Mujtaba مراسلہ: 19 جون 2007 Report Share مراسلہ: 19 جون 2007 (ترمیم شدہ) of Imam Ahmed Raza Khan Qadri Compiled by Maulana Shah Husnain Raza Qadri Noori(ra)Click on the Book Name to view full bookAiterazaat kay Jawabaat Page NO 30 say ShuruBY...Maulana Hassan Ali Rizvi Wasaya-Shareef.pdf Edited 19 جولائی 2013 by Mughal... Dead link fixed. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 19 جون 2007 Report Share مراسلہ: 19 جون 2007 Brother ... Very Nice Post... Sub Un Sey Jalney Walon Key Gul Ho Gaye Charagh Dekho Ahmad Raza Ki Shama Firozaan Hai Aaj Bhi Khursheed-e-Ilm Unka Darakhshaan Hai Aaj Bhi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 20 جون 2007 Report Share مراسلہ: 20 جون 2007 Bhai, Buhat achee sharing hay, Ye khabees wahaabiyaa Mere Imaam kee wasiyat pae a'itiraazaat karte hain. Wo khud apne akaabireen kee wasiyat ko nahin dekhite (Thanvi marte waqt apne mureedin ko kah rahaa thaa k "har maah chandaa kar ke meri biwi ko denaa, aakhir tum par meraa itnaa haq b nahin hay kiyaa ?"). Wasiyat ko dekhain Zameen Aasimaan kaa farq hay, Meraa Imaam ( kah rahaa hay "Mere deen ko mazbooti se pakro" aut thanvi kah rahaa hay "meri biwi ko Paise do". Haq aur Baatil kaa farq is baat se hee clear hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sybarite مراسلہ: 20 جنوری 2008 Report Share مراسلہ: 20 جنوری 2008 Miya Thanvi ne martay waqt kya kaha kya nahi woh tu sabhi jantay hain hatta ke khud deobandi ulema bhi. Woh aur baat hai ke deobandiyo ki shariat apnay aur paraye ke liye alehda alehda hai. Khair abhi kuch din pehlay Ashraf Thanvi ka aik aur qabil-o-ghour hawala parhnay ko mila tu soocha ke apnay bhaiyo se share karta chalo. Deobandi hazrat, baray chootay, alim jahil sab se pehla aiteraaz jo Wasaya sharif per kartay hain woh ye ke Ala Hazrat nay "MERA DEEN-o-MAZHAB" kyu keh dya. Iss ka jawab mufassil tareeqay se mandarja`bala tasneef mein diya jaa chuka. "MERA DEEN-o-MAZHAB" ke baad askar deobandiyo ki taan aa kar tooti hai iss per baat ke Ala Hazrat nay apni kitaboo se sabit deen per qayam rehnay ki talqeen kyu ki. Quran-o-Hadiths per qayam rehnay ki talqeen kyu nahi ki. Iss ka bhi jawab iss tasneef mein mojoud hai lekin deobandi hazrat ko jab tak inkay apnay akabireen ki kutb se hawala nikaal kar munh per na mara jaye tab tak inko baat samajh nahi aati (samajh to inhay khair apnay hawalay dekhnay ke baad bhi nahi aati!). Kitab ka naam Tasheel Qasd-us-Sabeel, likhnay walay koi aur nahi balkay inn ke Rangeelay Ashraf Thanvi sahab! Iss kitab ke page 42 per Thanvi musoof apnay murideen ko talqeen kar rahay hain; Header: "Mureed ho kar ye kaam karnay paray gay" 1. Beheshti Zewar ke giyara (11) hissay awwal se aakhir tak aik aik hurf kar ke parhnay ya sunnay paray gay. 2. Apni sab halatein Beheshti Zewar ke muwafiq rakhna paray gi. 7. Apni biwi bacho ke huqooq ada karnay hon gay in ka ye bhi deeni haqq hai ke in ko hamesha Shrah ke ihkaam batalatay raho. Asaan tareeqa iss ka parhay howay ke liye hai ke raat din mein thora sa koi waqt muqarrar kar ke Beheshti Zewar awwal se aakhir tak apnay ghar walo ko parh kar suna way aur samjha way aur jab woh khatam ho jaway phir se shuru kar dein, jab tak inn ko masail khoob achi taraf yaad na ho jaway sunatay rahein..... Ye hai janab Miya Thanvi ki apnay murideen ko talqeen jo deeni talqeen kam balkay apni kitab Beheshti Zewar ka marketing plan zyada maloom hoti hai. Thori dair ke liye iss talqeen ko parhtay parhtay aankhein band kar ke takhaiyyul ki dunya mein jaye tu aap ko Khashkashi darhi, chiptay chehra wala aik bhudda sarak per chaadar bichaye awazein lagata nazar aye ga "Beheshti Zewar le loo, baray kaam ki cheez hai le loo, 2 khareedo teesri muft le lo!".... Khair... Yaha qabil-e-zikr baat ye ke jo deobandi Ala Hazrat per iss tarah ke be'tukkay ilzamat lagatay nahi thaktay ke Ala Hazrat nay apni kitabo ki hi baat ki, Quran-o-Hadith ki baat nahi ki, to unhay apni Thanvi ki kitabein kyu nazar nahi aatein? Mureed ko talqeen number 1 ke tour per apni hi likhi howi Beheshti Zewar parhnay ki talqeen ki jaa rahi hai aur woh bhi iss tarah ke "AIK AIK HURF KAR KE PARHNAY YA SUNNAY" paray gay! Usooli tour per agar kisi kitaab ko hurf ba'hurf parhnay ki talqeen karni hi thi tu Quran-e-Kareem parhnay ka hukum detay. Ab iss baat per aaj tak kisi deobandi ki ghairat nay josh nahi mara ke Thanvi ne Quran ke bajaye apni Beheshti Zewar ko parhnay ki talqeen kyu ki. Hatta ke namaz jaisay ehm fareezay ki talqeen bhi 4th number per hai aur apni kitab ki talqeen pehlay number per. Talqeen number 2 mein dobara Beheshti Zewar ki ehmiyatt ko ujagar kartay howay Thanvi miya keh rahay hain ke "APNI SAB HALATEIN BEHESHTI ZEWAR KE MUWAFIQ RAKHNI PAREIN GI". Maltab apnay taee Thanvi ne aik tarah se Beheshti Zewar koi aasmani kitaab aur khud masoom qaraar de dya, ke Beheshti Zewar ke mutabiq ho jao uss mein sab kuch theek hai aur ghalti ka koi shaiba tak nahi. Jo deobandi Wasaya Sharif per aiteraaz kartay hain unhay tu pehlay Thanvi ki qabar per jaa kar sawal karna chahiye ke miya ye kya likh gaye aap! Apni halat ap ki Beheshti Zewar ke mutabiq kyu kar kar li jaye, hamaray pass to Quran-o-Hadith mojoud hai. Hum apni halat Quran-o-Hadith ke muwafiq kyu na karein? Lekin aaj tak koi deobandi ye sawal karta nazar nahi aya. Aur ab to Thanvi ki qabar se sawal bhi mumkin nahi. Kuch arsay pehlay inkay "Hakeem-ul-Ummat" ki qabar se unn ki haddiya tak khood kar ghayab kar li gai aur uss ke jageh insaani fazla paya gaya. Na janay kaun tha jisay sari dunya choor kar Thanvi ki qabar hi mili thi istanja khanay ke tour per! Saatwee (7th) talqeen mein Thanvi phir se Beheshti Zewar ki dugdugi bajatay nazar aatay hain. Musoof keh rahay hain ke "raat din mein thora sa koi waqt muqarrar kar ke Beheshti Zewar awwal se aakhir tak apnay ghar walo ko parh kar suna way aur samjha way". Ab Koi tu inn Thanvi-ke-bando se poochay ki Waqt Muqararr kar ke Fatiha, Niyaz, Milad waghaira karnay per to jhatt se "Bidat" ka label laga dya jata hai. To phir ye Beheshti Zewar aakhir kya bala hai ke jis ke raat din mein waqt muqarrar karna theek ho gaya? Waisay agar ghour kiya jaye to Taiyyun-e-Din-o-Waqt ke mamlay mein Deobandiyo ko khaarish tabhi hoti hai ke jab koi mustahib ya naik amal kya jaye. Warna ye saray Deobandi shaadi bhi din aur waqt muqarrar kar ke kartay hain, 5 waqt ki namaz bhi waqt-e-muqararra per parhtay hain, roozay bhi 1 muqararr maheenay mein rakhtay hain, Itwaar (Sunday) ko din muqarrar kar ke chutti bhi manatay hain, hatta ke agar koi Deobandi Naee (Baber) ho to woh bhi Peer (Monday) ka din muqararr kar ke hi dukaan band rakhta hoga. Khair, Deobandi mazhab aaj tak khud deobandiyo ki samajh nahi aya tu mere aap ke kya aye ga! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mujtaba مراسلہ: 20 جنوری 2008 Author Report Share مراسلہ: 20 جنوری 2008 Ehmad Ghaxnavi bhai buhat khoob sharing hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 21 جنوری 2008 Report Share مراسلہ: 21 جنوری 2008 brother... gr8 sharing. ache hawalajat or tabsra share kya apne. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 25 جنوری 2008 Report Share مراسلہ: 25 جنوری 2008 Subhan Allah azawajal... thanks for sharing.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ExposingNifaq مراسلہ: 22 دسمبر 2010 Report Share مراسلہ: 22 دسمبر 2010 Wasaaya Shareef of Imam Ahmed Raza Khan Qadri Compiled by Maulana Shah Husnain Raza Qadri Noori(ra) Click on the Book Name to view full book Aiterazaat kay Jawabaat BY...Maulana Hassan Ali Rizvi Ye link expire ho gaya hey. Agar kisi bhai ko correct link maloom ho tu add ker dein اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sybarite مراسلہ: 22 دسمبر 2010 Report Share مراسلہ: 22 دسمبر 2010 Ye link expire ho gaya hey. Agar kisi bhai ko correct link maloom ho tu add ker dein Link fixed now. Thanks for reporting the dead link. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔