Faysal مراسلہ: 13 مئی 2013 Report Share مراسلہ: 13 مئی 2013 Aksar Ulama sy Suna hy k Allah tala k liy Jama ka Sigha Istemal nai ker skty Malsan ye kehna jaiz nai k : Allah tala Fermaty hn jub k aisy kehna jaizy hy k : Allah tala Fermata hy . mai ny Quran majeed k kafri trajum mai Jama ka Sigha dekha hy Maslan Allah tala jub Muslmano sy Mukhatib hota hy to fermata hy hum ny Firshto ko utara . ya Hum ny tumhary liy Anaj ugay etc hum hamesha jama k liy use hy english mai we likha jata hy Yani Allah tala khud apny liy Jama ka Sigha Hum istemal ker raha hy to phir Ulama kio humain aisa kerny sy rokty hn ? kuch Quran sy hawaly ہم فرشتوں کو نہیں اتارا کرتے مگر (فیصلۂ) حق کے ساتھ (یعنی جب عذاب کی گھڑی آپہنچے تو اس کے نفاذ کے لئے اتارتے ہیں) اور اس وقت انہیں مہلت نہیں دی جاتی تم ہمارے پاس فرشتوں کو کیوں نہیں لے آتے اگر تم سچے ہو اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 13 مئی 2013 Report Share مراسلہ: 13 مئی 2013 Book : Allah Ta'ala Tu Ya Aap ? http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=38 Download: http://library.faizaneattar.net/download.php?id=38 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Shan E Raza مراسلہ: 13 مئی 2013 Report Share مراسلہ: 13 مئی 2013 Salaam e Masnoon,ALLAH azzawajal allama faiz ahmad owaisi Rahmatullah alaih ki qabar par karoron rahmateyn nazil farmaye aameeen is masla mey ikhtilaf hai or mery khiyal mey allama faiz ahmad sahib ka moqif sahi nahi hai. sahi yeh hai k ALLAH Azzawajal k liye jama ka seega batorey tazeem bolna jayez hai agarchy wahid k seegha mey b tazeem pai jati hai woh beyadabi nahi,isi ko Fatawa sharah e Bukhhari mey zikar kiya gya hai,may ney Allama Faiz Ahmad Owaisi Sahib ka Risala parha or in k dalail b lekin in k dalail itney mazboot nahi lagay woh is liye k hum urdu mey jama ka seegha bolney ka keh rahey hain na k arabi ka or unho ney jo dalail diye hain wo arabi k hain or arabi qawaid ka aitbar urdu zaban mey karna sahi nahi may ap ko aik misal deta hoon hum kehtey hain الصلٰوۃ والسلام علیک یا رسول اللہis durood mey hum ney lafz "alaika" mey zameer wahid mukhatab parhty hain jab k hum urdu mey is ka tarjama is tarha karna pasand nahi karyen gay aye allah k rasool tujh par durood o salaam nazil ho bulkey aap ka lafz istimal karyen gay k arabi zaban mey tazeem k liye jama ka seegha lana musta'mal nahi hai wahid ka seegha b bola jati hai jo k tazeem k b manafi nahi hai lekin urdu mey gair e shayeri mey aysa kehna ma'yoob samjha jata hai k koi huzoor alaih e salaam ko ya apne kisi peer ko lafz "to" ,ya "tum" sey mukhatab karye halankey k "tum" seegha jama ka hai hasil e kalam yeh k urdu zaban k hawaley sey jab masla hai to jawab b urdu zaban k hawaley sey hona chahiye,,,,or " ALLAH farmateyn hain" tuheed k manafi kalam nahi hai,,,,k is mey shayeba to tab hota jab ALLAH k ilawa kisi or par b lafz ALLAH ka itlaq kiya jata ho,halankey k aysa nahi hai har mazhab wala janta hai k Lafz e ALLAH muslim mazhab mey khuda ka naam hai or muslim khuda ko aik mantey hain mazeed dalail ki zarorat nahi hai agr kisi ko koi ishqaal ho to bayan kar saktey hain or agr may kahi galati par hon to islaah zaror farmaye ga takey sahi moqif apna sakon واللہ تعالیٰ اعلم اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔