Rahil مراسلہ: 18 اکتوبر 2012 Report Share مراسلہ: 18 اکتوبر 2012 Aik dafa "Ropwan" Chrare Sharif Mei Hazrat Sheikh Noorud din (rehmatullaheal aih) Ibaadate Khuda Mei Mashgool Thay, Kuch Dair Baad Aap(rehmatullah ealaih) Ko Shor Sunaayei Diyaa To Aap Rehmatullahe Ne Apne Rafiq Yaar Hazrat Baba Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ko Mukhaatib Kar Kay Farmaya . "Ay Nasr! BAAHIR nikal Kar Zara Ke Yeh Shor Wa Sharaaba Kiun Aur Kis Taraf Hai " Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ne Ju'n He Baahir Nikal Kar Nazar Daali To Dar Ke Maaray Jald He Waapas Palat Kar Darwaaza BandhKar Kay Andhar AYa Aur Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Se arz Karne Lagga ke "Ay Shaykh (rehmatullaheal aih)! Baahir Mei Ne Dekha ' Surkh Wardi Pehan Kar Aik Fauji Lashkar Haatho Mei Neazay Aur Shamshairay Le kar issi Pahaadi Ki Taraf Dorh Kar Aarahe hain. Ye dekh kar mei jaldi waapas aaya" Hazrat Shaykh (rehmatullahe alaih) Ne Baba Nasrud din (Rehmatullahe alaih) se farmaaya : " Gabraanay ki koi baat nahi hai, bay fiker raho. Khuda wande kareem ko yaad karo, dekho ; wahi hamaara Muhaafiz hai" Phir farmaaya : " Ay Nasrud din (rehmatullahe alaih)! Dar'Asl meribaari aayei hai , mujhay ab is dunyayai faani se rukhsat hona hai. Ay meray Rafiq ! Mei ne aap se kaha tha na , ke ye dunya kissi kaam ki nahi hai, dunyawi kaam chorh kar aakhirat kay kaamo mei lag jao". Ay Nasur ! Maal o jaayedaad , zan wa awlaad , zar wa zameen Saath nahi jaatay hain. Bas' Wahan Sirf Aamaal Saath Jaatay Hain" Ay Nasrud din ! " Dar'asl Shaitaane Maloon Mujhay Is Waqt raahe Haq se Bhadkaanay Aya hai" . Nasr! Mei Dua Maang Lu'n Ga Aap Aameen Kartay Rehan".. Is Kay Baad Shaykh Noorud din Noraani (rehmatullahe alaih) ne Apne daste Mubarak UparUthaayai Dua Maangne Lagay: "k Ilaahei! Mujhay Fatah o Nusrat Bakhsh De.Ya ALLAH! Ba Waastay Hazrat Paigambar Kareem Mohammad Rasoolullah SALALLAHUALAIHE WA AALIHE WASALLAM Meri Madad kar, Mera Saath dei'n." ♥ Dua Qubool Huwi Ba Waasta Hazrat Sardaar Do AALAM (salallahualaih ewasallam), Issi Waqt QutbeAalam Shahe Jilan Hazrat Shaikh Syed Abdul Qaadir Jeelani (Radiallahu taala anhu) ShamshaireBurhaan Dastay Shareef Mei Le Kar , Sabz Wardi Pehan Kar Namoo'daar Huway. Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Ne Haalat Jaan Nay K Liye Anadar SE baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Ko Baahir bheja ...Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Jab Waapas andar aagayei , to unhu ne apne Murshid Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ko bataya k Sabz posh wardi waali Shakhsiyat(sham shair bardaar) ne surkh posh wardi waalay lashkar kay commander ko giriftaar kiya aur us kay lashkar ko Titar Bitar kar rahay hain. Ye dekh kar Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) ko hosh aaya Aur Sukoon qalb payaa... Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Nasrud din(rehmatullah ealaih) se farmaya: K Ye Shahe Jeelan Hazrat shaykh Abdul Qaadir Jilani(radialla huanhu) thay. Aur baba Nasrud din Ko farmaya : Is Jagah Ko Foran Saaf Karo, Ye Saahib Yahan He aayin ge." Bayshak Jab Shahe Baghdad Hazrat Gousulazam (radiallahuanhu ) Faarig Huway To Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Kay Haa'n Aagayei. Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Khaday Ho Kar Un Ka Istiqbaal Kiya Aur Un Ko Tazeem wa Tasleem Kiya. Shahe Baghdad (radiallahuanhu ) ne Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) Ko Khabar di K RabbeQaayenaat Aap Se Raazi Hai, Aur Khatmul Mursaleen Hazrat Mohammad Rasoolullah Salallahualaihe wasallam Aap Ko Aafreen Kartay Hain . Jenaab Hazrat Meer Syed Mohammad Hamdani(rehmatu llahealh) AAP kay Murshid Hai, Mei Bhi Aap Ko Yaad Rakhta Hun. Is kay Baad Shahe baghdad (radiallahuanhu ) Rukhsat Ho Kar "Ropwan" Se Chrare Aa'kar BaaghSangraam Daar Mei HEE Darakhet(tree)[ aik qism kaphool waala darakhet] Kay Qareeb Baith Kar KuchWaqt Guzaarnay Kay Baad Wahaan Se Chalay Jaatay Hain".. Is Waaqah Kay Kuch Dair Baad Baba Nasrud din (rehmatullahe alaih) Ne Jab Baahir Dekha To Iblees La'Een Zor Zor se' Aur Ro Ro Kar Apnay Upar Khaak Malne Lagga ... SUBHAANALLAH SUBHAANALLAH ♥.. (Karaamat e Shaykhlalam rehmatullahe alaih By Abu Nayeem) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔