Jump to content

Machli wa deger pani ki makhloq


Ubaid-e-Raza

تجویز کردہ جواب

JazakAllah (azw) Ubaid Bhai Bohat Achi Maloomat Hain Jo Ap Ney Share Ki Hain

Fiqha-e-Shafii Main Tammam Sumndrii Jandar Khana Jaez Hain

Kiya Yeah Sahi Hai?

 

(salam)

yeh ghalat hai.. sirf woh samundri jandar khana halal

Link to comment
Share on other sites

(salam)

mohtaram madani munna bhai!

is forum ka naam hi fiqh e hanafi hay,

to yahan ahnaf k ahkam hi bayan honay chahiyen,ager imam e azam radiALLAHU ta'ala anhu k ilawa kisi or imam k fiqhi masail ap bayan karen to baraye madina proove k sath,

kion k ye fiqahi masail hain or awami forum hay

yahan jitnay bhi visiters hain ham sab seekhnay k liye atay hain or zahir hay k koi aalim e deen ho to bighair daleel k bhi samajh sakta hay k shawafay(imam shafai) k nazdeek ye halal hay to kion or ahnaf(imam e azam abu hanifa )k nazdeek haram hay to kion

ham jaisay log nahi kersaktay

lihaza bhai yahan jo bhi baat ho proof k sath honi chahiye

ta k masail ka sahi ilm phail sakay

 

mujhay ummeed hay ap mujh se agree karengay

wassalamma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

Assalamualikum... Madni Munna Bahi

Aap neh sahih suna hai , Imam Shafai Alihrahma keh nazdeek yehi masla hai lakin is masala ko dalil banana darust nahi , keh 4 fiqhi mazahib main is tarah keh kaafi masail par ikhtilaafat hain un keh dalail apni jagah alag hasiyat rakhtain hai hum imam e azam abu hanifa alihrahma keh muqallid hain aur taqleed ka maini kisi ki baat ko bila daleel manna aur dosray is keh osol main say yeh bhi keh fiqhe hanfi keh baaz apna aur baaz main shafai yeh mana hai taqleed sirf aik imam ki jaaiz hai , yeh jo masaail akhaz hai mujhtad quran wa hadith aur ijmah qyas say akhaz karta hai,Quran Wa Hadith ki wazahat aam wa khaas wa degar osolo keh zaryee ki jati hain,ijmaah yeh sahaba keh aqwal say hota ya jamee ul musleeman ka hoo is keh mukhtalif maratib hain, aur qyas keh dalail bhi quran aur hadith e muaaz say sabit hain , aur mujhtahid ki ghalti muaaf hai jesa keh hadith e muaaz say saboot milta hai , naiz mujhtahid apni khata par bhi sawab pata hai agarchay durust honay ki sorat main sawab zayda hota hai ,, naiz is maslay main humari dalel quran pak ki woh ayat bhi hai har khabees janwar haram hai (mafhoom ) aur darya main kaafi kahbes janwar ajatay hain , naiz mandek aur choti machlyaan imam shafai keh nazdeek bhi jaiz nahi , aur is keh ilawa daryaai janwaroo keh baray main kaafi hadith say hurmat aayi hai .

Link to comment
Share on other sites

Dear Iman Aapi Main Too Sirf Apni Maloomat K Leyae Pooch Raha Tha K Meray Pass Jo Info Hai Wo Sahi B Hai ya Nahin

Main Ney Confirm Karney K Leyae Likha Tha

@ Shareef Bhai JazakAllah (azw)

Wesay Muj Nachez Ka Nam Mudasar Attari Hai

Mudasar Attari Shitan Par Bhari

Link to comment
Share on other sites

JazakAllah (azw) Mujtaba Bhai

@ Ubaid Bhai Main Ney Shafie Fiqa K rooo Say Poocha Hai

Humray Islamiyat K Teacher Ney Bataya Tha

K Un K Nazdeek Tammam Sumdri Jandar Halal Hain

JazakAllah (azw)

 

(salam)

sorry.. ap ne sahi kaha tha. main ne apki bat sahi read na ki thi. aur samjha ke ap hanafi fiqh ki roo se poch rahey hain. bilkul un ke nazdek jaiz hain. shareef raza bhai ne bilkul darust farmaya hai.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...
  • 3 weeks later...
  • 5 months later...
  • 7 months later...
Sallaam-O-Alaikum,

What about "Cat Fish"? Is it halal to eat cat fish?

 

Allah Hafiz.

cat fish n.

any of a number of freshwater fish having whiskers around the mouth and no scales

I think cat fish is also from fish family; if its so and it belongs to fish i-e biologically it is a fish then we can consume it .

 

And Allah azzawajal knows the best

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...
  • 2 weeks later...
  • 6 years later...

(salam)

 

Hazrat muhjay ya poochna hay kay kiya Magrah Machli halal hay? Magrah machli ki finger fish karachi may bunti hay.  or ya Machli anday nahi Bachay dayti hay. to logoon nay ya kaha kay Magrah Machli bachay dayti hay is liya Magrah Machli haram hay. to muhjay confusion hay is liya poocha kay kiya aisa koi shari masla hay kay jo machli anday kay bajai bachay day wo Halal Nahi hay

 

(ja)

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

 

Hazrat muhjay ya poochna hay kay kiya Magrah Machli halal hay? Magrah machli ki finger fish karachi may bunti hay.  or ya Machli anday nahi Bachay dayti hay. to logoon nay ya kaha kay Magrah Machli bachay dayti hay is liya Magrah Machli haram hay. to muhjay confusion hay is liya poocha kay kiya aisa koi shari masla hay kay jo machli anday kay bajai bachay day wo Halal Nahi hay

 

(ja)

Bhai bachay to whale machli bhi deti hai. Ap post number 15 parhen.

Edited by Mustafaye
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...