Jump to content

Muashray main phaili hoye jahilaana batain


Iqra

تجویز کردہ جواب

Yahan Aik Bat Yeh Bhi Mash'hoor Hai Key Ager Murdah Rishtey Dar Ko Khuwab Mein Dekh Liya Aur Us Ney Kaha Meray Pas Aaja Ya Kuch Mang Liya.. Aur Woh Chala Gaya Ya Jo Manga Dey Diya Tu Phir Khuwab Dekhney Wala Gaya Kam Sey.. Yani Jald Hi Us Ki Death Ho Jaye Gi.. Hata Key Yahan Tak Kehtey Hain.. Khuwab Mein Murdey Ko Dekho Aur Woh Kahey Tu Hergiz Na Jao Ya Na Do.. Yani Khuwab Mein Bhi Hosh-o-Hawas Waley Kam..

 

Yeh Bat Sahi Hai?

Wasalam Ma'Al Ikram

 

 

Ager Murdah Khawab main aa kar apnay kisi Aziz ko Bulay.. to us ki maut waqia honay wali hoti hai...(Bayan Ameer-e-Ahle Sunnat:Roohon ki Mulaqat)

 

Mujhay Dar is bat ka hai ke hamaray Arakeen Sahi baton ki bhi Jahilana batain na bana dain...

 

Bray karm! kisi bhi bat ko jahilana kehnay se pahlay thora soch lia karain..ya kisi se Confirm kar lia karain..

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 115
  • Created
  • Last Reply

(salam)

Bray karm! kisi bhi bat ko jahilana kehnay se pahlay thora soch lia karain..ya kisi se Confirm kar lia karain..

 

(ja) ap ne bohat achi islah farmai

yaqeenan ye thread yahan per sirf jahilana baton ki nishandahi k liye hi nahi bal k in aghlat ki islah k liye bhi shuroo kiya gaya hay

ab ham aik sarsari nazer daltay hain in aghlat ki janib jo batain yahan disscuss ki gain:

1-kalay kapre pehenna nahoosat hay.

2-doolha dulhan k pas lohay ki asiha ka rakhna.

3-nomolood k pas lohay ki ashia ka rakhna (Jinnat se hifazat k liye)

4-kali billi ka samna hojana nahoosat ki nishani.

5-billi ka ghar k agay rona naoosat ki alamat.

6-iddat ka ghair sharai tareeqay se khatam kerna.

7-shoher k intiqal k baad beewi ki choorian tor ker bain kernay ki rasam.

8-moat ki taziat ker k wapis kaheen or jana manhoos samajhna.

9-mayyit k ghar se wapas aker ghusl kerna zaroori samajhna.

10-sunnaton bharay ijtima mein shirkat se roknay k liye heelay bahanay.

11-murday ka khwab main ana dekhnay walay k haq mein acha na hona.

ye jitnay topics yahan disscuss hoay ,in mein se 2 k baray mein to hamain confirm hogaya aik kalay kapron wali baat or doosri murday ka khwab main ana,in 2 ki sharai hasiat maloom hoi.

ab baqi sab k baray mein meri tamam members se madani iltija hay k in k baray mein search karen ta k ab ham mein se koi doobara kisi sahih baat ko jihalat ki taraf nisbat na kerday ASTAGHFIRULLAH (azw)

yaqeenan hamara maqsad is thread se enjoy kerna nahi apni or sari dunya k logon ki islah hay to baraye madina sab mil ker islah ki koshish karen

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

main aik aur baat ki nishandahi karonn gi

maine yah baat bhi bohat suni hai kah agar

ghar sai nikaltay hoye ya safar par jatay hoye

kaanch yaani sheesha toot jaye to yah bhi

nahoosat hoti hai aur agay safar karna aisay banday

k liye sahi nahin hota agay us ko koi hadsaa paish

aa sakta hai :unsure:

aur kisi nai suni hai yah baat ??

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(ja) Raza Bhai,

 

Asal Baat Yeh Hai Key Loog Kehtey Hain.. Key Us Murdey Key Khuwab Mein Aaney Ki Wajah Sey Jaan Jaye Gi. Jab Key Haqeqat Main Us Key Din Porey Honey Waley Hotey Hain.. Aur Is Liye Murdah Khuwab Mein Aata Hai.. (shayed)

 

Kiyon Key Bukhari Shareef Ki Hadees Pak Hai. Jis Ko Mufti Faiz Ahmad Owaisi (damat barkathum) Ney Apni Book Maan Key Pait Mein Kiya Hai? Mein Naqal Kiya Hai..

 

maan_key_pait_mein.gif

 

(ja)

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Sag-e-Attar Bhai, Aap ne bilukl theek kaha, aur mery kahiny ka maqsad b yahee thaa ke "Murdy ke aane se to wo nahin martaa, balike us aadmi ke din hee poory ho jaate hain.Ab Marine se pahile khuwaab ke zaree'ye marny wala shakhs ye baat jaan jaata hay. Aur ye honna mumkin hay. "

Wasalaam.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Yahan Per Kaafi New New Batain Share Ho Rahi Hain.. Jo Baat Clear Shara Key Khilaf Hai. Jesay Edat Khatam Kerney Key Liye Ghar Sey Paon Niklwana, Kaley Kaprey Waghera tu Unko Tu Jahilana Kehna Sahi Hai.. Aur Jin Baton Ka Jawab Nhin Hai.. Un Key Liye Humein Ulema-e-Ahle Sunnat Sey Rajoo Kerna Chahye.

 

Al-Madinah tul Ilmiya Ki Taraf Sey Aik Booklet Hai.. Tangdasti Key Asbab

Is Mein Aik Sabab Hai Key Shaam Key Waqt Jharoo Dena.. Isi Terha Aisay Aisay Asbab Hain Key Bazahir Ager Hum Modren Mua'shrey Mein Unko Pesh Kerein Tu Shayed Woh Inko Jahilana Kehney Lagein Gey.. Balkey Main Ney Yeh Booklet Kafi Pehlay YAHOO GROUPS Per Post Kiya Tha.. Tu Mujhey Reply Miley They Key Yeh Ghalat Batein Hain... Per Yeh Batein Fuqaha Sey Sabit Hain Key In Sey Tangdasti Aati Hai..

 

Tu Is Liye Humein Waqayi Aehtiyat Kerni Chahye..

 

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

maine yah baat bhi bohat suni hai kah agar

ghar sai nikaltay hoye ya safar par jatay hoye

kaanch yaani sheesha toot jaye to yah bhi

nahoosat hoti hai aur agay safar karna aisay banday

k liye sahi nahin hota agay us ko koi hadsaa paish

aa sakta hai :unsure:

iqra ap ne jo bataya ye main ne bhi suna hoa hay

baharhal yahan jitni batain disscuss hoi hain

main ne darulifta bhaij di hain question bana ker jaisay hi jawab ata hay inshaAllah main yahan share karoongi

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein ham sab ko shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or apni aghlat ki islah ker k doosron ki islah kernay ki madani sa'adat ata farmaye

aaameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

bohut zaberdast topic chal raha hai mein jab school mein thi tu jahan hum sab ziyada hansay wahan aik larki foran bolti thi aaj itna hans rahi hoo ghur ja kay rona paray ga ???? baat darasal yee hai kay hum sab kay walidain jo kay india mein mostly rehtay they tu yee sab hindoana batain hain meri ammi aur walid sahab jo kay sarkaar aali kay mureed they in sab bataon say hameesha roktay they aur samjhatay they kay betay yee sab batain islam mein nahin in ka koi wajood nahin laikan jis tarah ka mahool hota hai school college wahan yee sab batain sunay mein ati thi hain bas ALLAH pak hum sab ko mahfooz rakhay ameen

Link to comment
Share on other sites

(salam)

acha main ne aik bat ye bhi suni hai ke jab aankh phadkey tu koi museebat ane wali hoti hai.. aur baaz bayeen (left) ankh ka bhi kehte hain. bye the way meri kafi bar ankh phedki hai. per kuch howa nahi.. shuker Alhamdulilah.

 

kya kisi ko is bare main kuch malom hai? -_-

Link to comment
Share on other sites

السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالی و برکاتہ و مغفرہ

 

 

مردہ کے پیچھے جانا

 

 

حضرت ابراہیم کرمانی رحمۃ اللہ تعالی علیہ نے فرمایا کہ خواب میں مردے کے پیچھے جانا اگر مصلح اور پارسا نے تو اس کی راہ اختیار کرے گا ـ اور اگر فاسق ہے تو اس کی راہ اور عادت پکڑے گا ـ اگر نہ جانے کہ مردہ مفسد ہے یا مصلح ہے اور اس کے پیچھے گیا ہے ـ دلیل ہے کہ بیمار ہوگا اور آخر کار شفاء پائے گا ـ

 

حضرت جابر مغربی رحمۃ اللہ تعالی علیہ نے فرمایا کہ اگر دیکھے کہ اس مردے نے آواز کا جواب دیا ہے اور اس کو نہیں دیکھا ہے ـ دلیل ہے کہ دنیا سے جلدی سفر کرے گا ـ اور اگر دیکھے کہ وہ مردے کے پیچھے کسی نامعلوم مکان میں گیا ہے دلیل ہے کہ مرے گا اور اس نے مردے کو کہا کہ فلاں وقت میرے پاس آنا اور اس نے کہا کہ آؤں گا ـ اگر مردہ مصلح اور راست گو ہے تو اسی وقت جب کہا ہے مرے گا ـ

 

اور اگر دیکھے کہ مردے نے اس کو ڈرا کر اپنے پاس بلایا ہے اور اس کو منع نہیں کر سکا ہے تو اس کی وفات پر دلیل ہے

 

غرض کہ مردے کے ساتھ جانے کی بہت تاویلیں ہیں

Edited by JAD DUL MUKHTAR
Link to comment
Share on other sites

اسلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالی و برکاتہ و مغفرہ

 

 

aik or baat k sunnaton bharay ijtima mein nahi jana chahiye k wahan her tarah ki khawateen ati hain koi beemar ho koi afaton ka shikar to us ka palla lag jata hay (yani aser hojata hay or jis ko palla lagay wo bhi beemar or afaton ka shikar).

 

مذہب اسلام میں بیماری اڑ کر لگنے کا کوئی تصور نہیں

 

حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالی عنہ روایت کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ و سلم نے ارشاد فرمایا ، " لا عدوی " ـ یعنی کوئی بیماری اڑ کر نہیں لگتی ـ

صحیح البخاری ، کتاب الطب ، باب الجزام

 

حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعال عنہ سے ہی مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ و سلم نے ارشاد فرمایا ، " لا عدوی " ـ یعنی کوئی بیماری اڑ کر نہیں لگتی ـ تو ایک اعرابی کھڑے ہو گئے اور عرض کی ، یا رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ و سلم اس بارے میں آپ کی کیا رائے ہے کہ اونٹ ، ہرنوں کی مثل ریت میں لیٹتے ہیں ـ پھر ان سے ایک خارشی اونٹ آ ملتا ہے ، تو سب کو خارش لگ جاتی ہے ؟ ۔۔۔۔۔ یہ سن کر رسول اللہ تعالی علیہ و سلم نے دریافت فرمایا ، " قمن اعدی الاول " ـ پھر پہلے کو بیماری کس نے لگائی تھی ـ

صحیح البخاری ، کتاب الطب ، باب لاعدوی

Link to comment
Share on other sites

(salam)

aik or cheez jab shoher ka intiqal hojata hay to janaza uthanay se pehlay pehlay lazmi beewi ki choorian tori jati hain jo us ne apnay hath mein pehni hoi hoti hain wo hath per koi cheez mar ker tori jati hain (chahay us bechari ka hath hi zakhmi hojaye mager ye hindooana rasm jab tak poori na ho chain nahi milta logon ko or choorian tot tay hi wo aah o fughan ka toofan uth khara hota hay sari oratain aisay bain ker k roti hain jaisay saray aanso isi waqt k liye bachaye hoay thay)

untitled1q.GIF

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(ja) for clearification brother & baji :)

aik or baat kehte hen k ager girgit insan k sare dant gin le to wo insan mer jata he :unsure:

kia koi bataega is ke bare men?

men ne buhat suni he ye baat

or kisi ne suni he?

or sana aapi jo baat aap ne kehe ham ne bhi suni he college men ham larkian aise baten hi kerti hen :rolleyes:

(ah)

Edited by ATTARIA2526
Link to comment
Share on other sites

Aslamualikum

Buhat achi discussion jari hai.

yahan aik baat mein bhi keh don ke.

panjab mein aik aur baat mashoor hai ke nau molud bache ke ghar mein kisi aisi aurat ka ana shadeed ghalat aur nuqsaande khayal kiyajata hai jo baanjh ho. ya kisi qisam ka bhi taweez pehney ho.

apka is barey me ka khayal hai.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...