Jump to content

For Global Moderators/owner/members/web Sites Who Share Stuff Of Wrong Beliefs


خاکسار

تجویز کردہ جواب

Asalam-o-Alikum,

 

Muja kuch asa mawad chahaiya jis say asay logon ko roka ja sakay jo kay Bad'mazahab logon kay mawad agay pohanchahay han our baki logon kay sath share kartay han.

 

Jasa kay groups kay moderators, owners, etc. Our kuch asi websites.

 

Jawaz wo yah pash kartay han kay sab ko haq hay apni baat kahnay ka, jabkay is kam say log gumrah bi ho sakay han.

Link to comment
Share on other sites

Asalam-o-Alikum,

 

Muja kuch asa mawad chahaiya jis say asay logon ko roka ja sakay jo kay Bad'mazahab logon kay mawad agay pohanchahay han our baki logon kay sath share kartay han.

 

Jasa kay groups kay moderators, owners, etc. Our kuch asi websites.

 

Jawaz wo yah pash kartay han kay sab ko haq hay apni baat kahnay ka, jabkay is kam say log gumrah bi ho sakay han.

 

janb aap ki baat ki samjh ni ai

Link to comment
Share on other sites

Bhai baat yah hay kay agar koi

 

1- Deo'band ki books apnay maktaba main rakha kar farokht kary, yah phir free main bant'ta phiray

 

2- Kisi email main asa mawad ho jo kay Ahl'Sunnat kay khilaf ho our Ahl'Hadees ki taraf say bhaja gaya hay.

 

3- Koi sakhs posters banata hay Ahl'Sunnat kay khilaf, jis main kay Aulia Allah say bughaz zahir hota ho.

 

4- Koi insan Deo'bandi/Qadyani/Ahl'Hadees/etc kay video bayanat ko share karay awam main.

 

Tu kya hukam hay asay logon kay baray main, our un ko baz rakhnay kay lia kya kiya jay.

 

Jin ka hay wo tu karan gay hi. Agar koi Ahl'Sunnat say hotay hoay uper jo kam main nay batay han wo karay phir???

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

Wa Alaikumussalam

 

Bhai bat yeh hay keh jab hmari wja say koi banda gumrah hoga to kia ham is kay zimmadar naheen honge?

 

Agar kisi nay dehshat gardi par mabni website bnayi hui hay , to jo log is ko promote kar rhay hain , kia wo dehshat gard naheen ginay jain ge? agar government website bnanay walon ko pakray gi to jo log us website ko aagay bharhanay ka zarea banain ge wo bhi is main shumar naheen honge??

 

isitrah agar kisi website par gustakhana mwad mojood hay , ya islami aqaid k khilaf batain mojood hain to us website ki advertisement krnay walay bhi mujrim thehraye jain ge.

 

.......

 

jo log is bat ko apnay jwaz k tor par pesh krtay hain keh Sab ko haq hay apni bat kehnay ka , to kia agar kisi website par un logon k kisi azeez k khilaf na zeba kalimat istemal kiay gaye hon to tab bhi wo us ki tash'heer krain ge?? ya agar koi doosra us website ki advertsiement kray ga to unhain bura naheen lgay ga? wo us shakhs ko kuch naheen kahain ge?? us waqt unhain apna yeh usool kion bhool jata hay?

 

Doosri bat yeh hay keh sab ko apni bat kehnay ka haq hay to phir hmain apni bat kehnay dijiay , hmaray samnay un k links pesh na krain , sab ko apni bat kehnay ka haq hasil hay to aap aik website ki bat doosron tak kion phuncha rhay hain??? doosron ki apni zindagi hay , unko apni bat kehnay ka haq hasil hay. aap apni bat krain, kisi ki website ko doosron tak phunchatay huay yeh kion bhool jatay hain keh jis ko main yeh website bta raha hoon us ko bhi apni bat kehnay ka haq hasil hay?

 

teesri bat yeh hay aap jin websites ko aagay forward krtay hain wo to aap k is usool ko maantay hi naheen keh sab ko apni bat kehnay ka haq hasil hay , misal k torppar apa kisi wahabi website ka link aagay dian ge to kia mujhay us website par Hassam-Ul-Haramain upload krnay ki ijazat hogi??? mujhay us website par apni bat kehnay ka haq hasil hoga?? naheen aor hargiz naheen.... to wo log aap k is usool ko maantay hi naheen phir aap kis base par unki websites ko aagay bharha rhay hain?

 

.......

 

 

Lihaza hmain chaheay kisi ki gumrahi ka zarea na banain aor doosron ko gumrah kr k apni aqibat khrab na krain. Shukria

 

 

SharhaMuslimJild7_01.jpg
SharhaMuslimJild7_02.jpg
SharhaMuslimJild7_03.jpg
SharhaMuslimJild7_04.jpg
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...