Jump to content

New User Registration Problem


Eccedentesiast

تجویز کردہ جواب

AssalamoAlaikum

 

Aaj main nay aik bhai ko registration k leay kaha to unhon nay is maslay ki traf meri twajuh dilayi keh registration k waqt yeh suwal poocha jata hay keh :

 

What is the date of the Last Prophet's صلى الله عليه وسلم birth?

Meelad e Nabi ki kia date hai?

Answer Format(date month..no space in month name)

 

to ab is ka answer kia ho ga????

 

question main sirf DATE poochi gayi hay aor answer format main date,month donon likhnay ko kaha gya hay.. neez jo bhi answer diya jata hay wo ghalat hi maana ja rha hay,,

misal k tor par answer dain

 

12 3

 

ya

 

123

 

ya

 

12 RabiUlAwwal

 

etc

 

jo bhi answer diya jaye wo ghalat hi mana ja rha hay aor registration complete naheen ho rhi...

 

isitrah Eidulftar ki date bhi poochi jati hay jis k answer main kuch bhi likhain ghalat hi hota hay...

 

to ab wzahat krain keh answer main kia likha jaye???

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

Rigisteration mai Waqi Problem hoti hy lakin Seurity k liy jo Sawal poocha gia hy Us ka Answer to sath mai hi dy dia gia hy

Maslan Sawal ye hy

 

Registration Question * What is the date of the Last Prophet's صلى الله عليه وسلم birth? jawab:

12 rabiulawwal

Meelad e Nabi ki kia date hai? jawab: 12 rabiulawwal

Answer Format(date month..no space in month name)

 

 

 

Albata Captcha code Kafi Msuhkil hn kitni kitny refesh kerny per phir kahn ja sker Readable code show hota hy

Link to comment
Share on other sites

ہاں جی جواب ساتھ ہی لکھا ہوتا ہے

 

Registration Question * What date is Eid ul Fitar in Islamic/Hijri Calendar? jawab: 1st Shawwal

or

Eid ul Fitar kis islami date ko hoti hai? jawab: 1st Shawwal

Answer Format(date month..no space in month name.)

Link to comment
Share on other sites

Asslam alaikum ;

 

Yei registration mai question kaafi arsay say maujood hai is kay baad kafi users register ho chukay hain is leay in sawal jawab mai koi problem nahee hai

 

is say phaly mathmateics kay sawal yani 2 +5 = ? waghaira bhe thay magar wo hata deay gaiay is leay kay computer bots or spammers ko aisay sawal ka jawab aasani say mil jata hai..

aur in sawalat ka jawab bhee wahee maujood hai tu is mai koi maslay ki baat nahee

 

baki raha captcha to wo bhee zarori hai aur images automatic aati hain kabhee mushkil kabhee aasan yei tu har jaga login mai masla hota hai magar is tarah spam ka masla kafi had tak khatam ho chuka hai Alhamdulillah agar yei dono cheazain hatai gee tu spammers ka masla shooro ho jaaiy ga.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...