Jump to content

Ikhtilaf E Ummat Aur Siratemustaqeem-Kitab Ka Radd


ExposingNifaq

تجویز کردہ جواب

  • 4 months later...

Mufti Abu Dawood Muhammad Sadiq Qadri ke kitab "Aqaid e AhleSunnat Quran o Hadees ke roshni mai" beh Yousaf Ludhanvi aor digar wahabio kay phailai jnay wale nazriat o aqaid ka radd e baligh hay.

Read Online

 

http://www.scribd.com/doc/50208737/Akayed-e-Ahle-Sunnat-VS-%D8%A8%D8%A7%D9%85%D9%82%D8%A7%D8%A8%D9%84%DB%81-%D9%88%DA%BE%D8%A7%D8%A8%DB%8C-%D8%AF%DB%8C%D9%88%D8%A8%D9%86%D8%AF%DB%8C-%D9%82%D8%B1%D9%86-%D8%A7%D9%84%D8%B4%DB%8C%D8%B7%D9%86

Link to comment
Share on other sites

As Salamu alayqum wr wb

Sirat e Mustaqeem Aur Ikhtilaf e Ummat, yeh kitab pernay kay bad mujjay yaqeen huwa kay maulvi hazrat be jhoot boltay hen.

Kitab meh likhta heh kay Deobandiyoon aur Sunniyoon meh kohi ikhtilaf kee waja nahin heh, Donoon, Hanafi, Maturidi, Sufi, waghera hen. Ilm e Ghayb kay mozoo per likhta heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko Ilm e ghayb nahin deeya gaya, aur Surah Jin kee ayat 26 pesh kerta heh apnay daway ko sabat kernay kay leyeh.

Yeh bot purani baat heh jab meh new Sunni huwa thah mera munazra thah ilm e ghayb kay mozoo per. Deobadi nay yeh kitab pesh kee kay itna bara alam yeh kehta heh kay ilm ghayb nahin heh tum kon ho joh kaho kay heh. Meh nay kaha kay yeh kitab meh nay peri heh aur maulvi jhoot bolta heh is meh aur jaan boojh ker ghalt biyani kerta heh, meh nay sura Jin kee ayaat 26 aur 27 ka awal hissa per ker sunaya aur kaha abh. Bas phir summun bukmun umyunn ho gaya Deobandi.

Yeh kitab jhoot kay ilawa kuch nahin. Deobandiat kee rawayati be-hayahi, be-gherati, makr o fareb, dajjaal ka dajjl heh. Is'see kism kay jhooton aur fareboon say yeh sada aur kam feham awaam ko apnay saath laga letay hen. Yeh logh jaan booj ker apnay ikhtilafat ko chupatay hen taqay jitnay kam ikhtilafat ka bataya jahay ga utna ek jahil sunni ko Deobandi bananay meh asaani hogi. Misaal kay tor per agar ek wolf ka sara roop bakri wala bana denh aur qaan, dum, wohi rehnay denh toh bakriyan wolf kee ek doh sifat ko dar guzr ker denh gee aur mast ho ker gumti rahen gee. Magar jab wolf apnay asli roop meh ahay toh bakriyan teetnay (mirpuri, Urdu; atkaliyan) kerti huwi bag jahen gee. Bas yeh logh wolf to hen magar bakri kay roop meh atay hen aur agar kohi aqalmand bakri kahay kay ikhtilaf kia heh ham meh aur aap meh toh chota sa kohi point biyan ker detay hen aur sath keh detay hen kohi bari baat nahin yeh, yeh chota masla heh kohi farq nahin perta. Aur phir bakri motmin ho jati heh keun kay dari wala banda, hajji, namazi, deen kee tableegh kernay wala banda ussay bata raha heh kay kohi khaas bat nahin sirf maulvi apnay ropay pesay kay leeyeh lara rahay hen.

Agar yeh saray ikhtilafat bata denh toh logh in say bagen, magar yeh pehlay toh batatay hee nahin aur agar bata denh toh phir is kazzab, al Maseeh ad dajjal kee tera jhoot boltay hen:



Banda hiraan reh jata heh kay ya Allah in logoon kay pass kesa zameer heh kay yeh sab kuch jantay huway be jhoot bol detay hen. Aur hamara tareeqah kia heh, ham pehlay beth ker joh kohi Deobandi Wahhabi milta heh us ko sara ikhtilaf batata detay hen, is is is is waja say hamaray maulviyon nay aap kay falan falan falan maulviyoon ko kaffir kaha heh aur nateeja yeh nikalta heh kay woh baag jatay hen aur phir dobara salam dua be nahin kertay. Keun kay jistera hamaray Sunni apnay Peeron kee atahat meh mutashadid [aur Ulamah ko gali galoch kertay hen] yeh log apnay Ulamah kee atahat meh issee tera mutashadid hen aur apnay Ulamah kay baray meh kohi baat sunna gawara nahin kertay chahay jaiz ho ya na-najaiz. Aur hamaray Sunni, jab taq us kay Peer ko kuch nah kaho aur us kee sufiat per raazi raho, toh phir khud Deobandiyoon, aur wahhabiyoon kay saath mil ker Ulamah Ahle Sunnat ko gali galoch kertay hen jesay yeh sawab ka kaam heh. Aur jin kay leyeh sakht, aur dukh denay walay ilfaaz ka istimal dena jaiz heh jis say unnay aziat, dil azari, ho un kay leyeh kabi kohi lafz nahin bolen gay, keun kay phir INSAANIAT, SUFIAT, TASSAWUF, MODERN ACADEMIC SPIRIT, kay khilaaf heh. Aur saath yeh be kahen gay deen is kee ijazat nahin deta.
  Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...