Iqra مراسلہ: 20 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 20 جولائی 2007 piari sisters main yahan pai aik new topic start kar rahi hoon jis main hum hamaray muashray main phaili hoye fizool aur jahilana baaton ki nishandahi karain gai aur un pai disscuss karain gai aur QURAN uar SUNNAT kai mutabik un ka jawab bhi dain gay hamaray is section main sab log genaral topic pai baat karain gay agar kisi nai koi private topic ki baat karna ya poochni ho to woh bahan privacy section main ja kar same isi name kai topic main pooch sakti hai yaani same isi name ka topic hum general section main aur private section main start karain gay takah jahan privacy ka topic ho sisters wahan ja kar baat karain . is general section main brothers bhi participate kar aktay hain main sab sai pahlai is baat ki nishdahi karongi jo aksar suunain main ati hai yaani newly married dulhan black colour ka libaas na pahnnay hamaray muashray main kuch khawateen ka kahna hai kah kala libaas nahoosat hai aur newly married dulhan ko to bilkul nahin pahnna chaiye kionkah black libaas soog ki nishani hai aap sab members ka is baray main kia khial hai ??? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 20 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 20 جولائی 2007 bohat acha thread start kia ap ne iqra behan ji janab black color ko nahoosat ki alamt samajhna jihalat hay or hindooana soch hay main is k baray main refrence bhi talash kerti hoon laikin jo log ye kehtay hain k newly married ko black color nahi pehenna chahiye kam az kam un se ye poocha jaye k jo chez ager manhoos hay to wo her umer or her catagory k liye manhoos honi chahiye ye kia k sirf nahoosat dulhan k liye hi hay baqi un married larkiyan ya deegar old married woman pehnain to sahi hay? or ager un k liye pehen na sahi hay to dulhan k liye kion nahin? wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ATTARIA2526 مراسلہ: 20 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 20 جولائی 2007 wow ye tu wuhi thread start kia ap ne iqra sis jo abhi kuch din pehle me or iman baji diss ker rahe the bada intersting topic he (ham tu baten kertay nahi thakte is pe) acha jawab dia ap ne iman baji mager men ye bataoon hamari ik islami behan he us k yahan dulhan shadi k ik saal baad tak kala rang nhin pehen sakti us k baad pehen sakti hay baat wuhi ap ki wali agai iman baji k ik saal tak hi nahusat thi kia? anyway ager is ka reason kahin semile hadees wagera se tu acha he, اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan e Attar@Madani Inaamat مراسلہ: 20 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 20 جولائی 2007 assalamo alikum ..subhanAllah azzawajal......khosh rahein.......lakin dawateislami key madani mahool main.........wasalam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 buhut acha topic hai. aj muashray main itni ghalat jahilana batain riwaj pa gayi hain ke shumar kerna dushwar hai. Allah hidayat de musalmano ko. kaha jata hai ke shadi ke bad 1 raat ya 3 raat tak (ghalban) dolha dulhan ke nazdeek koi lohay ki chez rakhi jaye jesay churi, ya talwar waghera tu is se un per se balaon ka khatra tal jata hai. werna sharer jinnat hamla ker sakte hain. main bhi kuch isi terha soch raha hon ke 1-2 din ke baad pata nahi phir jinnat ko kya ho jata hai jo woh hamla nahi karte. mere cousin ki shadi hoyi thi tu un ke nazdek talwar rakhi gayi thi.. is bare main kisi ko malom hai.. kya har jaga shadi ke baad ye lohay wala kulya bhi raij hai? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 bhai yah baat main pahli martaba hi sun rahi hoon haan maine yah zaroor suna aur daikha hai kah jo newly born baby hota hai us kai sarhaanay lohay ki koi chezz rakhi jati hai jaisay churri scisor etc etc takah bachay ko darr na lagay aur na koi jin waghaira us tak aye ayat ul kursi aur 4 qull parhnay ki bijaye log loha rakhtay hain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 main bhi kuch isi terha soch raha hon ke 1-2 din ke baad pata nahi phir jinnat ko kya ho jata hai jo woh hamla nahi karte. Ubaid-e-Raza bhai i think "Jinnat" Talwaar dekh kar dar ke maary bhaag jate hoonge, aur issi khauf se wo phir lot kar nahin aate hoonge Anyway It was a joke. is bare main kisi ko malom hai.. kya har jaga shadi ke baad ye lohay wala kulya bhi raij hai? Nahin Bhai, Hamare haan Androon-e-Sindh men to is ka mein ne kabhi aur kaheen b nahin sunna, Aur naa hee Black Dress ke baary men sunna hay. Baaqi aik Jaahilana baat jo mein ne sunni hay wo hay ke "Agar raat ko kaali billi dekh li to samjho ko'ee Mussibat aane waali hay." To mein b is par yahi sochita hoon sirf raat ko hee kiyoun ? Din ko dekhine par b aani chaahiye. Aur Bros ya Sis ne ye baat kabhi sunni hay ? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 black color ko nahoosat ki alamt samajhna sahi nahin ,han shion k nazdeek ye sog ki alamat hay or shion ki wazah apnanay se bachnay k liye aik jaga milta hay k kala rang khas aashoray k din(10 muharram ul haram ko ) na pehna jaye(bahawala bahar e shariat) or kisi or din or waqt ki mumaniat mujhay nahi mili.Is k ilawa iqra ager aap ko maloom ho to hamaray madani mahole mein islami behnain kalay rang k burqay hi pehenti hain or mera apna tajurba hay k jab se main ne pehen na start kiya hay kabhi koi nahoosat kisi qisam k bad effects nahi dekhay Alhamdulillah bal k fawaid or faiz hi paya hay Alhamdulillah Allah ham sab ko sahih baten samajh ker un per amal kernay ki sa'adat ata farmaye aameen. hamari ik islami behan he us k yahan dulhan shadi k ik saal baad tak kala rang nhin pehen sakti us k baad pehen sakti hay ufff attaria behan kia kiya jaye hamaray muashray k in logon ka k jinhon ne aisi aisi riwayat dal di hain jo nasl der nasl chalti chali arahi hain or na janay kab tak chalti rahaingi. kya har jaga shadi ke baad ye lohay wala kulya bhi raij hai? iqra ap k is thread se to naye naye farmolay pata chal rahay hain. ye main ne bilkul nai baat suni mager parh ker hairat is liye nahi hoi k ye hamara muashra hay is se kuch bhi ummeed ki jasakti hay. or ap ki is baat se mujhay yad aya k ye bhi kaha jata hay k ager chota bacha soraha ho to us k qareeb kisi lohay ki cheez (qainchi,churi)waghaira rakh di jaye to wo derta nahi hay wallahu a'alam k is mein kitni sadaqat hay. Allah pyaray aaqa k sadaqay main hamain shariat e mutahhara ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye or her aisay kaam se bachaye jis ki shariat mein koi asal nahi aaaaaaaaameeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 Baaqi aik Jaahilana baat jo mein ne sunni hay wo hay ke "Agar raat ko kaali billi dekh li to samjho ko'ee Mussibat aane waali hay." To mein b is par yahi sochita hoon sirf raat ko hee kiyoun ? Din ko dekhine par b aani chaahiye. mian ne ye to suna hay k kali billi rasta kat jaye to koi museebat ajati hay mager raat ki takhsees k sath nahi bas yehi suna hamesha k kali billi samnay se guzer jaye to rasta hi badel dena chahiye. mazeed ye bhi kaha jata hay k ager billi kisi ghar k agay baith ker roay to us ghar per koi na koi museebat ajati hay is liye billi ko apnay ghar k agay baith ker ronay na diya jaye yaqeenan in sab baton ki koi asal nahi hay yahan is thread k start kernay ka maqsad ye nahi k ham sirf disscussion karen or enjoy karen in baaton ko bal k in baton ki sharai hasiat dekahin jo baat khilaf e shara hay usay hamain ainda khud bhi nahi kerna chahiye or doosron ki bhi is silsilay mein islah kerni hay inshaAllah wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 kali bili wali main ne kabhi nahi suni.. bachay ke qareb lohay wali suni hoyi hai balke yahan bachay ke qareb hota hai. aik aur new bat bhi sun lejiye. pata nahi yeh kahan kahan raij hai.. jab bacha paida hota hai tu bachay ke ilawah maan ke sath bhi 40 din loha rakha jata hai.. yahan bhi jinnat ka dar.. edat wali bat pehle aik topic main share ki thi. ke husband fout ho gaya tu auser ya maghrib se pehle qadam ghar se bahir niklwa lete hain aur edat khatam. muaz Allah. aur is ka baqaida aehtamam hota hai. ke kab time hoga. ke ager qadam bahir na niklwaya tu phir beychari ko edat pori karni ped jaye gi.. Allah hidayat de musalmano ko... aamen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 jab bacha paida hota hai tu bachay ke ilawah maan ke sath bhi 40 din loha rakha jata hai.. yahan bhi jinnat ka dar.. g bilkul ye to hamaray muashray ka aik bohat hi special tohfa hay or had ye hay k usually khawateen in baton se bach nahi pateen baaz oqat susral ka lihaz ker k or kabhi muashray k tor tareeqon se majboor hoker.mager phir baat wohi ajati hay k 40 din baad ye jinnat kion rafoo chakkar hojatay hain shayad lohay se der ker.... aik or cheez jab shoher ka intiqal hojata hay to janaza uthanay se pehlay pehlay lazmi beewi ki choorian tori jati hain jo us ne apnay hath mein pehni hoi hoti hain wo hath per koi cheez mar ker tori jati hain (chahay us bechari ka hath hi zakhmi hojaye mager ye hindooana rasm jab tak poori na ho chain nahi milta logon ko or choorian tot tay hi wo aah o fughan ka toofan uth khara hota hay sari oratain aisay bain ker k roti hain jaisay saray aanso isi waqt k liye bachaye hoay thay) uffffffff ye farsooda jahilana khayalat!!!!! Allah ham sab ko sahih batain samajh ker un per amal kernay or doosron ko us per amal ki targheeb denay ki madani sa'adat ata farmaye aaaameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ATTARIA2526 مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 wowwwwwwwww itnay sare replies wesay bada maza aya padh kar ,nai baten pata chalen mujhe aik or baat poochni he kuch aurten kehti hen k unmarried larkian per men mehndi nahi lagasakti kia ye baat sach hay is se kia hota he?men to kher in baton ko ik kan se sun ke dusre se nikal deti hun mager kia shariat men aisa koi hukum he? koi member roshni dale is pe plz. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 attaria sister kia unmarried larkion ko mahandi kaatti hai maina nahin parha kah unmarried larkion ko mahandi nahin lagani chaiye kisi aur memeber nai parha ho to bata dai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 main aik aur aisi baat ki nishandahi karon gi woh yah kah maine aik dafa kisi sai yahan france main suna kah jab kisi kah ghar death ka afsoos karnay jao to phir wapis kisi aur kai ghar nahin jana chaiye seedha apnai ghar wapis ana chaiye is tarah soog walay ghar sai agar kisi aur kai ghar jayen to woh bhi soog wala ghar ban jata hai daikhen lain aisi baatin jo hamaray muashray main phail chuki hain is kadar logon kai zahno main ghar kar chuki hain kah agar dunia kai kisi bhi konay main chalai jayen in sai daman nahin churra saktay اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 کالے رنگ کا عمامہ اور چادر پیننا سنت ہے تحقیق نبی کریم ﷺ جب فتح مکہ والے دن جب مکہ مکرمہ میں داخل ہوئے تو آپ ﷺ نے سر پر کالے رنگ کا عمامہ پہنا ہوا تھا ۔ (مسلم،نسائی،ابن ماجہ، ابو دائود، ترمذی) حضرت بیبی عائشہ صدیقہ رضی اللہ عنہا روایت کرتی ہیں کہ ایک دن رسول اللہ ﷺ کالے رنگ کی چادر پہن کر گھر سے باہر نکلے-(مسلم In Rawayaat se kaale libaas pahinine ka jawaaz zaahir hay, To ab kaaly kapiry na pahinine wali baat mere khayaal men galat saabit ho chuki hay. (salam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 Yahan Aik Bat Yeh Bhi Mash'hoor Hai Key Ager Murdah Rishtey Dar Ko Khuwab Mein Dekh Liya Aur Us Ney Kaha Meray Pas Aaja Ya Kuch Mang Liya.. Aur Woh Chala Gaya Ya Jo Manga Dey Diya Tu Phir Khuwab Dekhney Wala Gaya Kam Sey.. Yani Jald Hi Us Ki Death Ho Jaye Gi.. Hata Key Yahan Tak Kehtey Hain.. Khuwab Mein Murdey Ko Dekho Aur Woh Kahey Tu Hergiz Na Jao Ya Na Do.. Yani Khuwab Mein Bhi Hosh-o-Hawas Waley Kam.. Yeh Bat Sahi Hai? Wasalam Ma'Al Ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 bohat acha topic hai.. dear sister keep posting... JazaK Allah...... Imtiaz Ahmed Attari اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 Sag-e-Attar bhai ye baat mein ne "Ta'abeer naame" men dekhi hay, Aur is ka ta'abeer bilkul aise hee hay, jaisaa aap ne batayaa hay. Agar Murda kissi ko bulaaye aur agila shakhss chala jaaye to us shakhs ka aakhiri waqt aa gaya hay, Lakin phir b ye Date pe b depned hotta hay, agar is date par khuwaab dekha to itne arse k ba'ad ta'abeer poora hoga, ya agar is date par dekha to ultaa ta'abeer hogaa. Agar aap ke pass ta'abeer nama Yousfi hay to aap us men dekh sakte hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 (ترمیم شدہ) کالے رنگ کا عمامہ اور چادر پیننا سنت ہے تحقیق نبی کریم ﷺ جب فتح مکہ والے دن جب مکہ مکرمہ میں داخل ہوئے تو آپ ﷺ نے سر پر کالے رنگ کا عمامہ پہنا ہوا تھا ۔ (مسلم،نسائی،ابن ماجہ، ابو دائود، ترمذی) حضرت بیبی عائشہ صدیقہ رضی اللہ عنہا روایت کرتی ہیں کہ ایک دن رسول اللہ ﷺ کالے رنگ کی چادر پہن کر گھر سے باہر نکلے-(مسلم In Rawayaat se kaale libaas pahinine ka jawaaz zaahir hay, To ab kaaly kapiry na pahinine wali baat mere khayaal men galat saabit ho chuki hay. (salam bhai bilkul yah baat ghalat hai kah kaalay rang ka libaas na pahno bilkul din o mazhab sai doori ki bina par log aisi baatain kartay hain aik lahaz sai daikha jaye to KHANA KAABA ka ghulaf bhi kaalay rang ka hai aur naat main bhi HAZOOR ki kaali kamli ka zikar hum suntay hain phir kala rang pahnnay main kia buraye hai (siwaye muharram main) Edited 21 جولائی 2007 by IQRA اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 (ترمیم شدہ) Edited 22 جولائی 2007 by Sag-e-Attar Image Format Changed. BMP to GIF اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Iqra مراسلہ: 21 جولائی 2007 Author Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 (ترمیم شدہ) Edited 22 جولائی 2007 by Sag-e-Attar Image Format Changed. BMP to GIF اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 21 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 21 جولائی 2007 JazaK Allah azawajal.. Imtiaz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza مراسلہ: 22 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 22 جولائی 2007 mujhe aik or baat poochni he kuch aurten kehti hen k unmarried larkian per men mehndi nahi lagasakti kia ye baat sach hay is se kia hota he?men to kher in baton ko ik kan se sun ke dusre se nikal deti hun mager kia shariat men aisa koi hukum he? attaria sis zaberdast ye sawal to ap un se poochain jinhon ne ye farmoola banaya hay main ne to nahi suni aisi koi baat ,ap bohat acha kerti hain jo aik kaan se sun ker 2sray se nikal deti hain. maine aik dafa kisi sai yahan france main suna kah jab kisi kah ghar death ka afsoos karnay jao to phir wapis kisi aur kai ghar nahin jana chaiye seedha apnai ghar wapis ana chaiye is tarah soog walay ghar sai agar kisi aur kai ghar jayen to woh bhi soog wala ghar ban jata hai ji iqra aisi khurafat main ne bhi suni hoi hain bal k aik or baat ye bhi kaha jata hay k ager kisi mayyit k ghar jao janaza uthnay se pehlay to wahan se wapas aker pehlay ghusl karo or ye ghusl kerna aisa farz o wajib samjha jata hay k ager ghusel na kia to shayad us mayyit k moat k asrat aa jaingay. aik or baat k sunnaton bharay ijtima mein nahi jana chahiye k wahan her tarah ki khawateen ati hain koi beemar ho koi afaton ka shikar to us ka palla lag jata hay (yani aser hojata hay or jis ko palla lagay wo bhi beemar or afaton ka shikar). ab aisay logon ko ager ye daleel di jaye k hajj per to sari dunya se log atay hain or zahir hay un mein beemar afaton k shikar her tarah k log hotay hain to kia ab hajj per bhi na jaya jaye k wahan bhi palla lag sakta hay to aisi daleel do to agay se or 10 batain sunni perti hain asal main nasl der nasl chali arahi hain ye sochain to aisay aram se to nahin nikle saktin, mager maqam e shuker hay k Alhamdulillah is pur fitan dor mein Allah ne apni ummat e mahboob per karam farmaya or ameere ahle sunnat damat barkatuhumul aliya jaisi naimat ata farmai jinhon ne apnay bayanat or madani muzakron k zariye ghar ghar dakhil hoker kafi had tak in fuzool baton or kuliyon ka khatima farmadiya. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko dawateislami k madani mahole mein ta dam e marg istiqamat ata farmaye aaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ATTARIA2526 مراسلہ: 22 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 22 جولائی 2007 (ترمیم شدہ) me ne tu ap ko pehle hi bataya ke me ik kan se sun ke dusre se nikal deti hun,ap ka mashwara he ab tu zaror amel karungi or baqi sab ki baten padh ker bhi maza aya nai nai baten pata chal rahi hen mager maqam e shuker hay k Alhamdulillah is pur fitan dor mein Allah ne apni ummat e mahboob per karam farmaya or ameere ahkle sunnat damat barkatuhumul aliya jaisi naimat ata farmai jinhon ne apnay bayanat or madani muzakron k zariye ghar ghar dakhil hoker kafi had tak in fuzool baton or kuliyon ka khatima farmadiya.Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko dawateislami k madani mahole mein ta dam e marg istiqamat ata farmaye aaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen bilkul sahi kaha baji ap ne aameen summa aameen Edited 1 اگست 2007 by Umm-e-Anwaar Raza اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 22 جولائی 2007 Report Share مراسلہ: 22 جولائی 2007 Keep posting... Nice topic... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔