Jump to content

حبیب خدا کا نظارہ کروں میں دل و جان ان پر نثا&


Mudasir Yaseen

تجویز کردہ جواب

(bis)

Na'at Shareef Written By Shahzada-e-Aala Hadrat ,Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind Molana Shah Muhammad Mustafa Raza Khan Aal-e-Rehman Jeelani Miyan (ra)

 

Habib-e-Khuda (saw)(azw) ka nazara karoon mein

Dil-o-Jaan un (saw) par nisara karoon mein

 

Mujhe apni Rehmat se too apna kar le

Siwa tere sab se kinara karoon mein

 

Mein kyoun gair ki thokaren khane jaoon

Tere dar se apna guzara karoon mein

 

Tere dar ke hote kahan jaoon piyaare

kahan apna daaman pasara karoon mein

 

Ye ik jaan kyaa hay agar hon karoron

Tere naam par sab ko wara karoon mein

Tere naam par sar ko Qurban karke

Tere sar se Sadqe utara karoon mein

 

Tera zikr lab par Khuda (azw) dil ke andar

Youn hee zindiganee guzara karoon mein

 

Dam-e-Waapsi tak tere geet gaoon

Muhammad Mumajad (saw) pukara karoon mein

 

Khuda (azw) aik par to to aik par Muhammad (saw)

Agar Qalb apnaa do para karoon mein

 

Khudara ab aao ke dam hay laboon par

Dam-e-Waapsi to nazara karoon mein

 

Khuda (azw) aisee Quwat de meri zaban men

Ke bad mazhabon ko sudhara karoon mein

 

Mera Deen-o-Emaan farishte jo poochen

Tumhaari hee jaanib ishara karoon mein

Khuda (azw) khair se laaye wo din bhee NOORI

Madine ki galiyaan buhara karoon mein

 

Saba hi se NOORI salam apna keh day

siwa is ke kiya or chara karoon mein

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
Tera naam lab per,Khuda dil k ander

yoon hi zindagani guzara karoon main

(salam)

(azw)(ja).

Sister i think ye shair ooper likha huwaa hay, lakin thoraa saa farq hay, Wo aise hay

 

Tera zikr lab par Khuda dil ke andar

yoon hi zindagani guzara karoon mein

 

Haan "zikr" ki jagah par aap ne "Naam" likhaa hay, sirf ye Farq hay.

Aik aur shair mujhe yaad aaya hay, wo hay:

 

Mujhe apni Rehmat se too apna kar le

Siwa tere sab se kinara karoon mein

 

(salam)

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...