Jump to content

Kia Zarorat Hai Madani Channel Ki?


Sag.e.Madina41

تجویز کردہ جواب

Salaam

 

ap kon c dunya me rehte hein????

Madani Channel ki kia zarurat he????

behayai logo k ghar me ghus gai he tv k zariey

ap ne kitne bando se tv chutwaya he????

Madani Channel 100% iSlamic Channel he jo ghar mein ghus kar

Deen ki Dawat de raha he... no ads no womens no music...... e.t.c

koi Gher shari kam nhi

 

Non-Muslims iSlam Accept kar rahe hein

Log Naik ban rahe hein

ap kehte hein kia zarurat he?

kawa khor logo ko pagal kar rahe they

Madani Channel aya to sab badmazhab preshan ho gae hein

 

 

MUFTI HANIF QURESHI SAHAB

Link to comment
Share on other sites

Salaam

 

Ulma-e-Ahle Sunnat ki Kaseer Tadad Madani Channel k Haq mein he

or is hawale se Rasail bhi Hasil kar skte hein

Ghaliban is trha ka name he

Ulma-e-Ahle Sunnat k Madani Channel k bare mein Tasurat

 

 

 

http://www.youtube.com/watch?v=rLLvhoc85bc

 

 

[ap agar chahein to Madani Channel per Ulma-e-Ahle Sunnat K Tasurat

or Non-Muslims k iSlam lane ki videos or Musalmano k Toba

Kar k Naik ban-ne ki videos ki line laga du??????]

Link to comment
Share on other sites

(salam)

aisay mamalat par bahas mubahasay mai na parain.. video etc ka mamla jo ulama is kay haq mai hain aur jo khilaf hain dono apni apni jaga theak hain aur deegar buhat say aisay mamlat hain jis mai furooi ikhtilaf maujood hai aisi bato ko jitna uchala jaiay mukhalif utna he is say khoush hota hai aur aam loago ko bahkanay ki koshish karta hai ....

 

aap sab apni apni jaga ulama o awam e Ahle-sunnat kay bahamii ittihad aur mohabbat kay leay kaam kartay rahain aur kisi bhe tarah ki sazish ka shikar na hooon. apnay sheikh kay alawa bhee har sunni aalim ki izzat o tauqeer karain aur dil o jan say un say mohabbat rakkhain aur un kay aapas kay ikhtilaf ko nazar andaz karain .. aur ahlesunnat kay ittihad o ittifaq kay leay duain aur koshishain kartay rahain...

 

(ja) all of you. aamin

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Salaam

 

Kaghaz per Tasweer or Screen per tasweer me farq he

Jab Ameer Ahle Sunnat Farmate they k tv phenk do

tab Un ka matlab yeh nhi tha k tv per tasweer najaiz he

Un ka matlab tha k tv per koi 1 ,,,, 100% iSlamic channel nhi

he is liey tv chor do......! is ka saboot yeh he k jab Madani Channel

nhi tha tab bhi Hazrat Sahab k Bayanat ki cds ati thein..............!

pata chala k Hazrat Sahab ne tv per tasweer se nhi roka tha

tv per koi 100% iSlamic channel nhi tha is liey roka tha..........!

 

(screen per tasweer or kaghaz (banner e.t.c) per tasaweer

me bht farq he. is me Ulma-e-Karam ka iKhtilaf he... or hmein

sab Ulma-e-Ahle Sunnat se Pyar he... me abhi bacha hu mjhe

in masail me nhi parhna chahiey Ulma-e-Karam per bhrosa

karna chahiey_________________________________!)

 

[TOPIC CLOSE PLZ]

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...