Jump to content

muslim women in west


ATTARIA2526

تجویز کردہ جواب

(salam)

dear sisters!

me yahan aik naya topic start ker rahi hoon

muslim women in west(or non muslim coutry)

kia musalman ortain kafir mulkon men islami tareeqe k hisab se reh sakti hen?

hamaray is forum me kuch sisters non muslim countries se hen

wo sisters is topic men participate karen

hamen batain k kia islam pwr amal kerna un k liye asan hay ya nahi

i hope ap sab apne khayalat ka izhar karengi

iqra sis,sunni sis&iman sister!

please disscuss on it

im looking forward for your great posts

specially iman sis! :)

i hope u ll disscuss it &tell us about your thinkings..... :rolleyes:

ok

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 52
  • Created
  • Last Reply

(wasalam)

(sa)

bara acha topic start kiya ap ne,

mager ap bhool gain

sonhal sis bhi hain non muslim country mein

hamari ruqaiyyah sis bhi hain non muslim country mein

so i hope all sisters ll share here thier thinkings

&@attaria sis

i ll disscuss it inshaALLAH (azw) soon

keep praying

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

bhai ye kia baat hoi iman baji?

bas ap jaldi se disscuss karen

or ye ap ne apni id change kion kerli? men to ap ko iman baji hi kahoongi ,itna lamba naam umm- e- anwaar raza (phir agey se baji :) )

chalen ab jaldi se disscussion start karen

or iqra sis ap bhi ain balke jo sisters pakistan men hen wo bhi disscuss karen(bhai bhi hissa lay saktay hain :rolleyes: )

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

mujhe west main aa kar sab sai pahlay jis baat ka ahsaas hoa

 

woh yah thi kah

 

YA ALLAH TAIARA KAROOR AHSAAN HAI KAH TU NAI MUJHE

 

MUSLIM GHARANAY MAIN PADA KIA HAI

 

apnay musalman honay pai fakhar hoa

 

hum jab muslim environment main rahtay hain to hamara

 

is baat ki taraf itna dhian nahin jata

 

magar jab aap us environment sai nikal kar

 

west main atay ho tab aap ko ahsaas hota hai kah hum kia hain :rolleyes:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

muslims aurtain agar non muslim countries main islami tareekay sai rahna chahain to rah sakti hain

 

yah to depend karta hai na AURAT pai

 

yahan pai muslims countries ki aurtain hoti hain

 

jo pahchani nahin jatin kah muslim hain ya westren hain

 

aur aisai bhi hain muslim countries ki jo door sai hi pahchani jati hain

 

kah yah muslim hain

 

ab yah to aap pai depend karta hai na kah aap kaisay rahna chahtay ho

 

agar aik muslim aurat kisi muslim country main rahti ho magar woh islami tareekay kai hisaab

 

sai nahin rahna chahti to is main muslim country ka to koi part na hoa

 

aur agar aik muslim aurat kisi west country main rahti hai aur woh islami tareekay kai hisaab sai

 

rahna chati hai to phir us k liye west country ka koi asar nahin parta

 

kia khiaaal hai aap ka ???? :unsure:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

bhai ye kia baat hoi iman baji?

bas ap jaldi se disscuss karen

or ye ap ne apni id change kion kerli? main to ap ko iman baji hi kahoongi ,itna lamba naam umm- e- anwaar raza (phir agay se baji :) )

chalen ab jaldi se disscussion start karen

(wasalam)

attaria sister

main ne ap se ye nahi kaha tha k main disscuss nahi karoongi ,ap sahi se to read kerti nahi hain

anyway ap ne specially mujh se kaha hay to main bhi specially madani fees loongi :rolleyes:

jo k main ne ap ko batadi thi

if u agree then ill disscuss

okay?

or mohtarima ap ki marzi ap jo chahain kahain mujhay iman ya kuch bhi

ap ko koi kuch keh sakta hay

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

(ma)

bara acha topic start kia hai aap nay bat drasal ye hai k koi banda bhe post nahi kar raha Lagta hai Iqra sis k bad mujhya he kuch kehna paray ga tou bat drasal ye hai k is country main k aik ajeeb sa ahsaas howa aisa laga k zindagi main wo ronaq nahi rahi jessay thi pehlay wo Azan ki awaz kano main jo atti thi wo Khutbat wo Muslimmano ka Eidoon pay aktha honna

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

ji sonhal sister aap nai theek kaha kah jo baat apnay mulk main tahwaron ki hoti hai

 

woh europe countries main nahin ho sakti

 

magar in tahwaroon main jitnay bhi aas paas hum watan hotay hain woh

 

gather ho jatay hain aur is kami ko poora karnay ki koshis kartay hain

 

jab yahan pai EID ati hai to hum jitni bhi pakistani families hain

 

ham sab one dish eid millan party kartay hain

 

sab aik jagah select kar laitay hain aur wahan pai sab ikathay ho jatay hain

 

aik room main aurtain hoti hain aur bahir mard hazraat hotay hain

 

bohat acha time pass hota hai aik doosray sai eid miltay hain to bohat acha lagta hai :rolleyes:

Edited by IQRA
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

dear attaria2526 sister!

sab se pehlay to ye baat samajh lain k Islam aik mukammal deen hay or deen e fitrat hay

ye sirf muslim countries mein rehnay walon k liye nahi hay

bal k is k tamam ahkamat dunya k her goshay mein basnay walay musalmanon k liye hain

east or west se koi asar nahi parta

asal baat to insan ki apni soch ki hoti hay

ab rahi baat ye k yahan per islam per amal kerna asan hay ya nahi

to sister ye baat to hay k mahole ka insan per bohat asar hota hay

mostly muslim khawateen non muslim countries main aker sab se pehlay parday k muamlat se ghafil hojati hain

or reason ye deti hain k bohat mushkil hay specially aisay enviorenment mein

laikin ye reason sirf dunya walon k samnay qabil e qubool hay

bal k usually log is soch ko appreciate kertay hain k waqai in countries mein orat parda kaisay kare etc

mager..

Rabbe kainat (azw) ki bargah mein ye uzer nahi chalay ga.

main apni un sisters se jo non muslim countries mein rehti hain or pardah nahi kertin isi wajah se k bohat mushkil hay ya log mur mur k dekhtay hain swalat kertay hain waghaira waghira ,main apni un sisters se poochti hoon k ager ye soch ker ham ne pardah chor diya to sirf aik yehi cheez nahi Alhamdulillah tamam islami ahkamat hi mukhtalif hain in kafiron k tor tareeqon se to kia hamain in ka lihaz kertay hoay wo bhi chor denay chahiyen?

to nahi sister!

hamain jahan kaheen rehna hay islam k ahkamat per amal kerna hay

chahay us mein thori si mushkil bhi paish ati ho

hadees e mubarak mein irshad hota hay

Afzal ul a'amali ahmazuha

tarjamay ka mafhoom hay

sab se afzal amal wo hay jis main zehmat ziada hay

to hamari un sisters ko jo non muslim countries mein reht hain jhoom jana chahiye

k ager ham zara si mushaqqat utha ker amal karengay to dharon dhair sawab paingay

jo k muslim country mein rehtay hoay hasil kerna mushkil tha yahan hamain ba asani mil raha hay

or ye to koi mushaqqat or takleef aisi nahi ager dekha jaye to

sahaba karam alaihim ur ridwan ne islam qubool kernay k baad us per amal kernay mein kitni takaleef uthain ,un k apnay pyaray maan baap behan bhai muashray k deegar log jo islam qubool kernay se pehlay un se mahabbat kertay thay

islam qubool kernay k baad yehi log khoon k pyasay hogaye,jaani dushman ban gaye

mager salam hay sahaba e kiram alaihimur ridwan k jazba e imani per k takaleef uthain mager islami k ahkamat per amal kerna nahi chora

to aj ager non muslim countries mein rehnay wali oraton k liye kuch mushkil hay bhi to aisi to nahi jaisi un sahaba karam ne uthai thi

aj yahan hamara koi jaani dushman nahi jo hamain hamaray deen per amal kernay se rokay

to sister yaqeenan ap ko samajh agaya hoga k islami ahkamat per amal kerna non muslim countries mein bhi koi mushkil nahi bas zara si himmat chahiye ,jazba hona chahiye amal ka to kuch mushkil nahi

parday k muamlat k baad 2sri mushkil aisi countries main halal o haram ki hoti hay food k muamlay mein

to dear sister Alhamdulillah non muslim countries mein according to islam meat supply ki sahoolat ab mojood hay

ye sirf ham musalmanon ki susti hay jab hamain kisi hukum per amal nahi kerna hota to na kernay k 10 bahanay

ager amal kerna chahain toAllah (azw) rahain dikhadeta hay

or main iqra sis ki is baat se bilkul agree hoon jo unhon ne kaha k:

(salam)

mujhe west main aa kar sab sai pahlay jis baat ka ahsaas hoa

 

woh yah thi kah

 

YA ALLAH TAIARA KAROOR AHSAAN HAI KAH TU NAI MUJHE

 

MUSLIM GHARANAY MAIN PADA KIA HAI apnay musalman honay pai fakhar hoa

 

hum jab muslim environment main rahtay hain to hamara

 

is baat ki taraf itna dhian nahin jata

 

magar jab aap us environment sai nikal kar

 

west main atay ho tab aap ko ahsaas hota hai kah hum kia hain :rolleyes:

waqai ghar se bahar nikalnay k baad wapas anay tak ye ahsas mustaqil hota rehta hay k Alhamdulillah ham musalman hain

waqai islam ki asal ahmiat ka andaza to yaheen aker hota hay Alhamdulillah

Alhamdulillah ,Alhamdulillah

mazeed wohi baat jo sonhal ne kahi k azan ki awaz khutbon or bayanat ki awaz ko kan taras jatay hain,tehwaron mein wo rang nahi hota jo apnay mulk main hota hay ,mager baharhal sister ye sab batain aik taraf topic ye hay k islam per amal kerna asan hay ya nahi

to sis koi mushkil nahi Alhamdulillah

(salam)

muslims aurtain agar non muslim countries main islami tareekay sai rahna chahain to rah sakti hain

 

yah to depend karta hai na AURAT pai

 

yahan pai muslims countries ki aurtain hoti hain

 

jo pahchani nahin jatin kah muslim hain ya westren hain

 

aur aisai bhi hain muslim countries ki jo door sai hi pahchani jati hain

 

kah yah muslim hain

ji iqra sis main ap se 100%agree hoon bilkul sahi kaha ap ne

ab attaria2526 sister!main ap se poochti hoon k kia islam per aml kerna muslim countries main asan hay?

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

(ja) iqra sis,sonhal sis & iman baji! :)

ap sab ne yahan reply ker k topic ko bohat intersting banadiya

bara acha laga padh k

ab or sisters kahan chali gain?

moni api,sunni sis.ruqaiyyah sis!

ap bhi ain or diss karen or topic ko more interesing banain plzzzzzz

(salam)

(sa)

Inshaa,Allah (jallah) moqa mila to me bhi kuch izhare khayal karoonga apne mushahiday ki bunyad par.

wassalamo alaikum wa rahmatullah

ji bilkul bro! you are most welcome me ne to pehlay hi kha tha k bhai phi hissa lay sakte hain ,mujhe bari khushi hogi ager ap bhi reply karen :)

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

(ma) iman sister aap nai bohat acha reply kia hai (ja)

 

aap nai bohat detail sai har baat samjhaye hai

 

 

aur last main aap nai attaria sister sai bohat acha sawal poocha hai kah

 

kia islam per aml kerna muslim countries main asan hay?

 

waqi yah baat aap ki bilkul sahi hai kah aaj kal hamari country main jo

 

kapron kai style chall rahay hain un ko daikh kar feel nahin hota kah

 

yah muslim country ki koi aurat hai

 

aap kisi bhi apnay mulk kai akhbar ya risalay ko utha lain andar sai aap ko westren larki millay gi muslim label kai saath :(

 

europe main to chalo yah baat sochi ja sakti hai kah mahool ka asar hoga magar wahan kai lahaz sai hum kia sochain kah kis baat ka asar hai ????

 

yah log jo azadana media pai atay hain aur west ki numaindagi kartay hain akhir yah bhi to wahan rah kar AZAN suntay hongay na jumaa KAI KHUTBAT suntay hongay

attaria sister aap apnay irad gird daikhna kah kitnay log hain jo 5 time ki azan sun kar 5 time namaz parhtay hongay

 

agar maine kuch ziada hard likh dia hai to i m sorry

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

ji bilkul sister attaria2526 ap zaroor start karen new thread ,mager maqam e shuker k us thread main ap mujh se koi request nahi kersakengi , b/c im not in muslim country. :)

madani duaoon mainyad rakhiye ga

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

aap kisi bhi apnay mulk kai akhbar ya risalay ko utha lain andar sai aap ko westren larki millay gi muslim label kai saath :(

 

europe main to chalo yah baat sochi ja sakti hai kah mahool ka asar hoga magar wahan kai lahaz sai hum kia sochain kah kis baat ka asar hai ????

 

yah log jo azadana media pai atay hain aur west ki numaindagi kartay hain akhir yah bhi to wahan rah kar AZAN suntay hongay na jumaa KAI KHUTBAT suntay hongay

attaria sister aap apnay irad gird daikhna kah kitnay log hain jo 5 time ki azan sun kar 5 time namaz parhtay hongay

(wasalam)

ji iqra sis ap ki baat sahi hay mager yaqeen karen k Allah (azw) ne apnay mahboob e kareem alaihissalato wattasleem ki ummat per khas karam farmaya or ameer e ahle sunnat jaisi pyari naimat ata farmai,jinhon ne apnay madani muzakron or bayanat k zariye ghar ghar dakhil hoker in buraiyon ka kafi had tak khatima kerdiya or islami behnon ko chader e haya ata farmai Alhamdulillah (azw) ,

ager aj dawateislami jaisi pyari tahreek na hoti to yaqeenan hamara mulk bay hayai ki tabah kari ka mukammal shikar hochuka hota.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadaqay mein hamain dawateislami k madani mahole se martay dam tak wabasta rakhay

aameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

ji bilkul sister attaria2526 ap zaroor start karen new thread ,mager maqam e shuker k us thread main ap mujh se koi request nahi kersakengi , b/c im not in muslim country. :)

madani duaoon mainyad rakhiye ga

wassalam ma'al ikram

(salam)

ji ji sister fiker na karen me ye thread abhi start nahi karoongi ap pk to aingi na jab start karoongi :lol:

(ah)

Link to comment
Share on other sites

Ek Madni Iltiha Hai Tammam Members Say K Plz Itni Bari Bari Post Ko QUOTE na kiya karain

JazakAllah Ho Khiran Kaseerah

Agar QUOTE Karna Zaroori Hoo Too Jis Line ko karna hai sirf usi ko karain sari post Na Karain Baray-e-Madinah

JazakAllah Ho Khiran Kaseerah

Duaoon Ka Talab Gar Mujram-e-Attar

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

(ja) iman sister aap nai bohat achi baat kahi kah Allah (azw) ne apnay mahboob e kareem alaihissalato wattasleem ki ummat per khas karam farmaya or ameer e ahle sunnat jaisi pyari naimat ata farmai,jinhon ne apnay madani muzakron or bayanat k zariye ghar ghar dakhil hoker in buraiyon ka kafi had tak khatima kerdiya or islami behnon ko chader e haya ata farmai Alhamdulillah (azw)

 

poori dunia main log dawte islami kai rang main rangay hoye hain beshak poori dunia main jahan kaheen bhi muslims AMEER AHLE SUNNAT kay madni muzakray aur bianaat suntay hain un kai dill pai in khoobsorat bianat aur muzakron ka asar hota hai aur banda khud ba khud is taraf khincha chala ata hai yah dawte islmami ka hi asar hai kah bigray hoye log sudhar rahay hain aur sudhray hoye log mazeed nikhar rahay hain MAGAR yahan topic main baat un logon ki ho rahi hai jo abhi tak is taraf dhian nahin dai rahay un logon ki baat nahin ho rahi jo islami tareekay sai apni zindagi guzar rahay hain hum chahtay hain kah woh bhi is taraf dhian dain jin ka abhi tak is taraf khial nahin aya

 

ALLAH karay kah poori dunia kai saaray muslims dawte islami kai madni mahool main rang jaen AMEEEN

Edited by IQRA
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...