Jump to content

Allahpak ka shuker


SanaAli

تجویز کردہ جواب

Mein yeh topic is liye start ker rahi houn takey hum roz ALLAH ka SHUKER ada ker sakein us ki nematon ka jin sey ALLAH ney hamain nawaza hai...hamain shuker kerna chahiye hamare pass pehne ko kapre hain...khane ko khana..aor rehne ko gher maa baa bahan bhai aulad jaisay behtreen rishtay diya bohat sey log aise hain jin key pass yeh sab nahi hai to hum bohat khush kismat hain na..to sab ALLAH ka shuker ada karein!!!

Link to comment
Share on other sites

Hazrat Raza Farmate Hain

Rizq e Khuda Khaya Kya Farmaan e Haq Tala Kya

Shukre Karam Tars e Saza Yeh B Nahi Woh B Nahi

JAZAKALLAH Azawajal .... Well Us Zaat e Bari Tala Ka Shukar Ada karnay keh Liye mere Paas tu Alfaz nahi .....keh Alfaz main tu us ka shukar Ada karna Mumkin Hi Nahi ....

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(azw)(ja) Sister.

Beshak Allah (azw) kaa shukur hay k us ne ye sab na'ematen hum ko deen, Lakin kuch na'maten aisee hein jo in sab na'ematon se barh kar hein aur wo ye hein k

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum ko Insaan banayaa.

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum ko Musalimaan gharaane men paidaa kyaa.

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum men Apne Mehboob (saw) ko Maba'oos farmayaa.

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum ko Apne Mehboob (saw) kaa umatee banayaa.

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum ko apne Mehboob (saw) se Muhabbat karne walaa banayaa.

Allah (azw) kaa shukur hay k us ne hum ko Ameer-e-Ahl-e-Suunat Pyaare Bapa Jaan kaa daaman haath men dyaa.

(salam)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Allah (azw) Ki Itni Naimatain Hain Key Hum Shumar Hi Nhin Ker Saktey... Itney Ahsanat Hain Key Wallah Hum Her Lamha Bhi Shuker Ada Kerein Phir Bhi Kam Hai.. Ya Allah (azw) Tera Bey Had Shuker Hai Tu Ney Humein Eman Ki Dolat Bakhshi.. Ya Allah (azw) Apney Habib (saw) Key Sadqey Hum Sub Ka Khatima Eman Per Bil Khair Ferma.. "یا مقلب القلوب ثبت قلوبنا علیٰ دینک" Ae Dilon Key Pherney Waley (jallah) Hamarey Dilon Ko Apney Deen Per Sabit Qadam Rakh. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen (saw)

 

AalaHazrat (ra) Key Bhayi Jan Moulana Hassan Raza Khan (Aleh Rahmtur Rahman) Fermatey Hain...

 

Ae Nafs Unhein Ranj Diya Apni Badi Sey

Kiya Qehr Kiya Tu Ney Arey Tera Bura Hoo

 

Yeh Meri Samajh Mein Kabhi Aa Hi Nhin Sakta

Eman Mujhey Pherey Ko Tu Ney Diya Hoo

 

Shuker Ik Karam Ka Bhi Ada Hoo Nhin Sakta

Dil Un Pey Fida Jan-e-Hassan Un Pey Fida Hoo

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...