Jump to content

Mulke Sukhan Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam | Aashar Kisne Likhe ?


BurningMoon

تجویز کردہ جواب

As salaam Alaykum,

 

Dear Brothers and Sisters

 

Main Ye Janna Chahta Hoon Ye Ashar

 

"Mulke Sukhan Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam

Jis Simt Aagaye ho sikhe Bithaa diye hai"

 

Ye Ashar A'la Hazrat Radi Allahu Anhu Ke Hi Hain Ya Janaab Daagh Delhwi Ke, Koi Kehta hain Ala Hazrat Radi Allahu Anhu koi kehta Janaaz Daagh Delhwi ke

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

mufti zahid husain al-qadri says this is a false story as does Ashraful Fuqah Mufti Mujeeb Ashraf sahab, a great scholar in India who spent most of his youth with Mufti Azam-e-Hind (Allah is pleased with him). He said that the story about Daag Delwhi has no base and is not true and this was Alaa Hazrat's (Allah is pleased with him) line.

Link to comment
Share on other sites

If it wasn't Alaa Hazrat's (Allah is pleased with him) line, where is his "Maqta" in that naat?

 

There are other lines written as Tahdeeth-e-Ni'mah which are very similar to the above one, what about them?

 

Mufti Mujeeb Ashraf spent most of his time with Mufti Azam-e-Hind and he mentions meanings of Ala Hazrat's lines told to him by Mufti Azam-e-Hind.

 

Allah says in the Qur'aan "And the gifts that Allah has given to you, show them to others", Alaa Hazrat was indeed a very humble person, at the same time he was very thankful for the gifts that Allah gave to him.

 

Tahdeeth-e-Ni'mah is a way of thanking Allah, in a hadith the Prophet (peace be upon him) says that if Allah has given you wealth then show it because Allah likes it to be shown apparently (Aw kama Qaala).

 

Alhamdu Lillah, yesterday i picked up Hadaa'ik-e-Bakhsish and read the "Ta'aaruf-e-Imaam Ahmed Raza" written in the beginning by Allama Muhammed Haneef Khan Razvi from Barelvi. He has also written that the line "Mulke Sukhan Ki Shahi......." is a line that Ala Hazrat wrote himself. Pick it up and have a look!

 

Now, if you are saying that Alaa Hazrat didn't write that line and never did Tahdeeth-e-Ni'mah, then what do you say about the following lines:

 

Mahsoor Jaha Daani Wa Aali Mai Hai

Kya Shubha Raza Ki Bay Mithaali Mai Hai!

 

Kiss Muh Se Kahoo Rashke Anaadil Hoo Mai

Sha'ir Hoo Faseeh Bay Mumathil Hoo Mai!

 

Teri Dozakh Se To Kuch Cheena Nahi

Khuld Mai Pohcha Raza Phir Tujh Ko Kya!

 

Woh Raza Ke Neza Ki Maar Hai

Ke Adu Ke Sine Mai Gaar Hai

Kise Chaara Joyi Ka Waar Hai

Yeh Waar Waar Se Paar Hai!

 

Kilke Raza Hai Khanjare Khookhaar Barq Baar,

Aadaa Sai Kehdo Khair Manaaye Na Shar Kare!

 

Yahi Kehti Hai Bulbule Baage Jinaa

Keh Raza Ki Tarah Koi Sahre Bayaa

Nahi Hind Mai Waasife Shaahe Huda

Mujhe Shokiye Tab'e Raza Ki Qasam!!

 

All the above and manymore Ash'aar written by My Alaa Hazrat are absolutely without example, all written by himself. If anyone wants to see them, pick up Hadaa'ik-e-Bakhshish!

 

They were all written as Tahdeeth-e-Ni'mah!

 

*i copied and pasted a lot of it

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 10 months later...

"Mulke Sukhan Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam

 

Jis Simt Aagaye ho sikhe Bithaa

diye hai"

 

YE MAKTA AALAHAZRAT REHMATULLAHALAI KE MURSHID REHMATULLAH ALAI NE LIKHE MUJHE UNKA NAAM YAAD NAHI.

 

"MAINE DAWAT E ISLAMI KE HAFTAWAAR IJTEMAA ME MUBALLIG KE BAYAAN ME SUNA UNHONE IS SHER KA PURA WAQI'AA BAYAAN KIYA THA 4 MNTHS HOGAYE MAI BHUL GAYA"

 

:)

Edited by MadaniLover
Link to comment
Share on other sites

  • 5 years later...

Yeh naat Ala Hazart ki hy . lakin maqta Dagh Dehlvi ka hy . jo mery ilam mn hy ya jo mn ny suna hy . Wo kuch yun hy k Ala hazara k bhai dagh delvi sy mily to un ko ala hazrat ka kalam sunaya to un ko boht masand aya unhon ny pocha kis ka kalam hy tow unhon ny bataya k mery bhai ka hy tow dagh ny kaha ab jb un ny milo tow koi naya kalam ly k ana . Ala Hazarat (R.A) sy un k bhai ki mulaqat hui tow un ko yeh bat yad na rahi aur jb wapis janay lagy train ki ticket ly li gari mn batain sy kuch dair qabl Dagh delvi ki bat yad ai k unhon ny naye kalam ki farmish ki thi . tow unhon ny Ala hazarat (R.A) ko bataya tow unhon ny kaha kagaz pencile ly k ao abi likh dety hain naya kalam tow train chaly sy pehly pehly jo kalam likha gaye tha wo Dagh Delvi ki sunaya tow unhain boht pasand aya tow unhon ny kaha kalam tow boht acha hy lakin is ka maqta nahi hy to Ala Hazrat k bhai ny kaha jaldi mn kalam likha hy tow train chal gai tow Maqta reh gaye phr Dagh Delvi ny is ka maqta likha aur kaha ab yeh hi is ka Maqta ho ga . 

 

 

"Mulke Sikhan ki shahi Tum ko Raza Musallam 

  Jis Simt Aagaye Ho Sikhe Bithaa Diyee hain "" 

 

 

Likhny mn ya batane mn koi Ghalti hui ho tow mafi ka talabghar hun . Yeh waqia mn ny Raza Saqib ki zubani suna hy . 

 

Sukriyaa 


 

Link to comment
Share on other sites

  • 3 years later...

Dag dehlavi ne alahazrat ke bhai ko ye sher, Sirf fist line 

"Unki mahak ne dil ke gunche khila diye hain jis raah gaye hain kooche basaa diya hain.".

Bheja aur isi Behar par Shayari likhne ko bola magar kosis ke Baad bhi wo likhna paye. alahazrat ne jab dekha to bola kya pareshani hai unhone yahi sher ka line padhkar bataya to alahazrat ne fauran hi pura naat e rasul likhkar dediya. Aur aakhri makta nahi likha. Alahazrat ke bhai ne wo naat daag dehlavi ko bhej diya. Jab daagdehlavi be padha to kaha ye zarur alahazrat ki naat hai. Tab daagdehlavi ne aakri makta likha. "Mulke sukhan ki shahi tumko Raza musallam Jis samt aa gaye ho sikke bitha diye hain" 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

Jab Humare Imam Ahemad Raza Khan(Ala Hazrat R.A) Ne Ye Naat Likhi Baar Gaah E Janaab Dagh Dahelvi K Tab Jaldi Me Ala Hazrat R.A ne Aakri Makhte Me Pahechan Batana Bhul Gaye The Tab "Jaanb Dagh Dahelvi" ne "Ala Hazrat R.A) K Bhatijo Ko Kaha Tha KI imam Raza KO bolna  K Me "Dagh Dahelvi" Unki Pahechan me Aakhri Makhta Likhte Huee Bol Raha Hu...

"Mulke Sukhan Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam...

Jis Simt Aagaye ho sikhe Bithaa diye hai"

AGAR KUCH BOLNE ME YA BATANE ME MUJSE GALTI HUEE HO TO MAAF MR DENA.

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

 
 
 
उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं
जिस राह चल गए हैं कूचे बसा दिये हैं

जब आ गई हैं जोश-ए-रहमत पे उन की आँखें
जलते बुझा दिये हैं, रोते हँसा दिये हैं

इक दिल हमारा क्या है, आज़ार इस का कितना
तुम ने तो चलते फिरते मुर्दे जिला दिये हैं

उन के निसार कोई कैसे ही रंज में हो
जब याद आ गए हैं, सब ग़म भुला दिये हैं

हम से फ़क़ीर भी अब फेरी को उठते होंगे
अब तो ग़नी के दर पर बिस्तर जमा दिये हैं

असरा में गुज़रे जिस दम बेड़े पे क़ुदसियों के
होने लगी सलामी, परचम झुका दिये हैं

आने दो या डुबो दो अब तो तुम्हारी जानिब
कश्ती तुम्हीं पे छोड़ी लंगर उठा दिये हैं

दूल्हा से इतना कह दो, प्यारे ! सुवारी रोको
मुश्किल में हैं बराती, पुर-ख़ार बादिये हैं

अल्लाह क्या जहन्नम अब भी न सर्द होगा
रो रो के मुस्तफ़ा ने दरिया बहा दिये हैं

मेरे करीम से गर क़तरा किसी ने माँगा
दरिया बहा दिये हैं, दुर्र-बे-बहा दिये हैं

मुल्क-ए-सुख़न की शाही तुम को, रज़ा ! मुसल्लम
जिस सम्त आ गए हो सिक्के बिठा दिये हैं


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
 
 
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...