Jump to content

بخت خفتہ نے مجھے روضے پہ جانے نہ دیا


Mudasir Yaseen

تجویز کردہ جواب

(bis)

Na'at Shareef Written By Shahzada-e-Aala Hadrat ,Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind Molana Shah Muhammad Mustafa Raza Khan Aal-e-Rehman Jeelani Miyan (ra)

Bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya

chashm-o-dil seene kaleje se lagane na diya

 

Aah Qismat mujhe dunya ke ghamon ne roka

Haye taqdeer ke TAYBA mujhe jane na diya

 

Paon thak jate agar paon banata sar ko

sar ke bal jata magar zu'uf ne jane na diya

 

Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat hay

Mot ne haaye mujhe jaan se jaane na diya

 

Sharbat-e-Deed ne aur aag laga dee dil men

Tapash-e-Dil ko barhaya hay bujhane na diya

 

Ab kahan jaaye ga naqisha tera mere dil se

Tah men rakha hay ise dil ne gumane na diya

 

Sajda kartaa jo mujhe is kee ijaazat hoti

kya karoon izn mujhe is ka khuda ne na diya

 

Mere a'amal ka badilla to jahanum hee thaa

Mein to jata mujhe sarkar ne jaane na diya

 

Mere a'amaal-e-Siyah ne kiyaa jeena doo bhar

Zaher khata tere irshaad ne khane na diya

 

Nafs-e-Badkar ne dil par ye Qayamat tori

Amal-e-Nek kiya bhee to chchupane na diya

 

Aur chamakitee see gazal koee parho ae NOORI

Rang apnaa juml-e-Shu'ara ne na diya

 

Bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya

chashm-o-dil seene kaleje se lagane na diya

 

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

(salam)

(azw)(ja) > Raza bhai aap kee is post se mujhe ye patta chala hay ke SAman-e-Bakhshish bhee alahazratnetwork.org par available hay, Mein ne pahile kaafi seacrh kyaa thaa, lakin mujhe nahin mila thaa. Mujhe buhat khushi huee hay. Buhat Buhat Buhat shukriyaa aap ka

(salam)

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...