Jump to content

دعوت اسلامی کا کارنامہ الیاس عطار قادری کے نام کے ساتھ "صلی اللہ علیہ وسلم" لکھ دیا


Blue Chips

تجویز کردہ جواب

اس بارے بہتر وہ ہی بتا سکتا ہے جو ہندی پڑھ اور سمجھ سکتا ہے

اگر واقعی جناب مولانا الیاس عطار قادری صاحب کے نام کے ساتھ دورد پاک لکھ دیا ہے تو یہ کتابت کی غلطی ہو سکتی ہے

 

ویسے بھی غلطی انسانوں سے ہی ہوا کرتی ہے

کیا دیو کے بندوں سے کبھی کوئی غلطی نہیں ہوئی ؟

Link to comment
Share on other sites

Bhai Mujhe Hindi Aati Hain,

 

 

Iha Abbreviations error hain,

shayad jis kisi ne ye book printing ke likhi usse GALTI hui hain usne Ameer e Ahle Sunnat Ke Baad SalAllahu Alaihwasallam Ka Abbreviations Use Kar liya, Use Damat Barkatuhu Aliya ka Use karna Chaiye

 

Ameer e AhleSunnat ke Baad SalAllahu Alaihwasallam Likha hua hain, Jab ke Damat Barkatuhu Aliya Likha hona chaiye tha

Aur Haa same book Urdu mein Ameer e AhleSunnat ke Baad Damat Barkatuhu Aliya Likha Hua Hain,

 

Proof reading / Printing error Hain,

 

Aur ye bahut purani baat hain, iski islah ho chuki hogi.....

 

 

Khair, Har Islamic Books chahe sunni/deoband ya kisi aur ki ho, sab Mein hota hain, agar kahi galti, kami beshi nazar aaye to rabta karke islah kare aur sawab kamaye

 

DI ki bahut si books mein maine dekha hain, ke likha hua hota hain (niche attchment aur translation)

attachment niche hain ((Ashiq e Akbar books se liya hua))

uska translation kar deta hoon,

 

Majlise Tarajim (Dawat e islami) ne is bayaan ko Hindi rusmool khat mein maktabatul madina ne shaaye karwaya hain | ismein agar kisi jagah kami beshi paaye to majlise tarajim ko (bajariye maktoob, email, ya sms ) mutala farmakar sawab kamaye

 

Rabta : Majlise Tarajim (Dawat e islami) Maktabatul madina,

Ahmedabad phone : 000000

only sms : 00000

emai : gmail.com

post-6355-0-89116500-1333084210.jpg

Edited by NoorieQadri
Link to comment
Share on other sites

AssalaamuAlaykum.

Ji theek hai, maana ke kitabat ki galati ho gaee hogi lekin janaab hamari Dawate Islami ki kutub men to yeh tareeqa khoob dekha jata hai ke kitab ke shuroo men hi likh dete hen ke "majlise kutub o rasail ki jaanib se (ulan-fulan kitab par) nazar e sani ki koshish ki gaee hai. Majlis ne ise aqaaid, kufriyah ibaaraat .....wagairah wagairah sab check kar liye hen...... ALBATTA COMPOSING YA KITABAT KI GALATIYON KA ZIMMAH MAJLIS PAR NAHI !" Phir ek badi si mohar laga di jaati hai. Leejiye saHib, aap to bari ho gaey, aap logon ki zimmadaari galat-sahi sab dekhe bagair chhaapna hai to ab kya karen, yeh zimmadaari composing check karne ki ham log hi liye lete hen ! ? Majlis to majis hai...woh aesa halka kaam kyun karne lagee...? Hamari badboli Majaalis se to hamare MuHtaram Sunni Ulamaa o musannifeen e Kiraam Yaqeenan achchey hen ke kitaab men yun likh dete hen ke "bhai aapko koi galati nazar aaey to zara ittila kar dena agley edition men islaaH kar lee jaegee.".... Baat wahi hai ke ham Dawate Islami wale log badboley hen. Apne aapko tees maar khan se kam nahi samajhte hen. Aap ko hairat hogi Mumbai Maktabatul Madina ki Faizan e Sunnat, Rasail e Attaria balke aapke karachi maktaba tak ki kutub men hamne kaee bar kitabat ki iSlaaH karwaee hen. Ibaaraat tak change karwaee hen. Ham front men nahi aaey to kya hua ? Aapke peechey to hen.! Theek hai galati to rah hi sakti hen lekin yeh Aelaan kyoon aap log karte hen ke COMPOSING KI GALATI KI ZIMMADAARI MAJLIS PAR NAHI ? Ajeeb ulti Aql hai. Galati aap karen checking ham log karen ! ! Ab aap kahenge Masood bhai yahan bhi aa gaey is liye chalo yahan bhi LOCK kar daalte hen !! To phir hamen kisi ka naam "LOCKER SAHIBAAN" rakhne par ghaur karna pad sakta hai. Pehle hamari Dawate Islami men waqaee Aajizi thee. Lekin jabse zara Ulamaa e Kiraam ki sifaarishon se apni kuch pehchan ban gaee to ham hawa men udney lage hen, muAaf karna bhai. Salaam. Aapka purana khairkhwah.

Edited by Masood Noori
Link to comment
Share on other sites

As salaam o Alaykum

 

Mera 1 sawaal hain aap sab bhaiyo se,

 

Agar koi Apne Naam ke Baad "SalAllahu Alaih wasallam" Likhta Hain to Us par Kya Shariat ka kya hukm hain ?

 

jajakAllah

WaAlaykumussalaam,

taajjub hai, Noori bhai aap kis taraf hen? Idhar ya udhar?

Edited by Masood Noori
Link to comment
Share on other sites

یہ تو بہت پرانا اعتراض ہے یہ اسی فتنہ باز سائٹ سے لیا گیا ہے

 

پرینٹنگ کی غلطی ہو گئی ہوگئ

 

ویسے اگر کسی بھائی کو ہندی آتی ہے تو بہتر بتا سکتا ہے

AssalaamuAlaykum,

Waaah Waaaah saHib, mere khayal se to fitna baaz woh hona chahiye jo islaH se munh chupaaey or apni gaata rahe.

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...