Jump to content

Aesa Badshah Hussain raziAllahuanhu Hai


Sufism786

تجویز کردہ جواب

Amal ka rehnumaa bhi

Joh Shahon ka Shah bhi

Aisa Shehenshah Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

Yeh baat kis kadar hasin

Joh keh gaye Moinnuddin (ra)

Ke deen ki panaa Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

Na pochiye k kya Hussain hai

Khuda ka na khuda habeeb

Khuda k deen ka na khuda

Har ibtada ki ibtada

Karam ki intaha hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

Karay koi jo humsari kisi ki kya majaal hai

Jahan main har lehhaaz se Hussain bymisaal hai

Yeh hochuka hai faisla na koi dosra khuda

Na koi dosra Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

 

Shaheed woh shaheed hain

Shaheedo koh bhi naaz hain

ye hoochuka hain faisala

naa koi doosara Umer

naa koi doosara Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

 

Duwaaho main dahoon main

Jo wasta isey banaye ga

Bahisht ki jo rahon ka rasta isey banaye ga

To sunly!!

Na raasete mein moor hai

Na waasete mein tor hai

Aise sidi raa Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

 

Shahide Karabala ka naam

Jisy b naa gawaar hai

Woh bad amal hai bad nasab

Usi peh beshumaar hai

Tu mar zara kabar mein chal

Pata chalega kya Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

Karay ka jo mukhalifat Hussain ki is jahan mein

Woh hoga hasher, hasher mein

Ka alhafeezo al amaal

Jahan b chupnay jao gy kaheen b bach na pao gy

K har jaga mera Hussain hai

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

 

 

Mera Hussain hai aesa Badshah Hussain hai

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...