Jump to content

Muashray main phaili hoye jahilaana batain


Iqra

تجویز کردہ جواب

kaha jata hay k ager kisi mayyit k ghar jao janaza uthnay se pehlay to wahan se wapas aker pehlay ghusl karo or ye ghusl kerna aisa farz o wajib samjha jata hay k ager ghusel na kia to shayad us mayyit k moat k asrat aa jaingay.

 

 

jab kisi kah ghar death ka afsoos karnay jao to phir wapis kisi aur

kai ghar nahin jana chaiye seedha apnai ghar wapis ana

chaiye is tarah soog walay ghar sai agar kisi aur kai ghar

jayen to woh bhi soog wala ghar ban jata hai

 

 

tazeet.JPG

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 115
  • Created
  • Last Reply

(salam)

pyari behnon aik or baat jo hamaray yahan mash hoor hay k larki jo jora apnay maiyon main pehenti hay wo jora wo larki 2bara kabhi nahi pehan sakti :unsure:

is swal ka jawab mufti abbas razawi damat barkatuhum ul aliya is tarah farmatay hain:

hindooana rasmain

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

panjab mein aik aur baat mashoor hai ke nau molud bache ke ghar mein kisi aisi aurat ka ana shadeed ghalat aur nuqsaande khayal kiyajata hai jo baanjh ho.

ap k is swal ka jawab aik madani muzakray mein ameere ahlesunnat damat barkatuhum ul aliya ne is tarah diya hay:

kia bay olad orat manhoos hoti hay

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein ham sab ko aisi jahilana sochon se bach ker doosron ki dil aazari kernay se bachnay ki madani sa'adat ata farmaye

aaaameeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Yahaan Bab-ul-Islam Sindh men hamary haan aik baat ye b kaafi msh'hoor hay ke agar kissi ke haath se Doodh gir jaaye to samjho zarroor ko'ee museebat aany waali hay.

Ab patta nahin ye theek b hay yaa nahin ?

Kissi ko ma'aloom ho to Bara-e-Madina rahnuma'ee farmaaden.

(salam)

Link to comment
Share on other sites

Doodh gir jaaye to samjho zarroor ko'ee museebat aany waali hay.

 

mazeed, aik aankh phadke tu museebat aney wali hai.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

madina

jab khawateen perda kerna chahain to unhain is muashray mein bohat si jahilana sochon ka samna kerna perta hay is baray mein ameereahle sunnat damat barkatuhum ul aliya hamari rehnumai farmatay hain:

dil ka perda

perday dar larki ka rishta

Allah (jallah) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein janab e sayyida radi Allahu ta'ala anha k waseela e jaleela se hamain sharai perda kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

edat wali bat pehle aik topic main share ki thi. ke husband fout ho gaya tu auser ya maghrib se pehle qadam ghar se bahir niklwa lete hain aur edat khatam. muaz Allah. aur is ka baqaida aehtamam hota hai. ke kab time hoga. ke ager qadam bahir na niklwaya tu phir beychari ko edat pori karni ped jaye gi.. :unsure:

 

Allah (jallah) hidayat de musalmano ko... aamen

 

iddat.JPG

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(sa) kafi important baat ki nishandahi ki brother ne,yaqeenan ye tamam baten kam ilmi k bais hoti hain

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein hamain sharai muamlat ka ilm hasil ker k us per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye

aaameeeeeeeeeeeenbijahin nabiyyil ameen (saw)

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

؀۲ کیا آپ کو معلوم ہے؟

 

میت والے گھر میں روٹی پکانے کو ممنوع سمجھنا جہالت ہے!!!۔

 

اعلیٰ حضرت امام احمد رضا خان رحمہ اللہ تعالیٰ سے پوچھا گیا:

"میت والے کے یہاں کیا روٹی پکانا منع ہے؟"۔۔۔۔

 

آپ نے ارشاد فرمایا:

"میت کی پریشانی کی وجہ سے لوگ نہیں پکاتے، لیکن پکانا شرعاً منع بھی نہیں۔ یہ سنت ہے کہ پہلے دن صرف گھر والوں کے لیے کھانا بھیجا جائے اور انہیں باصرار کھلایا جائے۔ دوسرے دن نہ بھیجا جائے اور نہ گھر سے زیادہ آدمیوں کے لیے بھیجیں۔"

 

(فتاویٰ رضویہ جدید۔ جلد ۹۔ صفحہ ۹۰)۔

 

THIS IS THE DUPLICATE OF A POST IN THE FOLLOWING THREAD:

Kia Ap Ko Maloom Hay?

Edited by Umm-e-Anwaar Raza
Link to comment
Share on other sites

(salam)

mohtaram islami bhaiyon or behnon hamaray yahain aik or baat bhi mash hoor hay k safar k mahinay ko manhoos samjha jata hay or kaheen kaheen isay tera tezi ka mahina bhi kehtay hain,or baaz gharanon main is mahinay mein chanay ubal ker bantay jatay hain ghar k jitnay merd hotay hain un k hisab se here merd k naam se aik pao chanay ubalti hain khawateen or phir ye guman kerti hain k ab balain tal jaingi un merdon per se or ager koi ye samjhaye k in cheezon ki koi hasiat nahi sadaqa balaon ko tal ta hay to agay se 10 baten to sun nay ko mil hi jati hain, is baray mein mufti sahib kia farmatay hain mulahiza karen:

 

tera_taizi.GIF

 

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

bohut hi zaberdast maloomat mil rahi hai yahan (sa) aur yee bhi sunna aur dekha hai kay dulhan ko mehndi ki rasam kay baad utha kur kisi bhi ghair shadi shuda larki ko baitha diya jatay hai kay ab us ki bhi jaldi shadi hogi is hi tarah aik aur gudh bharaiee ki rasim yahan hoti hai us kay baad us bahan ko baitha kur us hi smae jagah pay aur gudh ka saman us bahan ko daitay hain kay jis ki aulad nahin hoti kay ab us kay asur say bay aulad kay ghur aulad ho jai gi kya kya hinduana rasam hain is mashray mein aur baray fakhur say ab tak chali aa rahi hain

Link to comment
Share on other sites

(salam)

beshak sana behan ap ne bilkul sahi kaha ye sab hamaray yahan hota hay or abhi se nahi pata nahi kab se ye rasmain chali arahi hain wohi jo maiyon k joray wali bhi main ne batai thi k larki jo suit maiyon mein pehenti hay yellow color ka wo aik to ye k larki khud phir kabhi nahi pehen sakti doosra wo suit doosri unmarried larkion ko pehnaya jata hay is niyyat se k is k aser se in larkion ki jaldi shadi hogi ye sab hindooana rasmain hain jo aisi ham mein raij hain jin se chutkaray ki bazahir koi soorat nahi,or god bharai ki rasam ki bhi ap ne sahi nishandahi ki

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein hamain shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hindooana rusoom se mahfooz farmaye

aameeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

ameen sister eman theek kaha aur yee sab yahee wajah say hai kay humaray baray hindu log kay sath india mein rehtay they aur yahan canada usa uk mein aik hindu dosra surdaar tesra muslim aur muslim kon bas aik kalma phara aur muslim yee bhi maloom nahin yahan kisi ko kay bhaee firqa kon sa hai koi wahabi ki tarah namaz phur raha hai tu baqi saray bhi us ki hi taqleed mein chal paray larkiyaan shadi ho kur yahan aagaee hain apnay waldain say aksur nay kuch school college janay ka uzar bata kur kay seekh hi nahin sakay bizi they phraee mein tu wo bhi mazboor hain wahabii deobandi shia kay sath hi chal pari ab qasoor kis ka hai maa ka larki ka kis kaa ?? khair Allah (azw) humain khud ko aur dosroon ko sahi raah deekhnay aur deekhanaeey ki tufeeq ata furmain ameen

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

mohtaram members!

hamaray yahan aik or baat bhi mash hoor hay k ager bachon ko iter lagaya jaye to unhain jinnat ka aser(asaibi aser) hojata hay

is baray mein ameer e ahl e sunnat hamari rahnumai farmatay hain:

Asaibi Aser

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

pyari islami behnon!

aik bohat aham baat jo hamaray yahan raij hay k shoher ka naam lainay se talaq per jati hay,is silsilay mein bhi ameereahlesunnat ki zabani jawab sunye:

Shoher Ka naam laina

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...