed yeh tafasir dekhi ja sakti hen:

- Tafsir Jami ul Biyan Fi tafsir ul Quran, by Al Tabari,
- Tafsir Al Kabeer, by Imam Raazi,
- Tafsir Jami al Ihkam al Quran, by Al Qurtubi,
- Tafsir Bey'dawi or Bey'zawi
- Tafsir Fath Al Qadeer, by Shoqani


Alhasil:

Quran o Hadith kee roshini meh yeh baat sabat huwi kay surat 7 kee ayat 194 buttoon kay wastay nazil huwi thee. Khadam nay panch tafasir Quran kee roshini say pesh keenh hen is ek ayaat kee sab say yahi sabat hota heh kay yeh ayaat buttoon kay wastay nazil huwi thee na kay kissi banday kay wastay.


Surah Al Ahqaf (45) Ayat 5:

“Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar qayamat kay din taq aur unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.” [Ref: Surah 46 Ayat 5]

- Tafsir 1: “... The Prophet (peace_be_upon_him) said: 'Supplication (du'a') is itself the worship'. (He then recited:) "And your Lord said: Call on Me, I will answer you" (40:60). “ [Ref: Abu Dawood, Book 8, Hadith 1474] ek aur hadith meh farmaya: “... I heard the Prophet (sa) saying: “Supplication is worship.” Then he (saw) recited the verse: “And your Lord says, ‘Call upon Me; I will respond to you.’ Indeed, those who disdain My worship will enter Hell contemptible.” (40:60) Abu Eisa (Imam at-Tirmidhi) said: This narration is Hasan Sahih (good, authentic).” [Ref: Tirmidhi, Book 44, Number 3247] Abh agar in ahadith kee roshini meh dekha jahay toh phir yeh sabat hota kay dua kerna ibadat kerna heh. Aur yad'u [ye, daal, ayn, wa, alif] dua say nikla heh aur dua ka mafoom pukar heh Arabi meh jesa kay: “La tajalu dua ar'rasooli ...” yehni “Nah tehraho Rasool kay pukarnay ko ...” [Ref: Surah 24 Ayat 23] Is leyeh is ayaat meh: “Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar qayamat kay din taq aur unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.” [Ref: Surah 46 Ayat 5] yad'u ka lafz bazahir pukarnay kay leyeh bola gaya heh magar haqiqat meh ibadat kee pukaar tehraya jahay ga keun kay makhlooq ko khuda maan ker pukara gaya heh. Allah (subhanahu wa ta'ala) kay siwa kis kee ibadat hoti thee is ka jawab Quran meh mojood heh: "Sirf tum ibadat kertay ho Allah kay siwa buttoon kee, aur tum jhoot gartay (takhluquna) ho, beshak Allah kay siwa jin kee tum ibadat kertay ho voh tumaray leyeh rizq kay maliq nahin ...” [Ref: Surah 29 Ayat 17]


- Tafsir 2: Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar qayamat kay din taq aur unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.” [Ref: Surah 46 Ayat 5] Allah (subhanahu wa ta'ala) batata heh kay Mushrikeen kin ko pukartay thay: “Allah kay siwa nahin pukartay magar auratoon ko aur nahin pukartay shaytaan sharkash ko.” [Ref: Surah 4 Ayat 117] Aur yeh aurateh kon theen is kee nishanda'i ek aur ayaat meh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farmahi: Bala tum dekho toh Laat aur Uzza ko aur aakhiri tesray Manat ko.” [Ref: Surah 53 Ayat 19/20] Aur yeh mu'adid ahadith say sabat heh kay Al-Lat, Uzza, Manat Mushrikeen kay butt khuda thay: “... qabila Ansar kay kuch log Manat kay naam per ihram bandtay thay. Manat ek butt thah joh Makkah aur Madinah kay darmiyan rakha huwa thah ...” [Ref: Bukhari, Kitabul Tafsir, Surah Najm, Hadith 1966] Aur Mushrikeen un ko Allah (subhanahu wa ta'ala) kee betiyan mantay thay. Magar Mushrikeen apnay leyeh betiyoon ko bura jantay thay aur betoon ko pasand kertay thay. Aur is'see nazriyeh ko Allah (subhanahu wa ta'ala) mad e nazr rakh ker Mushrikeen say sawal kerta heh: “Kia tumaray leyeh betay aur us [yehni Allah] kay leyeh betiyan?” [Ref: Surah 53 Ayat 21] Mazeed Allah (subhanahu wa ta'ala) Al-Lat, Uzza, aur Manat kee haqiqat batata heh: “Yeh taqseem [yehni betoon aur betiyoon ki] bot hi buri heh. Yeh sab naam hen joh tum nay rakh leyeh hen [buttoon kay wastay] aur tumaray baap dada'oon nay, Allah nay nahin utari unki kohi sanad ...” [Ref: Ref: Surah 53 Ayat 22/23] Kabah kay andar aur ird gird 360 butt thay aur Mushrikeen zamana e jahilliya meh buttoon ka tawaf kernay kay leyeh aya kertay thay. Us zamanay meh Al-Lat us ko kaha jata thah joh Mushrikeen kay leyeh sat'toon golta thah: ... aur un say Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) nay ke Laat us sha'khs ko kehtay thay joh hajiyoon kay leyeh sat'toon golta thah.” [Ref: Bukhari, Kitabul Tafsir, Surah Najm, Hadith 1964] Magar Mushrikeen nay aur un kay baap dada-oon nay ussay butt ka khuda bana deeya aur ko Allah (subhanahu wa ta'ala) kee beti tehraya.

[Jari heh ...]

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

- Tafsir 3: Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay apni qom say poocha jab voh jawab deh chukay kay voh buttoon ko poojtay hen: “... ham poojtay hen buttoon ko aur sara din in'nee kay pass bethay [sath lagay rehtay] hen. Kaha, kuch suntay hen tumara kaha jab tum pukartay ho ya tumara kuch bala ya bura kertay hen?” [Ref: Surah 26 Ayat 71/73] ek aur jaga Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay apnay pehlay sawal kay jawab ko ek aur sawal kay saath pesh keeya: “[Waqia] mazkoor ker kitab meh Ibrahim ka be'shak voh sacha Nabi thah. Jab kaha apnay baap ko; heh meray baap keun poojtay ho us ko na suneh aur na dekhay aur teray kuch kaam nah ahay?” [Ref: Surah 19 Ayat 41/42] Aur haqiqat yeh heh kay buttoon kay haath, pahoon, qaan, ankhen sab kuch toh hen magar phir be be'jaan hen: Kia un kay pahoon hen jin say chalen ya un kay haath jis say garift keren ya un ki ankhen jin say dekh saken aur qaan jin say suneh? Farmaho; apnay shareekoon ko pukaro aur muj per waar chalo aur mujjay molat nah doh.” [Ref: Surah 7 Ayat 195] Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay. [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21] Joh murda ho zameen kee tera, aur sunnay, dekhnay, chalnay, pakrnay, khanay, kee taqat nah rakhta ho aur agar kohi us ko ibadat kee pukar say pukaray toh voh us ko qayamat taq nahin sunneh gay aur: “Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar qayamat kay din taq aur unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.” [Ref: Surah 46 Ayat 5] Aur qayamat kay din in butt kay khudahoon kee ibadat kernay walay buttoon ko pukaren gay magar un ko kohi jawab nahin millay ga [28:64]. Aur jab Allah (subhanahu wa ta'ala) butt kay khudahoon ko hazir keray ga aur poochay ga kia tum nay in ko kaha thah kay meri pooja kero? Toh phir Mushrik aur un kay khuda ek dosray kay munkir ho jahen gay aur ek dosray per lanat behjen gay [29:25] Aur phir Allah (subhanahu wa ta'ala) buttoon aur mushrikeen ko jahanum meh dalnay ka hokam deh ga aur farmahay ga kay agar yeh khuda hotay toh phir voh dozakh meh nah dalay jatay [21:99].

Tafsir e Ulamah e Sabika Zamana:

“And who is (man here is interrogative but meant [rhetorically] as a negation: in other words, ‘no one is’) further astray than him who invokes, [him who] worships, besides God, that is to say, other than Him, such as would not respond to him [even] until the Day of Resurrectionthese are the idols, who never answer those who worship them in anything that they ask forand who are heedless of their supplication?, their worship, because they are inanimates that possess no [faculty of] comprehension.” [Ref: Tafsir Al Jalalayn]

“(And who is further astray) from the Truth and guidance (than those who, instead of Allah) i.e. the disbeliever, (pray unto) worship (such as hear not their prayer) such as respond not to his supplication (until the Day of Resurrection) i.e. the idols, (and are unconscious of their prayer) and are unaware of the prayers of those who worship them, ...” [Ref: Tafsir Ibn Abbas]

“(And who is more astray than those who invokes besides Allah others who will not answer them until the Day of Resurrection, and who are unaware of their invocations to them) meaning, no one is more misguided than those who invoke idols instead of Allah, asking them for things that they cannot give -- until the Day of Judgment. They (the idols) are unaware of what he asks, they can neither hear, see, or act. This is because they are inanimate, senseless stones. Allah then says, ...” [Ref: Tafsir Ibn Kathir]

Mazeed in tafasiroon ko dekha ja sakta heh:

- Tafsir Al Kashf, by Zamashkari
- Tafsir Al Kabeer, by Imam Raazi
- Tafsir Jami Al Ihkam, by Imam Qurtubi
- Tafsir Fat'h Al Qadeer, by Shokani
- Tafsir Al Quran, by Ferozabadi
- Tafsir Ma'lim ul Tanzeel, by Imam Baghvi
- Tafsir Madarik, Imam Nafsi
- Tafsir Al Khazan
- Al Tafsir Al Kabeer, by Imam Tabarani

Alhasil:

Quran aur ahadith kee roshini say yeh sabat huwa kay yeh ayat be Mushrikeen aur un kay khudahoon yehni buttoon kay mutaliq thee nah kay Mominoon aur Musalmanoon kay wastay. Aur Ummah kay Ulamah e Sabika kee tafasir is per saboot hen.

Khadim ka joh mowaqif thah us per khadam nay Quran o Sunnat say mu'adid tafseeren keen aur har pehloo say yeh sabat keeya kay yeh teenoon ayaat Mushrikoon aur un kay buttoon kay baray meh theen. Aur joh khadam ka dawa thah: “Joh ayaat janab Waseem sahib pesh keren gay who buttoon kay wastay nazil huweeen hen ….” khadam us per poora utra heh is leyeh khadam ko kissi kay nazriyat qabool kernay kee zeroorat nahin.

Waseem Mughal Kay Mowaqif Ka Radd:

Waseem Mughal nay joh tehreer likhi thee us kay ilfaaz naqal kerta hoon: “... meh agar Quran say yeh ayateh sabat nah keroon kay Allah nay kaha heh ke ye banday hen madad nahin ker saktay aur voh apni madad nahin ker saktay.” Aur mazeed yeh likha thah kay: “... agar me yeh Quran say sabat nah keroon toh meh Barelwi maslak qabool ker loon ga.Aayeh dekhtay hen kay kia Waseem sahib nay apni likhi huwi tehreer kay mutaliq daleel pesh keeh ya nahin. Janab kee daleel e awal kee taraf atay hen: “Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194, Tarjuma: Hafiz Nazr Ahmad] Abh tehreer aur ayaat ka muwazna kerta hoon. Tehreer meh likha thah: “… Allah nay kaha heh ke ye banday hen madad nahin ker saktay aur voh apni madad nahin ker saktay.” Meh is tehreer aur ayaat ko points bana ker likhta hoon:

1 - Allah nay kaha heh ke ye banday hen
2 - madad nahin ker saktay
3 - aur voh apni madad nahin ker saktay.


Ayaat kay nuqaat:

A - Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen,
B - phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.”


Janab kee pehli pesh kerda daleel meh nuqta 2 aur 3 mojood nahin sirf nuqta 1 mojood heh. Aur buttoon ko banda kehna is leyeh thah kay voh bandoon kee shakal meh thay. Aur yeh nuqta 1 be tashbih juzzi kee bina per heh yehni jistera butt nahin suntay is'see tera mushrik nahin suntay taleem islam ko. Ayaat meh sirf mushrikoon jesay bandoon kay jawab nah denay ka zikr heh aur Waseem sahib nay likha thah kay voh sabat keray ga kay banday madad nahin ker saktay aur nah apni madad ker saktay hen lehaza yeh daleel puri nahin utarti.

Aur janab kee dosri daleel: “Kia ussay shareek kertay hen joh kuch nah banahay aur voh khud bana'hay huway hen. Aur nah voh un ko madad puncha saktay hen aur nah apni madad ker saktay hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 191/192] Aayeh is kay be nuqaat banatay hen:

 

A - ussay shareek kertay hen joh kuch nah banahay
B - khud bana'hay huway hen.
C - nah voh un ko madad puncha saktay hen
D - nah apni madad ker saktay hen

Aur ek dafa phir janab kay teen nuqaat pesh e khidmat hen:

1 - Allah nay kaha heh ke ye banday hen
2 - madad nahin ker saktay
3 - aur voh apni madad nahin ker saktay.


Dekhtay hen kon say nuqaat ayaat meh pahay jatay hen. Nuqta 2 joh ayaat ka nuqta C banta heh aur nuqta 3 joh ayaat ka nuqta D banta heh, yehni 2 nuqaat mojood hen. Magar yeh donoon nuqtay buttoon kay bana-hay janay aur buttoon kay kuch na bana-nay kay baray meh hen. Waseem Sahib ka nuqta 1 yehni Allah (subhanahu wa ta'ala) nay unneh ayaat me banda farmaya heh yeh mojood nahin. In wajoohat kee bina per Waseem Sahib kee yeh daleel bee tehreer kay mutabiq nahin.

Janab kee tesri daleel: “Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar qayamat kay din taq aur unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.” [Ref: Surah 46 Ayat 5] kay yeh nuqaat hen:

A - Us say ziyada kon gumra joh Allah kay siwa pukaray esay ko jissay nah punchay us kee pukar
B - unneh khabr nahin nahin un kay pukarnay ki.

Aayeh ek dafa phir janab kay teen nuqaat kee taraf:

1 - Allah nay kaha heh ke ye banday hen
2 - madad nahin ker saktay
3 - aur voh apni madad nahin ker saktay.


Aur ayat meh janab Waseem sahib kay teenoon nuqtay nahin pahay jatay is leyeh yeh daleel bee janab kee likhi huwi tehreer per puri nahin utarti.

Biyaan e Haq:

Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh kay puranay zamanoon kay kissay Quran meh is leyeh batahay gahay hen kay ahle feham in say ibrat hasil keren [12:111]. Aur Khadam nay puranay waqiat ko sirf joh un say ibrat hasil hoti heh us kay leyeh naqal keeya heh. Aur zahir baat heh kay in waqiat say mushrik be ibrat hasil kertay thay, Sahabah aur baqi be Ummati hasil kertay hen. Quran Ki Shaan Jawami Al Kalim yehni likha mukhtasar gaya heh magar mafoom meh bara waseeh heh [Ref: Bukhari, B87, H141] Is leyeh Quran kee ayaat kee muadid tafasir kee ja sakti hen jistera khadam nay keeya magar kohi tafsir Quran say ikhtilaaf nahin kerni chahyeh keun kay Quran meh ikhtilaf yehni tazaad biyani nahin. Is leyeh essee tafsir joh Quran kee kissi wazia ayaat say tazad peda keray voh Allah kay Quran kee taqzeeb bee heh aur Quran meh tazad biyani ko sabat kerna heh, joh kuffr heh. Aur yaad rahay tafsir Bir'ray ka murtaqib jahanumi heh, yehni voh tafsir joh kohi apni man pasand, mangarat tafsir keray jis ka saboot Quran o hadith say sabat nah ho voh banda jahanumi heh. Aur note keren kay Khariji kaffiroon ka tareeka yeh heh kay voh Mushrikeen aur un kay buttoon kay wasay joh ayaat nazil huween theen un ko Musalmanoon per chispan kertay hen: "And the statement of Allah: 'Allah will not mislead a people after He has guided them, until He makes clear to them what to avoid.' [9:115] And Ibn Umar used to consider them (the Khawarij and the Mulhidun) the worst of Allah's creatures and said: "These people took some verses that had been revealed concerning the disbelievers and interpreted them as describing the believers." [Ref: Sahih Al Bukhari, Volume 9, Page 49, Chapter 6: Killing The Khawarij ... and the Mulhidun (heretical) after the establishment of firm proof against them] Aur esoon ko Hazrat Abdullah Ibn Umar (radiallah ta'ala anhu) nay badtreen makhlooq jana heh. Ek aur hadith meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay ek essay logoon kay mutaliq farmaya joh Quran peren gay magar un kay halk say neechay nahin utray ga aur RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay farmaya kay voh khalaiq meh sab say bad'treen hoon gay: "Abu Dharr reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: Verily there would arise from my Ummah after me or soon after me a group (of people) who would recite the Qur'an, but it would not go beyond their throats, and they would pass clean through their religion just as the arrow passes through the prey, and they would never come back to it. They would be the worst among the creation and the creatures. Ibn Samit (one of the narrators) said: …" [Ref: Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2335] Aur RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay farmaya: ... ahle kitab 72 firqoon meh batay aur yeh Ummat 73 firqoon meh batay gee, jin say 72 jahannumi hoon gay aur ek jannati hoga aur voh [firqa] aksiriyat meh hoga.” [Ref: Abu Dawood, Hadith 4580] aur janab kee aksiriyat toh door ek do be chamchay nah hoon gay. Aur aakhir meh arz heh kay jamhoor e Ummat yehni majority, sawad e azam, aksiriyat wali jammat kay mutaliq RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay farmaya kay voh gumrahi per mutafiq nahin hogi: “Tum jammat kay saath rehna aur aledgi say bachna keunke shaytaan ek shakhs kay saath hota heh aur voh do admiyoon say ziyada door hota heh.” [Ref: Tirmadhi, Kitabul Fitan, Hadith 2091] aur janab aap akelay aur Ummat kay jayyid mufasireen o Ulamah aap kay khilaaf yaqeenan shaytaan aap kay saath hee heh. Aur aakhir meh ek aur hadith: “... Allah (subhanahu wa ta'ala) meri ummat ko jama nahin keray ga (rawi ko shak heh shahid yeh ilfaaz hen): Muhammed kee ummat ko gumrahi per jama nahin keray ga ...” [Tirmadhi, Kitabul Fitan, Hadith 2093] Alhasil Ummat kay jayyid mufasireen e sabika zamana ka is per ijma heh kay in ayaat say butt muraad hen is leyeh Waseem sahib kay saath shaytaan ka hona sabat hota heh.

Haq sab per wazia ho chuka hoga Waseem baee kay daway aur un kay dalahil kay baray meh is leyeh is jawab ko pernay waloon say apeal heh kay voh apnay saath insaaf keren aur haq ko qabool keren. Warna nuqsaan kissi ghair ka nahin sirf apna hee keren gay. Janab Waseem sahib ko apni likhi huwi tehreer kee pasdari kerni chahyeh aur maslak e sayyidi ala hazrat Imam Ahmad Raza qabool kerna chahyeh joh khalis Ahle Sunnat Wal Jammat kay tarjuman thay.

Janab Waseem sahib agar kohi apni tehreer kee kohi taweel keren ya maslak e Ala Hazrat ko qabool kernay say inqaar keren ya tehreeri jawab dena chahen toh phir yeh un ko haq nahin hoga. Tehreer meh taweel ka haq us waqt thah jab likhi gahi abh agar kohi taweel kertay hen kay mera matlab yeh nahin yoon thah toh khadam is ko sirf baqwas say ziyada kuch tasleem nahin keray ga. Agar janab munkir ho jahen maslak e haq qabool kernay say toh phir meri yahi dua heh kay joh ilfaaz janab nay apnay baray meh tehreer meh likhay Allah un ko jald pura keray, ameen. Aur janab agar abh tehreeri jawab dena chahen toh awal yeh tawaqoh nah rakhen kay khadam kee taraf say janab ko jawab millay ga. Joh meh nay janab kee rehnumahi kay leyeh likha is say ziayada meh aur jawab likhna gawara nah keroon ga. Han agar janab Ahle Sunnat kay maslak ko qabool kertay hen aur Ala Hazrat alayhi rehma kee taleemat e Quran o Hadith per chalnay kay leyeh tiyar hoon toh khadam ko kohi ihtiraaz nahin hoga khat o khatabat meh. Warna khadam ko maaf keeya jahay. Meri deeni masroofiyat itni ziyada hen kay meh apna time sirf ek banday per sirf nahin ker sakta. Dohim janab nay apnay mowaqif kay wastay ayaat pesh keen theen agar kissi tafseel o taweel o tafsir kee zeroorat hoti toh us waqt kertay. Aur haqiqat yeh heh kay janab nay in ayaat ko apnay mowaqif ko sabat kernay kay leyeh kafi jana. Abh agar janab ko josh e tafsir bir'ray ahay toh apnay taq mehdood rakhyeh ga.[!] Wesay khadam ko tawaqoh nahin kay janab Waseem sahib apni likhi huwi tehreer kee pasdari keren gay aur Ahle Sunnat kay maslak ko qabool keren gay.

Allah (subhanahu wa ta'ala) say dua heh kay voh mujjay aur Waseem baee ko haq baat kehnay, samajnay, qabool kernay kee tofeeq deh aur hamara khatama Islam aur siraat e mustaqeem per ho, ameen.

Muhammed Ali Razavi

Supplimentry Optional Reading:

 

[$] Khadam nay Quran kee ayat: “Aur unoon nay bari bari chalen chaleen. Aur unoon nay kaha tum har giz nah chorna apnay khudahoon ko, aur har giz nah chorna Wadd aur nah Suwa aur nah Yaguth aur nah Ya'uq aur na Nasr ko.” [Ref: Surah 71 Ayat 23] kee wazahat meh sahih bukhari kee yeh hadith pesh kee thee: “... joh butt Nuh (alayhis salam) ki qom meh poojay jatay thay bad meh wohi Arab meh poojay janay lagay thay. Wadd, Daumat al jandal meh bani Jandal ka butt tha. Suwa bani Hazeel ka thah, Ya'ghuth bani Murad ka thah. Aur Murad kee shaakh bani Ghu'taif ka joh wadi Juff meh qom bani saba kay pass rehtay thay. Ya'uq bani hamdan ka butt thah, Nasr Himyr ka butt thah joh Zhul Al Kala kay aal meh thay. Yeh panchoon Nuh (alayhis salam) kee qom kay Saleh [yehni muttaqi, prezgar] logoon kay naam thay. Jab in kee wafat ho gaee toh shaytaan nay un kee qom kay dil meh dala ke apni majlisoon meh jahan voh bethtay thay butt nasb ker lenh. Aur un buttoon kay naam apnay saleh afrad kay naam per rakh lenh. Chuna'chay un logoon nay esa hee keeya, us waqt un butoon kee ibadat nahin huwi leken jab voh log be mar gahay jinoon nay butt nasb keeyeh thay aur asal surat haal ka ilm logoon ko nah raha toh un kee ibadat honay lagi.” [Ref: Bukhari, Kitab Tafsir, Surah Nuh, Hadith 2027] Magar khadam ek khaas nuqtay kee wazahat kerna bhool gaya ke yeh hadith Quran kee wazia ayat say takrati heh is leyeh qabil e ihtibar nahin. Hazrat Nuh (alayhis salam) nay jab apni Ummat ko Tawheed kee taraf bulaya toh unoon nay meeting kee aur un kay leader nay un say kaha: “... Aur unoon nay kaha tum har giz nah chorna apnay khudahoon ko, aur har giz nah chorna Wadd aur nah Suwa aur nah Yaguth aur nah Ya'uq aur na Nasr ko.” [Ref: Surah 71 Ayat 23] Jis say yeh sabat hota heh kay Wadd, Suwa, Yaguth, Ya'uq aur Nasr butt kay khudahoon kay khilaaf Hazrat Nuh (alayhis salam) ko behja gaya thah taqay Hazrat Nuh (alayhis salam) apni qom ko in buttoon ki ibadat say bachahen aur in'nee buttoon kay baray meh Hazrat Nuh (alayhis salam) nay farmaya thah kay inoon nay bot say logoon ko gumra ker deeya heh [71:24]. Halan kay hadith meh likha heh kay un kay marnay kay baad un ko butt banaya gaya thah. Jis ka hona muhaal heh. Keun kay Hazrat Nuh (alayhis salam) kee Nabuwat say pehlay aur un kay tableegh e tawheed say pehlay un ki qom in panch buttoon kee pooja kerti thee. Agar yeh butt un kee ummat kay saliheen kay hotay toh phir Hazrat Nuh (alayhis salam) Wadd, Suwa, Yaguth, Ya'uq aur Nasr kee ibadat say nah roktay balkay voh apnay zamanay kay aur buttoon kay khilaaf awaz e tawheed buland kertay. Un ko in panchoon kay khilaaf awaaz e Tawheed buland kernay kay leyeh behja jana saboot heh kay yeh Nuh (alayhis salam) kee qom kay saliheenoon kay butt nahin thay balkay yeh butt pehlay hee mojood thay.

[*] Ihtiraaz ho sakta heh kay butt kesay murda ho saktay hen bandoon ko murda kahay jahay toh theek heh pathar aur lakri waghera kay banneh toh murda nahin hotay. Toh jawab arz heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay zameen ko murda farmaya heh jis ko voh zinda kerta heh. [Ref: 30:19, 30:50, 36:33] Aur zahir baat heh joh is murda zameen say ek aam matti ka butt banata heh voh murda hee hota heh cha'hay voh kitni khoobsoorti say us ko tarash ker kissi parindeh, janwar, insaan kee shakal o soorat banahay aur is'see mafoom meh butt murda hen yehni beghair jaan kay hen jistera pathar, matti waghera hen.

[!] Aur agar janab koshish keren gay toh khadam kee taraf say yeh ashkal uthana zeroor. Kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ayaat meh farmaya heh kay jinneh tum Allah kay siwa pukartay ho … Agar tafsir bir rai aur man-pasand kee hoti toh janab Allah kay siwa logh zindoon ko be pukartay hen toh kia zinda bee madad nahin ker saktay aur apni madad nahin ker saktay? Note keryeh in ayaat meh takhsees murdoon ya zindoon kee nahin aur jab takhsees nahin toh phir ayat ko ek mafoom meh makhsoos kerna apnay aap ko Rabb ka darja dena heh. Doobta kinaray per kharay ko awaaz deta heh bachaho, toh phir us nay Allah kay siwa hee ko pukara. Baap nay betay ko paani kay glass kay leyeh pukara to Allah kay siwa hi ko pukara. Ustaad nay shagird ko sabak sunanay kay leyeh pukara toh Allah kay siwa hee ko pukara, is man-garat tafsir bir ray say toh har madad aur har pukar joh ghair khuda say kee jahay cha'hay zinda say ho ya murda say. Allah kay siwa hee kee pukar tehrti heh aur ba'qawl aap kay es'see pukar shirk heh joh musalman ko mushrik yehni kaffir banati heh. Is'see ashkal say aap kay mowaqif ka batal o mardood hona sabat ho jata heh. Keun kay joh jaiz pukar aur madad talb kerna heh voh be mindu'nillah kee man-pasand tafsir kernay say shirk ban jaati heh. Joh kay Quran o hadith kay bilqul khilaaf heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ

محمد علی بھائی ماشأاللہ کیا خوب جواب دیا ہے۔ ایک ایک چیز پوری تفصیل سے کھول کر سامنے رکھ دی ہے۔ اللہ آپ کو اس کا ثواب عطا کرے آمین۔ انشأاللہ عنقریب میری بھی ایک دیوبندی سے بحث ہوگی اور آپکی یہ پوسٹ میرے لیے بہت مفید ثابت ہوگی انشأاللہ۔ آیات کی تفاسیر کے سلسلے میں آپ کی کچھ مدد چاہیے ہوگی۔ امید ہے آپ اپنی قیمتی مصروفیات میں سے کچھ وقت نکال کر مجھے مستفید ہونے کا موقع دیں گے۔ اللہ آپ کو خوش رکھے۔

Link to comment
Share on other sites

و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ

محمد علی بھائی ماشأاللہ کیا خوب جواب دیا ہے۔ ایک ایک چیز پوری تفصیل سے کھول کر سامنے رکھ دی ہے۔ اللہ آپ کو اس کا ثواب عطا کرے آمین۔ انشأاللہ عنقریب میری بھی ایک دیوبندی سے بحث ہوگی اور آپکی یہ پوسٹ میرے لیے بہت مفید ثابت ہوگی انشأاللہ۔ آیات کی تفاسیر کے سلسلے میں آپ کی کچھ مدد چاہیے ہوگی۔ امید ہے آپ اپنی قیمتی مصروفیات میں سے کچھ وقت نکال کر مجھے مستفید ہونے کا موقع دیں گے۔ اللہ آپ کو خوش رکھے۔

As salamu alayqum wr wb

 

Meray baee khadam aap kee zeroor madad keray ga. Jis jis ayat kee tafsir aap ko chahyeh hogi aap mujjay message ker dee jeeyeh ga khadam zeroor tafasir e Ulamah kay khaas nuqaat ko dalahil e Qurania o Hadith ka lebas pehna ker pesh ker deh ga.

 

Dua'oon meh yaad rakhyeh ga.

Muhammed Ali Razavi

Link to comment
Share on other sites

Alhamdu lillahi rabbil alameen, was'salatu was'salamu ala sayyidil ambiya wal mursaleen, amma baad.

Meh apnay Pakistan meh joh Sunni baee mojood hen unneh ba-khabr kerna chahta hoon kay khadam nay ikhtisaaran apna jawab likha thah keun kay khadam ko bataya gaya thah kay Waseem Sahib bar bar phone ker kay meray chotay bahi ko tang ker rahay hen aur jawab talb ker rahay hen. Halanh kay janab ko khadam nay tehreeri tor per jawab likhnay ka wada farmaya thah magar kohi muddat mutayyin nahin kee gahi thee joh khadam jald jawab denay ka pa-band hota. Magar halaat ko mad e nazr rakh ker khadam nay tafseelan jawab likhnay ka irada tarq ker deeya aur mukhtasar jawab likha ta'kay Sunni bahiyoon ko kam say kam itna mawad mil jahay kay janab Waseem Sahib kay giraban ko pakr ker maslak e Ahle Sunnat qabool kernay ka mutalba ker saken aur haq batal per ghalab a jahay aur batal mittay. Magar khadam jawab ko insha'allah kamil darjay taq zeroor lahay ga jissay pernay walay ka inshallah ta'ala ul aziz zameer cheekh cheekh ker pukaray ga:

Haq kee khushboo aa gahi Quran kay in phooloon say
Tafsir e mubeen thee yeh paak heh khariji asoolun say


Agar mujjay Pakistan meh Waseem Sahib meray baee ko harasan nah kertay toh aur phir khadam ko apnay time meh jawab likhnay ka moqa milta to khadam Allah (subhanahu wa ta'ala) kay karam say is jawab meh char chand kay saath char sooraj be lagata magar Allah (subhanahu wa ta'ala) nay jistera behtr chaha huwa. Wesay joh Khadam nay jawab likh ker behja heh voh hee Waseem Sahib kay leyeh kafi heh. Magar apni adat heh kay har zawiyeh say jawab likhoon aur har nuqtay ko biyaan keroon ta'ke kohi bahana nah rahay mukhalifeen e Ahle Sunnat kay khilaaf. Aur hasb e adat ek aur tafsir Allah ta'ala kay karam say dil meh aahi heh aur ussay aap ko pesh kernay kee sadat hasil ker raha hoon.

Waseem sahib kee pesh kerda ayat:Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194] aur us kee panchween tafsir.

Tafsir 5: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ahle imaan ko zinda aur ahle kuffr ko qabroon walay farmaya heh: “Aur barabar nahin jeetay aur nah murday, Allah sunata heh jissay chahay aur too nahin sunanay wala qabroon meh peroon ko.” [Ref: Surah 35 Ayat 22] Aur ayaatoon meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko mukhatab farmaya aur kaha ke Mushrikeen behray aur murday hen: “Tum murdoon ko nahin sunatay aur nah behroon ko, pukar nah sunaho jab voh peet pher chalen.” [Ref: Surah 30 Ayat 52] “Tumaray sunahay nahin suntay murday aur nah tumaray suna-hay behray pukar suneh, jab chalen peet pher ker.” [Ref: Surah 27 Ayat 80] Halan kay ayaat hi say sabat heh kay jinneh murda kaha ja raha heh voh ba-hayat hen. Awal, keun kay unneh behra yehni Englishi lafz meh deaf bola ja raha heh aur murda insaan kay leyeh deaf ka lafz bola jana grammar kay lehaz say darust nahin. Deaf, behra, zinda kay leyeh hee bola jata heh. Dosri waja yeh heh kay jinnay murda, behra, farmaya gaya heh un kay leyeh in'nee ayaat meh peet pher ker chalay janay kee sift sabat heh: “... jab voh peet pher chalen.” aur dosri ayaat meh: “... jab chalen peet pher ker.” keun kay agar haqiqi murday hen toh phir un ka peet pher kar jana muhaal heh keun kay yeh sift zindoon kee heh. Aur ayaat toh yeh sabat kerti heh kay voh peet pher jatay hen is leyeh jin kay mutaliq yeh ayaat nazil huween voh zinda hee thay. Tesri waja yeh heh kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) haqiqi murdoon ko tableegh e deen nahin keeya kertay thay magar ba-hayat mushrikeen ko Islam kee taraf bulatay thay aur ratti-bar ilm o aqal o feham o firasat wala is per ba-khabr ga.[^] Siway us kay jis kay dil per Allah (subhanahu wa ta'ala) nay kuffr kee mohar laga deeh heh. Alhasil Allah (subhanahu wa ta'ala) nay zinda murshrikoon ko deaf yehni behray, murda aur qabr walay farmaya heh. Aur is kee waja yeh thee kay Mushrikeen meh bey'shahoor murdoon jesi sifaat pahi jati theen jistera pathar aur zameen murda hen[?] Aur qabr walay is leyeh farmaya gaya keun kay jin Mushrikeen kay wastay yeh ayaat nazil huween un kay mutaliq Allah (subhanahu wa ta'ala) ka attal fesla ho chuka thah kay voh be-iman maren gay. Yehni un meh murda zameen jesi sifaat theen is leyeh voh dawat e Islam ko qabool nahin ker rahay thay aur un kay leyeh attal fesla ho chuka thah kay voh be-iman maren gay. Kissa mukhtasar, Allah (subhanahu wa ta'ala) ka farmana: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194] aur phir RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko mukhatab ker kay Mushrikoon kay mutaliq farmana: Tum murdoon ko nahin sunatay aur nah behroon ko, pukar nah sunaho jab voh peet pher chalen.” [Ref: Surah 30 Ayat 52] Tumaray sunahay nahin suntay murday aur nah tumaray suna-hay behray pukar suneh, jab chalen peet pher ker.” [Ref: Surah 27 Ayat 80] yeh baat sabat kerta heh kay Mushrik murda, behray, deaf hen aur jin ko Mushrikeen Allah kay siwa pukartay hen voh be Mushrikoon jesay banday hen. Yehni jistera Mushrik murda aur behray, deaf hen is'see tera jin ko voh Allah (subhanahu wa ta'ala) kay siwa pukartay hen un jesay murda aur behray, deaf hen: “Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay.” [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21] Aur voh kia hen joh be-jaan murda hen aur nah voh khabr rakhtay hen kay qayamat kay din kay leyeh log kab dobara utha-hay jahen gay aur joh nah kuch banatay hen aur khud banahay gahay hen? Is ka jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ek aur ayaat meh deeya heh: “Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh hen, voh kuch nahin banatay, magar khud banahay gahay hen; ...” [Ref: Surah 25 Ayat 3] Alhasil, Mushrik murda, behray, deaf hen aur un kay khuda yehni un kay butt un jesay murda aur behray, deaf hen.

Optional Reading:

- [^] Warna agar yeh mowaqif ikhtiyar keeya jahay kay yeh ayaat murdoon kay mutaliq theen toh phir Keun nateeja yeh akhaz hota heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) yeh bee maloom nahin thah kay tableegh e deen murdoon ko ya zindoon kee jahay. Aur is la ilmi kee islah kee khatir yeh ayaat nazil huween aur voh be ek daffa nahin doh dafa. Yehni pehli dafa bataya magir Rasoolallah (sallalahu alayhi was'sallam) ko phir be samaj nah aahi phir dosri dafa ayaat utari gahee samjanay kay leyeh kay murdoon ko tableegh e deen mat doh tum un ko nahin suna saktay. Is leyeh yeh muwaqif ikhtiyar kerna kay yeh ayaat murdoon kay mutaliq theen; is meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ki nuqsaan qadr ka ihtimaal heh.

- [?] Note keren murday doh type kay hen. Ek murda sunta, dekhta, jaanta, samajta heh; yehni murda insaan aur is ka saboot voh ahadith hen jis meh murdoon say sawal poocha jana sabat hota heh. Aur qabr me sawal kay jawab denay walay meh sun-ne, dekhne, jaan-ne, samajne aur jawab dene yehni bolnay kee sifaat mojood honi warna sawal poochne ka maqsid faut ho jahay ga. Dosra murda voh heh joh sunta, dekhta, samajta, janta nahin yehni pathar, zameen waghera aur is kay saboot meh Quran kee ayaat pesh kee ja chuki hen.

Link to comment
Share on other sites

As salamu alayqum wr wb

 

Moderators say guzarish heh kay woh is thread ka title change ker denh: Waseem Mughal Ki AwliyahAllah Per Chispan Kee Janay Wali Ayaat Ki Qurani Tafsir.

 

Mahirbani hogi.

 

 

WaAlaikumussalam , Done.

 

Aor Mehrbani aapki k Maslak ki khatir itni mehnat kar rhay hain .....

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Tafsir 6: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farmaya heh: “Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Keun kay ayaat Mushrikoon kay wastay nazil huwi thee is leyeh khitab Mushrikoon ko heh aur Mushrik kesay banday hen aa'yeh Quran say maloom kertay hen: “Heh imaan walo! Mushrik to najs (paleed) hen so is saal kay bad masjid Harram kay nazdeeq na anay pahen aur agar tum tangdasti say dartay ho ...” [Ref: 9:28] Alhasil Mushirk najs, paleed, paleet, unclean, hen aur jin ko Mushrik pukartay hen toh unneh be Mushrikoon jesa kaha gaya heh toh matlab yeh nikla kay jin buttoon ko Mushrik pukartay thay voh be paleed, najs, paleet, unclean hen. Aur is tafseer kee tasdeeq Quran kee ek aur ayaat say jis meh Allah (subahanahu wa ta'ala) nay butoon ko najs, paleet, unclean, paleet farmaya heh: “Ye hamara hokam heh jo shakhs jin adab kee cheezoon ko khuda nay muqarar keeya heh, azmat rakhay to yeh khuda kay nazdeeq us kay haq meh behtr heh. Aur tumaray leye mawa-shee halal ker deeyeh gai hen siwai un kay joh tumeh par kar batahay jatay hen, to buttoon kee paleedi say bacho aur jhooti baat say parez kero.” [Ref: 22:30]

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

السلام علیکم۔۔۔۔ ماشأاللہ۔

 سورۃ الیوسف آیت 106 کی تفسیر درکار ہے۔ کون کون سی تفاسیر میں اس آیت کو مشرکین کے متعلق کہا گیا ہے۔ تفاسیر کے ریفرنس درکار ہیں۔ امید ہے جواب سے نوازیں گے۔

Link to comment
Share on other sites

السلام علیکم۔۔۔۔ ماشأاللہ۔

 سورۃ الیوسف آیت 106 کی تفسیر درکار ہے۔ کون کون سی تفاسیر میں اس آیت کو مشرکین کے متعلق کہا گیا ہے۔ تفاسیر کے ریفرنس درکار ہیں۔ امید ہے جواب سے نوازیں گے۔

Salam alayqum wr wb

 

meray baee ayaat kee tafsir pesh ker doon ga. Magar kis zubaan meh chayeh,Urdu ya english meh.

Link to comment
Share on other sites

السلام علیکم۔۔۔۔ ماشأاللہ۔

 سورۃ الیوسف آیت 106 کی تفسیر درکار ہے۔ کون کون سی تفاسیر میں اس آیت کو مشرکین کے متعلق کہا گیا ہے۔ تفاسیر کے ریفرنس درکار ہیں۔ امید ہے جواب سے نوازیں گے۔

As-Salam alayqum wr wb

 

Yeh ayaat zameen kay saray Mushrikoon kay mutaliq heh ahle imaan kay mutaliq nahin: “And most of them believe not in Allah except that they attribute partners unto Him.” [Ref: 12:106] keun kay ek aur ayaat meh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay is kee wazahat farma dee heh: "Say: "Travel in the land and see what was the end of those before (you)! Most of them were Mushrikun." [Ref: 30:42] Yehni zameen meh aksariat Mushrikoon kee heh joh Allah (subhanahu wa ta'ala) per imaan latay toh hen magar Shirk kay saath. Yehni woh auroon ko buttoon ko Allah ka Shareek banatay hen jistera zamana e RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay logh Allah ko mantay toh thay magar Allah ko sirf ek khuda nahin mantay thay balkay aur buttoon ko be khuda mantay thay is leyeh un ka Allah ko manna Shirk kay saath thah.

 

Kissi tafsir kee zeroorat nahin, in sha'allah yeh kafi hogi ahle batil o tafsir bir ra'i kernay walay shaytanoon kay batal ko sabat kernay kay leyeh.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Simple explaination:

"Say: "Travel in the land and see what was the end of those before (you)! ..."
[Ref: 30:42] And most of them believe in Allah except that they attribute partners unto Him. [Ref: 12:106] in other words: "... Most of them were Mushrikun." [Ref: 30:42]

I hope this simple form of interpretation will help you.

Muhammed Ali Razavi

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

Assalamoalaikum , brother kia hal hay? bro ...... main nay kaheen parha tha keh jo shart Quran-o-Hadees k mukhalif ho wo rakhna haram hay .. .1 dafa Molana Ilyas Qadri sahib say suna tha keh agar koi kahay keh mujh say munazra karo , tum jeetay to main tumhara mazhab qubool kar loon ga .......... yeh shart rakha manna hay , kionkeh badmazhab jeetay tab bhi meri mazhab sacha hay .. maira harna meri kamzori ki nishani hay mazhab ki naheen ....

............

 

Bro wo Aap k bhai Waseem Mughal sahib k sath aap nay yeh shart rakhi thi .. main nay bahut hawala dhoondnay ki koshish ki keh yeh shart naheen rakhni chaheay ... par hawala  mila naheen .... lekin zehn main 1 bat atki thi isleay socha keh aap say share karon aor aap ki raye is muamlay main loon.... Shukria :)

As salamu alayqum wr wb

 

 

Wahhabi nay dawa keeya kay woh Allah kay waliyoon kay wasilay ko Quran say Shirk sabat keray ga keun kay woh murda hen suntay nahin. Meh nay foran jawaban kaha kay joh be ayaat tum pero gay woh mushrikoon kay buttoon wastay hogi. Us nay kaha kay agar woh sabat nah ker sakka toh woh Sunni ho jahay ga. Meh nay kaha likh doh. Us nay ibarat likh deeh. Magar phir muj say mutalba keeya kay meh likhoon kay agar nah ker sakka toh us ka mazhab qabool ker loon ga. Yahan per muj say ghalti ho gahi meh nay likh deeya is qatti yaqeen kay saath kay mera mowaqif darust aur Quran aur Sunnat kay mutabiq heh. Magar mujjay kerna nahin chahyeh thah us kee do wajoohat hen; awal, meh nay kaha nahin thah kay meh agar apna dawa sabat nah ker sakka toh Wahhabi ho jahoon ga. Mera kehna thah kay joh ayaat woh pesh keray ga mushrikoon aur un kay buttoon kay wastay hen. Yeh muwaqif ko sabat nah kernay kee bina per maslak qabool kernay wala us nay kaha thah aur us'see ko likhna chahyeh thah. Aur dosra point joh aap nay biyaan keeya heh kay banday kee haar maslak kee haar nahin, balkay banday kee la ilmi, kee daleel heh.

 

Abh joh nazriya rakhta hoon:

 

Es'see shart rakhna darust nahin. Cha'hay ilm kamil darja wala ho ya nah, ilmi yaqeen ho ya nah, kiss bee sorat meh es'see tehreer likhna jaiz nahin. Keun kay agar banda likh deh aur Shaytaan mardood apni tang maray aur aqal saleem kee mat mar deh aur dalahil o baraheen banda bhool jahay toh phir tehreer per amal kerna perta heh. Aur bad e behas yeh be ghor keeya kay Sayyidi Ala Hazrat nay madaris kay taliba kay leyeh acting kay tor per Wahhabi munazir ban ker munazray ko mana farmaya heh. Halan kay natak hee heh magar chance heh kay kohi be-tuki daleel dil meh gar nah keray. Aur zahir heh kay banda natak darama meh  Wahhabi munazir tab hee banay ga jab un kay dalahil soch ko apnahay ga aur shaytaan is wahhabi munazir ki darami halat ko  waswason kay zariyeh haqiqat bana sakta heh. Aur jab yeh ghor keeya aur fatway kee root ko pauncha toh phir meri pehli wali ghalt soch ki nishandai huwi.

 

Alhasil, shaytaan kay waswasay nay ger leeya aur meh nay ibarat likh deeh magar dil ko itna roshan yaqeen thah kay mera mazhab itna sacha aur mowaqif itna sacha, sucha, jistera din meh sooraj kee roshini ka yaqeen aur ilm dekhnay walay insaan ko din meh hota heh. Baee hawalay kee zeroorat nahin yeh masla aqal e saleem wala toh wesay hee samaj sakta heh kay essay apnay imaan ko dau per nahin lagana chahyeh. Ek toh banda apna imaan dau per lagata heh aur laganay kay baad agar jhoota sabat ho jahay ya likhi huwi tehreer per amal nah keray toh insaan kee kohi izzat nahin rehti apni nazroon meh be girta heh aur auroon kee nazroon meh be. Aur phir agar amal ker bethay toh jazbat kee bina per imaan say be gaya.Aur is kay saath sari zindgi nangi talwar kee tera woh tehreer rehti heh aur joh ba-haya, gheratmand, insaan ho us kay leyeh,  tehreer likh per us per amal nah kerna sau bar jal marnay say asaan nahin.

 

Bas ghalti huwi in sha allah aynda ihtiyaat hogi. Aur future meh kissi kay saath essee kohi shart ya tehreer nahin likhi jahay gi jis ka matan yeh ho kay; yeh ya woh sabat nah ho saka ... toh aap ka maslak qabool ker loon ga. Allah ta'ala ghalti maaf keray, ameen.

 

Wesay Janab Waseem Mughal sahib iman nahin lahay. Aur us ka baha-na/kehna heh kay us kee samaj meh kuch nahin aa raha. Allah ta'ala nay us per zillat kee esee mohar lagwahi kay janab ko samaj nahin aa rahi. Aur lagay be kesay RasoolAllah (salalahu alayhi was'sallam) ka farman heh Quran peren gay magar halq say neechay nahin jahay ga. Quran samajnay wala dil heh aur dil taq nah paunchay toh bichara samjay kesay. Allah ta'ala say dua heh kay Allah ta'ala sab ko apni hifazat meh imaan say rakhay, ameen.

 

Muhammad Ali Razavi

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

@Syed Muhammed Ali


Mushrikeen Do Believe In Allah (subhanahu wa ta’ala) With Shirk:

Allah (subhanahu wa ta’ala) states in the Quran: “And most of them believed in Allah, but not without Shirk.”[7] [Ref: 12:106] Those who accuse Muslims of worshiping graves, trees, idols, saints, interpret this verse to mean; and most of them, the Muslims, believe in Allah (subhanahu wa ta’ala) but they also attributes partners to Allah (subhanahu wa ta’ala). In order to correctly understan the verse 106, some important eliments from the context have to be pointed out. Allah (subhanahu wa ta’ala) states: “وَمَا أَكْثَرُ النَّاسِ وَلَوْ حَرَصْتَ بِمُؤْمِنِينَ” meaning, “And most of the people as much as you wish, will not believe.” [Ref: 12:103] Out of all the people on earth most would not believe in religion of Islam, even though Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) wishes that they believe and about this majority Allah (subhanahu wa ta’ala) states; “-وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُمْ بِاللَّهِ إِلَّا وَهُمْ مُشْرِكُونَ” meaning; “And most of them believed in Allah but not without Shirk.” [Ref: 12:106] In other words the majority, the Mushrikeen, about whom Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) wished that they believe in Allah (subhanahu wa ta’ala), as the One and the Only God will not believe in Tawheed of Allah (subhanahu wa ta’ala). They will not believe in Prophethood of Muhammad (sallallahu alayhi was’sallam), and they will not believe in the Quran as word from Allah (subhanahu wa ta’ala), because; “… most of them believe in Allah but not without Shirk.” This interpretation of verse of Quran is also attested by another verse of the Quran, which states; "Say: "Travel in the land and see what was the end of those before (you)! Most of them were Mushrikoon." [Ref: 30:42] The deeper interpretation of the verse is that the polytheists will not believe because teaching of Islam goes against their polytheistic beliefe system.

The above interpretation is connected with another interpretation which establishes that most of the people of past were Mushrikeen and the majority of mankind will remain Mushrik even though Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) wishes for them to convert to Islam. Allah (subhanahu wa ta’ala) states: "Say: "Travel in the land and see what was the end of those before (you)! ..." [Ref: 30:42] Why do we need to see the end of those gone before us: “… most of them believed in Allah but not without Shirk.” [Ref: 12:106] For this reason Allah (subhanahu wa ta’ala) states: "... Most of them were Mushrikoon." [Ref: 30:42] The essential point of these two verses is; most of the people before Islam, most of the people in modern history and most of people in future will be Mushrikeen. As in history the majority of mankind held polytheistic concepts and associated partners with Allah (subhanahu wa ta’ala). In conclusion it can be said, the real objective of these two verses was to inform Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) that even though you wish to convert the entire mankind to Islam, it will not happen. The majority will not believe in Islam because they are Mushrikeen, like the majority in history did not believe due to their major Shirk.

Lets look at this verse in discussion from another perspective. Just to recap, Allah (subhanahu wa ta’ala) states: “And most of them believed in Allah, but not without Shirk.” [Ref: 12:106] So do the idol worshipers believe in Allah (subhanahu wa ta’ala)! Let’s analyze this verse of the Quran in light of Quran. Allah (subhanahu wa ta’ala) narrates the believes of the Mushrikeen of Arabian peninsula indicating that they believed in Allah (subhanahu wa ta’ala): "If indeed, you ask them who is it that created the heavens and the earth, they would be sure to say, 'Allah'. Say : See you then the things that you invoke besides Allah? Can they …" [Ref: 39:38] and another verse states the same: “And if you were to ask them who created the heavens and the earth, they would surely say “Allah!” [Ref: 29:61] In another verse Allah (subhanahu wa ta’ala) states that during traveling on the sea, when the Mushrikeen are harmed they call upon Allah (subhanahu wa ta’ala) but when they come to saftey of land they abandon Allah (subhanahu wa ta’ala): And when harm touches you upon the sea, those that you call upon besides Him are lost from you – except Him (Allah alone). But when He brings you safely to land, you turn away (from Him). And man is ever ungrateful.” [Ref: 17:67] These verses affirm that in nominal sense the Mushrikeen of Arabian peninsula did believe in Allah (subhanahu wa ta’ala) as their God but not without associating idols as Allah’s (subhanahu wa ta’ala) god-partners.

Also out of all mankind the majority, the Mushrikeen all over the earth, in general, do believe in a single Creator who is in charge of subordinate gods. Therefore this verse is true description of the creed of the majority of human beings, in other words the Mushrikeen. Out of entire mankind the Hindu india, the Budhists, the Christians combined all togather to form a over whelming majority of Mushrikeen. And in such over whelming majority of Mushrikeen the Muslims are a minority and we do not associate partners with Allah (subhanahu wa ta’ala). Hence the meaning of the verse of Quran perfectly fits into reality of Mushrik majority: : “And most of them believed in Allah, but not without Shirk.” [Ref: 12:106] This fact has been established with clear proof that this verse refers to the majority of mankind on earth therefore the verse of Quran does not include the Muslims. Quran also explicitly states that Mushrikeen associated partners with Him: “He has created the heavens and the earth with truth. High is He, Exalted above all that they associate as partners with Him.” [Ref: 16:3] Due to Mushrikeen associating partners with Allah (subhanahu wa ta’ala) Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) is instructed to say: “Your Ilah (i.e. god) is One Ilah (i.e. god). But for those who believe not in the Hereafter, their hearts deny [the belief in Unity Of Allah] and they are proud.” [Ref: 16:22]

Footnote:

- [7] This verse of Quran was revealed in Makkah thus making it one of the earliers Surahs revealed before the Hijrah. It is undeniable fact that Islam began to dominate and rapidly spread the Arabian peninsula after the Hijrah. Especially when the companions returned to Makkah with Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) with ten thousand armed Muslims. This information is important because prior to this time the Mushrikeen of Arabian peninsula were in majority therefore the verse accurately described them as polytheistic majority. On general level the verse of the Quran retained is definitive meaning; out of all the mankind Mushrikeen being the majority and muwahideen being a minority even after the conquests of Islam.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...

@Syed Muhammed Ali

 

 

Mushrikeen Do Believe In Allah (subhanahu wa ta’ala) With Shirk:

 

Allah (subhanahu wa ta’ala) states in the Quran: “And most of them believed in Allah, but not without Shirk.” [Ref: 12:106]

Salam alayqum,

 

Syed Muhammed Ali Sahib, upar wali ayaat ki tafsir tafseel say pesh e khidmat heh - zeroor paren:

 

A Comprehensive Explanation Of Quranic Verse: “And Most Believed Not In Allah Except They Associate Others With Him.”

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...