Jump to content

Muashray main phaili hoye jahilaana batain


Iqra

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

aksar logon main yah baat mashoor hai kah jab namaz parh li jaye jo jaye namaz ka aik kona mor dia jaye kionkah aisa na karnay sai us pai shitaan namaz parhta hai

is kai mutalik AMEER AHLE SUNNAT kia farmatay hain neechay diye gaye madani muzakra main sunain

 

jaye_namaz.rm

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 115
  • Created
  • Last Reply
مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(salam)

 

 

 

aksar log kabooter k paoon surkh honay k baray mein kia soch rakhtay hain us kai baray AMEER AHLE SUNNAT ki zabani sunain kia farmatay hain

kabootar_kai_paoon.rm

 

aik aur baat bhi mashoor kai kabootar kai sayed honay kai baray main us kai mutalik AMEER AHLE SUNNAT kia farmatay hain madani muzakra main sunain

 

kabootar.rm

Edited by IQRA
Link to comment
Share on other sites

(ja) thanx 4 sharing. ameereahlesunnat ne madni muzakiron main aise kayi suwalat ke jawabat ata farmae hain. hamara muashra jahalat se bhara hoa hai. Allah hidayat de musilmano ko. ameen
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(wasalam)

uff sana behan ye to is baat ko sun ker koi bhi faisla kersakta hay k ye jahilana baat hay ya nahi

moat zindagi to Allah (azw) k ikhtiyar mein hay kisi bachay ko pyar kernay ya back per pyar kernay se is ka kia ta'alluq? aisiy to kai tawahhumat hamaray muashray mein paye jatay hain.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein hamain tamam ghair sharai rasmon or baton se bach ker shariat per sahi se amal paira honay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameen bijahin naiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...
(salam) mera aik sawal hai kay Allah pak nay kisi aurat ko aulad nahin di tu us mein aurat ka kitna amal dakhal hai kya wo aurat manhoos qaraar di jai gi is mashray mein kya us aurat say new born babay ki khabur chupaee jai gi? kya wo aurat bachay ya bachi ko hath laghna chahey tu us say hatha laina chahey baby ko kya wo picture mang lay tu nahin daina chahey kay wo koi jadoo kur day gi ya kuch kur day gi baby ko wo hi aurat koi juice ya soup ya koi food bana kur day tu us ko bahur daal daina chehy kay us nay jadoo kur kay diya hoga kis say pochay yee sawal kis ka qasoor hai in sab baton mein aisee aurat ko kya kurna chahey ?
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

piari sana bahan yah sab jahilaana batain hain in ka islam sai koi waasta nahin yah sab waham aur shaak hai kah koi insaan kisi beaulaad aurat kai baray main aisa sochay agar kisi aurat ko ALLAH (azw) nai aulaad ki dolat sai nahin nawaza to is main us aurat ka kia kasoor ???? har aurat ki khawahish hoti hai kah woh shaadi kai baad maan banay magar yah sab batain kisi insaan kai ikhtiar main to nahin yah to ALLAH (azw) ki marzi jis ko chahay baita day jis ko chahay baiti dai aur agar chahay to kisi ko kuch bhi na dai .... is main kisi insaan ka koi amal dakahal nahin ....is lye jo log aisai batain kartay hain woh agar to muslims hain to at least itna soch lain kah yah sab kartay aur sochtay hoye hamain ALLAH (azw) daikh raha hai... US sai har waqt darna chaiye kah koi bhi aisai baat ya aisa kaam ham sai na ho jis sai WOH naraz ho jaye .... aur waise bhi kisi beaulaad aurat ko jab log aisai batain karain gay to us bechari ki kitni dill azaarai hogi aur us dilazaari sai ALLAH (azw) kitna naraz hoga agar yah sab batain ham soch lain to aisai baaton ki nobat hi na aye

 

ALLAH (azw) tumaam muslims ko hidayat dai jo asiay batain sochtay aur kartay hain ameen

aur jo beaulaad hain ALLAH (azw) un ko naik aulaad sai nawazay ameen

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

pyari behan!

is baray mein hamari ap ki rehnumai ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aiya is tarah farmatay hain:

Kia Beolad Orat Manhoos Hoti Hay???

mazeed sister hamaray yahan jo log aisi baten kertay hain shariat e mutahhara men is ki koi daleel nahi milti, yaqeenan is men orat ka na hi mard ka kisi ka bhi qusoor nahi hota olad dena ya na dena Allah k ikhtiyar men hay wo jisay chahay ata karay jisay chahay ata na ker k azmaish men daalay,

aisee aurat ko kya kurna chahey ?

pyari behan her dukh takeef Allah ki taraf se ati hay or yaqeenan hamari azmaish k liye hi hota hay sab kuch, museebat der haqeeqat naimat hay or is naimat ka andaza laganay k liye museebaton or azmaishon per saber k fazail per ghor kerna bohat mufeed rahay ga

main yahan afat k fazail per mabni madani phool attech ker rahi hoon ap is ka mutal'a karen or jo beolad khawateen hain wo bhi is ko parhain or apni is azmaish per saber ker k ajr kamain:

 

in fazail ko parhain gi to inshaAllah (azw) saber kerna asan hojayega

 

mazeed sana behan aisi khawateen ko jo beolad hain ya kisi bhi azmaish men mubtala hain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ka ye bayan zaroor sunna chahiye:

Museebat DEr Haqeeqat Naimat Hay

or aisay logon ko jo k is tarah hamari beolad behnon ko ulti seedhi baten bana ker pareshan kertay hain kuch soch laina chahiye k musalman ki dil azari gunah o haram or jahannam men lay janay wala kaam hay,

laikin pyari behan main un tamam behnon ko jo is azmaish men mubtala hain yehi arz karoongi k aisay fuzool logon ki baton ko sun ker apnay ansoonoon ka qeemti sarmaya zaya na karen k ansoo ager bahain to khof e khuda (azw) men bahain ,apnay gunahon ko yad ker k bahain ya ishq e mustafa (saw) mein bahain ,aisay fuzool jahil logon ki jahilana baton se ham aopnay is qeemti sarmaye ko zaya kion karen

madina!!!

meri madani iltija hay k aisi khawateen apnay jaiz maqsad k husool ki niyyat se or rada e rabbul anam k liye madani ina'amat per amal kernay ki koshish karen .hafta war sunnaton bharay ijtima men shirkat ki sa;adat hasil karain or wahan ja ker apnay maqsad k husool k liye Allah (azw) k huzoor dua karen inshaAllah murad poori hogi.

jazakillah (azw)

wassalam ma'al ikram

40.jpg

41.jpg

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

(bis)

(saw)

(wasalam)

ji sister ye bhi bilkul ghalat mash hoor hay is baat ka jawab isi thread men post#64 men mulahiza farmain.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ham sab ko aisi tamam be sar o pa baton se bach ker shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaameeeeeeen bijahin nabiyyil ameen

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

lakin hamery mashwery mein tu aaam hain ye cheezin

 

aur jab kafi arsa se raiiaj hun tu kesy khatam ker sekty hain???????

 

baery he kerny per majbur ker dein tu aur ager koi kirhat rekh ker kery tu ghuna tab bhi hay????????

koi dermaiyan ka rastaaaaa

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

maine ye kabhi bhi nahin suna tha kay SAFAR ka maheena acha nahin hota, pishley din QTV pur kissi ney mufti sahib se sawal kiya tha ke kya hum shaadi iss maheeney mein kar saktey hain, kay ous ne sunna tha kay agar iss maheene mein shaadi kareygi toh talaq (astagfirallah) hoh jaye gi, mufti sahib hans kar farmaya ke kya statistics mein kya isse maheeney mey hoh gaye shaadiyon mey talaq hoh jaati hai, nahin doosreh mahinon mein hoh gaye shaadiyon mey bhi talaq hoh jathi hai, aur ye jahileeyat soch hain.

 

laikin is ka background kya hain, longh istarah ki sooch kyon rakhtey hain?? :unsure:

 

(sorry is i used any word of punjabi)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

acha main ne aik bat ye bhi suni hai ke jab aankh phadkey tu koi museebat ane wali hoti hai.. aur baaz bayeen (left) ankh ka bhi kehte hain. bye the way meri kafi bar ankh phedki hai. per kuch howa nahi.. shuker Alhamdulilah.

 

kya kisi ko is bare main kuch malom hai?

(bis)

(saw)

(wasalam)

aankh.GIF

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

(bis)

(saw)

(wasalam)

waqai aisi kitni hi besaro pa baten hamaray muashray men na sirf mash hoor hain bal k raij hain or inhain aitiqad banaliya gaya hay jin se peecha churana beintiha mushkil hojata hay.

Allah (azw) pyaray Aaqa (saw) k sadqay men ham sab ko shariat e mutahhara ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye or aisi jahilana baton se door rehnay ki tofeeq ata farmaye aaameeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

jazakillah sister!

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...