Jump to content

Sheetaan Aap Ko Roky Ga


Faysal

تجویز کردہ جواب

 

الســــــــلام علیکـــــم و رحمــــۃ اللہ وبرکاتہ!

 

جب آپ S H A R E کریں گے تو شیطان مردود آپ کو روکے گا

 

* اچھی بات پھیلانا صدقہ جاریہ ہے

 

 

 

 

 

kia ye likhna Zrori hy k Shetan ap ko roky ga ? ye jumla to her user ko paband kerta hy k Lazmi share ki jaiy .. kia hum apni posts share kerwany k bhooky hn ?

 

kis sirf itna likhna theek nai k Share ker k sawab kmain , ya sadqa jaria hy

 

yaad rakhna chaiy k deen mai jaber nai . is liy aisa jumla likhna kaisy drust ho skta hy .

Link to comment
Share on other sites

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

kia ye likhna Zrori hy k Shetan ap ko roky ga ? ye jumla to her user ko paband kerta hy k Lazmi share ki jaiy ..

 

yeh jumla likhna farz naheen hay , lekin likhna manna bhi naheen hay. Lihaza likhnay walay ko rok naheen saktay.

 

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

ye jumla to her user ko paband kerta hy k Lazmi share ki jaiy ..

 

 

Kesay???? wahan konsa likha hay keh tum par FARZ hay keh share karo?? yeh jumla to bas targheeb dilanay k leay likh diya jata hay.... Yeh KAISAY paband karta hay keh isay lazmi share krain|?????? Aap khud hi is k share karnay k lazim honay ka matlab nikal lain to aor bat hay.

 

 

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

kia hum apni posts share kerwany k bhooky hn ?

.

 

Aap ki posts ka aap ko behtar maloom hoga.... Behrhal Deeni posts main bat Deen ki hoti hay .... Apni Naheen.

 

 

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

kis sirf itna likhna theek nai k Share ker k sawab kmain , ya sadqa jaria hy

 

Yeh likhna keh Share kar k swab kmain , sadqa-e-jaria hay .. bahut achi bat hay .. Lekin kisi ko paband krna keh tum is k elawa koi aor cheez na likho , yeh ghalat hay.. Har kisi ki apni marzi hay. Jo kam islam nay manna naheen kiya , usay ham apni traf say manna naheen kar sktay.

 

 

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

yaad rakhna chaiy k deen mai jaber nai .

 

Saheeh Bat hay.

 

 

On 2/23/2013 at 12:32 PM, Faysal said:

yaad rakhna chaiy k deen mai jaber nai . is liy aisa jumla likhna kaisy drust ho skta hy .

 

Is jumlay main JABAR ka pehlu aap khud nikaal rahay hain , warna is main jabar koi naheen hay.. Sirf Shaitan ki traf say hoshyar rehnay ki aik targheeb di gayi hay. Koi jabar wali bat naheen likhi gayi.

 

............

 

So next post main , Agar to yeh jumla ghalat hay to , is ki daleel paish krain.. Ya yeh jumla likhna manna hay to is ki daleel paish krain... Shukria

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...