Jump to content

Uncertainty


Faysal

تجویز کردہ جواب

Gusal k faraiz mai shamil hy k pory jism per pani dalo k aik bhe jaga aisi na rahy jahan pani na poncha ho . ager koi reh gai to gusal ho ga ya nai ?

 

 

aik banda 40, 50 sal tak namaz perhta raha our aik din usy pata chala k us ki namaz hi theek nai kisi mai rokoo theek nai to kisi mai sajda our maslan 40,50 saaal ki namazon ka kia bany ga ?? ager banda Namaz correct bhe ker lay mager usy phir bhe shak ho k meri namaz mai shaid ab bhe koi galti hy to aisy weham ka ilaaaj kia hy ???

 

 

Aik banda 3 lakh lga ker hajj kerta hy lakin jub hajj ker k ata hy to isi pata chalta hy k us ka hajj qaboool hi nai howa . jis ki waja hajj k rukan mai ko sahi tor per ada nai ker ska ya kuch bhe to kia aisy bandy k 3 lakh doob jain gy ?

 

 

mazeed khialat baad mai share keron ga

Link to comment
Share on other sites

Ghusul kay mutaliq arz heh kay hokam yahi heh kay saray badan per pani dala jahay agar khuda na khasta kohi jaga kushk reh jahay aur aap ko is baat ka ilm nah ho toh inshallah Allah subhana wa ta'ala ghusul kabool keray ga. Agar ilm ho kay badan ka hissa kushk heh toh phir be us ko doya nah jahay toh aap per phir ghusul kerna farz hoga aur is soorat meh ghusul nahin hoga. Yaqeeni tor per kohi nahin keh sakta kay meh nay ghusul keeya aur sara badan doya haqiqat sirf Allah hee janta heh kay kohi jaga kushq rahi ya nah is leyeh aap puri koshish keren aur jab aap samjen kay sara badan doya ja juka heh toh aap ko is say ziyada fikr nahn kerni chahyeh. Yeh sirf Shaytaan kay waswasay hen, aap apni puri koshish kay saath ghusul ker leeya keren baqi jis ka aap ko ilm nahin aap say pooch nahin hogi inshallah.

 

Awal toh sab kay leyeh farz heh kay woh sahih tareekay say namaz seekhay aur peray, agar kissi nay is meh la perwahi kee toh woh mujrim heh. Aur agar kissi nay namaz seekhnay meh la perwahi kee ho aur ghalt malt perta raha ho toh phir us per lazam heh kay sahih namaz ka tareeka seekhay aur niyaat band lay kay meh apni namazen lotahoon ga yehni phir peroon ga aur phir is per amal keray, agar khuda na khasta namazen complete kernay say pehlay faut ho jata heh toh Allah maaf krnay wala heh, inshallah Allah subhana wa ta'ala us kee namazen be qabool keray ga aur ghalt malt peri huwi namazoon ka ajr be. Allah subhana wa ta'ala musalman ko agar ek kanta lagay toh us ka ajr deh ga yeh tawaqoh nahin kee ja sakti kay Allah ghaffur raheem, ek apnay banday kee mehnat ko zaya ker deh, shartan kay us kay aqahid darust hoon. Amaal e saleh meh ghaltiyan, kotahiyan Allah inshallah maaf ker deh ga.

 

Baee joh pesa kissi nay Allah kee rah meh lagaya woh doob nahin sakta inshallah har sunni ko us pesay ka ajr millay ga. Wesay kissi ko kia pata kay Allah ta'ala nay kissi ka hajj qabool keeya heh ya nahin. Yeh toh aalim joh hajj ka sara tareeka tafseelan janta ho woh be nahin keh sakta kay Hajj qabool huwa ya nahin. Allah subhana wa ta'ala cha'hay nay tamam Sahabah say behtr us kee namaz ko bataya jis Sahabi nay chand mint pehlay Islam qabool keeya, aur left right dekh dekh ker nakal ker ker kay namaz peri. Allah subhana wa ta'ala dilloon ka haal janta heh, janta heh kay kon kiss niyat say kia ker raha heh, Allah nay us namaz ko pasandeeda bataya jis meh Sahabi nay kuch pera bee nahin left right dekh dekh ker sirf phisical harkateh copy keen, waja sirf yeh heh kay us Sahabi kay dil meh ibadat e illahi kee khawahish thee, justgooh thee, irada thah. Un kee la ilmi per un kee namaz ko Allah tala nay radd nahin keeya balkay maqbool banaya. Inshallah agar dil kay saath kissi nay hajj keeya aur joh dekh dekh ker kerta raha chahay Sunnat e hajj kay khilaaf agar us kay dil meh woh Sahabi wala josh, jazba irada, niyat, khawaish thee toh phir Allah (subhana wa ta'ala) zeroor us ko hajj ka sawab be deh ga aur qabool keray ga. Hajj kee sunnatoon meh kami peshi, ghaltiyan Allah subhana wa ta'ala) maaf keray ga, magar jis be imaan kay dil kala heh woh sara kharijiyoon kee tera Quran peray, namazen peray, Sunnat kay mutabiq hajj keray us ko mafi nahin hogi.

 

Yeh har banday kay leyeh zeroori heh kay woh hajj say pehlay hajj kay mutaliq ilm hasil keray, wesay lotay kee tera moon utha ker jana aur phir namaz ka ilm be nah ho, kay kistera perni heh balkay wahan per jaa ker hee seekhen kay namaz kistera pertay hen. Joh banda teen lakh kharch ker kay ja raha heh us ko itni be soch toh honi chayeh nah kay wahan pr mujjay kerna kia heh. Agar kissi kee shaadi ho toh teen saal pehlay kapray isteri, shoot boot, tie, car, makeup shakeup perfumes laga ker baboo ban ker jatay hen sirf is leyeh kay camera meh meri tasweer achi ahay, log dekhen kay bara pesa heh is kay pass, bara mastanda heh aur tareef keren kay wah wah, kia shoot boot lagaya heh is nay. Jahilana rasmoon aur tareeka e jahilliat ko apnanay meh itni mehnat hoti heh Allah kay deen kay leyeh hafta hajj kay baray meh beth ker seekh nahin sakta. Dunya kee chand mint kay show kay leyeh kia kia kertay hen magar joh zindgi hamesha kay leyeh heh us ko kesay bulahay bethay hen. Allah ta'ala ham musalmaan ko hidayat deh, ameen.

 

Allah ta'ala say rehm o karam kee tawaqoh rakhen toh Allah ta'ala aap ko aap kee tawaqoh kay mutabiq ajr deh ga. Deen kee zeroori fiqhi masail ko seekhen aur gar waloon ko seekhahen. Joh ghaltiyan ho chuki un izala kernay kee koshih keren aur ainda ihtiyaat keren.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...