Jump to content

Beewi k huqooq

ATTARIA2526

تجویز کردہ جواب

aslamullekum

mein kuch puchna chah rai thi ap se sb se pehle to mein ap ko batana chahti hun k mein ne taqreeban 4 saal pehle islam qabul keya hai mere shohar muslim hain aur pathan hain meri yeh pasand ki shadi hai hm dono ek sath job karte thy and i was christian , abh shadi se pehle en k ghar walo se meri baat cheet hoti rehti thi os waqt wo sb boht ache tareeke se pesh aty thy bt jb se shadi hui hai muje abhi tak dil se uno ne accept nai keya aur mere shohar mere sath waise hm dono boht ache aur khush rehte hain bt jaise e en k ghr wale en ko call kar k kuch kehte hain mere khilaf to sathe yeh mere sath larna shuru kar dete hain har waqt muje yeh kehte rehte hain mere behn bhai mere maa baap mere leye boht important hain mein en ki khushi ki khatri humesha koshish karti hun k meri taraf se koi aisi baat na ho jis se jhagra ho yah en ko dukh ho bt en k chote behn bhai muj se batamezi karte hain aur yeh un ko kuch nai kehte  na to mere susral wale kabi mere kisi dukh mein takleef mein muje puchte hain na e mera shohar aur 

har month unko yahan se ache khase amount bhej dete hain mein ne kabi mana nai keya jb k yaha pura month hm boht tangi se guzarte hain mein job karti hun aur adhe se zaida expenses mein afford kar rai hun ghr k mein ne en se kabi kisi cheez ki demand nai ki humesha har baat mein en ka sath deti hun corporate karti hun bs en se yeh chahti hun k meri respect krao apne behn bhaiyo se aur jaise un k leye tm ehsas karte ho mere leye b waise e karo  akhir mein tumare leye apna sb kuch chor k apni family ko naraz kar k sare darwaze band kar k yahan tumare naam pe bethi hui hun

plz muje batayen k kya jb ghr mein en k 6 bhai jawan hain to en k ekele ki zemedari banti hai kya k un sb ki zemedari uthayen jb k un sb ki age job karnewali hai pare likhe b hain bs jaan k en pe depend karte hain k yeh en ki zemedari hai

plz muje batayen mein kya karu

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

Please koi mujhay ien sawalat ka jawabat islam ke roshni main day day

1.keya biwi ko jaeb kharch dayna shohar ke haqooq main hai or keya jo jaeb kharch vo biwi ko day ga vo shartoo k sath ho ga ya nahi.

Maslan shohar biwi ko 3000 mahenay ka dayta hai.ien shartoo k sath k apna phone ka bill,parlor ka kharcha or Baki jo pasay bachay ion k kapray laynay hai.

2.keya oraat par ghar ka kam karna wajab hai?

3.keya shohar biwi ho Palta hai ya ios ke zimaydaydari hoti hai biwi ke zarooreyat pori karna.

4.agar shohar biwi ko pasay na dayta ho to ios ko nokrari karnay ke ijazat hai?

5.agar oraat khula lay or bachoo ko apnay pass rakhna ho to islam ka keya hukam hai.bachoo ka kharcha kis k Zimay hai.

6.haq mehar bar bar mangnay par be agar shohar na day to keya hukam hain.jab k vo day sakta hai.

7.shohar k tamam kam karna keya oraat par wajab hai?

8.shohar kis had tak oraat ke zarooreyat pori karnay ka had rakhta has?

Please koi b mujhay islam ke roshni main in k jawabat day day

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...