Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 3 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 3 اگست 2007 meri mohtaram islami behnon hamaray forum ki aik sister moni Allah k karam se pyaray aaqa ki nigah e karam se abhi umray ki sa'adat k baad wapas ai hain,Alhamdulillahi ala ahsanihi main moni sister ko bohat bohat mubarakbad paish kerti hoon Allah un ki hazri ko qubool farmaye or un ki tamam jaiz deeni o dunyawi hajat ko apnay habeeb e kareem k waseela e jaleela se poora farmaye or donon jahan ki bhalaiyan ata farmaye or ham sab ko bhi hazri ki sa'adat ata farmaye or iman o afiat k sath madeenay shareef mein pyaray aaqa k qadmon mein un k jalwon mein moat ki sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wo madeena jo konain ka taj hay jis ka deedar momin ki mairaj hay zindagi mein khuda her musalman ko wo madeena dikhaday to kia baat hay ----------------------------- waqt e rukhsat dil ko apnay chor wahan tum aye ho ye batlao ishrat un k dar se bicharna kaisa hay? ---------------------- wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 3 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 3 اگست 2007 (ترمیم شدہ) sister aap ko bohat bohat mubarak baad ho umrah ki ALLAH sab muslims ki kismat main karay wahan jana ameen sister aap is thread main yah baat zroor zaroor bataen kah aap ko wahan ja kar kia feel hoa kaisa laga wahan ja kar baraye madinah apnay khialat yahan zaroor hum sai share karain takah jo abhi tak nahin gaye hain un kai dill main tarap paida ho aur jo wahan ja kar aa chukay hain un ka doobara dill tarpay janay ko Edited 3 اگست 2007 by IQRA اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 3 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 3 اگست 2007 aapko buhut mubarak ho.. Allah hamari bhi qismat achi ker dey. ameen us gali se dor reh ker kya maron main kya jyon aah aisi mout aisi zaindagi achi nahi unke dar per mout ajaye tu jee jaon hassan unke dar se dour reh ker zindagi achi nahi mar key jetay hain jo unke dar pe jate hain hassan aur jee key marte hain jo ate hain madina chod ker اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Moni مراسلہ: 3 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 3 اگست 2007 (ترمیم شدہ) First of all thanks alot for starting this thread dear sis... and sec. sab behno ka bht bht shukriya mubarak dena ka. Allah humara umrah kaqool farmaye our hum sab ko wahan jana baar baar naseeb farmaye. Ameen. Iqra sis ne pucha wahan jaa kar kaisa lagha... Sis wahan jaa kr to aisa lagta hay k aap kisi our hi dunya mein aaghey hain, wahan aisa sakoon hay joh our kahin nahi milta.... our wapis ane ko to dil krta hi nahi... jis jagha aqa chalte the, us zamin pr chalna... us jagha pe rehna, our phir us muqadas jagha ko chor kr ana asan nahi...... hum sab wapis to aghey, mghir apna dil wahan chor aye... is dua k saath k Ya Allah hume baar baar yahan bulana... mujhe yaad hay, hum logh subho fajr se kuch deer pehle hotel pohanche... samaan rakh kr, wuzo kr k hum logh Haram masjid jaa rahe the.... azaan ho chuki thi our namaz fajr b shuru ho chuki.. hum logh abhi raste mein the... masjide haram se thora door... kyunke namaz shurru ho chuki thi so hum sab ne wahin side per ho kr sarq pe namaze fajr ada kih..... joh sakoon our joh maza wahan mekka ki gali mein namaz ada krna ka mila, us ki kya hi baat thi. SubhanAllah. Namaz parh kr hum sab masjid haram ki terf chal pare.... Labaik Allahuma Labaik parthe hue... ab hum masjid haram mein dakhal ho ghey our meri joh feelings thi jab Kabbe pe pehli nazar pari... Allah... meri nazar Kabba pr pari pari our neche ghir ghayi, our phir bht sara rona aya, rote rote Allah se dua manghi... apne ghunaho ki toba ki... Aap yakin kare, dar our khushi ki kafiat thi.... khushi is liye k Ya Allah tu ne humhe apna ghar dekhni ki tofeq ata farmayi, hume is muqadas jagha pr bulaya... our rona is liye k hum kitne ghuna ghaar hay, kya hum is qabil hay yana ane k.... Sab ne dua manghi, our hum sab ne tawafe kaba kiya, safa marwa pr 7 chakr pure kiye our us k baad bhaion ne baal mundwaye our hum larkiyon ne thore se baal katwaye our yun humara umrah alhumdulilla complete hua... Ya Allah qabool farmana. Ameen. Sis jab wahan azaan hoti, to sab logh masjide Haram ki terf chal parte... galion mein logh hi logh mashAllah... our joh Haram masjid mein jaa kr namaz nahi parh sakte (qarobar ki wahja se) wo wahin per sarko galion mein khare ho kr namaz ada karte.... main kaise bataon k wo manzar b kya manzar tha, just imagine karen, k azan ka waqt hay, sab kuch chor kr sab logh eik hi terf jaa rahen hain eik hi kaam k liye.... mashAllah, mujhe bht acha lagta tha. Our humara ghar to alhumdulilla sirf 5 min ki walk pr tha Haram Masjid se, maghir mashAllah itna rush hota tha, k hum takriban 15 mein ghar pochanchte the ... ji sis hum logh ghar hi kehte the (hotel ko)... aapko bataya na k wahan pr to aisa lagta tha k hum shuru se hi yahan pr reh rahen hain, our humarah joh kamra tha, wo hi humhe apna ghar lagta tha.. Ghare Hira 12 july ki subho fajr k baad hum sab ne ghare Hira jana tha.... Wo jagha jahan nabi paak pr pehli wahi nazil huyi thi. Jab hum sab pohanche us pahar k samne, to yakin karen, hum sab larkiyon k rang urh ghey... mera to shahid kuch zaida hi itni unhchayi dekh kr main to dar ghayi.... maghir uper jana b tha.... Phir yeh kheyal b aya k humare pyare nabi b to isi raste se jate the, our din mein kayin baar jate the (if im not mistaken), to bus humne b Allah ka naam liya our durood paak parte parte hum alhumdulilla uper tak pohanch ghey. wahan pr nafl pare...eik chote bache ne mashAllah talawat ki our humare group k eik bhai ne mashAllah wahan nattein parhin.... Humare groupleader ne bataya tha k jab nabi paak ghare hira jate to eik eik patha un pr salaam behjta, subhanAllah... Neche utarte waqt maine our eik baji ne b pathar ko haath lagate waqt un se kaha"aapne qyamat k roz humari ghawahi deni hay k hum yahan aye the apne pyare nabi ki mohabbat mein".... wapsi ka rasta alhumdulila asani our kafi jaldi se guzra.. Neche meri ammi jaan hum sab ka intezaar kr rahi thi our jab sab logh pohanch chuke the to abbu jaan ne dua kih our hum wapis ane ghar ki terf chal pare.... emm i think main kuch ziada hi likh paithi maghir abhi to itna kuch baqi hay, abhi to madina sharif b jana hay... i hope aap mere saath de rahin hongi.... Aghir main kuch ziada hi details mein jaa rahin hun, then plz let me know.. Milte hain inshAllah kuch hi deer baad Edited 3 اگست 2007 by Moni اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 3 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 3 اگست 2007 sister is kadar maza aa raha hai aap ki post parh kar main bata nahin sakti ji chah raha hai aap likthi jayen aur main parhti jaaon mujhe aap ki doosri post ka itizar rahay ga اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 4 اگست 2007 Author Report Share مراسلہ: 4 اگست 2007 bohat zaberdast moni bohat acha lag raha hay parh ker Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ap ka seena madeena banaye or bar bar ye mabarak safar naseeb farmaye or ap k sadaqay ham sab per bhi karam farmaye aameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
SanaAli مراسلہ: 4 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 4 اگست 2007 sister aap ko bohut bohut mubarak hoo Allah nabi pak kay sadqay mein aap ki deeni aur dunyawee manghee gaeen tamam hajat ko qabool kur chukay hain ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sunni Suave مراسلہ: 4 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 4 اگست 2007 wow.... bohot bohot achi qismet hayapki. bohot mubarak ho. ye story perh kr tu asa lag rha hay jese main khud udhr hon. ae kash. bohot shukrya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 4 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 4 اگست 2007 Wah----------- Kiya baat hai Madenay kee......... Allah (azawajal) miley Hajj kee issi saal sahadat Sag-e-Attar ko bhi roza-e- Mehboob (salalahoaliwasalm) dikha dey اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Moni مراسلہ: 6 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 6 اگست 2007 Sis here goes the sec. part. Hum logh 4 din mekka sharif rahe, jahan pr humne zeyaraten b kih alhumdulilla.... Nabi paak ka ghar jahan pr un ki bedaish huyi, masjide jin, ghare sorh, arafat, mina our muzalfa dekha... Juma k roz humne madina ul munwara jana tha. Tawafe alvida kr k our juma ki namaz parh kr hum logh takriban 3 baje madina sharif ki terf rawana hue. Safr mein nattein parhin ghayin our durood paak parha gheya mashAllah... Madina ul munawra hum takriban 9 baje k kareb pohanche (raste mein stay b kiya tha, maghrib ki namaz k liye) samaan rakh kr, 2 min k fasele pr hum logh nabi ki masjid pohanche. Kyunke raat k waqt masjid e nabwi band ho jati hay, so hum andar na jaa sakhe, maghir pure masjid ka eik round laghaya bahir se... Gumbade Khazra k samne khare ho kr dua manghi our durood paak parha, our wahin Babe Jibrail se thora fasele pr namaze isha ada kih alhumdulilla. Roza mubarak pr jane k liye ladies k liye 2 time rakhe ghey hai, eik fajr k baad our eik zohr k baad... hum logh fajr parh kr intezaar kr rahe the k darwaze kholen jayen our hum b jali mubarak ko dekh sakhen, maghir itna rush tha, our jali mubarak k samne eik white kapra lagha hua tha, so hum dekh na sakhe... our rush ki wahja se maine our eik our sis ne bahir aa kr nafl pare, wrna wahan zarur parte maghir joh Allah ki marzi... meri fav. jagha masjid k bahir bhilkul Gumbada khazra k samne ban ghayi our wahin pr main aram se durood paak parha krti. Din k waqt jahan par roza mubarak hay wo darwaza b khula hota our wahan se halki se jali mubarak nazar ati thi... the best moment ever. Mard is liye lucky hain k wo kisi b waqt aram se jaa kr roza mubarak pr hazri deh sakte hain, aram our sakoon se Madina ul munawra hum logh 5 din rahe alhumdulilla. Janat ul baqi bahir se dekha, kyunke ladies ko andar jana ki ijazat nahi hay. Uhod ka medan dekha, masjide Quba mein namaz ada kih... Hazoor paak ka irshad mubarak hay k jis ne is masjid mein namaz ada kih, use Umrah jaisa sawab mile gha is k ilawa masjide Qiblatulain b ghey our eik bht khobsorrat khajoron ka bagh b dekha. Madina ul munwara mashAllah itna khoobsorat hay k bataya nahi jaa sakta ahaa jis roz humne wapis ana tha, sab logh udaas our afsurda the, kis ka dil chahta hay nabi ka shahir chor kar ana.... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Moni مراسلہ: 6 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 6 اگست 2007 Umm-e-Anwaar Raza sis... joh pic aapne post kih hay, maine exact isi jagha k bare mein lilkha hay... my most fav. jagha i miss it so much اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 6 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 6 اگست 2007 moni sister itni achi aur khobsoorat batain hum sai share karnay ka bohat shukria اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Moni مراسلہ: 7 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 7 اگست 2007 Sis no need to say shukriya. It was my pleasure... meri yaadein b tazatar hogayin Allah Hafiz Moni اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 7 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 7 اگست 2007 Yahan piyar Kaba wahan Sabz Gunbad Yeah Makah bhi meetha to piyara Madina.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
SanaAli مراسلہ: 7 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 7 اگست 2007 , itnee pyari pyari batain share kurnay ka bohut hi ziyada shukria hum sab ko bhi aqaa bulain gay zaroor hum sab ko bhi madina jaingay zaroor inshaAllah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 7 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 7 اگست 2007 Meetha Madina Door Hai ... InshaAllah (Azawajal) Jaana Zaroor hai... Imtiaz Attari اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attaria786 مراسلہ: 8 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 8 اگست 2007 thanks for sharing insallah azwjal i always pray u waslam. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 8 اگست 2007 Author Report Share مراسلہ: 8 اگست 2007 moni behan bohat zoq aya ap kay ta'assurat parh ker wah kia baat hay madeenay ki ----------------------- dekh k jis ko dil nahi bharta shehr e madina aisa hay Allah pyaray aaqa k sadaqay mein sab musalmanon ko murshid k sath apnay dayar per bulaye pyaray aaqa k darbar mein hazri ki sa'adat ata farmaye aaaaaameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen share kernay ka bohat shukriya wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 8 اگست 2007 Report Share مراسلہ: 8 اگست 2007 JazaKAllah (Azawajal)....... Thanks for sharing.. Imtiaz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔