Jump to content

10 Moharram Ko Qabristan Jana


shahzad_attari

تجویز کردہ جواب

On 11/27/2012 at 4:17 PM, shahzad_attari said:

Asalam o Alaikum

 

Kuch maloomat darkar hein. Kaya 10 Moharram ko khusoosiat ke sath qabristan ja kar isaal e sawab karne ki koi fazeelat mojood hay? iske ilawa qabron per mitti dalna, unki safai kerna, yey sab bhi awam mein raej hay.

 

Wassalam!

 

WaAlaikumussalam

 

Eesal-e-Swab sunnat hay aor kisi bhi waqt kisi bhi Musliman ko eesal-e-swab kar saktay hain. Qabar par say mitti ur gayi ho yani keh matti baqi na rahi ya thori reh gayi ho to is qabar par matti daalna bhi jaiz hay. balkeh daalni chaheay takeh pta chal sakay keh yahan qabar hay. Qabar par agar koi gandgi waghera mojood ho to ya qabristan main gandgi to usay bhi saaf karna chaheay , keh safayi nisf eeman hay , neez muslmanon ki quboor ki bay hurmati bhi na ho.

 

yeh sab kaam jaiz hain lekin in main Aashoora k din ko makhsoos karna , keh sirf aashora k din hi kar sktay hain , ya sirf aashoora k din sawab hay , fuzool hay, aesi baton ki koi asal naheen.

 

.......

 

Means keh aashoora ko bhi kar sktay hain lekin yeh etqad na rakha jaye keh aaj farz hay , ya aaj k elawa kisi aor din nahen kar sktay.

Link to comment
Share on other sites

Haqeeqat ye hy k Aik to Chutti ka Din hota hy our log Farigh hoty hn . our Moqa bhe esaal e Sawab ko hota hy to loag Qabrastan chaly jaty hn is mai koi buri baat nai . aaj kal k dour mai loagon k pass to itna time hi nai hota k wo kam az kam apny ghar walon ko sahi time dy pain .

 

Aik baat kuch loag Qaber k gird sang e marmer k pather lga dety hn is bary kia hukam hy

 

mai ny aik qaber dekhi us k ird gird to aisi bethny ki jaga bani thi jaisy Wazo khany mai wzu k ley betha jata hy is bary kia hukam hy

 

our aik our baat kahwaaateen ki bh aksriat qabrastaaan mai nazar ati hy jub k mai ny suna hy qabrastan ourton ka jana jaiz nai .

Link to comment
Share on other sites

On 11/27/2012 at 11:35 PM, Faysal said:

Aik baat kuch loag Qaber k gird sang e marmer k pather lga dety hn is bary kia hukam hy

 

mai ny aik qaber dekhi us k ird gird to aisi bethny ki jaga bani thi jaisy Wazo khany mai wzu k ley betha jata hy is bary kia hukam hy

 

our aik our baat kahwaaateen ki bh aksriat qabrastaaan mai nazar ati hy jub k mai ny suna hy qabrastan ourton ka jana jaiz nai .

 

Bhai qabar k sarhanay nishani k wastay pathar rakhna to jaiz hay. Lekin aam logon ki qabar k ird gird wuzu khanay ki tarah sang-e-marmar lganay ka kia maqsad hay??.. yeh fuzool kharchi hay aor fuzool kharchi haram hay.

 

 

On 11/27/2012 at 11:35 PM, Faysal said:

our aik our baat kahwaaateen ki bh aksriat qabrastaaan mai nazar ati hy jub k mai ny suna hy qabrastan ourton ka jana jaiz nai .

 

Khawateen Ko Mazarat ki ziarat ki ijazat hay lekin mazarat ki hazri k leay jana manna hay.

 

Mazeed tafseel k leay yeh book parheay :

 

http://library.faiza...ndex.php?id=119

 

http://library.faiza...load.php?id=119

 

Misal k tor par agar qabar ghar main ho , ya haj ya kisi aor jaiz safar par gayi aor rastay main qabar aayi to uski ziarat kar li lekin is main kisi bhi ghair shar'yi kaam jesay rona dhona , pareshani , ghabrahat , noha , bayadabi waghera say bacha jaye to phir jaiz hay. lekin amooman aortain in sab baton par amal naheen kr sakti lihaza behtar yehi hay keh aorton ko quboor ki ziarat ki aam ijazat na di jaye.

P29.gif

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...