Islami Dunya مراسلہ: 29 جنوری 2013 Report Share مراسلہ: 29 جنوری 2013 Assallam o Alaikum, Minhaj ul Quran ke Behen, Bhaiyon sey SAWAL or Guzarish ke JAWAB zaroor dain. sab sey pehley arz hey, aap sab hamarey Behen, Bhai hain, Hammazhab hain, Hamwatan hain, Tahir ul Qadri sahib ke barey bohat kuch Internet pe dekha or ab Long Mach pe Sunna or dekha, Mehsoos hotta hey kuch na kuch Gar Barr hey, issliye aap kissi Insaan (Qadri sb) ya kissi or Insaan ya Pakistan ya Siyasat ke liye nahi, balkey Allah Talla or Allah ke ehkamaat ko bahesiyet Musalaman, madenazar rakh ke bohat sakoon ke sath Sawalaat par araam sey sochain, Quran e Pak khol lain, Allah Talla sey Quran e Pak ko samajhney ki Dua karain, Inshallah phir zaroor samajh ayegi. Allah Talla aapko Quran e Pak ki Samajh or kamyabi atta farmey, Ameen 1. Ye baat ke Issayee (Christians, Yahoodis, Muslims) ehle Kitab (Belivers) hain, sab jantey hain, magar inn teeno main kuch farq hey, issiliye Allah Talla ne Hazoor Mohammad S.A.W,M key zariye Quran e Pak bheja. ? 2. Yahood or Nasara (Christians) chioonkey Allah ke Nafarman or Munkir ho gaye, issi liye Quran e Pak bheja gaya.? 3. Kya Quran e Pak main likha nahi, Yahood or Nasara (Christian) tumharey Dost nahi ho saktey, jo bhi inn sey dosti karey ga inn jaisa ho jaye ga or rozey Qiyamat inn hi ke sath shamil ho ga or aysa hi samjha jaye ga.? 4. Herr Nimaaz ke shuru main surah Fateh parri jatti hey, iss surah main Yahood or Nasara ke barey ham Allah Talla sey kya Dua kartey hain.? 5. Issayion (Christians) ne Minhaj ul Quran ki Masjid main jab apni Ibadat ki to kya sirf Allah ko pukara ye Allah ke Bettey (Son) maz Allah, Jesus Christus (Hazrat Issa.A.S.M) ko pukara. Christian Dua main hamesha Jesus Christus ko pukartrey hain. Yakeen na ho tto kissi Christian sey pooch lain, ya Bible dekh lain. 6. Kya Allah ke siwa kissi ko pukarna Shirk hey ya nahi, Mushrik ke barey Quran e Pak main kya likha hey.? 7. Kya Mushrekeen ko Masjid, Masjid e Nabwi, Masjid e Akssa or Khana Kaba main janey or Ibadat ki ijazat hey.? 8. Jo Log Allah ke Rasool Hazrat Mohammad S.A.W.M or Quran e Pak or Quran e Pak ke Ehkamat ko nahi mantey wo kon hain.? 9. Kya Musalman Church ya Mandar waghera (Gher Muslim ki Ibadatgah) main Ibadat (Nimaz) ada kar saktey hain.? 10. Kya Musalman ka Nikah Church ke Padri waghera karwa saktey hain.? Sawalaat or bhi bohat hain, Abhi ye sirf 10. Sawalaat hazir e khidmat hain, aap sey biradarana guzarish hey ke inn sawalaat ka Jawab khoob soch samajh ke or mumkin ho tto jald dey dain. Allah Talla ham sab ko Sirat e Mustaqeem pe chalney ki tofeeq atta farmaye, Ameen Duago Aapka Bhai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔