BurningMoon مراسلہ: 12 اپریل 2012 Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 (ترمیم شدہ) As salaam o Alaykum Few days back on sunday 8Apr12 my friend's father passed away, Inna Lillahi wa inna ilaihi raje'oon. May Allah Ta’ala forgive his sins - Ameen. May Allah Ta’ala grant him Jannat al Firdaws and make all of the maraahil and manaazil of the aakhirah easy for him - Ameen. My Freinds asked me a question regarding Iddat and pardah... Jo Iddat mein hain use kis kis se pardah karna chahiye ? kya wo apne daamad (son in law) se bhi pardah karegi ? kya wo ghar se bahar nikal sakti hain ? Another question he asked me regarding Isale Sawab... Isale Sawab Karne ka Aasan Tarika ? Maine usse kaha Aap Jo Bhi pade Surah, durood, ayatal kursi, surah yasin.... Sab Se pehle aap kahe Yaa Allah Jo Bhi Maine Pada Ismein Jo Bhi Galti Larjish hui use apne Mehboob Ke sadke mein Muaf farma aur ise Qabool Farma. Jo Kuch maine pada iska sawab sabse pehle Hazrat Mohammed Ki bargah mein nazar karte hain Qabool farma Iska Sawab tamam Ambiya Ikram Alaihimusalam ki bargah mein nazar karte hain Qabool Farma Iska Sawab tamam Sahaba, Ahle Bait, Aulia Ikram Radiallahu ta'la ajmain ki bargah mein nazar karte hain Qabool Farma Iska Sawab Marhoom ki rooh ko nazar karte hain Qabool Farma Sahi hain Aasan tarika ? Please Jara Roman Urdu Mein Bataiye, Use Aaj Batana hain, Urgent hain JajakAllah Edited 12 اپریل 2012 by BurningMoon اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 12 اپریل 2012 Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 Wa Alaikumussalam Allah Ta'ala Marhoom ki maghfirat farmaye aor Pase Mandigan ko Sabr-e-Jameel Ata farmaye. Aameen On 4/12/2012 at 1:28 PM, BurningMoon said: Jo Iddat mein hain use kis kis se pardah karna chahiye ? Doran-e-Eddat aor eddat k baghair donon soorton main Tmam Baaligh Namahram say parda karna zroori hay. On 4/12/2012 at 1:28 PM, BurningMoon said: kya wo apne daamad (son in law) se bhi pardah karegi ? Damaad k samnay Chehra,Haath , paon chupana zroori naheen. On 4/12/2012 at 1:28 PM, BurningMoon said: kya wo ghar se bahar nikal sakti hain ? Baghair kisi Shar'i zroorat k aorat ghar say bahir naheen nikal sakti. On 4/12/2012 at 1:28 PM, BurningMoon said: Isale Sawab Karne ka Aasan Tarika ? Yeh Book Download kiiay , Is k end par Fatiha ka aasan tareeqa diya gya hay. In Hindi: http://data2.dawatei...f/2011/20-1.pdf http://www.dawateisl...tion:writer_0.0 In English: Method Of Fatiha: Read Online: http://library.faiza...ndex.php?id=309 Download: http://library.faiza...load.php?id=309 In Urdu: Fatiha ka Tareeqa: Read online: http://library.faiza...index.php?id=16 Download: http://library.faiza...nload.php?id=16 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
BurningMoon مراسلہ: 12 اپریل 2012 Author Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 JajakAllah Bhai for your reply InshAllah, i wil give him a Print out of Isaale Sawaab, Quote Doran-e-Eddat aor eddat k baghair donon soorton main Tmam Baaligh Namahram say parda karna zroori hay. Please jara ye bhi bata dijiye ke Mahram aur Na Mahram Mein Kaun Kaun Aate Hain, اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 12 اپریل 2012 Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 On 4/12/2012 at 2:59 PM, BurningMoon said: Please jara ye bhi bata dijiye ke Mahram aur Na Mahram Mein Kaun Kaun Aate Hain, Mufti Sahib ka jwab Smaat farmaeay: http://mufti.faizane...wer.php?Q=11923 Is baray main Tafseeli Maloomat Bahar-e-Shariat Hissa 7 Main Dekhi Ja Sakti Hain: Read: http://www.dawateisl...8/volume/797/ur Download: http://data2.dawatei.../2008/328-1.pdf Aasan Zban main Smajhnay k leay Allama Ilyas Qadri Sahib ki kitab ''Parday K Baray Main Suwal Jwab'' ka mutalia kia ja sakta hay: Read: http://www.dawateisl...7/volume/955/ur Download: http://data2.dawatei.../2009/487-1.pdf ............. Kitab ''Parday k baray main suwal jwab'' say mukhtasaran Arz karta hoon. Mahram say murad wo mard hain jin say hamaisha k leay nikah Haraam ho, Nikah k haram honay ki wja chahay Nasab ho ya koi aor sabab ho misal k tor par ''Raza'at ya Musaharat'' ..... Jo Mahram Na ho wo Ghair Mahram / Na Mahram / ajnabi hota hay. Aorat ko har ajnabi baligh mard say parda karna zroori hay. Mahaarim main 3 qism k afrad dahil hain. 1: Nasab ki bina par jin say nikah haram ho. 2: Raza'at yani Dhoodh k rishtay ki bina par nikah haram ho 3: Musaharat yani susrali rishtay k wja say jin say nikah haram ho. Qism 2, 3 say parda zroori bhi naheen aor manna bhi naheen... yani aorat agar chahay to in say parda kar sakti hay khusoosan jab aorat jwan ho ya fitnay ka khof ho to parda karay. Qism 1 main 4 qism k afrad dakhil hain: 1.A Apni aolad aor apni aolad ki aolad neechay tak 1.B Apnay maan baap aor apnay maan baap kay maan baap uoopar tak 1.C Apnay maan baap ki aolad chahay haqeeqi hon ya sotailay .. yunhi apnay maan baap ki aolad ki aolad neechay tak 1.D Apnay daada daadi naana naani ki aolad. ............ Laikin Chacha, Phoophi, Maamon , Khaala ki aoladain (Cousin) GHAIR MAHRAM HAIN. unko aapas main parda karna zroori hay. ............. Jeth,Dewar,Behnoyi,Phoopa,Khaalo say bhi aorat ko parda karna zroori hay. .......... Mard k leay uski Bhabhi,Chachi,tayi, Mamani GHAIR MAHRAM HAIN. unki traf nazar karna manna hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
BurningMoon مراسلہ: 12 اپریل 2012 Author Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 JajakAllah, Bhai Allah Aapke Ilm o Amal Mein Barkat De - Ameen PS: 3 baar padne ke baad pata chala, baar baar confuse ho raha tha... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 12 اپریل 2012 Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 Aameen Allah ta'la aapko Behtar badla ata farmaye.. Aameen kionkeh main aalim naheen hoon is wja say samjhaanay ka tareeqa naheen aata warna aapko aasani say smajh aa jati. Bhai audio answer bhi add kia hay, wo bhi sun lijiay ga. .. Jazak Allah Azawajal اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
BurningMoon مراسلہ: 12 اپریل 2012 Author Report Share مراسلہ: 12 اپریل 2012 usman bhai samjhane tarika acha tha, magar main risthe jara kam samajh pata hoon, jab ghar mein baat hoti hain hasi aati hain [ uski phoophi ka ladka, meri kahala ki dewar ki behan, tayaa ke sali ki beti se ristha waghera waghera ] Anyways printout le liya hain, inshAllah aaj use de dunga, Aur inshAllah mobile par bayaan bhi suna dunga aur save karwa lunga taki maa ko bhi suna sake... JajakAllah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔