Jump to content

muslim women in west


ATTARIA2526

تجویز کردہ جواب

(salam) mera naam sana hai aur mein canada mein rehti hon Allah pak ka bara karam hai kay mein apnay poray islamc tareeqay say rehti hon jab say mein nay aik aisee hastee say baat ki jo kay meray laey aik teacher aik shafeeq walid aik dost aik aisee hastee jis nay mujh ko real muslim bana diya hai aur Allah pak ka karam hua jab say mein Allah kay karam say business bhi kur rahi hon aur apna islamic libas hijab laitee hon make up touch kurna mein nay kafi ursay say chor diya hai eye brow jo kay aik gunah hai wo chor diya pyjama kurta use kurti hon hijab aur scarf laiti hon aur bohut sukoon say hon mujh ko tu koi problem hi nahin Allah kay karam say baat sirf itnee si hai kay aap us malik ki taraf qadam tu barahain mein sirf aik choti si cheez aap say share kurna chahti hoon

Allah Taala Insaan Se Farmata Hai........

Meri taraf Aa kar to Dekh

Mutawajjah na Hun to Kehna...

Meri Raah main Chal kar to Dekh

Raa'hain na Khol dun to kehna....

*Mujh se Sawal kar K to Dekh

Bakh'shish ki Hud na kar dun to Kehna..

Meray liye be-qadr ho kar to Dekh

Qadr ki Hud na kar dun to Kehna..

Meray liye Malamat Seh Kar to Dekh

Ik'raam ki Hud na kar dun to kehna..

Meray liye Lut kar to Dekh

Rehmat k Khazanay na Luta dun to Kehna..

Meray Koochay main Bik kar to Dekh

Un-mol na kar dun to Kehna...

Mujhay Apna RAB maan Kar to Dekh

Sabub se be-niyaz na kar dun to Kehna...

Meray Khoaf Se Aansoo baha kar to Dekh

Magh-firat k Darya na Baha dun to kehna..

*Wafa ki Laaj Nibha kar to Dekh

Ata ki Hud na kar dun to Kehna..

*Meray Naam ki Ta'zeem kar K to Dekh

Takreem ki Intaiha na kar dun to Kehna...

*Meri Raah main Nikal kar to Dekh

Asrar ayan na kar dun to kehna..

Mujhay Hayyul-Qayyum maan kar to Dekh

Teri Hayat ka Ameen na bana dun to Kehna..

*Apni Hasti Ko fana Kar K to Dekh

Jam-e-Baqa se Sarfaraz na kar dun to Kehna..

Bilakhir Mera Ho kar to Dekh

Har kisi ko Tera na bana dun to Kehna

 

i hope you like it thanks iman to telling me that topic fi-aman::)

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 52
  • Created
  • Last Reply

(wasalam)

(sa) sana sister bohat khushi hoi ap ka reply parh ker, yaqeenan mushkil zaroor hay mager namumkin nahin,or beshak Allah (azw) apni taraf barhnay walon k liye rahain khol daita hay,

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein sari musalman behnon ko shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa adat ata farmaye

aameeeeeeeeeeeeeeenm bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

sister sana

ap ne bohat pyari baat kahi k ap ko islami tareeqay se chalnay main bara sukoon milta hay

beshak shariat e mutahhara per amal kernay main to sukoon hi sukoon hay dunya main bhi or akhirat main to hay hi (sa)

ab main apni un sisters se poochti hoon jo k shariat k ahkam ko sahi mantay hoay bhi un per amal kertay hoay hichkichati hain ya dunya walon ka lihaz ker k sharai ahkam per amal nahi kertin

Dekhain yahan jitnay replies diye gaye Alhamdulillah non muslim countries mein rehnay wali sisters ne diye or sab k replies se hi andaza hota hay k un k nazdeek shariat per amal kerna mushkil nahi sab depend kerta hay insan k ooper .or mazeed aik sister ne bataya k wo working woman hain or perday ki riayat k sath hi tamam kaam kerti hain or un ko bohat sukoon bhi milta hay (sa) ,is ka matlab haina k perda kerna koi mushkil kaam nahi bas jazba hona chahiye.

Allah (azw) hamari sana sister ko mazeed jazba o himmat ata farmaye tamam sharai ahkam per chalnay k liye aameeeeeeeeeeeeeen

ager ma'az Allah (azw) koi behan jantay boochtay bepardagi karegi to yahan to chalen bazahir us k liye asani hogi mager phir moat k pehlay jhatkay se lay ker hasher k maidan tak jo azab sahna parega wo alag or baroz e hasher ki ruswai phir hisab kitab ki sakhti agay phir naar e jahannam ki wa'eed ALLAHU akber!!!

Allah (azw) pyaray mahboob e kareem (saw) k sadaqay main ham sab behnon ko shariat ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

mazeed maloomat k liye hamari behnain is kitab ko read karen is main oraton main pai janay wali buraiyan or un k azab k baray main detailed bataya gaya hay:

6 gunahgar khawateen

Allah (azw) ham sab ko isay parh ker in sab baton se bach ker shariat per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

sister sana

ap ne bohat pyari baat kahi k ap ko islami tareeqay se chalnay main bara sukoon milta hay

beshak shariat e mutahhara per amal kernay main to sukoon hi sukoon hay dunya main bhi or akhirat main to hay hi (sa)

ab main apni un sisters se poochti hoon jo k shariat k ahkam ko sahi mantay hoay bhi un per amal kertay hoay hichkichati hain ya dunya walon ka lihaz ker k sharai ahkam per amal nahi kertin

Dekhain yahan jitnay replies diye gaye Alhamdulillah non muslim countries mein rehnay wali sisters ne diye or sab k replies se hi andaza hota hay k un k nazdeek shariat per amal kerna mushkil nahi sab depend kerta hay insan k ooper .or mazeed aik sister ne bataya k wo working woman hain or perday ki riayat k sath hi tamam kaam kerti hain or un ko bohat sukoon bhi milta hay (sa) ,is ka matlab haina k perda kerna koi mushkil kaam nahi bas jazba hona chahiye.

Allah (azw) hamari sana sister ko mazeed jazba o himmat ata farmaye tamam sharai ahkam per chalnay k liye aameeeeeeeeeeeeeen

ager ma'az Allah (azw) koi behan jantay boochtay bepardagi karegi to yahan to chalen bazahir us k liye asani hogi mager phir moat k pehlay jhatkay se lay ker hasher k maidan tak jo azab sahna parega wo alag or baroz e hasher ki ruswai phir hisab kitab ki sakhti agay phir naar e jahannam ki wa'eed ALLAHU akber!!!

Allah (azw) pyaray mahboob e kareem (saw) k sadaqay main ham sab behnon ko shariat ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

mazeed maloomat k liye hamari behnain is kitab ko read karen is main oraton main pai janay wali buraiyan or un k azab k baray main detailed bataya gaya hay:

6 gunahgar khawateen

Allah (azw) ham sab ko isay parh ker in sab baton se bach ker shariat per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

IMAN AAP NAY THEEK KAHA YAQEEN KARAIN MUJH KO YAHAN CANADA WO YA USA SOME TIME TU MEIN PORA 3 METER KA DUPATTA NAMAZ KI TARAH LAY KUR KHUD KO COVER KUR KAY BUSINESS PAY KHARI HOTI THI AUR ALLAH (azw) KAY KARAM SAY NABI PAK (saw) KAY TUFEEL SAY KISI NAY KABHI KUCH NAHIN KAHA BALKAY MERAY SARAY CUSTOMER KHUSH HOTAY THEY KAY DEKHOO YEE LEARN KUR KAY BAA AMAL BANI HAI MEIN UN SAB SISTER SAY BHI REQUEST KARONGI KAY KHUD KO COVER KARAIN NAZAR NEECHI HOO ZABAN SAY KOI FAZOOL BAAT NA NIKLAY TRY KARAIN KAY KHUD KO CHANGE KARAIN AUR PHIR DEEKHAIN US PAK ZAAT KA KARAM YAQEEN KARAIN MEIN NAY MAKE CHOR DIYA KUCH NAY KAHA BURA LAIKAN BOHUT LOGON NAY TAREEF KI AUR KISI KAY BURA YA TAREEF SAY KYA HOTA HAI BAS HUMARA RAAB HUMARAY ALLAH (azw) HUM SAY RAZI REHAIN HUM SAB PAY KARAM KARAIN HUM SAB KAU GUNAHON KO MAAF KARAIN AUR JITNEE SISTERS HAIN UN SAB KO AHKAAM-E- SHAIREET PAY CHALNAY KI TUFEEQ DAI AMEEN

Link to comment
Share on other sites

(salam)

BAS HUMARA RAAB HUMARAY ALLAH (azw) HUM SAY RAZI REHAIN HUM SAB PAY KARAM KARAIN HUM SAB KAU GUNAHON KO MAAF KARAIN AUR JITNEE SISTERS HAIN UN SAB KO AHKAAM-E- SHAIREET PAY CHALNAY KI TUFEEQ DAI AMEEN

 

aameeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

meray liye bhi dua karen main bhi ba amal ban jaoon aameen

ap sab ki posts parh ker kafi zehan bana hay

 

 

(ma) Allah (azw) ham sab ko sharai ahkamat ki mukammal pairwi kernay ki tofeeq ata farmye

aameeeeeeeeeeeeen

wassalam ma'al ikram

 

 

 

p.s

sana sister baraye madina capital words na use karen readers ko parhnay main diqqat hoti hay .

Link to comment
Share on other sites

JazakAllah Sis Parh Kar Bohat Kushi Hoi

Baray-e-Madinah Itni Bari POst Ko Quote Na Kiya Karain

Aor Baray-e-Madinah Post Likhtay Waqat Caps Lock Off Kar Diya Karain

Us Tarhan Parhney Main Aa Sani Hoti Hai

JazakAllah {azw) Umeed Hai Ap Munnay Ki Bat Ka Bura Nahin Manain Gi

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

Ramzan main bhe uk main kaffi acha sama hota hai pak wala tou nahi hotta lekan Masajad main har din koi na koi roza iftar karnay ka programme karata hai ore local radio bhe hottay hain jahan pay 24.7 Islamic stuff hotta hai MashAllah

bas dua karain k Allah ore in kamoon main taraqee day ore qabool farmye

JazakAllah

duaoon main yaad rakhye ga

Allah hafiz

waslam o alikum

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(sa) sonhal sister! bari khushi hoi parh ker k UK mein ramzan ki ronaqain bhi ap ko dekhnay ko mil jati hain Allah (azw) mazeed khair o barakat ata farmaye aameeen

mager yahan to aisa kuch bhi nahi :( na ramzan ka pata chalta hay na or kisi din ka sab din aik jaisay hain

han eid ka maloom hota hay namazion ki kasrat ki waja se hamaray area mein to rastay hi tang par jatay hain, logon ko garian park kernay ki jaga bhi nahi mil pati

mager ramzan ki ronaqain nahi hain jaisi hamari pk mein hoti hain us ka to sawal hi nahi paida hota UK k jaisi bhi nahi hain :(

dua karen k Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein yahan hamaray madani kaam ko din 25 ween raat 26 ween taraqqi ata farmaye or ham sab ko ikhlas ki lazawal dolat ata farma ker deen ki khidmat lay lay aaaameeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

WALIKUM SALAAM

JEE SIS YAHAN TOU MASHALLAH SAY ALLAH K KARAM ORE US K RASOOL (saw) KA KHASS NAZAR E KARAM HAI ... K TAQREEBAN HAR JAGA MASAJID HAIN AAP KO NAMAZ PARHNAY KA KOI MASLA NAHI HOTTA AGAR AIK JAGA NAHI TOU SATH MAIN ZAROOR HOTI HAI ALLAH SAY DUA HAI K AAP KI TARAF BHE WO HE BAHARAIN HOON JO PAK MAIN HOTI HAIN ...

DUAOON MAIN YAAD RAKHYE GA

JAZAKALLAH

WASLAM O ALIKUM

Link to comment
Share on other sites

(salam)

dear sisters

MASHAALLAH AZZAWAJAL

buhut acha topic he,buhut achchay repliez kiye sab sisters ne MASHAALLAHAZZAWAJAL

JAZAKALLAH

dua karen k Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein yahan hamaray madani kaam ko din 25 ween raat 26 ween taraqqi ata farmaye or ham sab ko ikhlas ki lazawal dolat ata farma ker deen ki khidmat lay lay aaaameeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

ameen...

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

aslmolikum g sab sisterz ko guzre hoi eid mubarak ab tu basi ho gaye ho ge

umeed hay key sb ki eid ache guzre ho ge and masrofiet ma??????????

 

jo sisters pakistan se bahir hote hain wo batana chiyein ge k wo eid kesy kerty hain yahn wale tu bhut yaad aty honge?? apna mulak tu apna hota hay na.

Link to comment
Share on other sites

jo sisters pakistan se bahir hote hain wo batana chiyein ge k wo eid kesy kerty hain yahn wale tu bhut yaad aty honge?? apna mulak tu apna hota hay na.

(bis)

(saw)

(wasalam) sister!

waqai ap ne bilkul sahih kaha apna mulk apni jaga, apni jaga hi hoti hay

or yahan aker apnon se doori ka be intiha ahsas hota hay

sirf eid nahi her moqa hi bara mushkil hota hay sab se door guzarna,

sab se aham baat k eid k din yahan koi chutti to hoti nahi pakistan ki tarah,

bachay school jatay hain mard hazrat kaam per jatay hain as usual. is liye kisi speciallity ka andaza jo chutti se hota hay wo yahan nahi hota,

aam logon ki nisbat mujhay kuch eid ka andaza is tarah hojata hay k hamaray ghar k qareeb hi faizan e madina hay is liye namaz ka ahtamam (even khutba or namaz ki awaz) namaz k baad namazion ki chahal pehel eid mubarak ka shor kuch hota hi hay is k ilawa faizan e madina k qareeb rehnay ki barakat se meray ghar kafi khawa3 ka ana jana rehta hay jo eid k din bhi hota hay is tarah mujhay doosri families ki nisbat ziada andaza hota hay k eid ka moqa hay or meray madani kids ko bhi eid ka pata chalta hay.

or is dafa eid k din yahan elections ki chutti thi public holiday to nahi laikin kafi offices or schools band thay is liye is dafa kafi families ka ana jana raha or waqai eid ka maza aya.

laikin sab se bari baat sisz k ye sari ronaqain to kuch bhi nahi , jaisi ronaq jo maza pak men hota hay wo yahan kahan .or in sab se barh ker eid ka asal maza to yaqeenan madinay shareef ki hazri men hota hoga k momin ki asal eid to us dar ki hazri hay

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ,huzoor ghous e azam (ra) k waseela e jalela se meethay murshid damat barkatuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se sab musalmanon ko madeenay shareef ki ba adab hazri ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

G SHUKRIA AP NE SHRE KIA

BILKUL THEAK KHA ASAL EID TU WHAN HE HAY MADINA SHREEF MAIN ALLAH AP KO AUR HAUM SAB KO WHAN EIDIEN MANEANA NASEEB KRE AMEEN

AUR APP JHAN REHAN KUSH REHIEN YAQEENAN ALLAH KEY HER KAM MEIN HIKMAET HAY

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(wasalam) bahan !

 

 

ji pakistan sai bahir aa kar pakistan ki bohat yadd ati hai yah naturally hai . yahan pakistan ki tarah to hum EID ka maza nahin lai saktay magar phir bhi koshis kartay hain kah is din ko special banaye takah jo bachay hain un ko is din ki ahmiat ka ahsaas ho sakkay kah yah hum muslims ka tahwar hai aur hamaray liye aik khaas din hai . zahri baat hai yahan pai schools ya jobs waghira pai baqaida chutti to nahin hoti MAGAR yahan pai rahnay wali pakistani families apnay bachon ko EID walay din school sai zaroor chutti karati hain aur mard hazrat bhi us din job sai chutti laitay hain . hamaray yahan jo milnay pakistani families hain woh sab mill kar EID manatay hain yaani aik one dish party ka ahtamam kia jata hai jis main sab aik aik dish paka kar lai atay hain aur aik jagah sab mill kar kha laitay hain mard hazrat alag room main hotay hain aur aurtain aur bachay alag room main isitarah bachay bhi apas main eid miltay hain gathering kartay hain to un ko bhi pata lagta hai kah aaj EID ka din hai koi special day hai ... yahan pai ziada important baat hai bachon ko apnay tahwar kai baray batana coz pakistan ki tarah to hum yahan EID nahin mana saktay magar thora bohat back ground hum un ko dai saktay hain thori si koshis kar kai aur waqi pakistan sai bahir aa kar apnai logon ki bohat yaad ati hai ....

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

sab se barh ker eid ka asal maza to yaqeenan madinay shareef ki hazri men hota hoga k momin ki asal eid to us dar ki hazri hay

ماشآءاللہ بہت اچھا موضوع چل رہا ہے۔۔۔

اسی مناسبت سے شیخ طریقت دامت برکاتہم العالیہ کے یہ اشعار ملاحظہ ہوں۔۔۔

 

جس کو آقا (saw) مدینے بلوائیں

اس مسلمان کی عید ہوتی ہے

 

مجھکو عیدی میں دو بقیع آقا۔ (saw) ۔

جانے کب میری عید ہوتی ہے

 

جو بچھڑ جائے ان (saw) کی گلیوں سے

کیا بھلا اس کی عید ہوتی ہے

 

عید عطار اس کی ہے جس کو

خواب میں ان (saw) کی دید ہوتی ہے

 

والسلام مع الکرام

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...