Sag.e.Madina41 مراسلہ: 26 اگست 2012 Report Share مراسلہ: 26 اگست 2012 (ترمیم شدہ) Jannat mei muslims he jayenge and not non muslims quran o hadees se sabit kijye? Kiya aik shaks ka naam abdullah hai, sirf woh apnay musalaman naam ki waja se jannat mein jayega ???? Yah mein musalman hoon aur mein jannat mein jawnga aur tum kafir ,yahudi jahhanum mein jao ge, aur musalman honay ke liye naam tabdeel kerna kahan likha hai ? Koi criteria yah requiremnets ? Plz kisi nay pucha hai is ka jawab ho skata hai ap ki waja se koi muslim hojaye QURAN MEIN surah anqabut ayat number 2 mein irshad hota hai tarjuma kanz ul emaan کیا لوگ اس گھمنڈ میں ہیں کہ اتنی بات پر چھوڑ دیئے جائیں گےکہ کہیں ہم ایمان لائے Edited 27 اگست 2012 by Abdur Rehman pls Sentence Case mai likha karain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AhleSunnat مراسلہ: 26 اگست 2012 Report Share مراسلہ: 26 اگست 2012 (ترمیم شدہ) Asslam alaikum bhai pahlay tu arz hai kay aap font small likha karain capital font ajeb lagta hai . Musalman honay kay leay hargiz zarori nahee kay Arabi naam ho ya musalman ho kar purana naam badla jaaiy . naik loago kay naam par naam rakhna achay naam rakhna yei buhat achi baat hai is leay ziada tar musalman naam aisay he hotay hain. haan agar Pahlay naam kay mana buray hain ya koi shirkia mani hain to usay tabdeel karna paray ga kyu kay na bura naam rakhnay ki ijazat hai na hee shirka naam rakhnay ki. jaisay aik shaks ungraiz ieeshai hai us ka naam Gabreil hai jis ka mani urdu mai Jibreel hai ya us ka naam Jacob hai ya Joseph hai to yei naam agar wo musalman honay kay baad bhe chahay tu yehi naam jari rakh sakta hai magar aisa naam jo ghalat ho jis ka mani kharab ho ya jis say Shirk ya kufr ka izhar hota ho wo naam nahee rakkhay ja saktay usay tabdeel karna paray ga.. Jannat mai dakhlay ki pahli aur laazmi laazmi shart Ieman hai ......aur phir bas jis par Allah apna fazl o karam farmaiy aamin.. jis par Allah azzwajal nay dunya mai yei karam farmaya kay wo ieeman ki halat mai is dunya say chala gaya ummid hazar ummid hai kay Allah aakhirat mai bhe karam farmaiay ga apnay Habib ki shafa'at naseeb farmaiay ga aur us momin/momina kay buray aamal ko bhee maaf farma kar jannat mai dakhil farmaiay ga... ham sab ko Allah say yehi ummid hai aur yei ummid Allah ki rahmat ki waja say hai apnay totay photay naik aamal ki waja say hargiz nahee khud he to Allah nay farmaya jis ka mafhoom kay Allah ki rahmat us kay ghazab say kahee wasee hai.. is leay yehi ummid hai kay Allah apni rahmat say Ieman pay marnay walo kay gunah maaf farma kar un ko jannat mai dakhil farmaiay ga... aaamin agar wo azab bhe farmaiay tu malik o mukhar e haqiqi hai magar phir bhee Allah kay karam say momin/momina zaror zaror zaror jis kay dil mai raee barabar bhe ieeman howa wo zaror zaror zaror jannat mai dakhil kia jaiay ga chahay apnay gunaho ki saza kaat kar rahmat ke jaaiy us par ya Allah waisay bina azab o atab he usay maaf farma kar jannat mai dakhil farmaiay huqooq ul ebaad ki bari fikar karni chahay kyu kay Allah azzwajal apnay haq maaf farma day ga maagar Allah ki makhlooq kay saath jis kisi nay zara si ziadti zulm na-insafi ki ho us ka poora poora badla zaror dilwaiay ga chahay saza ki sorat mai ho ya naik aamal us ko day kar ya us ko apni Rehmat say razi kar kay.. is leay ham sab ko chahay kay haqooq ul ebaad ka buhat khayal rakkhain... Allah azzwajal say dua hai kay apnay pyaray Habib kay sadqay ham sab ko iman pay khatma bil khair Nabi pak kay qadmo mai un ki deedar par moat naseeb farmaiay jannat ul baqee mai dafan naseeb farmaiay aamin aamin aamin aur janat ul fardus mai Nabi pak ka paroos naseeb farmaiay...aamin Mustafa jaan e rahmat pay laakho salam shama e bazm e hidayat pay laakho salam Bay azaab o ataab o hisaab o kitaab taa abad Ahl e sunnat pay lakho salam aaik maira he rahmat pay dawa nahee shah ki sari ummat pay lakho salam (saw) (saw) Edited 26 اگست 2012 by AhleSunnat اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔